Part 19
In hospital
Doc kavya ko dekhkar ICU se bahar aata hai... Tab sab vaha khade ho jate hai
Riya : doc kavya kaisi hai
Doc : abhi toh thik hai nind ka injection diya hai toh subhah tak nind me rahegi
Arjun : ok doc
Doc vaha se chala jata hai tab rat ke 9 baj chuke hote hai toh vanky kavya ka hath pakad ke baith jata hai arjun riya and all etf gar chale jate hai
Dusre din Doc kavya ko discharge kar dete hai... Kavya jid karke apne gar hi jana chahti hai Doc use 2 hapte bed rest ke liye bolta hai...
Kavya apne gar chali jati hai do hapte ese hi gujar jate hai
Vanky us din bahot khush hota hai par use kya pata apne ko khoke aur bad me aur apne ka khone ka dar...
Isi dar ki vajah se kavya us din early morning commissioner office jake c.s.ke PA ko apni gun batch de deti hai... Aur resign kar deti hai... Aur Mumbai se bahot dur chali jati hai
In morning
In C. S. Office
C.s jab office aate hai to uska PA use gun batch or resignation letter deta hai vo dekhta hai to vo shock ho jata hai...
Vishal : kavya ese kaise kar sakti hai
tabhi vo vanky ko phone karta hai
In Etf office
Vanky ne etf ko dulhan ki Tarah sajake rakha hota hai
Etf me aaj sameer bhi kuch nahi bolta aur vanky ke liye arrangement karvata hai aur hamare ariya to apne romance me busy hai but dono bhi vanky ki Help karte hai
Tabhi vanky ko vishal ka phone aata hai
Vishal : kya kar rahe Ho...
Vanky : kuch nahi kavya ki welcome party or aaj main use propose kar dooga
Vanky bahot khush hai but vishal ko bahot dukh hota hai jiske hone se apna beta itna khush hai but uske na hone se kya hoga ye sochakar use rona aata hai...
Vanky : Dad kuch problem hai kya
Vishal : beta jo main kehna chahta hu uske bad apne aap ko sambhalna
Vanky : Dad kya bat hai aap itne pareshan kyu Ho
Vishal : kavya hame chodkar chali gai usne resign kar diya
Vanky : Dad aap jooth bol rahe Ho na
Vishal : sach me aaj mere aane se pehle kavya ne resign kar diya...
Vanky gusse me apna phone fekta hai aur jor se chillata hai ye sunke arjun sameer bhi vaha aa jate hai puri etf team vaha aa jati hai... Vanky ko ese dekhkar sab shock ho jate hai arjun use sambhalta hai
Arjun : hey vanky kya hua
Vanky tab sadme me hota hai...
Tab watchman andar aata hai aur Ek letter deta hai
Arjun us letter leta hai aur dekhta hai
Arjun : kavya ka letter hai Ye toh
Vanky kavya ka nam sunke arjun se
Vanky : arjun bhaiya kya likha hai isme... Plz batayi Ye na
Arjun samaj jata hai vanky ka behavior ki vajah
Arjun letter padhna suru karta hai...
Arjun :
main janti hu ki jab tak mere jane ki bat aap logo ko pata chalegi tab tak main yaha se bahot dur ja chuki hogi ab main bahot thak chuki hu apne ko khoke... Bachapan me maine apne parents aur apne bade Bhai ko bhi bad main log muje manhoos kehne lage parents bad Mai Maine roshni di ko bhi kho diya jisne muje ma se bhi jyada pyar diya aur parent's ke Jane ke bad vahi thi meri sab kuch meri roshni di...ab main kisi aur ko bhi khona nahi chahti specially vanky ko bahot pyar karti hu main usse apni jaan se bhi jyada vanky ke sath uske parents bhi hai main apne khud ke pyar ki aur selfish nahi ho sakti par ha aap vanky ko bolna ki mujse bhi achhi ladki se shadi Kare... Aur ha aap aur riya di bhi apni life main aage badhna chalo ab main chalti hu... Aur plz aap log muje mat dhundhna...
Aapki choti
Kavya
( arjun kavya ko choti bulata hai)
Vanky ye sunke vahi baith jata hai.
Vanky : kyu kavya tune muje nayi jindgi deke chali gai..
Arjun : shree airport bus station Railway Station sabhi jagah Kavya ka photo dikhao
Precap
6 month leap
Kya arjun vanky kavya ko dhoondh payege ??
Agar doondh liya to kya kavya ko ye ehsas dila payege ki vo mnahoos nahi hai... Uski family aur roshni ki maut ki jimmedar vo nahi hai..??
Kya kavya aur vanky fir mil payege?? Ya inki kahani adhuri rahegi... ::
Chalo aaj ittu sa ab main next part agale Sunday ko doogi
Bye take kare
899