Source:-BAL BHASKAR(newspaper)
HERE'S D INTERVIEW
DHARAM VEER KI JODI
Jaat paat ki khaiyo se bate samaj ko do dost,do bhai sikha rahe hai pyaar,dosti, bahaduri, imandari aur siddhanto ki paribhasha.. ..
hai maths aur chemistry ye to tay hai ki mai acting ke saath aRAJAT's INTERVIEW
*SErial DV ke baare me kuch bataiye?
A-Is serial me mai veer ka kirdar nibha raha hu.Veer hamesha apne dil ki baat sunta hai.Use vishvaas hai ki jo uska dil kehta hai,wahi sahi hai.Veer jo chahta hai,vo karke hi rehta hai.
*Acting ki taraf rukh kaise kiya?
A-Darasal,acting meri hobby hai.mere parivaar me koi bhi sadasya is kshetra se nahi juda.Luckily, jab mai audition ke liye Mumbai aaya tha,tab mujhe 'saibaba' serial me choti-si bhoomika nibhane ko mili.Bas,wahi Sagar production ne meri acting dekhi aur prc me mujhe prithvi ka role de diya.Sach,maine kabhi nahi socha tha ki mai is mukam par pahuch jaunga.yah sab logo se mile encouragement ka natija hai.
*Kya aap period drama se hatkar kpoi aadhunik patra nahi karna chahte?
A-Jo bhoomikaye maine ab tak nibhai hai unse mai poori taraf santusht hu..aise role me sab kuch hota hai.Action,emotion masti sab kuch in roles ke jariye hi mai acting ke sabhi dimensions ko samajh paaya hu.
*Kya is role ko nibhate waqt aapko koi pareshani ka saamna karna pada?
A-Ha,kuch stunts thode kathin hote hai par lagatar abhyas ne mujhe mazboot bana diya hai.
*Itni vyastata ke dauran aap apni padhai ke liye samay kaise nikaal lete hai?
A-Acting kabhi meri padhai me badha nahi bani.Mai 11th ki padhai correspondence ke jariye kar raha hu.jaise samay milta hai,mai padh leta hu.phir chahe shooting ho ya ghar par.mere pasandida vishay pni padhai jaari rakhna pasand karunga.
*Kaisa lagta hai itni kam umra me itne saare fans ko dekhkar?
A-Bahut accha lagta hai ki kam umra me hi log mujhe ek star ki tarah pasand karne lage hai.mai hardwork par vishwaas rakhta hu aur jis tarah bhagvaan ki pooja karta hu us tarah kaam bhi mere liye kisi pooja se kam nahi hai..mai bahut khush hu ki mehnat ka fal mujhe mil raha hai.mai shukraguzar hu apne fans ka.jab bhi mujhe samay milta hai mai net ke jarite use sampark karta rehta hu.
*Acting ke alaava aapko aur kya pasand hai?
A-Mujhe video game khelna,swimming karna aur horseriding ka bahut shauk hai.
VIKRANT'S INTERVIEW
*Aap apne naye serial ko lekar utsahit honge, hai na?
A-Mai bahut khush hu ki mujhe dharam ka role nibhane ka mauka mila.Dharam veer ka sabse achha dost hai.Wah uske liye kuch bhi kar sakta hai.In dono ki dosti bahut pakki hai.
*Kya aap is kirdar ko nibhane ke liye koi vishesh training le rahe hai?
A-Mai gambhirta se apne role ko dhyan me rakhte huye mehnat kar raha hu is role ke liye physical fitness bahut jaroori hai.Yah role ki demand hai.Mere trainer muje ladne(fighing skills),action, posture aadi ki barikiya sikha rahe hai.Iske alaava mai Period aur action filme dekhta rehta hu.
*Ab aapka jyada samay Baroda me shooting me chala jata hai,to kya aap apne parivaar aur dosto ko yaad nahi karte?
A-Ha bilkul,mai apne parivaar aur dosto ko bahut yaad karta hu.Mere producer bahut acche hai,ve mujhe shooting ke dauran chote-2 break dete rehte hai taaki mai mumbai jaakar apne parivaar aur dosto se mil hu...vo bhi weekend me mujhse milne aa jaate hai.
*Kya aap purane dino ko yaad karte hai,jaise school jana,dosto ke saath hangout karna aadi?
A-Maine set par hi kai acche dost bana liye hai aur jab bhi hame ****ti milti hai,ham film dekhne ya ghoomne nikal jaate hai.
*Rajat ke saath kaam karke kaisa lag raha hai?
A-Uske saath kaam karna bahut accha lagta hai.Wah bahut confident hai aur prc jaisa role nibhate-nibhate to wah bahut anubhavi bhi ho gaya hai.Set par ham dono ka taalmel ho gaya hai,yahi nahi hamaare beech achhi dosti bhi ho gayi hai.
*Kya aapko rajat ke saath apni tulna kiye jaane se dar nahi lagta?Sab jaante hai ki Rajat itni kam umra me hi Prasiddha ho chuke hai.
A-Yah ek sachhai hai.Mai bahut khush hu ki mai Rajat ke saath kaam kar raha hu.Wah bahut mehnati hai,isliye taareef ka haqdar to hai hi.Maine us se bahut kuch seekha hai.Ha,Ham ek-doosre se behtar karne ki koshish me jaroor rehte hai,jo ek tarah se hamare liye prerna hi hai.
*Aaj se 5 saal baad aap khud ko kaha dekhte hai?
A-Mai bhavishya ke liye jyada yojnaye nahi banata .Vartamaan me vishwaas rakhta hu.Mai aaj ko behtar banana chahta hu.