DUE TO MY SHAYERI LOVERS I FINALLY DECIDED TO MAKE A SEPARATE SHAYERI THREAD
Hence i welcome all to my shayeri thread
Recently created shayeri on manveer romantic
Manveer
From Uday veer to Manayata
************************************************
Jab bhi main tumse milta hoon
Har pal khilta hoon
Zindagi mein pehli baar ye ehsaas hai
Kii Mujhe tumse pyaar hai
Chahey tum mujhe apna halkat veda samjho
Baar baar mere gussey ki seema ko parkho
Tumharri har adda nirali hai
Tumhari har baat subah kii pehli chai kii piyali hai
Aaj agar main tumhare dil se bahut door hoon
Phir bhi main tumharrey bachpan kii lagi chot ka khoon hoon
Har waqt tum mujhse bhaag nahin sakti
Mere pyaar ko mehsoos kiye begayer ja nahin sakti
Main tumharri bahut parwah karta hoon
Har pal tummey hii yaad karta hoon
Maana main akaash nahin hoon
Par main bina apney pyaar kii numayish karke bhi
tumharrey saath har ik pal jii loon
Meri maa nahin hai jo mujhe sudhaar sakey
Par mere liye tum ho jo mujhe galat kaam karne se rok sakey
Jeena kya hai ye maine tumse seekha hai
Tumse miley bina mera din pheeka hai
Jab bhi tummey dard hota hai
Pata nahin kyoon mera khoon khaul udhta hai
Jab bhi tum mujhse larrti ho
Mere pyaar ke jazbe ko aur badawa deti ho
Agar tum sochti ho kii main tummey pareshan karta hoon
To fir thik hai haan main aisa hii karta hoon
Aajkal to pata nahin kya ho gaya hai
Tumharey liye mera dil dol gaya hai
Kaisa ye nasha hai
Jisne mujhse khud ko chiin liya hai
Aankh band karke bhi tum hii tum dikhti ho
Aankh kholke bhi tum hii samne khadi chiikhti ho
Ab ye meri hat hai kii tumhe in teen mahiney mein paana hai
Agar main baar baar toot bhi jaon to bhi mujhe apne aap ko
sambhalna hai
Pyaar to tum mujhse karne lagogii
Is jadugar kii bahon mein bharne lagogii
Chahey phir mujhe khud ko badlna hii kyooon na padey
Apne aap ko sirf tumhara dost hii kyoon na kehna padey
Kurbaan ho jaonga
Par martey dum tak apna kiya vaada nibhaonga
Waqt ne agar saath na diya
To bhi maine usey hamarey liye hai kharid liyea
Tumharey har dukh-sukh ko maine bhi hai ab jeena
Kyoonkii tumharri har ek baat ko maine apne pyaar ke sang
chup chaap peena
Ab tum mujhse door na jaa paogii
Mere is pyaar ke waar ko sehen na kar paogii
Aur jald hii apna dil mujhe de jaogii
Aur phir baad mein kuch pal soch mein pachtaogii
Kyoonkii pyaar hamesha andha nahin hota
Koi aise hii pyaar mein nahin rota
Hosh aur josh dono hii do dilwalon ko milatey hain
Pyaar mein behna bhi yehi sikhatey hain
Bas yahi ab tummey batana hai
Apney aap ke liye pyaar tumsey jatana hai
Tumharri har na ko han main badlna hai
Tumharey har ehsaas ko tumharey hoth taley zaban pe
laana hai
Raasta kathin hotey huye bhi main ye karoonga
Rajwada kii taran tumhe jeetoonga
nizzahow was it??????
*********************************************************************
Previous ones
On Manveer
Ye umar kitni lambi hai
Kii haath chod jayegii
Akaash ke saath monia nahin nibha payegii
Aaj kaa episode dekh
Mere haath Manveer par phool phekh
Hastey hastey dono ne mujhe hasa diya
Kuch zyaada na kehtey huye bhi mujhe rula diya
Pyaar isey kehtey hain jo sabko khush rakhey
Pyaar isey kehtey hain jo do dilon kii hawa parkhey
Manayata aur udayveer baney hain ek dujey ke liye
Haath dhamey bachpan se hii dono ne kaafi balidan de diye
Manon ya na mano ye baat sach hai
Unnati kii kahi har baat mein dum hai
Uday veer kaa pyaar ek din uskii takat ban jayega
Par Akaash apni bachkani harkaton se baaz kab aa payega
Udayveer ke saath do pal bita ke monia har baat bhool gayi
Vijaybhai ke samne udayveer ke saath phool gayi
Backround song kii zarurat na padi
Ganon kii dhun to dono kii taraf se hai chadi
AAkhir mein bas itna hii kahoongii
Apni sheiro shayeri mein itna hii likhoongii
Kii Satcha pyaar takat deta hai
Zindagi ke har mod pe sambhalta hai
Meri news poori honey ko hai
Touchwood par manveer dost banney ko hai
******************************************************************
On viewers
part two
Kabhi kabhi dil mein khayal aata hai
Kii manveer na hotey to hamara kya hota
Akaash ko kaun banata khota
Jai kii kaise bajti band
Kaun pakadta chicky kaa hand
Vijaybhai ko milney ke liye kaun tarasta
Monash ko jhelney ke baad kaun barasta
Kabhi kabhi dil mein khyaal aata hai
nizza
*************************************************************
on akaash and his love
Hum hain boring creator
Baney dhe hum Rajmahal ke waitor
Akaash hai hamara naam
Do dilwalon ko galti se milana hai hamara kaam
Jabse Udayveer ke doley hai humne dekhey
Rajmahal ne hum pe hai pathar phenkey
Is bhaari bharkam zurum se huye dhe hum giraftaar
Par Dadisa ne rakh lii hamari laaj aur kiya hamarey unkahey pyaar ko swikaar
Kehtey hain na jodi uparwala banata hai
Par ye kambhaqt ishq kya kya karwaata hai
Jab maine south india se hero ke dialogue churraye
To policestation mein dhaneydaaron ke khoob hain dandey khaye
Jab maine Udayveer ko pehli baar tha dekha
Tabhi tha mera dil chehka
Kii yahi hai jiskii mujhe talaash thi
saalon kii yahi aas thi
Phir meri bike kii chabiyan cheenlii gayin
Meri zindagii kii khushiyan le li gayin
Kehtey hain pyaar kurbani hota hai
Magar kya itna kuch khota hai
Maaf karna monia tummey pareshan kar raha hoon
Apni wahiyad prem katha se tumhey thunder aatack de raha hoon
Par kya kaoon meri kismat kitni kathor hai
Wo to chorro naukri bhi bahut door hai
Akaash hokar bhi mausam ko nahin badal sakta
Heaven ko sar pe rakhtey huye bhi tumse door nahin ja sakta
Aakhir jab tak wo mujhe teen shabad na keh dega
Tab tak mera dil na badalega
Wo ungli jo usne gussey mein mere aagey nikali thi
Wo chot jo usne mere dil pe marri thi
Usey apna banakar
Jealousy se jalakar
Apne saath ghorri pe bithaonga
Backround song mein MAA KAA LADLA BIGAD GAYA bajwaonga
Aakhir mere jaisa husband kisi ko hii milta hai
Mujh jaisa shayer kisi ko hii jachta hai
Monia o meri behna tum bhi mere saath gaana gao
Nacho gao aur mere Udayveer se door ho jao
Nizza
*****************************************************
so do like or comment so that i could pm my next updates
Byeđ