Sar e Aina Mera Aks Hai Pass e Aina Koi Aur Hai
Main Kisi K Dast e Talab Main Hoon Tou Kisi K Harf e Dua Main
Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka Mujhe Maangta Koi Aur Hai
Kabhi Laut Aen Tou Na Puchna Sirf Dekhna Baray Gaur Se
Jinhay Rastay Main Khabar Hue K Ye Rasta Koi Aur Hai
Ajab Aitbar Be Aitbari K Darmiyan Hai Zindagi
Main Qareeb Hoon Kisi Aur K Mujhe JAnta Koi Aur Hai
Wohi Munsifon Ki Rivayatain Wohi Faislon Ki Ebaratain
Mera Jurm Tou Koi Aur Tha MujhePar Meri Saza Koi Aur Hai
Teri Raushni Meray Khad o Khal Se Mukhtalif Tou Nahi Magar
Tu Qareeb Aa Tujhe Dekh Loon Tu Wohi Hai Ya Koi Aur Hai
Jo Meri Riyazat e Neem Shab Ko Saleem Subh Na Mil Saki
Tou Phir Iss K Ma'ani Ye Huwe K Yahan Khuda Koi Aur Hai
this song was sung by Ustaad Mehdi Hassan Khan sb.. suits Jagya's current situation alot