Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 19th Sept, 2025
Nerdtastically Navratri (CC Game, Sign Up Open)
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs SL, 11th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
🏏T20 Asia Cup 2025: India vs Oman, 12th Match, Group A at Abu Dhabi🏏
VICTIM KAUN 🤧 19.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 19, 2025 Episode Discussion Thread
How quickly time changes
Armaan has always been the victim
Anupamaa 19 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 28
Baseer rental house
Appreciation Post for Ruheen
Deepika starts shooting for King
Happy birthday Namik Paul❤️🔥🩷
New pic of Katrina who is very pregnant
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 20, 2025 Episode Discussion Thread
Now Nag Ashwin takes a dig at Deepika for the Kalki mess
Aneet replaces Kiara in Shakti Salini
Singer Zubeen Garg Passes Away
Anupamaa 20 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Sameer: tum? Tum toh wahi ho na?...tumhe underworld mein Katta bhai bulaate the sab, tum underworld ke sabse bade weapons supplier the?
Admi: ha...
Sab Arjun ko shock ke saath dekh rahe hai
Arjun: kya?
Sameer: tum...ek criminal se madad le rahe ho? ETF ke itne bure din bhi nahi aaye hai!!
Arjun: tumhare paas aur koi option hai?
Sameer: lekin...
Ayesha: Sameer cut it!! Hum illegally operate kar rahe hai, ek illegal aur unofficial mission par hai aur apko ek arms dealer se guns lene ki sharam aa rahi hai?
Sameer: dono cheezon mein farak hai Ayesha! Ek criminal se guns lena ka matlab smuggling ka case...
Ayesha: fine!! Aapko nahi leni hai mat lo...hum sab le lenge...(Katta se) bhaiya zara guns dikhao
Sameer use unbelievable look deta hai, Arjun victory smile ke saath Sameer ko dekhta hai...Katta bag Kholkar apni saari guns display karta hai...baakhi ki team bhi guns dekhne aur select karne mein lag gayi
Riya: aisa nahi lag raha ki hum sab shopping kar rahe hai?
Sameer snap karta hai: illegal shopping!!
Chotu(whisper) : woh bhi muft ki!!
Sab apni hasi control ki koshish karte hai
Arjun bhi guns dekhne mein lag jaata hai, Sameer ko bhi chahiye lekin abhi bhi uska conscious bich mein bol raha hai...woh apne aapse hi lad raha hai...use pata hai ki yeh galat hai par koi option nahi...agar usne gun nahi li toh usiki band bajegi aur fir Arjun ko use taana maarne ka ek aur mauka mil jaayega...finally
Sameer sigh karta mv " mujhe yakeen nahi ho raha ki main yeh kar raha hun"
Woh bhi aage jaakar table par se ek gun uthata hai, sab use dekh kar smile karte hai
Sameer: Katta agar yeh banduke Made in China nikli na toh main...
Katta: toh aap mujhe zameen ke 20 feet niche zinda gad denge bina coffin ke aur keede-makode aakar mujhe kha jaayenge...yahi na? Arjun saab already bol chuke hai
Sameer Arjun ko questioning gaze se dekhta hai, Arjun wink karta hai
Sameer: ha, woh toh Arjun karega hi, lekin usse pehle main tujhe peepal ke ped se ulta latka kar itna marunga ki teri cheekhein sunkar waha ke bhoot bhi bhag jaayenge
Katta zyaada choukta nahi hai, use aisi dhamkiyon ki adat hai aur waise bhi Arjun use achese sab kuch samjha chuka hai
Katta: ji saab, aap fikar mat karo, yeh Katta bhai ki guarantee hai!
Sameer nod karta hai
Sab apne liye apne hissab se guns select karte hai aur extra magazines stock karte hai...Arjun Katta ko apna muh band rakhne ke liye paise deta hai aur Katta chala jaata hai
Shree: waise sir ye Katta toh kaafi time se gayab tha na? aapko kaha mila?
Arjun: maine hi use pakda tha, lekin jail se bachne ke liye woh sarkari gawah ban gaya...usne apna dhandha band kar diya tha...ab mere kehne par hi uske apne purane contacts use karke hume supply di hai
Riya: hmm...aur koi mujhe criminal keh raha tha
Arjun: are! Sorry bola na ek baar
Riya aakhein badi karke use dekhti hai, Arjun aas paas dekhta hai, sab shock ke saath use dekh rahe hai...dekhe bhi kyun na Arjun Rawte aur sorry? Combination suit nahi hota...
Sameer use chidata hai: are waah! Mujhe nahi pata tha tum mein itni manners hai...kaha se sikhi?
Arjun use glare karta hai: jaana nahi hai... Sam...my?
Sameer fir Sammy se irritate hota hai aur glare karte hue order deta hai: Let's GO!!!!
Aur woh baahar chala jaata hai, Arjun aur team follow karti hai, piche
Sakshi(whisper): waise Riya...Arjun sorry ke ilawa aur kya-kya kehta hai tumhe?
Riya koi reaction de use pehle
Ayesha: Sakshi! Yeh koi waqt hai kya yeh sab sochne ka?
Riya relieve hoti hai
Liza: aur nahi toh kya? Yeh sab case ke baad haina Ayeshu?
Ayesha: ha! Full detail aur fursat mein
Riya: mujhe laga tum dono meri side par ho lekin nahi...kismat hi kharab hai...huh!
Aur aage jaati hai, uske piche teeno ladkiyaan haskar hi-fi leti hai...
Arjun ke phone mein message beep karta hai - Best of Luck!
Sender - Riya
Arjun ke chehre par smile aati hai
Puri team Carter road pahunchti hai, car thodi dur park karke, sab apni guns load karte hai, aur ready hokar stealthily apne target ke paas jaate hai...
Gautam ke ghar par Swami aur woh uske study mein baithe hai
Gautam: news kya hai?
Swami: waqt aa gaya hai...ETF ki barbadi ka
Gautam smile karta hai: aaj ki raat unka khel khatam ho jaayega
Swami: aur humari jeet ki shuruwat hogi
Dono haskar glasses klink karte hai
Dusri taraf Farmhouse par -
Farmhouse ke paas koi watchman nahi hai, surrounding walls par 4-5 night lamps hai jo chalu hai, unki wajah se zyaada andhera nahi hai, chaaro taraf silence hai, koi pata bhi hil nahi raha hai
ETF ghar ki taraf dheere- dheere jaati hai, lawn mein aakar Rathore sab ko split hone ka ishara karta hai, sab spread hokar ghar ko surround karte hai...ek - ek ko silent karke woh log charo taraf se aage badhte hai...
Sameer aage se jaata hai, Arjun ek pipe chad kar upar se jaa raha hai, Shree aur Chotu back door se, Riya aur Liza left side ke kisi room ki khidki se aur Ayesha aur Sakshi right side se...
Andar ghuste - ghuste woh log firse saath mein ho jaate hai, surprisingly waha unhe zyaada security nahi milti hai, aur nahi aisa kuch jisse aisa kuch jise evidence kaha jaa sake, par fir bhi woh log aage badh rahe...
Tabhi ek room ki light on hoti hai, Arjun aur Sameer gun point karke aage bad rahe hai, piche team unhe cover karke support de rahi hai, darwaaza thoda khula hai, Arjun Sameer meaningful glances exchange karte hai, Arjun dheerese darwaaza kholta hai...
Andar centre mein ek recliner mein koi baitha hua hai...kaun pata nahi chal raha hai, team bhi room mein enter karti hai
Sameer: tumhara khel khatam!!
Recliner par baitha insaan smile karta hai...woh uthte hue turn karta hai aur tab sabko dikhayi deta hai...
Ladki: welcome! Main toh aap hi ka intezaar kar rahi thi
Ek Ladki ko waha dekhkar sab choukte hai
Sameer(confused): kaun ho tum?
Ladki: are, Rathore sahab mujhe toh laga tha ki aapki Yaadasht achi hogi lekin...
Arjun: Shahana!!!
Shahana pleased feel karti hai: see! Aapke dost ko main yaad hun...(Arjun ki taraf dekhkar) smart boy! (Rathore se)...seekho isse kuch!
Sameer: apni bakwas band karo! Aur chup - chap apne aapko humare hawale karo!
Shahana hasti hai: Mr. Rathore... Aapko sach mein lagta hai ki main? Shahana...Rana ki beti Shahana? Surrender karungi? Kya kehte hai use?... ha aatmsamarpan ...you really think so?
Team glances exchange karti hai, ab tak sab samaj gaye hai ki Shahana ke dimag mein kuch chal raha hai...woh log alert hokar apni surroundings observe karne ki koshish karte hai
Shahana: well! If you do so...toh... I must say...ye aapki galat fehmi hai, kyunki surrender karne ki naubat toh aap logo ki aane waali hai
Ayesha: 8 banduko ki nok par tum khadi ho aur challenge hume kar rahi ho?
Shahana: challenge? Nahi toh...main toh prediction kar rahi hun...challenge karne ka kaam toh aap logon ka hai, tabhi toh...har baar...baar - baar...aap log mere aur mere business ki success ke bich aa jaate hai
Liza: ulte kaam karogi... toh rokne waala bhi aayega
Shahana: hmm... I guess you are right, lekin kya haina...mujhe rukavate nahi pasand aur aap log mere raaste ke sabse badi rukavat ho toh...ab baakhi kaanton ki tarah aapko bhi ukhad fekna padega mujhe...
Sameer: hume ukhadne ke sapne bahot logon ne dekhe hai Miss Shahana lekin aaj tak woh khud hi ukhad gaye hai...toh ab...baari tumhari hai
Shahana: Mr. Rathore...aap dhyaan nahi de rahe hai meri baton par
Sameer questioning look deta hai
Shahana: maine kaha na main aapko...baakhi kaanton ki tarah ukhad fekungi, kyunki kya haina? Main dusro ki tarah bevkufiyaan nahi karti...aaj tak aapke paale kayi log pade honge lekin main nahi...aur jisse mera saamna hua hai, woh achese jaanta hai ki main kya kar sakti hun (Arjun ki taraf dekhkar) kyun Mr. Rawte, yaad hai? pichle baar kya hua tha?
Arjun ko Roshni ka khoon yaad aata hai
Flashback
Roshni gayab ho gayi ye baat sunkar Arjun ka haal behaal ho gaya tha...woh har jagah use paglon ki tarah dhundh raha tha...issi bich use ek phone aata hai
Arjun: ACP Arjun Suryakant Rawte!!!
Ek ladki ki awaaz: pata nahi hota toh phone nahi karta ACP sahab
Arjun alert hota hai: kaun ho tum?
Caller: main kaun hun yeh chodiye...agar apni biwi ko firse dekhna chahte ho toh Dockyard ke 4th warehouse mein aa jao warna...
Arjun becomes furious: YOU BITCH!!! AGAR USE HAATH BHI LAGAYA TOH MAIN TUJHE CHODUNGA NAHI!!!
Caller sirf haskar phone kaat thi hai
Arjun uski batayi hui jagah par pahunchta hai, waha Roshni gundo ke bich hai, warehouse mein andhera hai, Roshni use dekhkar relief mehsoos karti hai woh uski taraf bhagne ki koshish karti hai par koi use aage nahi jaane deta
Arjun: Roshni!!
Roshni(rote hue): Arjun!!
Roshni ko is tarah dekhkar Arjun ke dil mein dard hota hai, dono sirf ek dusre ko dekh rahe hai...itne mein koi Arjun par attack karta hai, Arjun counter karne waala hai tabhi
Ek admi ki awaaz: koshish bhi mat karna ACP warna teri biwi...(aur Roshni ke gale par ek chaku aata hai, woh abhi bhi andhere mein khada hai)
Arjun ruk jaata hai
Admi: maaro ise!!
Roshni: nahi!!...Arjun...
Teen chaar admi Arjun ko peetne lagte hain, use chain se bandhkar, rod se, aur haathon se maarne lagte hai, aur Arjun chah kar par bhi kuch nahi kar paata hai, woh Roshni par ek kharoch bhi bardaasht nahi kar sakta isliye chup - chap sab seh raha hai
Udhar Roshni apne Arjun ko is tarah dekh kar ro rahi hai, chilla rahi hai par uski cheekhon par taras khaane wala waha koi nahi hai...
Arjun adhmara ho jaata hai, hilna toh dur ki baat hai woh theek se apni aakhein tak nahi khol pa raha hai, woh Admi apne admiyon ko rukne ka ishara karta hai aur Roshni ke gale se chaku hatatha hai, Roshni bhag kar Arjun ke paas jaati hai aur uska haath pakad kar use hug karti hai...
Uske aakhon se aansu beh rahe hai: Arjunnn!!!
Arjun(bahot weakly): Rosh... Tum...the...ek...h...ho...n...a
Roshni kisi tarah nod karti hai, aur use uthane ki koshish karti hai...
Itne mein piche se woh admi aata hai: dekha ACP main itna bhi bura nahi hun...maine tumhe apni biwi se aakhri baar milne diya,
Arjun aur Roshni dono confuse hote hai lekin usse pehle woh Admi Arjun ke haath ke tattoo par chaku maarta hai
Roshni: Arjun!!!...nahi...
Woh protest karne ki koshish karti hai lekin agle hi pal woh Admi usse kheench kar Arjun se dur karta hai, Arjun ka haath zameen par gir jaata hai
Admi: Sikandar se takraane ka yahi anjaam hota hai. aur Roshni ko stab karta hai
Arjun: ROSHNIII !!!!!!!!!!
Aur Roshni niche gir jaati hai, woh apna haath aage badhane ki koshish karta hai, Arjun bhi par isse pehle ki unke haath mil paaye...the light leaves her eyes...forever!!!
Flashback Ends
Arjun ka khoon khaulne lagta hai
Shahana: us waqt bhi yahi hua tha...tum gun lekar aaye the...aur fir...fir tumhari sweet si wife ko chodkar chale gaye...humesha, humesha ke liye
Arjun gusse se laal ho jaata hai: YOUUU!!!! Aur apni gun load karta hai...shoot karne waala hai par...
Pichese koi uske sar par point karta hai: Don't You Dare!!!
Use dekhkar sabke pairon tale zameen khisak gayi: SHREEE!!!!!!!!
Shree: Shree nahi Saddam!!
Koi bhi kuch samajne ke state mein nahi hai
Shahana hasne lagti hai: kamaal kar diya bhaiya aapne! Itne saalon se sabke bich rahe aur kisi ko bhanak bhi nahi lagi!!
Saddam evilly smile karta hai...
Now...Now, My memory is good. I never said there are two traitors or that its a girl now, did I?...NO!!!
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
161