Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 10th Sep '25
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 11th Sept 2025
MAIRA AGAYI 10.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 11, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- Ind vs UAE 2nd Match, Group A, Dubai 🏏
KIARA EXPOSED 11.9
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 27
"I don't like women who are too thin" : Bipasha Basu
Navri and her eternal victimisation
Anupamaa 10 -11 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
🏠Caption Writing Contest -Bring Pictures to Life!🏠
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
🏏Cricket Forum Banner Contest Announcement🏏📢
When Love Finally Grew Up ~ A Rumya Three-Shot [Completed]
MAJOR REVAMP TIME FOR STAR PLUS
Patrama Prem ~ A Gosham SS
Hello everyone it's me 'Peehu. Mein Mumbai aakey bahot khush hun kyonki mujhe yahan meray Golu-Papa miley. Meray Papa abb meray aur Mummyke saath hain. Hum sab' matlab Mummy-Papa, Khush , Krishnadadi , Badi dadi , Rishabh uncle-Saumya auntyke saath ek bade se ghar mein raheintey hain.Mein aur Khush saath mein school jaatey hain.
We were returning from the school today. On the way we saw a huge Ganeshji (before Ganesh Chaturthi). In Dubai, I have seen huge buildings but never seen such a huge Ganeshji.Kitnay sundar thai woh. Mein bas Ganeshjiko dekhti rahi. Khush started shouting & jumping in the car 'Ganpati Bappa Morya, Mangalmurti Morya'.
Bilkul discipline nahi hain Khush ko kahinpe bhi masti suru karta hain.
Meine jaldise bol diya, "Khush, zyaada masti karogey toh Ganeshji punishment kartey hain. Aisey mummy kaheti hain " Abb mera bhai hain toh ussey 'Discipline' mujehe seekhana hoga.Mummyne kahan hain mujhe. Per ek baat mujhe samjhi nahi ke 'Ganeshji' kahan jaa rahein thai toh meiney bahot socha aur 'Khush' se puccha.
Peehu: Woh log 'Ganeshji' ko kaha le jaa rahein thai? Mujhe bade acche laggey woh 'Ganeshji'. (Peehu's 1st Ganpati festival celebration in Mumbai)
Khush: Pata hain Peehu abb ' Ganpati Bappa' aanewaley hain thodehe dino mein.Phir mein Natasha auntyke ghar jaaunga, wahape Ganpati aatey hain.Bahot majja aata hain.Aur bade bade Ganpati Bappabhi hotey hain magar woh ghar mein nahi aa sakety hain toh unko dekhneyke liye humey unkey pass jaana hota hain 'Pandalo' mein. Aur humarey gharse bhi dekhtey hain 'Chowpaty' pe aatey hain toh. (All excited)
Peehu: Tum jo bol rahein ho mujhe toh samajh mein aa raha hain , per apaney gharpe Bappa kyon nahi aatey. (Gets confused) Mummyse he pucchti hun.Humlog apnay gharpe 'Bappa'k o lekay aayengay toh kitna majja aayega.
Priya: Arre tum dono aaye'Mein kabse wait kar rahi thi. Chalo mein khaana laggati hun.
Both the kids ran to their room & come back to lunch.
Peehu: Mummy, aaj hum schoolse aa rahein thai, toh bahot bade Ganeshji aa rahein thai. Kitney sundar thai, mujhe bade acche lagge. Khushne mujhe kahan woh abb thode dinoke liye apnay saath raheintey hain. Kya 'Bappa' humarey ghar nahi aa saktey?
Priya: Ohhh..toh Peehune aaj bade Ganeshjiko dekha. Arre wa'Nanajike gharpe 'Ganpati Bappa' aatein hain na'toh hum wahape jaatey hain na beta'isliye humarey gharpe nahi aatein hain.
Peehu: Please mumma, humlog bhi lekay aatey hain na'Please. Phir hum sabko kitna majja aayega. Woh hum sabki rakshabhi karengay.
Priya: Mainey kaha na hum Nanajike ghar jaatey hai. Kya nayi demand hai tumhari? Yeh sab butter laggana, apaney Papa ko. Aur tumharey Papabhi na'seerpe beethake rakha hai tumhey. Aaj toh unki bhi khabar leti hun. Aur abb chup-chap khana kha lo. Kitni baar kaha hain, khana khatey waqt zyaada baat nahi kartey.
Peehu: Haaa'aaney do Papako. Unsayhe baat karti hun. Is baar meray Papake gharbhi Ganeshji aayengay.