I am posting after a long time. I had a scene in mind so thought to post today. hope u like it.
I am assuming ayesha as positive.
A: priya di! priya di zinda hai?
priya is talking on the phone shouting at kady.
priya walks towards ayesha but she doesnt know ayesha is there. ayesha moves towards her. they bump into each other n priyas phone was going to fall just then she some how catches it.
P: aap thik se dekh nae sakti chalte wakt?
A:. di aap? aap zinda ho?
P: ji?
A: di aapne mujhe pehchana nahi
P: ji nahi me tumhari di nahi hu. me pooja sharma hu. m not ur sis
A: aap hi ho meri behen. i knw that. accha bataiye aap meri behen hi ho. aap puri duniya ko ullo bana sakte ho but mujhe nahi. aap kehte ho ki aap priya di nae ho toh batao kitne saal se yahan ho?
P: me 5 yrs se yahan hu
A: pata hai di bhi hame 5 yrs pehle chodke chali gayi. aaj vo yahan hai. thik hai aap nahi mante toh me ma ko bata rahi hu aage aapki marzi
P: ayesha ruk! ha me hi priya hu or me zinda hu. bus ab kisi ko mat bata pls
A: kyu di? kyu nahi batau? sabko pata hona chahiye ki aap zinda ho.
P: nahi ayesha! please. me vapas nahi aane vali. yahan hi meri choti si duniya hai with kady, raina n dai ja.
(she didnt take peehu's name as she doesnt want ayesha to know anything about it now) jab mujhe sahare ki zaroorat thi toh yeh the mere pass. mere parivar ne sab ne mujhe mara hua maan liya.
A:di pls purani baatein bhul jaiye. or chaliye vapas pls. thik hai apne liye nahi, mere liye nahi but papa or jiju k liye chaliye pls. papa ko bht bada sadma laga hai aapke jane k baad. vo toh apne jeene ki vajah hi kho chuke hai. pls vapas chaliye. ek aap hi hai jo papa ko vapas thik kar sakte hai. jiju haste zaroor hai. dikhte zaroor hai khush yeh aap hi janti hai ki vo aaj bhi aapko utna hi miss karte hai jitna 5 yrs pehle.
P: me nahi aaungi pls. vaise tu hai na ram k sath.
A: yeh shaadi sirf jiju ne mujhse ki meri izzat bachane k liye. aapki choti behen ki izzat bachane k liye.
P: matlab?
A: aapke jane k baad pta chala that m pregnant with sid's child. but he only used me. n when asked to marry me he said no. n because m your sis so jiju married me. hamara koi rishta nahi hai dee. jiju sirf aapse pyar karte hai or kisi se nahi. pls vapas aa jao papa k liye. pls dee
P: kya tum or pregnant? ha di. me sochungi is bare me ki me aau ya nahi.
A: jaldi sochna.
P: ha baba sochungi. aur ghar me sab kaise hai? rishabh, ma, krishna ma, kartik, natasha, dadi?
A: sab thik hai. rishabh ki shadi ho gayi hai saumya se.
P: sach? photo hai saumya ki?
A: ha dikhati hu.
Ayesha shows the pic.
P: bht pyari hai saumya. yeh bachha kaun hai?
A: yeh hi toh hai mera beta kush.
P: bht pyara hai yeh.
P(in mind): pihu jitna lagta hai.
A: di aapne toh shaadi nahi ki?
P: ayesha tu soch bhi kaise sakti hai ki me shaadi karungi me sirf ek insaan se pyar karti hu or vo hai ram. me aur kisi se pyar nahi kar sakti samjhi..
A: sorry di aap pls aaa jao please.
just then kady calls her
K: pooja kahan ho aap?
P: me abhi pahuchti hu kady. tu pihu ko book store me le ja or lunch de de. but tum dono andar rehena. thik hai?
K: thik hai pooja.
P: ayesha mujhe chalna hoga abhi. book store me jana hoga.
A: book store?
P: ha me book store me kaam karti hu. rajat sir ka book store.
A: aap rajat ko janti hai? hum unke ghar me hi rehti hai.
P: janti hu ayesha. isliye toh us din jaldi se kady ko padake vahan se chali gayi.
A: matlab aap kady ko padane aati ho
P: ha ayesha. its me with new identity pooja sharma.
Priya goes to the book shop and Priya goes inside n gives kady a passage.
P: Peehu chalo tum apna home work kar lo or kady didi ko pareshan mat karna.
Peehu: thik hai mumma!!
P: kady me bahar hu kisi bhi tarah is shaitan ko bahar mat bhejna. ayesha hai bahar mere pass. or kisi bhi tarah yeh ayesha se na mile.
K: thik hai pooja
She goes out n sees ayesha staring a pic of Peehu.
A: ye ladki? aap isse janti ho di?
P(smiles): ha meri sab kuch hai
A: baba kitna bolti hai.
P: toh kya hua? hai toh bachhi. iske khilaf ek shabd bhi nahi bolegi tu nahi toh me bhul jaungi ayesha ki tu meri behen hai.
A: di is bachhi k liye itna pyar?
P: ha zaroor hoga uske liye. vaise tune isse kyu nahi lene diya tha shop me jo dress isse pasand ayi thi. ram ne iske chehre pe khushi la di vo dress de ke.
A: aap yeh sab janti kaise hai?
Just then Priya was going to reply Peehu comes.
Peehu: mumma! yeh vo hi ayesha hai jise mujhe voh dress lene nahi di. aap yahan kya kar rahi hai?
A: mumma? di yeh aapki beti hai?
Peehu: aap meri mumma ko didi kyu bula rahi hai?
Priya(in mind): ohh God Peehu ko chupana chahti thi or isne aake sab kuch garbad kar diya.
P: peehu andar jao. aise koi baat karta hai bado se. sorry bolo. yeh meri behen hai peehu. tumhari massi. sorry bolo.
Peehu: sorry massi.
A: its ok beta. yeh lo chocolate.
Peehu: thanks massi.
She goes inside.
A: di yeh sab kya tha?
P: kuch nahi.
A:aapne nahi bataya aapki beti k bare me.
P: chod na ayesha. bilkul apne papa pe gayi hai vo hi discipline, vo hi tablets khana, aalloo ka paratha.
A: fir toh aap pareshan ho jate honge alloo k paanthe banate banate.
P: bilkul but uske liye kuch bhi chalega
just then ayesha receives a call from shipra.
A: hello ma!
Priya tells ayesha not to say anything. But ayesha was not at all listening.
S: kahan ho tum?
A: voh me mall me ayi hu. thoda ghum rahi hu.
Peehu: mumma! aao na kady didi bula rahi hai aapko?
P: ha chalo.
S: yeh kiski awaz thi. bilkul priya jaisi?
A: di ruko. pls baat kar lo ma se. pls.
P: nahi ayesha me nahi please.
A: ma ek min ruko. peehu pls bolo na apni mumma ko apni mummy se baat karne. pls.
Peehu: mumma pls kar lo. achha me pehle baat kar lungi fir aap kaho.
A: chalo tum karo apni nani se baat.
Peehu: hello nani!
S: hello beta! kaise ho aap?
Peehu: me thik hu aap?
S: me bhi thik hu.
Peehu: yeh lo apni beti se baat kijiye.
P: hello!
S: priya beta?
P: ha ma
S: kahan thi tum? or vo bachhi?
P: ma vo aapki natin hai peehu.
S: bht pyari lagti hai.
P: ha hai toh sahi. bye.
S: sun toh priya!!
A: ma di chali gayi.
S: me rakhti hu sabko batana hai priya k bare me.
A: thik hai ma.
P: ma sabko bata degi ab
A: ha sabko batayegi.