dekh yr mein pind gyi thi waha meri nani ko lga mujhe nazar lg gyi to mujhe jhada lgwane ek pandit k pass le gye meri nani ne kaha unki baat manna koi nautaki nhi chahiye mujhe wah pandit ne mujhe kaha kisi k ghr ka kuch khana pina nhi hai to uski wife chai nd namkin le k aayi mene keh diya mein kisi k ghr ka kuch nhi khaugi piugi mene to ache bcche ki trh baat maani kya glt kiya yr
meri nani ne mere mummy papa ko btaya papa hsne lg gye mummy papa ko dantne lg gye...koi meri glti btao mujhe...,