Kitna jhootha hai ye MJ. Pehle to khamosh rehta tha or ab bola to wo bhi jhooth ki maine hi radha ko maara hai. Dusra jhooth mujhe koi fikar nahi hai tumhari. Ye lo itna bada jhooth. Agar ye such hai to hospital me kyu kaha tha mujhe fikar hoti hai tumhari. MJ babu aapka ye drama kab tak chalta hai hum bhi dekhenge. Jab tara jail jati hai to kaise fikar nahi hoti MJ ko uski.
Life me pehli baar MJ khud tara ko dhundhta hua aaya tha lekin wo radha grrr jaise hi uski pic dekhi radha me kho gaya. Oh radha ki baat kya nikali MJ to pehle ki tarah kharoos ho gaya tara ko dhakka de diya. Dekho MJ tumhare lakh gunah maaf lekin agar is radha ke sath tumhara koi pichla chakkar wakkar hua na to maafi nahi milegi. Samjhe
ab tara bacchu sabko kehti rahegi ki radha zinda hai lekin koi uski baat nahi manega or na hi RP kisi ko aisa karne dega. Lekin ye sab to baad me hoga pehle tara bacchu ki jail yatra hogi.
Song 4 MJ
Sambhala hai maine bahut apne dil ko.
Magar ye hai ki phislta ja raha hai.
Karu lakh kosis tujhse door rehne ki.
Magar tu or bhi kareeb aa raha hai.