CONTINUED
Scene : Bureau
Daya was desperately trying to get information about the teachers' mobiles but couldn't get any information. ACP was in his cabin flooded with phone calls from anxious parents.
Sachin, Freddie, Nikhil, Purvi and Shreya were all out searching for the kids. So far everyone was searching in the direct path between Mumbai and Lonavla. No one had taken a detour, hence hadn't found the abandoned bus in a deserted area. Plus it was late night.
Daya got a message on his phone with the photo of the driver of the school van. He decided to transfer it to his laptop to search if the driver had any criminal record. He first switched on his phone's bluetooth. He opened the bluetooth app on his laptop and started scanning for nearby devices.
Exactly at that time Abhijeet walked in.
Daya's computer suddenly detected 2 mobiles in the vicinity. One was his own. The other was a phone he didn't recognise. As Abhijeet walked away towards his table to look for the laptop's charger, the unrecognised phone vanished from the laptop.
Daya wondered where this new phone had come from. To be doubly sure, he walked towards Abhijeet with his phone scanning for nearby devices. The new handset was again visible on his phone.
Daya knew there was something fishy. He went up to Abhijeet.
Daya: Kya dhoond rahe ho Abhijeet?
Abhijeet: Us laptop ka charger main yahi chod diya. Use lene aaya hoon.
Daya: Itni jaldi kya hai? Kal aakar le lete.
Abhijeet: Nahi Daya. Bohot urgent hai.
Daya: Maine socha tum us school ke bachchon ke case ki tehkikat karne aaye ho.
Abhijeet: Haan...kuch pata chala bachche kahan hai?
Daya(surprised at the lack of interest in the kids' case): Nahi.
Daya watched Abhijeet frantically searching for the laptop plug. Finally Abhijeet found it and rushed off without saying anything. Daya wondered what was up.
During the time Abhijeet was in the bureau, Daya had switched on the MAC address finder on his own phone to capture the MAC address of the unidentified phone.
(MAC address -http://www.linfo.org/mac_address.html. For Android phones, there are apps which can find the MAC addresses of any nearby phone, provided the other phone is set to discoverable' mode. MAC address is usually unique to a device and it can be traced. Let's assume that Boris' phone was set to discoverable' mode and Daya, a CID officer had this app on his phone)
Daya called up mobile companies to get information on this MAC address. After some wait time he got the mobile number and the call details of this number. Daya went to ACP who was busy talking to the kids' parents, assuring them that CID team would find the kids.
Daya: Sir, mujhe aapse kuch kehna hai.
ACP: kiske baare mein?
Daya: Abhijeet ke baare mein sir. Jab se woh us informer se milkar aaya hai, tab se woh bohot pareshaan hai.
ACP: Haan Daya lekin is waqt humein in bachchon ko dhoondna hai. Abhijeet ke baare mein hum baad mein baat kar sakte hain.
Daya: Sir, hum Abhijeet ko kitne saalon se jaante hain...kya kabhi aisa hua ki 20 bachche gaayab hain aur woh ek laptop ke charger ke baare mein zyada pareshan hai?
ACP: Hmmm...kuch pata chala woh kyon pareshaan hai?
Daya: Sir, jab Abhijeet ek ghante pehle ghar ke andar aaya toh uske paas ek doosra mobile tha jo mere laptop aur phone, dono ne detect kiya. Yeh uska phone nahi tha.
ACP listens attentively.
Daya: Maine us doosre phone ka MAC address detect kiya aur mobile company se is phone ke baare mein pata kiya.
ACP: Kya pata chala?
Daya: Sir, is phone par pichle 12 ghante se se koi Abhijeet ke saath baat kar raha hai. Isliye Abhijeet ne shaam se bluetooth pehen rakhi hai.
ACP: Achcha, toh yeh baat hai. Mujhe lag hi raha tha ki Abhijeet kisi dabaav mein hai.
Pata karo ki yeh call kahan se aa rahi hai.
Daya: Maine pata kiya hai sir. Yeh call Pune se aa rahi hai. Aur jab yeh call shuru hua, tab Abhijeet Panvel ke paas tha. Mujhe us mobile tower ka location bhi pata chala hai jahan yeh phone us waqt tha . Woh school bus bhi wahin kahin gaayab hui hai. Maine Sachin ko address bata diya hai. Woh wahan jaakar dekh raha hai.
ACP: Theek hai, uske phone ka intezaar karte hain.
Scene: Abhijeet's house
Abhijeet opened his door and walked to his computer table. To his shock, the laptop was missing!
Boris: Kya kiya tumne? Laptop kahan hai?
Abhijeet: Yahin toh rakha tha...tumhare saamne maine ghar ko lock karke bureau gaya tha.
Boris: Dhoondo laptop ko, warna main in bachchon ko goli maar doonga!!!
Abhijeet(shouts): Boris, main laptop ko kisi tarah dhoond nikaaloonga. Un bachchon ko kuch mat karo. Aur kuch der ke liye chup raho...mujhe shanti se investigation karne do!!!
Boris: Theek hai. Aadhe ghante mein laptop dhoond nikaalo, tab tak main tumse baat nahi karoonga. lekin camera aur phone - dono on rakhna.
Abhijeet's mind was in complete chaos. How had a thief entered his house and stolen the laptop? Normally he would think with a clear mind, but this time he was on the verge of a breakdown with the missing laptop, Boris constantly watching his actions, hearing whatever he said...with 20 kidnapped children and his own teammates in the dark about this. He wondered how he would save them all. If only he could drop in a hint to ACP or Daya...but the spy camera made everything impossible. He had tried writing something on a piece of paper in the evening, but Boris had caught him in the act.
Abhijeet drank a glass of water, took a deep breath and started searching his house to see how the thief had come in. There was nothing in any of the windows. The doorlock had no signs of damage. Finally he reached the bathroom. Here he saw the ventilator damaged. He looked out and saw that the ventilator was adjacent to his neighbour Reema's bathroom ventilator. He understood that this is how the thief had entered.
Abhijeet rushed to Reema's house. The door was locked from inside. He rang the bell several times, but there was no response. So he used his pen-knife and opened the lock of the door. (it was a self locking door...which could be opened from outside with a key and from inside by the latch) When he entered he saw Reema unconscious. He sprinkled some water on her and revived her.
Reema: Aap yahan???
Abhijeet: Reemaji...kya hua tha yahan? Aap behosh kaise hui?
Reema: Woh pizza...maine pizza order kiya. Delivery boy aaya, maine pizza liya, paise laane ke liye andar aayi...achanak peeche se kisi ne mere muh par rumaal rakh diya aur main behosh ho gayi. Lekin aapko kaise pata chala?
Abhijeet: Reemaji, mere ghar se ek laptop ki chori ho gayi. Kisi ne aapke bathroom ventilator se mere bathroom mein aaya aur laptop churakar bhaag gaya.
Reema: Oh...main dekhti hoon mere ghar mein se kuch chori hui hai kya...
And goes in to check.
Abhijeet: Reemaji, aapko us delivery boy ka number pata hai?
Reema: Nahi..mujhe kaise pata hoga?
Abhijeet: Woh aksar aane se pehle phone karte hain...directions poochne...
Reema: Nahi woh bina directions pooche hi aa gaya.
Abhijeet: Matlab woh poore planning ke saath aaya tha. Kaunse pizza company mein order kiya tha aapne?
Reema: Pizza King.
Abhijeet: Store ka number dijiye.
Reema gives the number.
Abhijeet: Thank you. Main thodi der mein waapas aaoonga. Ventilator se fingerprints vagera uthana hai...pehle main us pizza wale ko pakadta hoon.
Aap theek toh hain na?
Reema(smiles): haan main theek hoon.
Abhijeet: Aap sambhalkar rahiye...koi anjaan aadmi aaye toh darwaza mat kholiye.
Abhijeet first went to the entrance of his building.
Abhijeet: Security, tumne kuch der pehle kisi pizza delivery boy ko dekha tha?
Security: Haan saab, woh 305 mein pizza deliver karne gaya tha.
Abhijeet: Jab woh yahan se gaya toh uske haath mein ek laptop tha?
Security: Nahi saab, laptop toh nahi tha...lekin woh bag jisme pizza deliver karte hain, woh tha.
Abhijeet understands that the laptop was placed inside the pizza bag and taken out.
Abhijeet: Kaise aaya tha woh?
Security: Wohi motorcycle, jisme aksar pizza wale aate hain.
Abhijeet: Kis taraf gaya woh aadmi?
Security(points): us taraf saab.
Abhijeet thought that since the thief arrived on a regular pizza delivery bike, he might really be associated with the pizza store. He rushed to the pizza store and barged in.
Store manager: Yes sir, would you like to try our...
Abhijeet: Mujhe koi pizza nahi chahiye. Kuch der pehle yahan se Sterling apartments mein flat no 305 mein ek aadmi pizza deliver karne gaya tha...woh kahan hai?
The store manager checks his records and finds that the delivery boy was one Shiva.
Store manager(to the others): Shiva ko bulao.
Shiva arrives. Abhijeet gives him a hard glare.
Shiva: Kya hua saab?
Abhijeet: Sterling apartments flat no 305 mein pizza deliver karne tum gaye the?
Shiva(looks hesitant): Haan saab main hi gaya tha.
Abhijeet rushed forward and caught the guy by the collar. The store manager tried to pull Abhijeet away.
Store manager: Sir, Agar koi complaint hai toh mujhe batayiye. Aap is tarah mere employees par haath nahi utha sakte.
Abhijeet: Main ek CID officer hoon. (shows his badge) Aur is aadmi ne mere ghar se laptop churaya hai. KAHAN HAI LAPTOP!!!
Shiva(starts crying): Saab...main kuch nahi jaanta. Main pizza deliver karne jaa hi raha tha, ki ek aadmi ne mujhe 1000 Rs diya aur kaha ki flat 305 mein uski girlfriend hai aur woh use surprise dena chahta hai. Woh bike lekar gaya aur mujhe sterling apartments se thodi door intezaar karne ko kaha. Aadhe ghante baad woh aaya, bike waapis kiya, thank you bola aur chala gaya. Main kuch nahi jaanta saaab...(cries)
Abhijeet: Tum bata sakte ho woh aadmi kis taraf gaya tha?
Shiva: Haan sir...
Abhijeet talked to Boris directly, because it didn't matter here. 'Boris, mujhe police dog bulana padega...chor ko pakadne ke liye...main dog squad ko phone kar raha hoon. '
Boris: Theek hai, kisi tarah us laptop ko dhoond nikaalo, warna...
Abhijeet phoned the dog squad. The dog was made to sniff the pizza bag which the thief had returned to Shiva...and from there the dog took off, Abhijeet, Shiva and the dog's master following.
Scene : Bureau (some time after Daya had traced the unknown phone in Abhijeet's pocket)
ACP's phone rang.
ACP: Haan Sachin, bolo.
Sachin: Sir, jis area mein woh call shuru hua tha...wahin par school van khadi hai, lekin usme koi bachche nahi hai.
ACP: hume pata hai bachche kahan hai... ek kaam karo, baaki team ko lekar tum turant Pune chale jaao. Address hum bhejte hain. Main aur Daya bureau se nikal rahe hain...tumhare peeche aayenge. (cuts the call)
Chalo Daya.
Scene : ACP's innova, Daya driving
ACP: Daya, Pune pohonchte pohonchte 4 ghante lagenge.
Daya: Nahi sir...raat hai, zyada traffic nahi hai...3 ghante mein pohonch jaayenge.
ACP: Achcha hua tumhe us phone ke baare mein pata chala jo Abhijeet ke paas tha.
Daya: Haan sir, kidnapper bachchon ko kidnap karke Abhijeet ko blackmail kar raha hai...ki laptop mein se data delete kar do, warna bachchon ko maar doonga. Isliye Abhijeet us laptop ke charger ko lekar itna pareshaan tha.
ACP: aur Daya...jab woh shaam ko bureau mein aaya toh uske pocket mein ek spy camera tha, jisse us kidnapper ne uske har movement par nazar rakhe hue the.
Daya: Toh aapne Abhijeet se spy camera ke baare mein kyon nahi poocha?
ACP: Mujhe laga ki usne aise hi investigation ke liye khareeda hai. Woh kuch tension mein lag raha tha, isliye socha ki kal baat kar loonga.
Daya: Sir, Abhijeet tension mein hoga... main use phone karke bata doon ki hume kidnapper ke baare mein pata chali hai?
ACP: Nahi Daya...woh kidnapper Abhijeet se ab bhi baat kar raha hoga...agar usne tumhari baat sun li toh apni jagah badal dega aur bachche bhi humare haath se nikal jaayenge.
Daya: Lekin sir, agar uske dabaav mein aakar Abhijeet ne laptop ka data delete kar diya toh?
ACP: Nahi Daya...is waqt bachchon ki jaan jyada keemti hai.
Daya(thoughtful): Theek hai sir.
Scene : Street
The dog, its owner, Abhijeet and Shiva wandered from street to street. Luckily the guy had travelled on a bike, so the scent was still there...after about 2-3 hours of roaming, they reached a chawl. The dog barked, indicating that the guy was in the building.
Abhijeet: Shiva, chalo mere saath, aur batao ki woh kaun hai.
They went up, peeped into every house and finally at the end of the corridor there was a house where a man was present...Shiva said saab yehi hai woh'.
Abhijeet barged in and caught the man by his collar asking Laptop churata hai...kahan hai laptop' and started looking around.
The guy(drunk): Heee...kkkaaiiisaaa laptop...kaunnn haiii be tuuu????
Abhijeet gave him a hard slap. The guy lost his balance...fell on the table and his head hit the drinks bottle, breaking it into pieces...and his head started bleeding.
Abhijeet(placed his gun near the guy's already bleeding temple); Bataao laptop kahan hai, warna...
Guy: wohh,,, maine kisi ko de diya
Abhijeet: kisko diya???
Guy: mujhe uska naam yaad nahi hai...sirf building yaad hai.
Abhijeet: Mujhe dikhaao...building kahan hai...
...and dragged the guy (Mangu) out of the building while all the other residents watched the scene.
Abhijeet reached the building mentioned by Mangu.
Mangu(moaning in pain): Woh flat no 11 mein hai saab.
Abhijeet: Theek hai...tum yahin raho (handcuffs him to the car, so that he doesn't run away) Main lautkar tumhe hospital le jaata hoon.
When Abhijeet reached flat no 11, there was no one. He asked the neighbours who told him that Flat no 11 was vacant for the last 5 years. Abhijeet was confused and shocked...the laptop was lost!
All this while, Boris was watching the scene and listening to the conversation silently. When he realised that the laptop was lost, he was furious.
Boris(shouts): Maine tumhe 3 ghante ka waqt diya!!!.ek CID officer hokar tum ab tak laptop dhoond nahi paaye!!!!
Abhijeet(suddenly realises): Boris, tum mere saath koi khel khel rahe ho...sirf tumhe pata tha ki main us waqt bureau jaa raha hoon. Kahin is laptop ko tumhi ne gaayab toh nahi karvaya hai? Mere ghar ke andar laptop kahan hai...bathroom ka ventilator kahan hai - yeh sab tumhe pata tha...tumhare is spy camera se dekh liya tha tumne...tumhi ne apne aadmi ko yahan bheja aur laptop gaayab karvaya. (Gets angrier and angrier as he speaks)
Boris: Maine laptop gaayab nahi karvayaa hai...kisi doosre gang ka kaam hai!!! Apne aap ko bohot hoshiyar detective samajhte ho...ek laptop ko sambhal nahi paaye tum, bewakoof!!!!
Bahchon ki laashein bureau mein pohoncha di jaayengi. GOOD BYE INSPECTOR!
The call was cut. Just before it got cut, Abhijeet heard a gunshot.
Abhijeet: Hello!!! Hello!!!!
He can't call back as the caller id wasn't displayed. The laptop was lost...and the kids were probably dead. Abhijeet stood in the dark corridor of the apartment building thinking how he would face the parents of the kids...how he would face ACP, how he would face the world. He felt like a total failure.
Abhijeet's phone rang. He saw Daya's name displayed, but at this moment he was not in a mood to talk to Daya, so he ignored it. After a minute mobile gave an SMS ringtone. He opened it and saw the message Don't worry. The kids are safe, your blackmailer arrested - Daya'.
Abhijeet was awash with relief. He could at least face the world now. He wondered how Daya came to know about Boris and the phone call. The laptop was lost, but he could look for it with a cool head.
He walked out of the building and saw his car standing outside, surrounded by cops. Inspector Dave walked up to him.
Abhijeet: Kya hua?
Dave: Sir, aapke gaadi mein ek aadmi ki laash hai.
Abhijeet: Laash?? Oh no...woh mar gaya??
Dave: Ji sir...use aapne maara?
Abhijeet: Maine use thappad mara tha sach ugalvane ke liye, aur uske sar mein chot lagi toh thi, lekin utni gehri nahi ki uski maut ho gaaye.
Dave: Sorry sir...woh mar chuka hai...aapko humare saath chalna hoga.
...and Abhijeet was arrested.
Back to the lock-up with Abhijeet and KD.
KD: ACP saab se baat hui?
Abhijeet: nahi..woh Pune mein the aur us case mein uljhe hue the. baaki team members bachchon ko apne ghar sahi salaamat pohonchane mein busy the. Isliye kisi se baat nahi ho paayi. Aur waise bhi...oopar se orders hain ki meri case CID team handle nahi karegi.
At that moment Daya walked in through the lock up door.
Abhijeet(smiled): Hi Daya. Tumhe mujhse milne ki permission mil gayi?
Daya: Haan. Main is waqt duty mein nahi hoon.
Abhijeet: Bachche theek hain?
Daya: Haan. Sab bachchon ko ghar pohoncha diya hai humne.
Abhijeet: Daya, woh laptop gaayab hai...use kisi tarah dhoond nikaalo. Mangu ne us laptop ko Pearl Apartments ke flat no 11 mein kisi ko diya tha...wahan se laptop kahan gaya - yeh tum log dekh lo.
Daya: Boss, tum khud khoon ke case mein phase ho aur tumhe laptop ki fikar hai?
Abhijeet: Haan...us laptop ke peeche yeh Boris, aur yeh doosra aadmi - sab log pade hain. Is laptop ke liye Boris ne 20 bachchon ko kidnap kiya... mujhe blackmail kiya. Lagta hai usme koi khaas information hai. Jaldi se use dhoond nikaalo aur Amit ko dikhao...woh us information ko decrypt karega...waise Amit theek hai na?
Daya: Haan woh kal hospital se discharge ho jaayega. Hum laptop ko dhoond nikaalenge. Lekin mujhe pehle yeh batao - tum is case mein kaise phas gaye?
Abhijeet: Main bohot tension mein tha...bachchon ki jaan khatre mein thi aur woh Boris mujhe dhamki de raha tha...ki laptop ko dhoondo warna bachchon ko maar doonga. Mangu se sach ugalvana tha, toh maine use ek thappad mara.
KD : Abhijeet, ek prashn karoon?
Abhijeet: Haan...
KD: Kya tumhe lagta hai ki tumhi ne Mangu ki hatya ki hai? Ya yeh bhi sambhav hai ki jis samay tum building ke andar gaye tab kisi ne aakar uski hatya ki ho...
Abhijeet(thinks): Building ke andar jaane se pehle jitna khoon uske sar se nikal raha tha, usse mujhe nahi laga ki woh 20 minute mein mar jaayega. Chot utni gehri nahi thi.
Daya: Kya tumne aas paas kisi ko dekha?
Abhijeet(thinks again): Nahi...maine kisi ko nahi dekha.
Daya: Tumne Mangu ko gaadi mein bithaya tha...tumne gaadi ko lock kiya tha?
Abhijeet: Haan, lock kiya tha, lekin ek window khula choda tha.
Daya: KD, gaadi ke window ke paas koi fingerprints mile?
KD: Bohot saare fingerprints hain...ab kiske saath match karke dekhein?
Daya: BTW Abhijeet, tum Mangu ke ghar paidal gaye the na?? Toh phir gaadi laane waapas apne ghar gaye?
Abhijeet: Haan...Mera ghar Mangu ke ghar aur Pearl apartments ke beech mein aata hai.
Daya: Chaabi tumhare paas thi ya tum apne flat ke andar gaye the.
Abhijeet: Gaadi ki chaabi mere paas nahi thi. Main oopar ghar jaakar chaabi le aaya.
A constable comes in and says aapka visiting time ho gaya hai'.
KD: 5 din hain...hum log kuch dhoond nikaalenge. Chinta mat karo.
Daya: Main bhi unofficially kuch karne ki koshish karta hoon. Don't worry.
Abhijeet: Worry kis baat ka? Agar uska khoon mere haathon nahi hua hai, toh mujhe yakeen hai ki tum dono yeh saabit karke hi rahoge. Aur agar wakayi uski maut meri wajah se hui hai, toh mujhe sazaa milni chahiye.
KD: Abhijeet, Tumhe is baat ka smaran dila doon ki aaj tak main kisi bhi case mein parajit nahi hua.
Abhijeet: Haan mujhe yaad hai. Bye Daya. Bye KD.
For the next 2-3 days, Daya was busy checking out the murder spot, Abhijeet's car, Abhijeet's house, Mangu's house - everything. But he couldn't find anything which would prove that someone else had struck Mangu on the head on the same spot where he was already hurt and had caused his death.
Fast forward to the night before the hearing.
Scene : KD's office
ACP and Daya discussing the case with KD.
ACP: humare haathon koi saboot nahi mila hai. Agar yeh case CID ko di jaati toh hum zaroor kuch dhoond nikalte.
Daya: KD, tumhe is case ko kisi tarah extend karna padega.
KD: Aap log officially kuch nahi kar sakte lekin agar aap is case ko handle karte toh sabse pehle kya dekhte?
ACP: Abhijeet ke gaadi ke darwaze par bohot saare fingerprints mile the...hum un fingerprints ko humare criminal records se match karte.
KD: Aur???
ACP: Dave ko jisne pehle phone karke bataaya ki gaadi mein laash hai, usse poochtach karte.
KD: Dave ko us building ke watchman ne phone kiya. Maine kal court mein use bhi bulaya hai.
Daya: Mangu ke phone records check karna padega.
KD: Mangu ke phone records mein kuch khaas nahi mila.
Daya: Jisne bhi Mangu ko maara hai, use pata tha ki agar Mangu zinda bach gaya toh woh pakda jaayega.
ACP: Kis kis ko pata tha ki Abhijeet ne Mangu ko arrest kiya hai?
Daya: Us pizza delivery boy Shiva ko, aur Mangu ke padosiyon ko. Aur Abhijeet ka blackmailer Boris...lekin woh toh Pune mein tha aur humne use arrest kar liya hai.
ACP: Koi aur hai jise humne nazar andaaz kiya hai...
KD: Main kisi tarah case ko dopahar tak kheenchta hoon. Aap logon ko kuch mila toh mujhe phone kijiye.
Scene : Court
Abhijeet walked into the accused box, looked around and was glad to see Daya seated. He was officially not allowed to be part of the investigation, but was allowed to attend the hearing off-duty as a friend of the accused.
KD: your honour, sabse pehle main Sundar ko bulana chahta hoon jo hatya ke raat ko Pearl Aparments mein watchman ka duty kar raha tha.
Sundar arrives.
KD: Sundar, Abhijeet building ke andar kab gaye the?
Sundar(thinks): Raat ko 1 baje.
KD: Panratu building ke register mein inke naam ka entry nahi hai, yeh kaise sambhav hai?
KD passes the register to the judge. There was no entry by Abhijeet.
Sundar(hesitantly): Saab woh...meri aankh lag gayi thi, isliye maine Abhijeet ko andar jaate hue nahi dekha.
KD: phir aapki neend kaise khuli?
Sundar:Ek madam ne mujhe uthaya.
KD: Madam...kaun madam??
Sundar: Woh scooter mein jaa rahi thi...usne dekha ki gaadi mein koi ghayal pada hai..usne mujhe uthakar kaha ki dekho tumhare building ka koi aadmi ghayal hai.
KD: Aapne us mahila ko jaane diya?
Sundar: Haan saab, usne kaha ki use call centre pohonchna hai aur use jaldi hai.
KD: Point to be noted your honour...Sundar se pehle ek mahila ne mangu ke mrit shareer ko dekha tha. Woh is case mein mahatvpoorna saakshi hain. unhe adalat mein pesh karna anivarya hai.
Daya looked at Abhijeet and wished he were allowed to handle the case. Abhijeet was looking at Daya as if he was trying to say something. Daya understood what Abhijeet was trying to say...and it was a EUREKA moment.
Daya rushed out of the courtroom. KD saw Daya run out and knew that he had got something. He started prolonging the case calling to already interrogated witnesses much to Jaiswal's annoyance.
Daya meanwhile reached Abhijeet's house.He then rang the doorbell of Reema.
Reema(opened the door): Ji kahiye..
Daya: Aap Reemaji hain?
Reema: Haan.
Daya: Main Daya, Abhijeet ka dost hoon.
Reema: Aap us khooni ke dost hain??? Kya chahte hain aap? .mujhe pata hota ki woh aise aadmi hain, toh main yahan rehne nahi aati. Main kal hi ghar khaali kar rahi hoon.
Daya: Mujhe aapse kuch sawaal poochne hain...Jis din murder hua tha, us din aap Abhijeet se mili thi?
Reema: Haan unhone mere saman andar laane mein meri madad ki thi.
Daya: Aap shaayad Abhijeet ki begunah hone ka bayan de sakti hai.
Reema: Main kaise de sakti hoon?
Daya: Kuch nahi...aapko sirf pooche gaye sawalon ka sach sach jawab dena hoga.. Aap isi waqt mere saath court chaliye.
Reema: Theek hai.
Daya reached the court as fast as he could. The court was in recess. Daya explained a few points to KD.
After a few minutes, the hearing resumed.
KD: Your honour, meri agli witness hain Reema - Abhijeet ki padosan.
Reema entered the witness box.
KD: Reemaji , jis raat mangu ki hatya hui...us raat ko aap Abhijeet se mili thi?
Reema: Haan unhone mere saaman uthane mein meri madad ki thi.
KD: Aap is pustak ko pehchanti hain?
Reema: Haan yeh mera book hai. Abhijeet ne mujhse borrow kiya tha.
KD: Kya aap jaanti hai ki Abhijeet ka car kaunsa hai?
Reema: Nahi. Main usi unke pados mein rehne aayi thi...ek din me mujhe kaise pata hoga ki unki gaadi kaunsi hai?
KD: Toh phir aapke fingerprints Abhijeet ke car ke darwaaze par kaise pohonch gaye?
KD hands over fingerprint reports - one from Abhijeet's car door and the other from Reema's book to the judge.
KD : Your honour yeh dono fingerprints match karte hain. Iska arth yeh hai ki Reema ne Abhijeet ke car ko chua tha.
Reema: Haaan... main building ke parking mein apna car park karne gayi thi, toh aise ki haath lag gaya hoga. Mujhe nahi pata tha ki woh Abhijeet ka car hai.
Jaiswal: Objection your honour, KD phir se adalat ka time waste kar rahe hain...Reema Abhijeet ki padosan hai..unke car ko chua hoga...iska is case se kya sambhandh?
KD: Sambandh hai your honour. Main phir se watchman Sundar ko bulane ki anumati chahta hoon.
Judge: Anumati...matlab...ijazat hai.
KD: Toh Sundar ji, jis mahila ne aapki nidra bhang ki thi, kya yahi hai woh? (points to Reema)
Sundar: saab, us aurat ne scarf aur kaale chashme pehen rakhe the. Main theek se keh nahi sakta.
KD: Theek hai aap jaa sakte hain. Your honour mera agla gawah hai House Rental agent - Hari.
Hari arrives.
KD: Hariji, aap is mahila ko jaante hain? (points to Reema)
Hari: Haan saab...yeh 16 Jan ke dopahar ko mere office mein aayi thi. Woh Sterling apartments ka flat no 305 rent karna chahti thi.
KD: 16 Jan ko aapke office mein aayi aur shaam tak unhone us ghar mein shift kiya? Yeh ghar rent karne ke liye lease ke papers, advance rent vagera dena padta hai, yeh sab hone mein 4-5 din toh lagte hain.
Hari: Haan saab, lekin inhone mujhe poore ek saal ka rent advance mein de diya aur kaha ki urgent hai, kyonki woh akeli hai aur agar ghar nahi mila toh unhe raat ko sadak par rehna padega...akeli aurat thi...aur aap jaante hain kitna khatra hai...toh maine unhe bina paperwork kiya ghar mein ghusne diya.
KD: Aapne unhe koi aur ghar nahi dikhaya?
Hari: nahi saab Reemaji yahi ghar lena chahti thi. Unhone kaha ki unki koi friend usi building mein rehti hai aur woh us flat ko dekh chuki hai.
KD: Theek hai aap aa sakte hain. your honour main Reemaji ko phir se bulana chahta hoon.
Reema comes back.
KD: Toh batayiye Reemaji...flat no 305 mein aisi kya baat thi jiske liye aapne poore ek saal ka kiraya de diya?
Reema: Wo bas aise hi...balcony se view achcha hai...beach dikhayi deta hai...aur..
KD: Aur Abhijeet ke bathroon ka ventilator aapke bathroom ke ventilator ke paas hai...jisse Abhijeet ke flat ke andar asaani se ghusa jaa sakta hai.
Reema: Nahi...yeh jhoot hai.
KD: Jhoot nahi hai your honour. Reema aur Mangu dono ne milkar Abhijeet ke ghar se laptop churaya tha. Inhone Abhijeet ko ghar se baahar jaate hue dekha..tab unhone pizza order kiya...unhe maloom tha ki Mangu ke aane mein 30 minute lagenge. Abhijeet ke waapas aane se pehle kaam poora karna tha isliye inhone ventilator ke grills aur glass nikaalkar taiyaar rakha tha, kyon Reemaji/?
Reema(breaks down): Haan...maine hi Mangu ko maara. Main underworld gangs ke liye encryption software banati hoon. Jab mere boss ko pata chala ki yeh software Abhijeet ke haath lagi hai toh woh ghabra gaye...unhone mujhe wahan bheja laptop ko gayab karvane.
Jab unhe pata chala ki Mangu pakda gaya hai, toh unhone mujhse kaha ki Mangu ko maar do...warna woh police ko sach bata dega. Maine Mangu ke ghaav ke oopar vaar kiya taaki sabko lage ki Abhijeet ne hi uska khoon kiya hai.
KD: Aapne watchman ko kyon uthaya...agar aap use nahi uthati toh hum aapko pakad nahi paate.
Reema: Maine use nahi uthaya...maine watchman ke kamre mein yeh dekhne gayi thi woh soya hua hai ya nahi...achanak woh khud uth gaya aur mujhe dekh liya.
KD: The defence rests your honour.
Abhijeet is proved innocent, Reema is arrested and the court disperses.
Scene: Outside the court
Abhijeet: Thank you KD, tumne doosri baar mujhe bacha liya.
KD: Achcha hua Daya ne sahi samay par us Reema ko pakadkar laaya.
Daya: Abhijeet, tumne pehle kyon nahi bataya is ladki ke baare mein? hum log pehle hi din use arrest kar lete.
Abhijeet: Main itna tension me tha...isliye uska khayaal nahi aaya...jab us watchman ne ek aurat ka zikar kiya toh mujhe is ladki ke baare mein yaad aaya...sirf use pata tha ki uske bathroom ke ventilator se mere bathroom ke ventilator ke andar aa sakte hain.
(Author's note: this is based on a real life theft I have seen...in many apartments, bathroom ventilators open to small ducts and it is possible for an experienced climber to enter from one ventilator to another)
KD: Chalo ab tum azaad ho, apne laptop ko dhoondne mein lag jaao. Phir se kisi hatya ke case mein phase toh yaad kar lena.
Abhijeet and Daya laugh. Abhijeet shakes hands with KD and says bye'.
Scene : Qualis
Abhijeet looking tensed.
Daya: Kya hua, itne serious kyon ho?
Abhijeet: Maine jaan par khelkar woh laptop haasil kiya tha...ab kahan dhoonde use?
Daya: Woh laptop Reema ne apne boss ko de diya...aur usne us laptop ka data delete kar diya.
Abhijeet: Toh ab us boss ko dhoondna padega...pata nahi kahan chupa hai woh.
Daya: boss ko toh kisi din dhoond hi lenge...unka saara information jo hai humare paas.
Abhijeet: Kahan hai information, tumne abhi abhi bataya ki laptop ka data delete ho gaya hai.
Daya: Abhijeet, tumhe yaad hai, pehle din tumne apne ek pen drive mein data copy karke apne laptop mein kholne ki koshish ki thi.
Abhijeet: Haan...lekin woh mere laptop mein khula hi nahi.
Daya: Amit theek ho gaya hai. Usne us pen drive ka saara data decrypt kar diya hai.
Abhijeet(smiles): Chalo achcha hua...mujhe pehle pata hota toh main itna tension nahi leta...woh Boris toh mere jaan ke peecha pada tha us laptop ka data delete karne ke liye.
Achcha ek baat batao Daya...tumhe kaise pata chala ki koi mujhe blackmail kar raha hai?
Daya: Mujhe aur ACP saab ko shaq tab hua jab ek bachchon ke kidnap hone ka case humare saamne hai aur tum usme koi dilchaspi nahi dikha rahe the. 16 saalon se jaante hain hum tumhe.
Duo drive off to the bureau to catch Reema's boss and the other gang members...this story ends here. đ
Edited by visrom - 11 years ago
605