Ariya Caught in Revenge - Page 86

Created

Last reply

Replies

879

Views

380.7k

Users

63

Likes

2.8k

Frequent Posters

bloomie thumbnail
Posted: 7 years ago
Epilogue

Epilogue-

Early next morning, when the couple had barely finished their breakfast, Arjun's ringtone rang loudly.

Arjun: bako!

Sameer: Riya ko lekar commissioner sir ke office jaane waala hai aaj?

Arjun: ha plan toh wahi hai

Sameer: toh 10 baje wahi mil

Arjun: Woah! Hold on! Meri baarat nahi nikal rahi hai...

Sameer: dude, shut up! Sirf main aa raha hun

Arjun: acha okay, lekin hum dono wahi honge toh ETF kaun mera baap sambhalega?

Sameer: paperwork hi karna hai sabko, jab tak report nahi denge tab tak koi case nahi

Arjun: theek hai toh phir milte hai, sir ke cabin ke baahar

Sameer: ha, acha sun

Arjun: sun hi raha hun warna ab tak phone rakh chuka hota

Sameer rolled his eyes: woh Chetan wagera ka jo masla hai aur...maine sir se kaha nahi hai ki Shirke ko actually goli kisne maari toh abhi use side par rakhna

Arjun: Ha Sam lekin...

Sameer: firse bol na

Arjun(confused): kya?

Sameer: mera naam

Arjun: kyun behra ho gaya hai?

Sameer: are bol na

Arjun shook his head in disbelief: Sam mere baap, Shirke ko toh Liza sambhal legi Chetan ka maamle bina unhe bataye kaise set karenge?

Sameer: main bhi wahi soch raha hun, humne Riya se keh toh diya par...kuch samaj mein nahi aa raha. Unki permission ke bina case close bhi nahi kar sakte.

Arjun: are dhakan main...Sam main yeh nahi keh raha hun ki woh musibat mein padegi ya kuch aur...I just meant ki hume unhe us baare mein batana padega, that's it

Sameer: aur tujhe yakeen hai ki woh maan jaayenge? woh commissioner hai tere Raghu sir nahi. Unhe involve kar sakte hai lekin fir toh bada kaand nahi ho jaayega as in...

Arjun groaned: Sam!!!

Sameer: ha bol

Arjun: maine already Riya se is baare mein baat kar li hai. uske paas ek idea hai bas use implement mujhe karna hai. nahi maane toh use kar lenge

The surety alerts him: Arjun! Agar koi naya kaand kiya hai na tune toh kasam se chamdi ukhad dunga main teri

Arjun: fir kya karega uska? Khayega? Use cannibalism kehte hai aur woh samaj ke niyamon ke virudh hai okay?

Sameer: Arjun!!!

Arjun: milte hai 10 baje okay byee!!!!

And before Sameer could say another word Arjun hung up much to friend's frustration.

Sameer: ye admi kabhi nahi sudhrega!!!

Commissioner's office, 10 am-

Arjun and Riya walked towards Vishwas's cabin. Riya's happiness knew no bounds. She caught Arjun's hand tightly so as to control herself and not behave informally. On the other hand, the whole headquarters was staring at them. Why not? ACP Arjun Rawte with a girl? Holding hands? It was a good thing that they had doctor's on call.

Sameer was already waiting for them outside. He hugged both of the one by one.

Riya(cheerfully): good morning sir!

Sameer too replied happily: good morning Riya!

Arjun felt amused to see the two of them wishing each other like school going children.

Arjun: andar chale?

Sameer: ha chalo

Riya nervousness returned: nahi! (The two men looked at her) mujhe...mujhe (sheepishly) mujhe dar lag raha hai

Arjun was about to comfort her but Sameer beat him.

Sameer held her hands: Riya daro mat, hum dono haina? Aur tum hi socho, majal hai kisi ki pure department mein jo Arjun ke khilaaf jaaye? Aur fir mere ETF Chief hone ka kuch toh personal faayda hona chahiye na?

Riya (whining) : ha par, woh mujhse kitne sawaal karenge. Main kya jawaab dungi?

Arjun: Riya, tum agar comfortable nahi ho toh kuch kehne ki zaroorat nahi hai. hum sab sambhal lenge okay?

Riya was still a little nervous but nodded. Arjun smiled and gave her a side hug.

Arjun: chale

Riya: hmmm

Sameer knocked the door of the cabin.

Vishwas: come in

The three of them entered. Vishwas greeted the men.

Vishwas: Rathore! Arjun! Aao, baitho (gazing at Riya, he squinted) I've seen her somewhere? Ye..?

Sameer: ha sir dekha hi hai aapne...

Vishwas nodded as he took his cup of coffee for a sip.

Arjun: meri mangetar ETF ka hi hissa hai

Vishwas choked horrifically on his coffee startling Sameer and Riya much to the amusement of Arjun. He struggled to keep a straight face.

Sameer(concerned): Sir?!? Are you okay?

Vishwas kept the cup aside and removed his handkerchief to wipe the spilled coffee from his clothes. He answered without being in his right sense.

Vishwas: ha...main...(coughing) main theek hun (muttering) subah-subah hosh uda raha hai mere! ye admi kabhi nahi sudhrega!

Sameer glared at Arjun who looked back innocently. Vishwas turned to the trio and took a few seconds to register the information Arjun had given him.

Vishwas(trying to get normal): khade kyun ho tum log? Baitho na

Sameer: it's okay sir, we're fine.

Vishwas mv "but I'm not fine: okay, toh uh...kya keh rahe the tum?(looking at Riya) ha! Naam...naam kya bataya tumne apna?

Riya mentally firmed herself: Riya, Mukherjee sir

Vishwas: okay...and uh tum? Tumhara...transfer hua hai kya ETF mein?

Sameer: nahi sir, woh darasal...

Sameer explains him the whole story in short stating only the main facts which consisted of Riya's doctor trying to abduct her and her forced hiding and impromptu undercover causing Vishwas to stare at Riya in disbelief. His mind had practically stopped working. Of course, he still didn't know about all the illegal activities she had done because Arjun and Riya had not confided about them to the team.

Sameer: sir?

Vishwas jerked back to the presence: huh? ..ha! umm...(he rubbed his forehead) mere toh kuch samaj mein hi nahi aa raha hai.

He picked up his coffee and took a long sip to soothe his nerves. As he thought over it, it was no surprise that she and Arjun were together. They were made for each other.

Vishwas: so umm...what exactly is that you want me to do?

Arjun: we need to revive her legally sir aur appointment letter mil jaata toh

Vishwas: of course.

He was still trying to reel out from the effect of their words as he took a pen and paper. He tried to write but his hand stopped or rather his brain had.

Vishwas: tum log ek kaam kyun nahi karte? Tum teeno office jao. Appointment letter main fax kar dunga aur rahi baat legalities ki toh woh main Mishra (P.A.) se karwa dunga.

Arjun: ek issue aur hai sir. Pune mein teen laashein mili hai unhe encounter declare karna hai

Vishwas(afraid): kiski laashein? Kaunsa encounter?

Arjun: woh main aur Riya investigation karne gaye toh teen log mar gaye. Waha ki police ne hume case bhej diya hai kyunki woh Raana se connected tha lekin use band karna hai toh aapki permission chahiye

Vishwas tried to reason with him: dekho Arjun, on duty main tum logon se mare logon ko control kar sakta hun lekin...

Arjun: sir agar aapne aisa nahi kiya toh Shirke ke khilaaf jo video hai jo uske naatak ko prove karta hai uska Raana ke saath involvement batata hai, main use submit nahi karunga

Vishwas stared at him blankly: puri taiyaari karke aye ho tum log?

The trio exchange glances: Ha

Vishwas didn't have the strength to argue with Arjun early in the morning and sighed: fine! Is case mein tum logon ko jo karna hai karo...mera dimag toh kaam nahi kar raha hai...(not wanting another dangerous revelation, he tried to shoo them away) dismissed!

The three saluted and left. Riya heaved a sigh of relief almost collapsing as soon as they went out.

Riya: baal-baal bach gaye! Meri toh itni fat rahi thi ki pucho mat. Lag raha tha ki job ke saath-saath zindgi bhi gayi

Arjun snapped: Riya!

Riya looked at him innocently: sirf analogy thi

Arjun shook his head in disbelief as Sameer tried to hide his amusement.

Sameer: by the way woh video waali dhamki ka toh samaj gaya lekin Riya ne kaunse idea ke baare mein kaha tha?

Arjun and Riya glanced at each other.

Riya lowered her gaze: woh ...mera hi idea tha sir

Sameer: jhut acha bolti ho tum Riya, lekin ye mat bhulo jhut aisa hona chahiye jis par yakeen ho sake

Arjun: Sam you have no bloody idea ki woh kaisi ban gayi hai, just leave it

Sameer looked at him horrified and then glanced at Riya and then back at Arjun.

Sameer( in disbelief): you're kidding! Riya aisa kar hi nahi sakti!

Riya had her eyes lowered all the time.

Arjun: mat maan! Mere baap ka kya jaayega? Chalo Riya office jaate hai. tumhare Rathore sir ko yaha reh kar sochne...

Sameer: oye shut up! Main bhi aa hi raha hun aur tum dono jaldi aana

Riya(confused): sir jitna waqt aapko lagega utna hi hume lagega na?

Sameer smiled: ha Riya, lekin ye na Arjun ke liye hai. kahi gaadi mein hi...

Arjun: Sam!!! Ek aur shabd nikala na toh yahi par tujhe goli maar kar Ayesha ko tujhse chutkaara dilwa dunga samjhe ya samjhau?

Sameer pushed his buttons: nahi samjha, firse samjha

Arjun: Sam teri toh...

He advance towards him as Sameer taunted but Riya came in between the two of them confused at what was going on.

Riya: aap log kya kar rahe hai? headquarters hai yeh! Kahi par shuru ho jaayenge? ab office nahi jaana? Udhar bichare saare paperwork akele kar rahe honge aur (looking at Arjun) aap chup chap chaliye aur us lawyer ko bulwa kar Sakshi par case kijiye warna main waapis apne ghar chali jaungi!

Arjun(horrified): are tum dhamki kyun de rahi ho? Main karunga na case, maine kab mana kiya?...Sam chal! Pakka mat subah-subah! Bula us lawyer ko office...main aaj hi saari formalities nipta deta hun.

Teeno office jaate hai and needless to say, sab unhe dekhkar khush ho jaate hai. Shree aur Chotu Riya ko dekhkar tightly hug karte hai.

Shree: Shit man! Mujhe toh abhi bhi sapna lag raha hai

Riya use pinch karti hai jisse uski cheekh nikalti hai.

Shree: Ri!!!

Riya: ab yakeen hua?

Shree: ha meri ma ho gaya!

Ayesha: aap log commissioner office gaye the na? kya hua? Woh maan toh gaye na? koi issue toh nahi hai? Kya kaha unhone? Aur us Chetan ke case ka kya karna hai? Hume Riya ko book toh nahi karna padega na?

Arjun aur Sameer dono ek dusre ko dekhte hai.

Shree: are sir bolo na! humara pressure badh raha hai

Arjun: tum bolne ka mauka toh do...ek baad ek bas sawaal hi kiye jaa rahe ho?

Sameer: aur nahi toh...

Ayesha: Sameer comment maarna band kijiye aur kya hua ye bataiye!

Sameer: kuch nahi Ayesha...calm down! Commissioner sir ki permission mil gayi hai hume Chetan ke murders ko encounter likhna aur case file band karni hai. Tum log bas paperwork khatam kar lo. Unhe submit karna hai parso. Thodi der mein Riya ka official appointment letter bhi aa jaayega aur woh officially zinda bhi ho jaayegi

Liza: Yay!!! Toh phir shaadi kab hai?

Riya(disappointed): are kal hi honewaali thi par hum bhul gaye karna

Arjun ke ilawa sab ye sunkar dono ko ghurne lagte hai.

Sameer: shaadi karna bhul gaye? Like seriously?

Arjun: are time hi nahi mila yaar, dimag mein se nikal gaya

Ayesha: aap ki tabiyat toh theek haina sir?

Chotu: ha sir khud ki shaadi mein pahunchna kaun bhulta hai?

Arjun(exasperated): hey bhagwan! Hum bhul gaye matlab humne koi taiyaari karke nahi rakhi thi bas socha tha ki kal kar lenge lekin fir nahi kar paaye!

Chorus: ohhh!!!

Sameer: chalo acha hai, toh ab hum shaadi karwaayenge

Shree aur Chotu bhi kudna lagte hai: hum Arjun sir ke jute churayenge

Arjun: jute saale nahi saali churati hai

Shree: are sir chalta hai...we believe in equality!

Riya sab ko itna khush dekh kar rokti hai: are nahi, nahi rukiye! Shaadi baad mein. Usse zyaada ek zaroori kaam hai

Ayesha: usse zyaada aur kya zaroori hai

Riya: Arjun ko Sakshi par defamation ka case karna hai

Ayesha: are ha!!!

Arjun ko apna sar patakne ka man karta hai mv "iski sui abhi bhi wahi atki padi hai woh Rathore par chillata hai

Arjun: ABE DHAKAN!! PHONE KARNA LAWYER KO!! MERI SHADI ATKI PADI HAI US CHUDAIL KE CHAKKAR MEIN!!!

Sameer calmly use dekhta hai: shant baalak shant! Itna gussa sehat ke liya acha nahi hota. Maine phone kar diya hai, woh thodi der main yaha prakat ho jaayega! Aur apni seat par relax karke baith jaata hai

Arjun Riya ko dekhta hai: ab shaadi?

Riya(innocently): jab aap kaho!

Baakhi sab giggle karte hai.

Sameer Arjun ko mutter karta hai: waise tumhe toh utni zyaada jaldi nahi hogi? I mean...parso raat...

Arjun Sameer ko shock karte hue bolta hai: Ayesha!!!

Ayesha: ha sir?

Arjun: tumhe Sam na bataya kya?

Ayesha se zyaada Sameer uchalta hai kyunki woh jaanta hai usne Arjun ki nas par haath rakh diya hai.

Sameer: kya bataya?

Arjun: bhabhi?

Ayesha: ha sir kahiye na

Arjun: tumhe pata hai Rekha ke baare mein?

Sameer ki aankhein fat jaati hai

Ayesha: kaun Rekha sir?

Arjun: acha nahi pata...Sonia ke baare mein toh pata hoga na?

Ayesha: kaun?

Arjun: Rashmi? (Ayesha negatively nod karti hai) Latika? Aashika? Neha? Prity? Ahana? Sania? Maria? Geeta? Ananya? Yashika? Janavi? Varsha? Damini? Deepali? Isha? Ekta? Jyoti? Kirti? Lavanya? Maitri?...

Ayesha bas na mein sar hila rahi hai: nahi sir! Mujhe inme se kisi ke baare mein bhi nahi pata! Kaun hai yeh ladkiyaan??

Arjun: mujhe laga atleast inke baare mein toh pata hoga

Ayesha: sir aap kya keh rahe hai mujhe kuch samaj mein nahi aa raha hai

Arjun: ye sab Sameer ki long term girlfriends thi

Chorus: WHAT?!?!?

Ayesha: LONG TERM?!?! ITNI SAARI??

Arjun: ha ye sab atleast ek mahina rahi thi Sameer ke saath, baakhi sab alag-alag hai, 20 din, 15 din, ek hafta, ek din, ek ra...

Ayesha ka chehra ab gusse se laal ho gaya hai: SAAAMEEER!!!!

Sabki nazar Sameer ki taraf mudti hai lekin woh apni jagah par nahi hai.

Ayesha: MAIN INHE CHODUNGI NAHI!!!

Woh immediately apna foot stamp karke Sameer ko dhundhne aur uski pitayi karne ke liye uske peeche jaati hai.

Riya: kyun kiya aapne aisa?

Arjun : are? Tumhe apni sautano ke baare mein pata hai toh Ayesha ko bhi pata hona chahiye na? aur wink karta hai.

Riya disbelief mein apna sar hilati hai. Baakhi teeno abhi bhi shock mein hai.

Liza: sir, kya sach mein Rathore sir ki itni saari girlfriends thi?

Arjun: abhi bhi jaa kar college mein puchogi toh saare college aur hostel ke staff ko uski kartute yaad hogi...guarantee!

Chotu: aur idhar toh humari ek bhi setting nahi hoti hai.

Arjun: filhaal tum logon ko sirf ek hi setting ki fikar honi chahiye Chotu

Shree: kaunsi sir?

Arjun: paperwork khatam karo warna commissioner hum sabki setting interior mein kar denge.

Sab horrified hokar kaam karne lagte hai. Riya bhi unki madad karne lagti hai. Arjun wahi baithta hai, apni jagah par Riya ke opposite, unki madad karte hue aur Riya ko baar-baar glance karte hue. Thodi der mein Lawyer bhi aata hai. Arjun Riya ki strict supervision mein acha sa defamation ka case prepare karta hai taaki Sakshi ko saqt se saqt saza ho. Riya bhi khush ho jaati hai. Ayesha bhi usi dauran waapis aati hai. Uske chehre par gussa nahi hai bas woh shanti se baithkar apna kaam karti hai. Ye dekhkar sab choukte hai. Arjun baat ka pata lagane ke liye Sameer ke paas jaane ki sochta hai par fir nahi jaata, kyunki Sameer uski harkat ke liye uske peeche pad jaayega toh woh directly Ayesha se puchta hai.

Arjun: Ayesha kya hua?

Ayesha calmly jawab deti hai: Sir, Sameer toh office ke baahar hi bhaag gaye. Koi nahi, main ghar jaa kar unhe dekh lungi. Aap tension mat lo, ache se aapka badla lungi. Aur wink karti hai.

Arjun smile karta hai: kya dikh gaya aapko us gadhe mein bhabhi?

Ayesha sigh karti hai: pyaar andha hota haina? Bas usi ki saza hai

Riya un dono ko dekh kar disbelief mein sar hilati hai aur Shree aur Chotu ke saath gappe ladane mein concentrate karti hai. Din khatam hote-hote almost saara paperwork ho jaata hai. Riya ka appointment letter, aur saare legal procedures bhi commissioner ki office se ready hokar pahunch jaate hai. Sameer abhi tak ETF office mein waapis nahi aaya.

Ayesha: baap re! itni jaldi aaj tak koi paperwork complete nahi hua, Riya tum toh expert ho isme

Riya: woh isliye Ayesha kyunki ye saara kaam karne ke liye na mehnat nahi, balki bas organize karke akal use karni padti hai. Ek baar agar sahi tareeke organize kar lo toh apne aap hi sab jaldi ho jaata hai.

Ayesha: sahi hai, par ye sab dekhkar hi mera dimag kaam karna band kar deta. Kaun iske peeche dimag lagayega. Ye kaam na tum karke do hume

Riya smile karti hai: gladly!

Arjun: ab chale? Ghar nahi jaana ? Bhabhi hum aapko chod de?

Ayesha: ha sir, Sameer toh aane se rahe

Sab nikalte hai. Arjun aur Riya Ayesha ko drop karke fir ghar jaate hai. Riya ki khushi toh saatve aasman par hai. Woh bas gungunati hue sab kuch kar rahi hai. Arjun use itna khush dekhkar khud khush hai. Achanak...

Riya: Arjun!!!

Arjun: ha?

Riya(disappointed): humari shaadi?

Arjun use tease karta hai: tumhe badi jaldi hai?

Riya use flatly dekhti hai: theek hai toh phir, 2-3 saal baad karenge!

Aur waha se jaane lagti hai lekin Arjun uske haath pakadkar use apni taraf kheenchta hai.

Arjun(horrified): oh madam 2-3 saal baad ka kya matlab hai? Dekho maine Sakshi par case bhi car diya hai ab tum apni baat se mukar nahi sakti aur...aur us din toh, us din toh tumne mujhse kaha tha na ki hum agle hi din shaadi kar lenge? Toh phir ab kyun?

Riya wounds her hands around his neck: acha? Toh abhi mujhe kyun ched rahe the aap?

Arjun(innocently): woh toh aise hi...(wrapping his hands around her waist and hugging her) main toh kabse tumse shaadi karne ke liye taiyaar hun...tumhe pata hai jis din tum aayi na mere paas, usi waqt man kar raha tha ki tumhe mandir le jaakar tumse shaadi kar lun

It was her turn to tease him now: acha ? toh ki kyun nahi? Maine toh bol diya tha ki main aapse pyaar karti hun. Aur (showing fake disappointment) aapne toh mujhe Sakshi tak samaj liya tha

Arjun: usme meri kya galti thi? Main tumhe kaise expect karta? upar se us chudail ne mera dimag kharaab kar diya tha (he tightened his grip on her) aur rahi baat shadi ki toh woh toh mujhe laga ki main ek hi din mein tumse shaadi kar lunga toh tumhe attack aa jaayega aur fir, un kamino ko pakadna bhi tha na isliye warna tabhi kar leta

Riya giggled: are, so sad!

Arjun touched her forehead with his: toh? Main bichara...kitna control karna pada

Riya: toh ab ho gaya na?

Arjun: ha

Riya: toh kaun bol raha hai control karne ko?

Arjun smiled as he leaned further: koi nahi.

He was about to kiss her when they startled by the ringtone of his phone

Riya(annoyed): aap ghar par aakar phone silent pe kyun nahi rakh dete?

Arjun cursed the caller as he used one hand to fish out his phone: bahot acha idea hai...(looking at the screen) ab Sam ko kya chahiye?

Sameer screams as soon as he picks up the phone: ARRRJJUUUNN!!!!

Arjun takes the phone a little away from his ear: kya hai? Kyun mere kaan ke parde faad raha hai?

Sameer: Main Tere Kaan Ke Parde Faad Raha Hun? SAALE TERI WAJH SE MERI BASI BASAYI GRIHASTI MEIN AAG LAG GAYI HAI!!!

Arjun: meri wajah se? Affair kare tu! Bhabhi ko na bataye tu! Aur galti meri? Bhaad mein jaa!

Sameer: SHUT UP!!! Affair Toh Aise Bol Raha Hai Jaise Shaadi Ke Baad Girlfriends Banayi Ho!!!!!

Arjun: mujhe kya pata? Hum tabhi dost thodi the?

Sameer(incredulously): BLOODY HELL ARJUN!!! DIMAG MAT KHA MERA!!! AUR AYESHA SE BAAT KAR!

Arjun: kyun? Meri baarat nikalne waali hai?

Sameer: SAALE TERI BAARAT TOH TAB NIKLEGI NA JAB MAIN NIKALNE DUNGA!! Ekto Ayesha Ne Mujhe Khaana Nahi Diya! Ghar Ke Baahar Nikal Diya!! Garden Mein Bina Takiye Aur Chaddar Ke So Raha Hun Main!! Itni Garmi Aur itne Machar Hai Yaha!!! Chup-Chap Ayesha Ko Bol Ki Mujhe Ghar Mein Aane De Warna...

Arjun: warna kya?

Sameer: Warna Main...Main Riya Ko Bhadka Ke Teri Shaadi Cancel Karwa Dunga!!

Arjun smile karta hai: theek hai, koshish karke dekh le, mujhe koi farak nahi padta. Meri shaadi toh hokar rahegi. Aur rahi baat Bhabhi se baat karne ki toh teri biwi hai, tu mana. Bahot shock haina tujhe dusro ki privacy disturb karne ka? ab agar ek hafte tak tujhe private time mila toh mera naam bhi ACP Arjun Suryakant Rawte nahi! Ok bye!

Sameer: ARJUN! DON'T YOU DARE HANG UP!!

Arjun ignored his outburst: Have a good night Sam! Macharon ko zyaada tang mat karna!

He hung up before Sameer could say another word.

Riya: Arjun, ab bas bhi kijiye na...

Arjun put his phone on silent and threw it on the sofa: are jaan chodo use!

And without wasting another second, he claimed her lips. She melted into his arms and he picked her up, taking her into the bedroom

Officially The End...

Edited by bloomie - 7 years ago
loveuAriya thumbnail
5th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago
Thank you so much
Great epilogue
Just loved it

Plz do write more
I love your writing style
RainOfDew thumbnail
Posted: 7 years ago
Nice epilogue Sharu
Lol commissioner ki to buri halat thi

Thnx for pm
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 7 years ago
Loved it Sharvi
Awesome epilogue
Chalo good heavens Vishwaas sir ko heart attack nahi aaya.. . Dil mazboot tha unka 😆
Samjun me liye ek line hai Dost jiske tum hue uska dushman jahan Kya hoga 😆
I really loved the gags you use they are too good
Finally Ariya are happy and free
Keep writing
Thanks for the PM
Waiting for more from you dear
ariya143 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 7 years ago
Amazing epilogue..
Thanks for pm dear..
Waiting for u r next work⭐️
ruhi1985sheetal thumbnail
Visit Streak 750 Thumbnail Visit Streak 500 Thumbnail + 8
Posted: 7 years ago
Bechara vishwas ko to kuch samajh hi nahi aa raha tha kaise react kare teeno ki baat sunkar finally Riya ka matter solve ho gaya ab woh fir se etf member ho gai samajh nahi aata kyu sam pange leta hai arjun se Ayesha ne uski band baja di ariya scene lovely fab epilouge dear eagerly waiting for your nxt story thanks for pm
ariyabestfan thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
awsome update

love it..

uff end ho gayi storiy..

I really loved it..

Sam ko maccharo ke Sath chodke Arjun Riya ke Sath romance Kar Raha he lol..

plz do write more..

thanks for pm

Arjunasr thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
The ending is actually very nice. Now Riya is legally alive. And what to say about Sam and Arjun it's difficult to say who teases whom. But Arjun definitely knows how to deal with him. Fantastic update. Thanks for pm.
plmzaq thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
Awesome epilogue
Love it
Beautifully written
Thanks for pm
Tumpa12 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
one of my favourite story
gonna miss it
superb update
loved it
thnx for pm

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

15 days ago

Ayesha Arjun/Ariya OS: Case of the Heart

Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: muskan760

8 years ago

The Wait (Ariya FF) Part-39 Updated (Page-72)

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

6 months ago

Ariya FF: Tera Mera Rishta Purana {Part 12, P. 12}

Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: RiyaA123

11 months ago

Search Help (lost Ariya/Arjun Stories)

Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: bloomie

8 months ago

Ariya The Suspect

hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".