This scene happens after Ram realises the true colours of his step - family...
Ram sits in a state of shock on his bed...he is still not able to beleive that his step-family was after his property only and not for him...this thought pains him to no end...Priya enters the room...she is aware of the fact that Ram had known about the truth of his family...but she remains silent as she wanted to know Ram's mind fully...
Priya: Aap itne disturbed kyu hai Mr. Kapoor?
Ram does not reply...
Priya: Mr. Kapoor...aap se hi pooch rahi hoon...
Ram: Haan bolo Priya...
Priya: Kahan kho gaye the aap?
Ram: Kuch nahi Priya...tum bolo
Priya: Aap ko aaj se pehle itne dukh mein nahi dekha...kya baat hai?
Ram: Mere saath hi aisa kyun ho raha hai?
Priya: Kya hua aap ke saath?
Ram: ( In a low voice ) Mujhe yakeen nahi ho raha hai ki mere gharwale sirf mere property aur paise ke liye mere saath rehte aaye hai aaj tak...I am not able to digest this truth Priya...maana ki main unka apna nahi hoon...lekin aaj tak maine unke saath kabhi sautelapan nahi dikhaya...Siddhant ko sagi bhai ka pyaar diya, Natasha aur Ishika ko sagi behenon ka darja diya...Mama ji ko apna maana aur Maa ko bhi...main hamesha yeh galat faimi ke saath jee raha tha ki mere family mere liye sab kuch hai...Pita ji ke maut ke baad, main sochta tha ki yeh log hi mere liye sab kuch hai...lekin yeh sacchai to itna kadvi hai ki usse digest karne ke liye mujhe bahut waqt lagega...pata nahi ki is sacchai ko jaanne ke baad kis pe bharosa karoon aur kis pe na karoon...
Priya: Maa ki yaad aa rahi hai na aapko?
Ram: Nahi...us aurat ki baat mat karo tum...
Priya: Maan lijiye na Mr.Kapoor ki aap ko unki yaad sata rahi hai...
Ram: Agar tum aise hi baatein karti rahogi to main tumse baat nahi karunga...
Priya: teek hai to main so jaati hoon...good night...
Ram: Priya mujhe is tarah ki soch ke beech chodke tum so nahi sakti ho...main to aaj se pehle itna disturbed nahi hua...aur tum mujhe console karne ke bajay mere dukh ko aur bada rahi ho...its not fair. zindagi mein late realisation hamesha bhuri baat hoti hai...aur yeh fact mere zindagi ki sacchai ban gayi Priya...tumne hi mujhe maa ki yaad dilaya...kaash mere pita ji zinda hote mujhe sambhalne ke liye...mujhe rone ka mann kar raha hai...lekin main ek mard hoon...tumhare saamne roke tumhari nazron mein girna nahi chahta...
ab to aap maa ko yaad karte honge na?
Ram: Agar aisa kahunga to tu mujhe bhura mat maanegi na?
Priya: Arey maa ko yaad karna bhuri baat thodi hota hai ki main usse bhura maanoongi
Ram: Kaash mere bachpan ki sab sacchai mujhe pata hota to main aaj akhela nahi hota...meri maa mere saath hoti...
Priya: sacchi baat hai Mr. Kapoor
Ram: Jo hua usse to kabhi badla nahi jaa sakta na...
Priya: Kyon nahi...main hoon na...main aap dono ki rishte ko hamesha ke liye jod dungi...
Ram: Kya tum ab meri maa ban sakti ho?
Priya: Kyon nahi...aap dil se ek chote bacche hai...aur main aapko apna beta bhi maanti hoon..
Priya Ram ko apne godh mein le leti hai...aap so jaayiye ...main aapko sulati hoon...
Ram: Thank you for this Priya...
Priya: Ab main Priya nahi aap ki maa hoon...
Ram: Ek tum hi ho jo mere liye ho is duniya mein...
Priya apne ungli Ram ki hothon pe lagati hai aur Ram ki maathe ko chumman deti hai...Ram apne dard ko bhool ke ek bacche ki tarah Priya ki godh mein so jaata hai...
Part 2