Nandini aur Krishna Champakali ko rang lagan eke liye uske peeche bhagte hai aur Santu se takra jate hai. Nandi santu se apne sath holi khelne ke liye kehati hai nani chaliye ne hamare sath holi khelne ke liye santu: nahi Beta tum jakar khelo. Champakali santu ke dekhkar kehati hai kya baat hai Malkin Aaj Aap bahut paresan lag rahi hai
Santu palatkar dekhti hai aur man me kehati hai champakali to yahi hai bahut kaam me phas gayi lagta hai isliye pani lane nahi gayi jane do ye thandai pee leti hu kahekar thandai samajkar bhang pee leti hai.
Santu bed par bhai jati hai aur nashe ki halat me kaheti hai ki hu DM khamoshi se uski bate sunta hai
Episode end.
Rabiya ka ye Episode kaise laga bataiye jaroor Dosto
DM santu apne baho me leta hai aur uski aakho se asoo chalakte hai. Aur man me kehata hai mera jo viswas tha tujpar o galat nahi tha. Tuje sab galat galat kam karte hue dekhkar bhi mere man ko vishwas nahi hota hota tha jo meri aakhe dekh rahi hai o satya hai ya meri kalpana aisi hduvidha me tha pan abhi meri duvidha door ho gayi. Aisa kahekar o santu ko bed par lita deta hai aur pyar se uske mate apna hath phirata hai aur kaheta hai kaash ek baar tune mujse se satya kaha hota to ye sabkuch nahi hota jo hua hai pan koi bat nahi jo hona tha o to ho gaya ab age kya hona hai na o mai dekhunga. Santu ka hath apne hath me lekar kaheta hai teri yehi ichha hai na is ghar ke bheech kheechi hui lakeer mai mitaoonga teri ye ichha mai poori karoonga. Par tune mujse jo ye jhoot bola uske liye mai tuje shama nahi karoonga. Aisa kahekr santu par blanket odkar waha se chala jata hai.
Raat ho jati hai DM apne kamre me andhere me bhaita hota hai Baa uske pas ati hai aur light on karti hai.
Baa : Dharamraj itne andhere me kyu bhaita hai beta
DM : kuch nahi baa aise hi. Baa DM ke pas akar bhaiti hai aur kaheti hai.
Baa : Aaj kitne salo ke bad hamare parivar me sab ne milkar holi manayi na
DM : ha Baa (dabi hui awaz me kehata hai. Baa use notice karti hai.)
Baa : Kya baat hai beta tu bahut paresan lag raha hai. Holi khelne aya tha phir kaha chala gaya tha (DM santu ki kahi bato ko sochta hai Baa DM ki taraf dekhti haiaur kaheti hai )
(DM muskurakar kaheta hai )
DM : o Chokri muje kya paresan karegi . Chal ave ja aur soja bahut raat ho gayi hai.
(Baa waha se chali jati hai. Dm phir se apni khayalo me kho jata hai)
Subha ho jati hai santu apne bistar se utkar bhaiti hai uske sar me bahut jor se dard ho raha hota hai. Aur kaheti ye bhagwan mere sar me itna dard kyu ho raha hai. Achanak o ghadi ko dekhti aur usme 10 baje hote hai. Santu chowk jati hai aur kaheti 10 baj gaye mai itni der tak kaise so gayi. Aur kamre se bahar jati hai neeche haal ki taraf dekhti hai parivar ke sab log waha bhaite rehate hai o champa kali ko awaz deti hai Champa kali yaha ao. Champu ; Abhi aayi Moti use dekhkar apna mu teda karti hai DM bhi use dekhta hai . Champu uper santu ke pas jati hai. Aur kaheti kya malkin Santu use apne kamre me lekar jati hai aur kaheti hai.
Santu : lagta hai maine kal thandai ki jaga bhang pee li hai isliye mee sar me itna dard ho raha hai.
Champu : Kya
Santu : haa , Muje kuch yaad nahi aa raha hai maine kal kuch kiya to nahi na ,
Champu : nahi Malkin Aap bahar ayi phir sar me dard ho raha hai kahekar apne kamre me jakar so gayi. (aisa kahete kahete ruk jati hai Kyuki DM waha aa jata hai)
Santu bhi DM ko dekhti hai aur champu se kaheti tum jao aur champu waha se chali jati hai. DM kamre ke andar ata hai. Aur darwaza band kar deta hai santu ye dekhkar chowk jati ha phir DM santu ke pas jata hai santu apne kadam peehe leti hai DM uske aur kareeb jata hai Santu deewar se takra jati hai dono ek doosre Aakho me Aakhe dalkar dekhte hai
Episode ending
Continue 3
Dono ek doosre ki Aakho akho me dalkar dekte hai. Santu paresan hoti hai Man me kaheti hai kal maine kal bhang ke nashe aisa to kuch nahi kiya na jo muje nahi karna chahiye tha. Usi waqt DM kehata hai abhi tak holi ka rang nahi utra tere chehare se
Santu : o' mai abhi nahane hi ja rahi thi , waise Aap mere kamre kyu aye hai. Aapko kuch kaam hai mujse.
DM : ha' ek jaroori baat Karini hai tujse. (Kahekar peeche hat jata hai)
Santu : Kya
DM : ham sab log bahut paresan ho chuke hai tujse isliye ek nirnay kiya hai maine , tuje chutta cheda dene ka, ( santu sunkar chowk jati hai) wise bhi tu to is ghar me sirf paiso ke liye hai na..... Bol kitne paise legi chutta cheda dene ka (santu apna moo pher leti hai uski aakho me asoo ate hai )
Santu : Aap kitne paise de sakte hai.
DM : jitna bole de doonga waise tu yaha apna haq mangne liye apna vakil layi thi na to apne usi vakil se kahe dena chutta cheda ka kagda tayar karne ki liye apni keemat bhi likhwa lena (DM uske samne ata hai santu phir apna moo pher leti hai uske akho se asoo aa rahe hote hai.)
DM : samaj gayi na maine kya bola , jitni jaldi ho sake muje chutta cheda dekar yaha se chali ja na, Pachi apna moo muje kabhi dikhane ke liye mat ana ( Santu Dm ki Taraf dekhti hi nahi, DM darwaza kholkar bahar jata hai)
Santu jab palatkar dekhti hai Dm ja chukka hota hai, Santu roti hai aur DM ke sath bitaye pal ko yaad karti hai.
(DM apne kamre me jata hai aur deewar par santu ki tasveer ko dekhkar kaheta hai. )
DM : Manne khabar che ki Aaj tuje bahut dukh hua hoga meri aisi baat sunkar pan mere ko ye sab to karna padega ne tune mujse kitna bada jhoot bola hai tune, abhi mai bhi tujse jhoot bol-bolkar tere moo se satya ko bahar nikalunga. Kal raat ko ye to pata chal gaya ki khoon tune nahi kiya, pachi abhi tak ye nahi pata chala kisne kiya, aisa koun hai jise bachane ke liye tune hamare rishto ko daav par lagaya. Apne Aapko sabki najro kira diya. Manne khabar che ki tu muje itni asani se chutta cheda degi nahi kem tu mujese prem kari hai janta hu mai.
Hall me sab bhaite rehate hai Santu seediyo se utarkar neeche ati hai aur DM ki taraf dekhti hai DM bhi uski taraf dekhta hai, phir o ghar se bahar chali jati hai.
Choupal me sashank bhaita hota hai aur man me kaheta hai santu ne muje itni jaldi me muje yaha kyu bulaya ghar me kuch jyada problem to nahi hua na. Tabi santu waha jati hai. Sashank uske pas jata hai )
Sashank : Kya baat hai santu tumne muje yaha kyu bulaya.
Santu : kya kahu sashank baat hi kuch aisi ho gayi ki muje bulana pada
Sashank : aisa kya ho gaya
Santu DM ki kahi hui sari bate Sashank ko batati hai. (sashank sunkar chowk jata hai, aur kaheta hai )
Sashank : papa ne aisa kaha, vishwas nahi hota, khair tum paresan mat ho, ham koi na koi rasta dhoond hi lenge. Jab koi rasta nahi nikalta tab tak tum kisi paper par sign mat karna. Ab tum ghar jao mai sochta hu kya karna hai. ( o dono seedi se neeche utarte hi ki itne me waha DM aa jata hai
Continue 4
Santu aur Shanky seedi se utarte hai utneme waha DM ata hai. Santu & Shanky DM ko waha dekhkar paresan ho jate hai. Santu & Shanky dono ek doosre ko dekhte phir se DM ko dekhte hai. Shanky DM ke kareeb jata hai aur uske pair choota hai. DM apna hath uske sar par rakhkar jeeta re dikra kaheta hai. Sashank santu ko phir se palatkar dekhta hai aur waha se chala jata hai. DM santu ke pas ata hai.
DM : tu yaha kya kar rahi hai .
Santu : Aapko isse kya mai kaha jati hu kya karti hu.
DM : waise muje kya tu kahi bhi muje kya karna hai. Pan abhi haine tere ko mere sath chalna hoga chal gadi me bhaith
Santu : Kaha
DM : suba bola thana chutta cheda ke bare me to uske liye vakil ke pas jana hai , chal.
(Santu upset ho jati hai kaheti hai)
Santu : Aapne to muje kagaz banana ke liye kaha than a.
DM : hmm'' Pan maine suna hai tera vakil kuch din ke liye bahar gaya hai aur muje ye kaam jaldi karna hai isliye kagaz mai apne vakil pas hi bana leta hu, baad me tuje koi shanka nahi revena isliye tuje sath lekar jar aha hu. Chutta cheda dene ke liye teri teri kya kya sarth hai bata dena mera vakil likh dega aur mai poora kar doonga. ( Santu apne emotion par control karkar gadi me jakar bhait jati hai. DM use apni satir bhari nighao se dekhta hai phir o bhi gadi ke andar santu ke pass bhaita hai, Santu apna moo pher leti hai
DM : Chalo driver (Driver gadi start karta hai.) Santu apna moo pherkar gadi se bahar hi dekhti hai kyuki DM ko dekhengi to apne asoo rok nahi payegi. Par DM to DM o jan moojkar gadiyo ki kidki band kar deta hai. Santu phir neeche sar dalkar bhaiti rehati DM ki nazar sirf santu par hi rehati hai. Phir o driver se kaheta hai
DM : Driver gana lagao
Achanak DM ka phone bajta hai. Dm : helo koun ( DM phone sunkar chowk jata hai) aurDriver se kaheta hai Gadi guma waha ek dava khana hi na waha gadi leke chal
Driver gadi hospital ke pas lekar jata hai., DM Santu aur Driver gadi se utarte hai. DM driver ko kuch paise deta hai aur kaheta hai
DM : ye le paise aur andar ja
Driver : kyu
Dm : are gadoda teri ma ki tabiyat theek nahi hai ne to usko davakhane me laye hai, le paise aur ja aur kisi cheej jaroorat ho to muje batana.
Driver : ji Malik( kahekar andar chala jata hai
DM aur santu ek doosre ko dekhte hai, DM car ke ander driver ki jaga jakar bhait jata hai, santu gadi pichle seet me bhaitne jati hai.
DM : ye'.. mai tera driver nahi hu jo peeche bahit rahi hai' chal age bahit.
Santu aage jakar bhait jati hai.
DM gadi chalata hai , santu apni nazar jukakar hi bhaiti rehati hai DM ki nazar santu par hi rehati hai. Achanak DM ke gadi ke samne ek Bakri ka bachha aa jata hai. DM Jor se gadi ka break marta hai Santu aur DM ek doosre ek dum kareeb a jate hai dm ka hath santu par aur santu ka hath dm par hota hai dono ek doosre ko hi dekhte hai ..
Episode ending
Continue 5
Dono ek doosre ko dekhte hai, Santu DM se nazar hatakar apna hath uske upar se hatati hai., Dm ka hath abhi bhi santu ke upar hota hai santu uski hath ki taraf dekhti hai , tab DM uske kande par se hath hata deta hai. .. aur Santu kaheti hai kaise gadi chalate hai Aap ? Dharampur ke malik ko gadi bhi theek se chalana bhi nahi ata. DM use gusse se use goorkar dekhta hai aur kaheta hai tuje ata hai na gadi chalana chal ave abhi tu chalana mai bhaitunga. (kahekar gadi se utar jata hai santu driver ke seet par bhaiti hai Dm uske baju me jakar bhaita hai.
DM : ave ubo ubo modu su joyeche chal ne gadi chala ne. Santu Gadi start karti hai gadi start nahi hota DM apna moo pherkar us par hasta hai nazre churakr use dekhta hai. Santu abh bhi gadi start karne ki kosish kar rahi hoti hai.
DM phir use dekhta hai aur kaheta hai abhi tak tune gadi chalana nahi seekha aur chali hai malkin banne chal abi mai sikhatu hu tuje.
Santu : Koi jaroorat nahi muje gadi chalana ata hai.
DM : achha'. To tera gadi abhi tak chalu kyu nahi hua. Usi waqt gadi start
Santu : Dekha
Dono gadi mae bhaitkar jate hai
Baa , Bapuji, Hiten , Toral sab Hall me bhaite hote hai
Moti ghar me seedi se utarte hue kaheti
Moti : ye champakali tune us santudi ko dekha hai kahi
Champu : Nahi Baa sahib
Moti : aur nanka ko
Champu : Nahi
Moti : Nahi matlab kya' kya karte rehati hai din bhar, kuch dekhti nahi hai.
Baa : kyu dat rahi hai bechari ko , yehi kahi kisi kaam se gaya hoga aa jayega.
Moti : Baa aap bhi na bahut bholi hai, o santudi hai na o bhi ghar me dikhayi nahi de rahi, pata nahi ab kounsa naya saryantra rach rahi hogi, o to jab dekho hum logo ko paresan karne ka mouka dhoondti rehati hai, aur nanak ko to aisa jawab deti jaise nanka uska noukar ho. Pata nahi ye manhoos aurat kab mere bhai ka peecha chodegi. Roz aye din naya tamasha khadi karti rehati hai.
Khemi : Aapne theek kaha is santu naam ke musibat ka koi na koi rasta hame dhoondna hai hoga.
Sab paresan rehate hai lekin Baa man me muskurati hai .
Aur waha se utkar apne kamre me chali jati hai.
Din dhalne wala hota hai santu aur DM vakil ke office me pahuchte hai
Vakil ka assistant kaheta hai vakil saab abhi abhi kisi jaroori kaam se bhar chale gaye, unhone aapko kal ane ke liye kaha hai.
DM aur santu ek doosreko dekhte hai aur phir Santu office se bahar akar gadi me bhait jati hai.
DM wahi kahde rehata hai aur man me kaheta hai vakil bola hota anewale hai to vakil yaha hota na, bola hi nahi to kaha se hoga. Aisa kahekar muskurata hai aur gadi me jakar bhaita hai.
Ab DM driver ke seet par bhaita hai.
Raat hone wali hoti hai
Santu : Gussa hokar kaheti ab bhaite bhaite kya kar rahe hai gadi chalaiyena, raat hone wali hai.
DM : gadi chalane ko to tu aisa bol rahi jaise mai tera driver hu.
Santu apna moo pherkar chup ho jati hai, DM gadi start karta hai.
Baa: abhi muje poora vishwas hai o din door nahi jab sabkuch theek ho jayega.
Bapuji : bhagwan kare aisa hi ho..
Baa : Aisa hi hoga , Dharam raj ne muje kuch nahi bataya abhi tak aur muje pata bhi nahi chalta agar mai holi ke din dm ke peeche nahi ati (flash back Santu tell hol story) and Baa also listening.
Bapuji : humne santu ko kitna galat samja lekin usne kya nahi kiya is parivar ke liye .
Baa : hmm'' lekin ab sab theek ho jayega, meri santu & dm milkar sab theek kar denge''
DM gadi chalate chalet gadi ek dum sum sam jaga me rok deta hai.
Santu : Kya hua gadi kyu roka aapne
DM : gadi roka nahi hai, ruk gayi hai samjina, tu bhait andar mai dekhta hu kya hua.
Dm gadi se bahar utarta hai aur peeche tyre ke pas jakar uski hawa nikal deta aur santu se kaheta hai tyre pumchture ho gaya hai. (santu paresan hokar kaheti hai kya'.. aur gadi se utarti hai.)
DM : yaha to koi banane wala bhi nahi milega, tune hi bola na is raste se chalo yaha se ghar jaldi pahuch jayenge, dekh ab pahuch gaye '' yaha ek kutta bhi nazar nahi aa raha hai.
Santu paresan hokar kaheti
Santu : muje kya pata tha gadi rast me kharab ho jayegi.
DM : aise kachhe raste se ayegi to band hi hoga na.
Santu gusse door ek ped ke pas jakar khad ho jati hai. (DM use muskurakar dekhta hai, phir uske pas jata hai aur kaheta hai)
DM : ave bahut raat nahi hua hai hum jangal ke raste se chalkar challenge to pahuch jayenge
Santu gusse se uski taraf dekhti hai phir raste ki or chal padti DM bhi uske peeche chalta hai. Dono chal rahe hote hai to achanak ek bhayanak si awaz sunayi deti hai , Santu palatkar dekhti DM uske sath nahi hota hai. O dar jati hai aur malik Malik kahekar dari awaz se use bulati hai. Yaha waha use dhoondti hai. Uski akho me asoo hote hai, achanak o kisi se takra jati hai palatkar dekhti hai o DM hota hai
Santu uske seenese lag jati hai, DM bhi bahut hi pyar se use apne seene se lagata hai''.. dono ek doosre me kho jate hai.
Continue 6
Dono ek doosre me kho jate hai. Achanak Santu ka sense jaag jata hai. DM ko chodkar peeche hat jati hai. Dono ek doosre ki akho akho me ache dalkar dekhte hai. Phir santu apna moo pher leti hai. DM uske ke kareeb ata hai aur kaheta chal ave, santu sar jukhakar uske sath chalti hai.
Hall me hiten , Toral, moti, etc ''.. sab bhaite hote hai.
Hiten : Pappa ka phone bhi nahi lag raha hai switch off bata raha hai. Pata nahi papa kaha rahe gaye
Toral : Raat ke 11.00 baj chuke hai''
Baa : Hiten tu kyu paresan ho raha DM koi chota bachha thodi hai jo kho jayega''
Jaa tu jakar soja Toral ko lekar ja uska khayal rakh DM aa jayega.
Moti : Ha' hiten tu jaa. (hiten Toral waha se chale jate hai)
Moti : ye Santudi ka bhi koi pata nahi hai''.. muje to sirf is baat ki chinta hai Baa kahi is santudi ne nanka ke liye koi nayi musibat na khada kiya ho'''..
DM aur santu sumsam jangal ke raste me chalte rehate hai. Tabhi Santu ek jaga par bhait jati hai.
DM : shu thai gayo..
Santu : Mai aur nahi chal sakti mere pair me dard ho raha hai, kab se is raste me chal rahe kuch samaj me hi nahi aa raha hai ki kaha ja raha hai rasta, khatam hi nahi ho raha hai.
DM muskurakar use satir bhari nighao se use dekhta hai aur phir uske paas jakar bhait jata hai.
Aur kaheta hai.
DM: Rasta to tab khatam hoga na jab sahi raste par challenge.(Santu chowkar khadi ho jati hai aur dm ki taraf dekhti hai )
Santu : Kya ( DM khada ho jata hai aur santu apne taraf kheechta hai aur uske kamar me hath dalkar use tait pakadta hai )
(Santu paresan hoti hai santu ek hath dm ke kande par aur uske kamar par hota hai. DM ka ek hath santu ke kamar me hota hai aur doosre hath o uske gaal pe phirate hue kaheta hai.
DM : Apni haq ki baat bahut karti hai na tu, to mera ye kartavya hai ne mai meri patni ko uska haq doo.(santu is totally paresan & Dm is totally besharmi pe utara aya hai, dheere se apna moo santu ke lips ke pas lekar jata hai aur dheere se kaheta hai muje sab pata hai. Santu is more nervous'''..
Santu : kya pata hai
DM : wahi jo tune muje nahi bataya aur na batana chahati thi, lekin holi ke din tune bhang ke nashe sab kuch bata diya.muje to pahele se khabar thi ki tune Arjan ko nahi mara pan ave ye bhi pata chal gaya ki kisne mara (santu is shocked ) ab dekhna jisne ye hatya ki haine use mai kaisa dand deta hu.
Santu hadbadakar kaheti hai
Santu : Aap ye kaya kar rahe hai
DM : wahi jo tune nahi kaha mujse abhi tak, tere ko bola tha maine mujse koi baat nahi chupana pan tu hamesha aise hi karti hai ab dekhna tuje aur use dono ko dand donga.
Santu ghabrakar kaheti hai Aap aisa nahi kar sakte malik , isme Birwa ki koi galati nahi hai usne to sirf Aapko bachane ke liye Arjan par war kiya, Agar o aisa nahi karti to Arjan nashe ki halat me Aapko mar chukka hota, isme uski koi galati nahi jo kuch bhi hua o ek hadsa tha. (Now DM is shocked ).
Santu : Malik Aap meri baat sun rahe hai na''.. isme Birwa ki koi galati nahi hai '''. No reaction from DM o putle ki tarha khada rehata hai''..
Episode End
Malik Aap meri Baat sun rahe hai na''.. DM don't say anything he is stand like a statue. Santu is continue'. DM sit on the floor and say Birwa''.. Birwa ne Arjan ko mara. Santu is confused and say Aapne to abhi mujse kaha ki Aap sab jante hai, matlab Aapko ko kuch pata nahi tha''. Maine kya kar diya. Dono ki halat aisi hoti his dono kuch kahi nahi pate hai''.. both are crying.
Subha ho jati hai Sab hall me bhaite hote aur DM ka intezar kar rahe hote hai.
Hiten : poori raat beet gayi lekin abhi tak pappa ka koi pata nahi'
Suddenly DM entered uske peeche santu bhi ati hai.
Hiten : Pappa kaha rahe gaye the Aap hum sab kitna paresan ho gaye the Aap ke liye'''
Dm kisiki bhi ko baat ka jawab nahi deta DM Birwa ki taraf dekhta hai aur chup chap upar chala jata hai. Sabko aisa feel hota hai ki DM jaroor koi paresani hai.
Sab Santu ki taraf dekhti hai.
Moti : ye santudi ab kounsa naya tamasha suru kiya tune'. Kya kiya tune aisa jiske waja se nanka itna paresan dikh raha hai'.
Hiten : Hamne kabhi socha bhi nahi tha ki tum itna gir jaogi kya samja tha tumhe aur tum kya nikli, kya milta hai tumhe humlogo ko paresan karkar..
Santu kuch nahi kaheti aur waha se chali jati hai.
Moti is thinking kuch to gadbad hai dono sath wapas aye iska matlab dono raat bar sath hi the aakhir baat kya hai.
Baki Sabko santu par gussa hota hai.
Dm apne kamre bed par bhaita hota Baa and other guys is enter his room and ask him
Baa : kya baat hai beta' kaha tha raat bar itna paresan kyu lag raha hai''. DM don't say any thing o aise statue ki taraha bhaita hota hai.
Hiten : Us Santu ne kuch kiya kya papa '''. Mere to samaj me nahi ata hai hum us santu ko bardash kyu kar rahe hai is ghar me , papa mai to kaheta jitna jaldi ho sake Aap is santu ko chutta cheda de dijiye aur is musibat ko door kijiye kya jayega jyada se jyada hame use paise dene padenge ne de denge lekin roz roz uski paresani to nahi hogi na''..
Moti : Hiten theek kahe raha hai' (suddenly DM apna hath uthakar kaheta hai bas )
DM : Tum log sab jao yaha se mai kisi se kuch baat karna nahi chahata hu
Hiten : Pan papa'..
DM : bolana jao matlab jao''..
Sab waha se paresan hokar chale jate hai.
Hiten & Toral apne kamre me hote hai
Hiten : ye santu Aakhir chahati kya''' kyu jab dekho o papa ko paresan karti rehati hai.
Toral : Tum theek kahe rahe ho hiten' vishwas nahi hota hai ki ye wahi santu hai jise is ghar ne itna maan diya itna samman diya o hamare sath aisa kar sakti hai.
Santu Apne kamre me bed par paresan bhaiti hoti hai aur man me sochti hai ye sab kya ho gaya jis baat ko maine 10 saal tak apne man me dabakar rakha tha kabhi apne Aapse se bhi nahi kaha Aaj o baat maine Malik se kahe diya pata nahi ab kya hoga'''.
That time suraj entered Santu room
Suraj : Maine kaha than a Aapse aapko paise chahiye to le lijiye lekin bhagwan ke liye mere papa ko paresan mat kijiye, unhe aur dukh mat dijiye chale jaiye jaiye yaha se
Santu khadi ho jati aur kaheti hai chali jaoongi waise jis ghar me uske bachhe nahi chahate ho ki uski ma uske sath rahe aise ghar me rehane se kya fayda''. Bas thoda waqt aur chali jaoongi.
Baa and some other guys sit on the hall
Baa : DM ne subha se kuch khaya nahi ja uske kamre jakar khana de aa.
Champu : Ji Baa
Hiten : Pappa kuch bata bhi nahi rahe Aakir baat kya hai.
Baa : yahi to paresani ki baat hai o kuch bol hi nahi raha hai.
(champu khana lekar DM ke kamre me jati hai aur darwaza knock karti hai)
DM bed par bhaita hota hai
DM : tu kyu ayi yaha
Chamu : Malik o mai Aapke liye khana lekar ayi hu.
DM : Muje khana nahi khana hai wapas lekar ja
Champu wapas hall me ati hai aur Baa se kaheti Malik ne khana wapas kar diya
Sab aur paresan hote hai.
Santu upar khadi dekhti phir o DM ke kamre me jati hai hiten Santu ko DM ke kamre me jate hue dekhta hai.
Hiten : ye santu pappa ke kamre me kyu ja rahi hai aur kitna paresan karegi ye papa ko kahekar o uske peeche jata hai
Santu DM ke kamre me jati hai DM apne bed par bhaita hota hai Santu uske paas jakar bhaiti hai. DM uski taraf dekhta hai. O DM ko dekhti hai.
Santu : Mai janti hu Aaj Aapko dukh pahucha hai (Tabhi waha Hiten aa jata hai. Hiten andar jane wala hi hota ki Baa use rok leti hai aur bahar lekar ati hai.
Hiten Aapne muje kyu roka Baa
Baa : Beta ye pati patni ki bheec ki bate hai tu kyu bheech me jar aha hai
Hiten : Baa Aap ye kya bol rahi hai
Baa :Beta sachhai to yehi hai na Santu abhi bhi DM ki patni hai. Hogi un dono ki bheech koi tu beech me bole to achha nahi lagega. (hiten gusse me waha se chala jata hai)
Santu : jo kuch isme kisi ka kya dosh (santu DM ka hath apne hath me lekar kaheti hai DM apna hath uske hath se chuda leta hai)
DM : kisi ka koi dosh nahi.. sab dosh mera hai, Aaj tune muje meri hai nazro me gira diya
Santu : Aap aisa kyu Sochte hai, maine kaha na Aapse jo kuch hua o ek hadsa tha.
DM gusse se santu ki taraf dekhta hai
Episode ending
DM : Hadsa tha pan tune muje to nahi bataya'. Mere sath to chal kiya na tune, mai to poochne bhi aya tha na tujse lekin tune muje nahi bataya .Muje andhere me rakha kyu '
Santu shanti se kaheti hai
Santu : Is kyu ka koi jawab nahi bas itna samaj lijiye us waqt muje jo theek laga o maine kiya, waise bhi ek maa hone ke naate muje lagta hai maine jo bhi kiya o theek kiya, O mera kartavya tha.
DM : Aur ek patni hone naate tera kya kartavya tha o tuje yaad nahi raha na''tu jail jayegi to muje kaise lagega kabhi socha tune. Pichle 10 saalo se poora parivar ye kaheta hai tune daulat ki lalach me arjan ko mar dala ye sab sunkar muje kaisa lagta hai socha tune kabhi'
Santu : mai janti hu mere karan aapko bahut taklif hui hai, jo ho gaya so ho gaya ab in sab bato me behas karne ka kya fayda hai.
DM aur gusse me aa jata hai bed par se utkar khada ho jata hai aur Kaheta hai
DM : behas hai ye sab, meri patni 10 saal ke iye jati hai bina koi aprad ke, 10 saal baad muje pata chalta hai asli apradi to meri apni beti hai, behas hai ye sab.
Santu : Aap kyu samaj nahi rahe hai ki o ek hadsa tha jaan mujkar kiya hua aprad nahi, jane anjane koi hadsa ho jaye to uske liye koi kisi ko dand nahi diya jaata.
DM aur jor se chillakar kaheta hai.
DM : Apradi o nahi tu nahi, to koun hai mai hu, ha , ye sab meri waja se hua na, to theek hai mai apne apko dand doonga aisa kahekar apna hath Aaine (mirror) me marta hai sheesha tootne ki awaz sunkar sab bhagkar dm ki kare ki taraf jate hai.
uske pas jakar use rokti hai, Dm ke hatho se khoon ane lagta hai. Santu DM ko samjane ki kosish karti hai lekin DM kuch samajne sunne ko tayar hota hai. DM asoo baha- bhakar santu ko kareeb kheechkar kaheta hai tune aisa kyu kiya usi waqt DM ka parivar DM ke kamre ke darwaze ke pas ate hai.
DM aur santu ka unki taraf dyan nahi hota
DM is continue
DM : kyu kiya tune aisa kyu kyu chupaye rakha tune ye baat mujse aisa kahekar usi ke kande par sar rakhkar rota hai. Santu apna hath uske gale me hath dalkar pyar se use shant karne ki kosish karti hai aur kaheti hai.
Santu : Muje maaf kar dijiye. Jo ho gaya so ho gaya use badla to nahi ja sakta na.
DM ka parivar DM ko santu ke kande par sar rakhkar rota dekhkar hairan ho jate hai. Santu aur Dm ek doosre ke itne kareeb dekhkar o waha se chale jate hai.
Everbody in Hall
Hiten : Aakihir Baat kya hai, kuch samaj me nahi aa raha hai, aisa kya hua kal raat ko ki pappa itne dukhi hai.
Kadambri : Aur to aur dad ne uske bare me hame bataya bhi nahi us santu ko bata rahe jisne Arjan ka khoon kiya.
Ye baat sunkar Birwa is little tensed.
Hiten : Baat jo bhi o santu se hi juda hai hum sabne pappa santu se kahe rahe usne ye baat unse kyu chupaya, iska yehi matlab hai ki aisi koi baat thi jo santu ne itne din pappa se chupakar rakha tha jo pappa ko abhi pata chal gaya jiske liye pappa itne dukhi hai.
Moti : Ye santu bhi jab dekho ek naya natak suru karti hai, mere to samaj me nahi ata kya ho raha is ghar me.
Hiten : fui hum sab pappa ko jante koi choti moti baat hoti to aisa bartav nahi karte muje lagta hai jaroor o koi badi baat hai jise santu ne Aaj tak pappa se chupakar rakha, aur ab Pappa ko uske bare me pata chal gaya.
Birwa waha se apne kamre me chali jaati hai, Aur paresan hoti hai aur man me kaheti hai.
Baat kya hai kuch samaj me nahi aa raha hai pappa ka is taraha behave karna kahi unehe ye to nahi pata chal gaya ki Arjan ko santu ne nahi maine mara.
Episode Ending
Continue 9
Birwa apne kamre me
Kahi aisa to nahi pappa ko pata chal gaya Arjan ko Santu ne nahi maine mara, Santu ne pappa ko sab sach bata diya, nahi nahi aisa nahi ho sakta, santu khud pappa ko ye baat nahi batayegi. Lekin Pappa baar kahe rahe the usne ye baat kyu chupakr rakha iska ye matlab hai ki pappa kahi ne kahi se ye baat pata chal gayi hai.. mai jo soch rahi hu wahi sach hai to pata nahi ab kya hoga. Mai pappa ka samna kaise karoongi''. Nahi kar sakti mai, ye nahi ho sakta hai mujse.
Santu aur DM kamre me
DM apna sar santu ke kande par se uthakar kaheta hai
Dm: Tu ja yaha se
Santu : Aap meri baat to suniye
DM : mai kisi ki koi baat nahi sunna chahata ,bolana ja tu yaha se
Santu : lekin
DM uska hath pakadkar use kamre se nikal deta hai, aur darwaza band kar deta hai.
Santu ki aakho me asoo hote hai kuch der waha khadi rehati hai, phir rote hue waha se chali jati hai.
Baa aur Bapuji unke kamre me bhaite hote hai.
Baa : Kuch samajme nahi aa raha hai Aakhir baat kya hai
Bapuji : Tum theek kahe rahi ho vasu, baat to tabhi pata chalega jab DM akar kuch batayega, leking o to kuch batane ki halat me nahi hai'''.
Baa : Mai apne bete ko is taraha nahi dekh sakti ( she is crying)
Babuji : fikar mat karo vasu sab theek ho jayega''''.
Raat ho jati hai
Hiten apne kamre paresan hokar yaha se waha goomta rehata hai
Toral : ye tum kya kar rahe ho Hiten , tumhare aise paresan hone se kuch nahi hoga
Hiten : Tum theek ache rahi ho muje jakar pappa se baat karni nahi chahiye.
Toral : abhi mat jao pappa ko thoda shambhal jane do phir jana mai to kaheti hu kal subha ho jane do tab tak pappa bhi thode shant ho jayenge phir tum jakar baat karna.
Hiten : theek hai.
DM sitting on his chair and thinking about santu words
Aur phir mann me kaheta hai jo hona tha ho to gaya ab kya hoga iska nirnay mai karoonga kal subha.
Next Morning every body in Hall , DM seedi se me khada hota hai.
Moti : kya baat hai Nanka tumne hum sabko yaha ek sath kyu bulaya hai. DM kuch nahi kaheta)
Baa : Beta batana Aakhir Baat kya hai
DM : bataoonga Baa
Santu is totally upset and Birwa is nervous
DM : Aaj se 10 saal pahele jo ghatna ghati thi ne hamare ghar me usi ghatna ke bare me kuch batana hai tum sab logo ko aur kuch faisla suna na hai
Birwa is shocked
Episode Ending
Continue 10
Birwa is shocked
DM : Aaj se 10 saal pahele Arjan ki hatya hui thi is ghar me ( Birwa ki halat kharab ho jati hai) , o hatya kisne ki thi.
Moti : Nanka ye tu kya baat kar raha hai ham sab jante Arjan ki hatya is santudi ne kiya tha jiske liye isne 10 saal ki saja bhi kaatkar ayi.
DM : yehi to kamal ki baat hai na 10 saal ki saja katkar bhi isne is sach kabhi bahar nahi ane diya, Baar doosro ki moo se khooni , lalchi sabd sunkar bhi isne sachhayi nahi bataya, aur aaj bhi pata nahi chalta, lekin kahete hai na satya ko kitna bhi chupao o kabhi na kabhi bahar aa hi jata hai.
Hiten : Pappa Aapka matlab hai ki Arjan ko santu nahi kisi aur ne mara
DM : ha''.. Everyone is shocked
DM : Ab mai chahata hu ki jisne bhi ye hatya ki o mere samne Aakar ise sweekar kare
Sab ek doosre ko dekhte hai.
Suddenly Birwa DM ke pass jati hai, Everyone is shocked
DM poore gusse me hota hai, aur us par hath uthane jata hai, Par Santu use rok leti hai.
DM santu sechillakar kaheta hai
DM : tu chup bhait, , Kya rang laya dono ke sath ne ek meri patni, doosri meri Beti
Meri beti hatya karti aur meri patni us hatya ka ilzam apne sar pe leti hai kya baat hai.
Kaise hua ab ye sab tu khud sabko batayegi.
Birwa is crying and said all things.
Sab dekhte hi reha jate hai ''
DM : Dekha Baa ye hai meri Birwa , kitna garva tha muje is par isne mere vishwas ko aise toda ki kabhi judega hi nahi.
Baa : aise kaise ho sakta hai DM
DM: Aisa hua hai baa aur ye satya aur iske liye in dono iska dhand milega, in dono ne milkar mere sath chal kiya hai., Birwa Tuje dhand isliye nahi mil raha hai ki tumne Arjan ka khoon kiya, mane khabar che ki o ek hadsa tha pan tune is satya ko hum sabse itne salo tak chupakar rakha isliye tuje dhand milega.
Birwa mera dhand tumhare liye ye hai ki tum is ghar ko is gaon chodkar hamesha ke liye Antwerp jaogi, yaha tumhara kisi se koi sambandh nahi aur agar kisi ne tuje koi sambandh rakhne ki kosish ki to usse mera koi sambandh nahi.
Santu : Aap aisa nahi kar sakte
DM : mera nirnay nahi badlega samji , Ab teri dhand ki bari hai jo mai bahut jald doonga
Bas do char din ruk jaa phir tuje tera dhand sunata hu.
Aisa kahekar DM waha se chala jata hai.
Sab waha kade rahekar sochte reha jate hai kisi ke samaj me kuch nahi ata hai.
Birwa is crying ''''
Episode ending
Continue 11Santu : Aap aisa nahi kar sakte, Aapne jo bhi nirnay sunaya na o galat hai.
DM : Muje tujse sheekhne ki jaroorat nahi kya sahi aur ky galat samjeena tu.
Santu : Theek hai'. To Aap bhi mera nirnay sun lijiye Aapne jo nirnay sunaya na o muje sweekar nahi hai, mai aisa nahi hone doongi.
DM : achha , kya karegi tu
Santu : wahi jo muje karna chahiye. Birwa ne Aaj tak is baat ko chupakar rakha tha kyuki maine usse kaha tha.
DM : To ave iska matlab hai usko milne wala bhi dhand tuje milna chahiye
Santu : Aapko dhand dene se hi Aapke mann koshanti milne wala hai to dhand de dijiye.
DM use apni taraf kheechta hai. Uske kamar me hath dalkar use pakadta hai aur apna moo uske moo ke kareeb le jakar dheere se kaheta hai tuje to aisa dhand doong na tu muje zindagi bhar yaad rakhegi.
Santu bhi bade pyar se kaheti hai
Santu : Mai Aapko yaad rakhu iske liye dhand dene ki kya jaroorat hai, mai Aapko kabhi bhooloongi thodi na .
Santu ki bat sunkar DM ko gussa aa jata hai, DM use chod deta hai aur phir kaheta hai
DM : ja tuje jo karna hai kar mera nirnay nahi badlega.
Santu waha se chali jati hai.
Birwa apne kamre me roti rehati hai.
Hiten , kaddu moti sab uske paas ate hai.
Hiten : Birwa ke paas akar kaheta hai itna sabkuch ho gaya tune apne Hiten bhai ko batya bhi nahi, koi baat nhai , jo gaya ho gaya, hum sab tuje doshi nahi mante hai bahut jald sab theek ho jayega .
Kaddu Moti sab use support karte hai.
Santu apne kamre me akeli bhaitkar kuch sochti rehati hai
Baa and other family members uske paas ate hai.
Hiten : Santu hum sab tumse mafi mang sake is kabil bhi nahi, humne kitn kuch kaha tumhe ho sake to hum sabko maaf kar do.
Kaddu bhi santu se kuch kahen chahati hai par kahe nahi pati hai.
Santu : Aap logo ko mafi mangne ki koi jaroorat nahi. Waise bhi isme tum sab ki koi galati nahi tum sabne wahi dekha jo maine dikhaya.
Baa : santu ke sar par hath rakhkar kaheti hai , tu to in sabki maa ban gayi bas mai teri maa nahi ban payi , muje maaf kar de beta
Santu : Aap aisa mat boliye muje kisise koi sikayat nahi . phir o dono gale milte hai.
Baa : are santu tera badan kitna garam hai , teri tabiyat kharab hai.
Santu : Kuch nahi bas thoda sa bukhar hai theek ho jayega,
Baa : Badan angar ki tap raha hai aur tu use thodasa bhukhar kaheti hai. Aisa kart u champu ko lekar doctor ke pas jakar aa, DM se kahoongi o to jayega nahi uske sar par to ab gussa chada leki tu fikar mat kar sab jaldi hi theek ho jayega.
DM bahar se ye sab dekhta hai
Episode khatam
Continue 12
DM bahar se sab dekhta hai phir waha se chala jata hai.
Baa santu aur baki sab santu ke kamre se bahar hall me ate hai.
Neeche hal me moti aur khemi bhaite rehate hai. Khemi santu ko dekhti hai aur santu khme ko.
Baa champu ko awaz deti hia.
Baa : ye champa idar aa
Champu : ji Baa
Baa : ye santu hai na uski tabiyat theek nahi hai tu uske sath doctor ke paas jakar aa
Moti aur khemi wahi bhaitkar dekhte rehate hai.
Santu aur champu waha se doctor ke pas chale jate hai.
Phir khemi waha se utkar apne kamre me chali jati hai, aur jakar bed par bhait jati hai aur santu usne job hi bura kaha un bato ko aur use mare hue thappad ko yaad karti hai.
Use bahut afsos hota hi.
Baa wahi haal me bhaiti rehati hai.
Baa : kya kaha doctor ne
Santu : kuch nahi baa , maine kaha na aapse bukhar hai theek ho jayega ,
Baa : achha theek hai ja , tu dava khakar aaram kar le achha lagega.
Santu : ji baa kahekar waha se apne kamre me chali jati hai.
After some time
Santu apne kamre me bed par bhaiti hoti uski tabiyat kuch jyada bigad ne lagta hai, usi waqt khemi uske kamre ke paas ati aur darwaza thokti hai.
Khemi : kya mai andar aa sakti hu (Dabi hui awaz me kaheti hai)
Santu : Aao
Khemi kuch samaj me nahi ata hai ki baat ki suruvat kaha se kare.
Khemi : o''.. mai'''.
Santu : tum kuch kahena chahati ho mujse
Khemi : hmm''. Lekin samaj me nahi aa raha kaha se suruvat karu , o mai tumse mafi mangna chahati thi , tumne Arjan ko tumne mar dala sochkar nazane maine tumhe kya kya kaha , ho sake to muje maaf kar do, us Birwa ne arjan maara use to mai (kehemi ki poori baat khatam nhi hoti santu bheech me bolti hai)
Santu : Tum abhi galat hi samaj rahi ho , Birwa ne Banevilal ki nahi mara o ek hadsa tha,
Khemi : tum us Birwa ki waqalat kar rahi ho
Santu : mai kisi ki waqalat nahi kar mai sif sachhai bata rahi hu.(Khemi is upset) Bahena tum chahae mano ya na mano lekin sachhai yehi ki o ek hadsa tha, meri tumse bas ek hi binti hai ho sake to tum Birwa ko maaf kar do.(Khemi kuch nahi kaheti aur waha se chali jati hai.)
Raat ho jati hai DM akele apne kamre bhaite santu ki tasveer ko dekhta rehate hai, tabhi baa waha ati ,
Baa : kya kar raha hai beta
DM : kuch nahi , tu abhi tak soyi nahi
Baa : Tu bhi to abhi tak nahi soya, waise bhi muje tujse kuch baat karna tha
DM : Muje pata hai tu yaha kya baat karne ayi hai ,
Baa : tuje pata hai mai yaha kya kahene ayi hu, to us baat ko smajne ki kosish kar ,maaf kar de
DM : nahi , mai aisa kabhi nahi karoonga
Baa : Tuje kya ho gaya DM, Birwa ne galati ki manti hu lekin jis waqt usne galati ki us waqt bachhi thi, bachho se galatiya ho jati hai, aur santu mere to samaj me nahi ata tu use kis baat ka dhand dena chahata hai, usne to Birwa uski apni beti na hone ke bawajood uske liye ye sab kiya jo aaj ke zamane saggi maa bhi nahi karti .
DM : muje teri koi baat nahi suuni tu jay aha se
Baa : meri baat ko talne se sachhai nahi badal nahi jayegi, sach to ye ki tu santu ko nahi, tu apne apko dhand de raha hai. ( DM gusse se Baa ki taraf dekhta hai) meri taraf gusse se kyu dekh raha hai maine kya kuch galat kaha hai,(Baa muskurakar kaheti hai) chal chod tuje gussa karna hai kar mai bhi dekhti tu usse apne apko kitne din door rakh pata hai. ( Aisa kahekar Baa waha se chali jati hai.) DM Baa ko jate hue dekhta hai.
Episode end
Contiunue 13
Next Morning
Everybody on breakfast table DM also come and sit on Break fast Table
Baa asking Champu
Baa : Ye Champu Santu Birwa kaha hai
Champu : Baa o Birwa Ben ne nasta karne se mana kar diya.. aur malki so rahi hai.
Baa : subaha ke 10.30 bajne aye o abhi tak so rahi hai.
Champu: Malkin ki tabiyat theek nahi unhe abhi bhi bahut bukhar aa raha hai, isliye o so rahi hai
( DM unki bate suntan hai lekin aisa behave karta hai jaise in sab bato se uska koi matlab nahi o apna nasta karta rehata hai.)
Baa : kal doctor ke paas gayi thi na kya bola doctor ne
Champu : Baa o malkin doctor ke pas nahi gayi hamare gao vaidji hai na unke pas jakar davai lekar ayi hai .
Baa : kyu tuje kaha tha na use doctor ke pass lekar ja ,
Champu : Baa maine to malki se kaha ki doctor ke pas chalte hai lekin unhone ye kahekar mana kar diya unhe sooi se dar lagta hai.(DM Man hi man me hasta hai)
Baa : ye ladki hi na ajeeb hai., chal reha ne mai jakar dekhti hu
(Baa waha se chali jati hai)
Hiten Birwa ke kamre me jata hai.Tabhi waha Birwa phone par baat kar rahi hoti hai.
Birwa : Muje jitni jaldi utne jaldi Antwerp ka ticket chahiye.
Tabhi Hiten usse kaheta hai
Hiten : Birwa tum ye kya kar rahi hu
Birwa : Kya kar rahi hu,
Hiten : Tum Antwerp ja rahi ho
Birwa : Dharampoor ke Malik ne nirnay sunaya hai to uspar to amal karna hi hoga na.
Hiten : Birwa tum kaisi baat kar rahi ho
Birwa : kya galat kahe rahi hu,
Hiten : Dekho Birwa Pappa ko achanak ye baat pata chali hai to thoda tha o gussa karenge hi na tum par, tum thoda waqt do sab theek ho jayega(tabhi Toral aur kaddu waha aa jate hai)
Kaddu : Hiten bhai theek kahe rahe hai, Tum thodi si shanty rakho sab theek ho jayega.
Hiten : Pappa to santu ko dhand dene wale jab ki uski koi galati bhinahi o to bechari bina kisi aprad ke 10 saal ki saja katkar ayi aur abi pappa bhi usse naraz hai, socho us par kya beet raha hoga.
Baa Santu ke kamre me jati hai. Santu blanket odkar soyi hoti hai. Baa uske paas jakar bhait thi hai, aur uske mate par hath firati hai santu jag jati hai. Aur utkar bhaiti hai, uski tabiyat kharab hoti hai.
Baa : ye kya halat bana rakhi hai apni.
Santu : kya hua Baa (ek dum dabi hui awaz me kaheti hai.)
Baa : kal maine kaha tha na tujse doctor ke pas jane ke liye aur tu gayi gao ki vaid ke pas dekh abhi tak tera bukhar nahi utra hai na.
Santu : Baa o mai
Baa : kya o mai , chal abhi mai aisa karti hu doctor ko ghar par hi bula leti hu
Santu : Koi jaroorat nahi hai baa , mai chali jaoongi
Baa : kal ki taraha yaha vaid ke pas jayegi
Santu : Baa vaid bhi to doctor hi hote hai na, aur mai bachpan se lekar aaj tak jab meri tabiyat kharab hi mai unke pas hi jati hu.
Baa : o baat theek lekinab teri tabiyat jyada kharab hai na to doctor ke pas ja ''' jayegi na.
Santu : theek hai
Baa : ja naha le kuch kha le phir champu ke sath doctor ke paas jaa.
(Aisa kahekar baa waha se chali jat hai.)
After some time
Hall me sab bhaite hote DM bhi waha hota hai.
Santu sholl ode seediyo se neeche utarti hai tabhi waha shanky ata hai.Nandini bhagkar shanky ke paas jati hai. Phir shanky nandi ke god me lekar andar ata hai, DM ke pair choota hai DM use ashirwad deta hai. Kaddu uncomfortable mehasoos karti hai., tabhi santu waha ati aur sashank se poochti hai.
Santu : kaise ho sashank
Shanky : Mai to theek hu, lekin tumhe kya ho gaya hai.
Santu : kuch khas bas thodi tabiyat theek nahi bas abhi doctor ke pas hi ja rahi hu, tum yaha kaise
Shanky : Aaj sanivaar hai na to nandni se milne aya tha
Santu : tum waqt bitao apni beti ke sath mai doctor ke pas jakar ati hu.
Shanky : theek hai.
(santu aur champu waha se chali jati hai aur kaddu apne kamre me chali jati hai)
Shanky DM se kaheta hai pappa mai Aaj yaha sirf Nandini ne nahi milne aya muje aapse akele me kuch baat karni thi.
DM use apne kamre me lekar jata hai
DM : Bol kya baat hai.
Episode ENd
Contineue 14
DM : bol su baat che
Shanky : Pappa o mai kahena chahata tha Aapse ki (shanky kuch theek se nahi kaheta hai)
DM : Seeda bolne baat kya hai.
Shanky : Pappa mai kahe raha tha ki'. O Aap santu ko maaf kar dijiye.
DM : Tu yaha mere pas uski waqalat karne aya hai.
Shanky : Nahi pappa mai to sirf ye kahe raha hua us par kisi ka jor nahi tha , waise santu ne bhi kiya o is parivar ke liya kiya, phir bhi in sabke bawajood agar use saja miley to ye to sahi nahi hai na.
DM : kya sahi aur kya galat ye muje tujse sheekhne ki jaroorat nahi.
Shanky : Pappa mai Aapko sheekha nahi raha hu aapko sirf bata raha hu job hi hua usme santu ki koi galati nahi thi. ( DM gussa ho jata hai )
DM : Ave mai teri moo se ek sabd nahi suuna chahata, tu yaha apni beti se milne aya na ja mil
(shanky waha se udas hokar chala jata hai)
After some time
Santu aur champu hospital jakar gadi wapas ate rehate hai.
Santu Driver e kaheti hai gadi rook
Champu : Kya hua malki Aap yaha kyu gadi rok rahi hai.
Santu : Champu muje kuch kaam hai nanaji se aisa karo tum ghar jao mai baad me aa jaoongi.
Champu : Malki Aapki tabiyat theek nahi .
Santu : itni kharab nahi hai. , Tum jao
Champu : Theek hai .(santu Gadi se utarti hai aur champu chali jati hai)
Santu gadi se utarkar nanaji ghar jane ke bajay kodiya maa ke kuvve ke paas jati hai. Aur waha se shanky ko phone karkar kuvve ke ane ke liye kaheti hai.
Kuch der baad shanky waha ata hai. Aur santu se kaheta hai.
Shanky : Tum to doctor ke pas gayi thi na yaha kya kar rahi ho, muje itni jaldi me yaha kyu bulaya.
Santu : muje tumse kuch madad chahiye karoge. .
Shanky : bolo
Shantu shanky ko koi pata deti hai aur kaheti tumhe kisi taraha Mahiyavansi parivar ko
Aaj raat 10 baje yaha lekar ana hai. Lekin iske bare me sandy aur moulik ko pata nahi chalna chahiye.
Shanky : theek hai o to mai kuch bhi karkar le aaoong lekin baat kya hai.
Santu : Aaj raat Sandeep aur Moulik khel ki Aakhri raat hogi bas tum kisi taraha Mahiyavansi parivar ko waha le aao , sabko na la sake to koi baat nahi kaddu aur Malik ko waha jaroor lana.
Shanky : o sab theek hai, lekin is waqt tumhari tabiyat theek nahi hai.
Santu : tabiyat kya o bas thodi si kharab hai lekin aisa mouka baar nahi milega yehi sahi samay moulik aur sandeep ka asli chehara sabke samne lane ka.
Shanky : theek hai mai lekar aoonga. Ab mai chalta hut um apni tabiyat ka khaya rakho.
Santu Ghar wapas ati hai, Baa santu se kaheti hai.
Baa : Kaha chali gayi thi beta,
Santu : O mai aise hi nanaji milne chali gayi thi.
Baa : teri tabiyat theek nahi hai.
Santu : Baa ab mai bilkul theek hu doctor ne muje injection de diya ab mera bukhar utar gaya hai.
Baa : ja jakar apne kamre me aram kar .
Santu theek hai Baa
Santu apne kamre me jati rehati hai achanak uski nazar DM ke kare ki taraf jati DM ke kamre poora saman bikhra pada hota hai, DM kuch dhoond raha hota hai. Santu DM ke kamre ke andar jati hai aur kaheti hai.
Santu : ye kya kar rahe hai.
DM : Tujse malab mai kuch bhi karu tuje kya,
Santu : Muje koi maltalb nahi, Aap agar kuch saman dhoond rahe hai to mai madat kar deti hu Aapki,
DM : Muje teri madad ki jaroorat nahi, ja yaha se (santu phir bhi wahi khadi rehati hai aur DM abhi bhi kuch dhoondne me laga rehata hai. Santu phir uske paas jati aur kaheti hai hatiye yaha se bataiye kya dhoond rahe hai mai dhoond deti hu.
DM : tuje bolana tu ja yaha se (dono ke bheech behas chalte rehati hai , DM gusse se saman ko lat marta hai aur atakar santu par ja girta hai dono jameen par so gaye hote hai, ek doosre ki aakho me aakhe dalkar dekhte hai.
Suddenly Baa waha aa jati aur hmm hmm karkar khasti hai. dono chowk kar waha se uthte hai.
Episode end .......
Continue 15
Achanak waha baa aa jati hai hmm hmm karkar khasti hai. DM aur santu hadbadakar uthte hai. Baa hasti hai .DM gussa hokar kaheta hai.
DM : Tu kyu has rahi hai , EK to mera chopda nahi mil raha upper ye yaha akar mera dimag kharab kar rahi hai. (Baa phit bhi haste rehati hai, aur kaheti hai)
Baa : Ye koi naya tarika hai kya chopda dhoondne (DM aur gussa ho jata hai)
DM : Baa tuje bolne ka na kuch fayda nahi hai (phir waha se chala jata hai)
Baa aur santu dono uspar haste hai.
Moulik & Sandy kisi kam se bahar jaa rahe hote hai, santu un logo dekhti hai. Aur man me kaheti hai muje pata hai tum log kaha ja rahe aaj tum logo ki is khel ka aakhri din hai.
DM apne kamre kuch files pad raha hota hai tabhi DM ke mobile par phone ata hai. Phone par shanky hota hai.
DM : helo
Shanky : Jai shree Krishna pappa
DM : jai shree Krishna, bol shu baat che,
Shanky : Pappa muje Aapse akele me kuch baat karni thi.
DM : Manne khabar che ki tu kya bolna chahata hai, tu subha bhi bol chukka hai.
Shanky : Pappa o baat nahi baat kuch aur hai, mera Aapse milna jaroori hai. (Koi jaga ka naam bolta hai ) mai Aapka waha intezar karoonga , muje ummeed hai ki Aap jaroor ayenge.(phir phone rakha deta hai)
Phir shanky Kaddu ko phone karta hai.
Kaddu shanky ka phone dekhkar soch me pad jati hai aur man me kaheti hai sashank ne muje phone kyu kiya kahekar phone uthati hai.
Kaddu : Bolo kya baat hai muje kyu phone kiya
Shanky :o mai tumse milna chahata tha
Kaddu : tumhara dimag kharab ho gaya hai kya tum kahoge tum mujse milna chahate , to mai tumse milne aoongi,
Shanky : kaddu mera tumse milna bahut jaroori hai.
Kaddu : mai tumse milna nahi chahati
Shanky : Kaddu please mera tumse milna jaroori hai , Aakhri baar samajkar mil lo, please'..
Kaddu : Bolo kaha ana hai?
Shanky : ( koi jaga ka naam bata hai) yaha mai tumhara intezar karoonga. Thank u
Phone rakh deta hai.
(Haal me Baa Hiten, aur kuch log bhaite rehate hai , DM seedi se utarkar neeche ata hai aur Baa se kaheta hai
DM :muje kuch kaam hai mai ata hu thodi der me
Baa : Raat ko kya kam hai
DM : hai kuch kaam ata hu mai(kaekar waha chala jata hai, Hiten uske peeche jata hai, DM gadi me haitne wala hi hota hai ki Hiten use awaz deta hai.)
Hite : Pappa ( DM uski taraf dekhta hai), pappa aap itni jaldi me kaha ja rahe hai,
DM : bola na hai kuch kaam ,
Hiten : pappa muje bataiye na kya baat hai , koi aisi baat hai jo muje nahi batana chahiye.
DM : aisi baat nahi hai dikra, muje shanky ne bulaya hai use kuch baat karni hai mujse isliye jaa raha hu.
Hiten : aisi kounsi si baat hai jo shanky itni raat karna chahata hai, chaliye mai bhi aapke sath chalta hu.
DM : theek hai chal, (DM aur Hiten gadi me bhaitkar chale jate hai)
Kaddu apne kamre yaha se waha goomte rehati hai tabhi moti waha ati hai aur kaddu se kaheti hai
Moti : kya baat hai tum bahutt paresan lag rahi ho.
Kaddu : Fui o '..
Moti : bolna kya baat hai
Kaddu : shanky ne muje is waqt milne bulaya hai.
Moti : uska kya dimag kharab ho gaya hai, jo tuje milne bula raha hai.
Kaddu : usne koi bahut jaroori baat hai , jo yehai waqt hai batane ka,
Moti: to kyat u usse milne jayegi
Kaddu : ha , Aap please kisi ko bataiye mat
Moti : theek hai mai kisiko batoongi nahi lekin mai tuje akeli bhi jane nahi doong , chal mai tere sath chalti hu.
Kaddu : theek hai
Hiten Aur DM shanky ke bulaye hue jaga par pahuchte hai, aur shanky ko yaha waha dhoondte hai aur achanak moti , kaddu & hiten , DM sab ek doosre ke samne aa jate hai.
DM Mot aur Kaddus e se kaheta hai
DM : tum log yaha kya kar rahe ho.
Moti : Nanka o hame yaha shanky ne bulaya
DM : kya '''usne muje phone kiya ki use mujse koi jaroori baat karni aur tum logo ko bhi bulaya.
Tabhi waha shanky aa jata hai aur kaheta maine hi yaha aap dono ko bulaya hai.
DM : baat kya tune aise hum logo ko phone karkar kyu bulaya ,bol.
Shanky : bolna nahi hai kuch dikhana hai aayie mere sath.
O sab shanky peeche jate hai Shanky kaheta aap sab yehi khade rahiye aur waha dekhiye abhi kuch hone wala jo aap logo ko janna bahut jaroori hai.
Tabhi waha do gadi ati hai.
Ek gadi se Moulik & sandy doosre se ek aur aadmi gadi se utarte hai.
Episode end
Khanna: Maal ready hai
Moulik : Haa abhi bhar bulata hu (Moulik phone karta hai Lekar aao usko)
Moulik ke admi ek ladki ko lekar bahar ate hai.
Moulik : paise tayar hai.
Khanna : Haa
Sandy : poore to paise laye ho na
(ye sab nazara dm kaddu sabchupkar khade rehekar dekhte rehate hai un logo apni aakho par vishwas nahi hota)
Moulik : chalo fata fat paise nikalo aur ladki ko le jao.
Khanna: Paise tumhe mere asli malik denge
Moulik : Kya matlab
Khanna : jinke iye mai ye kaam kar raha hu wahi to tumhe paise denge
Moulik : kaha hai :
Khanna : gadi me ( Khanna gadi darwaze thokta haiaur gadi se santu bahar nikalti hai)
Sandy & moulik ghabra jate hai.
Moulik : tum
Santu : Tum logo ka khel khatam ho gaya hai.
Moulik : koun khatam karega hamara khel , tum ''. Tumne aaj se pahele bhi tumne kaha tha kisi ne tum par vishwas kiya abhi koi nahi karega , ya phir ye aadmi jise bal boote tum kahe rahe hu.
Santu un par hasti hai '.. aur kaheti hai
Santu : jante ho ye kaun hai , nahi na koi baat nahi bahul jald jan jaoge usse pahele waha dekho tumhari baate kitne log jan gaye ab tumhare liye ye janna jaroori hai.
DM hiten sab waha hote hai Moulik & sandy ghabra jate hai.
DM uske pas ata hai Moulik jor se chata marta hai uski bahut pitayi karta aur bahut sari galiya deta hai. Moti aur kaddu rote hai. Sandy waha se bhagne ki kosish karta hai tabhi waha khanna use pistol dikhkar rokta hai phir waha police aa jati hai.
Police aakar hawa me goli chalati hai.
Khanna : Arrest kar lo dono o , (Police un dono ko arrest kar leti hai , Khanna un dono ke paas jakar kaheta hai, Mera poora naam Inspector Arjun khanna samja, mai tumse mila santu ke kahene par aur hamari ye chawl, tumhe advance me do lakh rupaiye diye ta ki lalach me aao aur pakde jao. (havaldar se kaheta hai) lekar chalo in dono ko
Santu : aapka bahut 'bahut sukriya Inspector sahab
Khanna : Isme sukriya ki kya baat ye to mera farz tha. Havaldar, is ladki ko ghar pahuchha do.
(Police Moulik & sandy ko llekar chali jati hai)
Santu Shanky ke pas jati hai aur kaheti hai
Santu : tumne mera itna sath diya, tumhara ye ehasaan mai kabhi nahi bhooloongi,
Shanky : Isme ehasaan ki kya baat hai ,sach to kabhi na kabhi bahar aa hi jata hai. Bas antar itna hi kabhi jaldi bahar ata hai kabhi der se , ab mai chalta hu.
(Shanky kaddu ki taraf dekhta aur chala jata hai)
DM is upset, Moti & Kaddu both are crying and leave from this place
Santu also
Everybody in DM mansion
Bapuji : ye tu kya kahe raha hai DM
DM : wahi Bapuji jo sach hai. Hiten ne maine Moti ben ne hum sabne apni aakho se wo dono ladkiya bechne ka karobar karte hai, Mahiyavansi parivar ka naam Aaj mitti mila diya.
(Every body is shocked), Achha hua un dono ko police pakadkar le gayi warna mai khud un dono ko faasi par chada deta. Kaisa hai mera parivar har koi kuch na kuch karta rehata hai, sab mere sath dokha karte hai. Chahe o Moti ben, Birwa aur abhi moulik aur ro aur ye kaddu ne shanky jaise ache ladke ko chodkar sandeep jaise khote chokre ke sath lagan kiya , aise parivar ki kamna ki thi maine, Muje to sharam ati hai ye kahete hue ye hai mera parivar.
(DM apne kamre me jane ke liye kadam badata hi hai , utne ruk jata hai.aur kaheta hai) kisni ne un dono ko jail se bahar nikal ne ki ya unki koi bhi madad karne ki kosish ki o bhi is ghar se hamese ke liye ja sakta hai.(aisa kahekar waha se chala jata hai.)
Santu bhi waha se chali jat hai.
Kaddu & Moti are crying and going to our room
Baa and Bapuji Hiten everybody in haal
Baa : vishwas nahi hota ye dono itne dino se ye kaam kar rahe hai , aur hum logo aaj tak pata nahi tha.
Hite : Maine kabhi socha bhi nahi Moulik aur sandeep itna gir jayenge..
Bapuji : Santu humse pahele hi kaha tha lekin humne uski baat ka vishwas nahi kiya.
Next day morning
Hiten sitting on the sofa read the news paper
Usme Moulik & sandy ki khabar chapi hoti hai.
Poore media ye khabar aag ki taraha fail gayi hoti hai
DM ke ghar par phone par phone ate hai sab moulik & Sandy ke bare poochte hai.
Hiten : Pappa ye khabar aag ki taraha fail chuki poore gujrat me Mhiyavansi parivar par thu-thu kar rahi hai.