
In Panchgani..
Arjun: Shree ye sab accurate hai na..
Shree: Haan sir.. Ayesha, Roshan, aur Riya teeno Naina Mukherjee ke bacche hain.. Patha nahi Ayesha aur Riya hamse ye baat kyun nahi bathayi.. i mean aapko aur Rathod Sir ko chod ke.. mein aur chotu tho unke bahut kareeb dost hai.. woh humse kabhi bhi nahi kaha hai.. woh tho aise behave karthe the jaise they have met first time in the ETF..
Arjun: Aur kuch patha chala..
Shree: Haan Sir.. Yahan Orphanage ke alava.. yahan par ek strawberry farm aur jam factory hai.. aur ek school jo ki fifth standard thak hai aur ek bada sa ghar hai.. ye sab ye teeno ke naam pe hai.. but Farm aur jam factory Riya ke naam par hai.. yahan ka poora property kuch crores mein hai.. aur kuch legal problem bhi chal rahi hai..
Arjun: Legal problem..?
Shree: Haan.. sir.. Actually Riya ke dad Mumbai mein ek factory mein manager the.. wahan par accountant kaam karne wali Naina Mukerjee se pyar hua aur shadhi huyi hai, but Riya ke dad ke parents ko ye manzoor nahi tha, so they have broken all relations with Riya's parents.. Riya ke dad Mumbai mein kaam chod ke panchgani mein Riye ke naam pe strawberry farm mein invest karke business start kiya tha.. aur woh dheere dheere business badathe gaye aur phir woh business acchi chal rahi hai.. yahan ka number one jam factory hai.. aur unhe har baar Mumbai se Panchgani travel karna padtha tha.. tho woh weekends pe Mumbai athethe.. unhone yahan par ek ghar liya tha so that they can settle here.. but there were so many memories related to their Mumbai house for which they dint want to move permanently.. lekin jab Riya 2 saal ki thi.. uski birthday ke 2 din pehle unka yahan par kuch zaruri kaam ke liye aana pada.. tho woh Mumbai se Panchgani jaathe waqt unka accident hogaya aur unki death hogayi thi..
Arjun is shocked by this revelation.
Shree: Arjun sir.. aap sun rahe hai na..
Arjun: Haan Shree..
Shree: Riya ke dad ke death ke baad.. Riya ke mom yahan ka business sambal liya aur yahan par orphanage aur school start kiya tha in the name of Aashiyana.. Lekin Sir mere dimag mein ek baat katak rahi hai..
Arjun: Woh kya hai Shree..
Shree: Sir jab humne Ayesha aur Roshan ka birth certificate check kiya tha.. wahan par Roshan ki mom ka naam Naina Sharma tha aur Ayesha ke parents ka naam Romesh Kapoor aur Jassi Kapoor lekin guardian ka naam Naina Mukerjee.. ye baath muje samaj mein nahi aarahi rahi hai.. meine iske baare mein patha lagane ki koshish ki hai.. par yahan par sab kahthe hai ki ye teeno sagge bhai behen hai..
Arjun: Ye jaane ke liye hame Orphanage jaana padega.. wahan par hi sab kuch patha chal saktha hai..
Shree: Ek aur baath Sir.. Yahan ke poori property Ayesha ke naam par hai.. I mean jo bhi teeno ka hai uska power of attorney Ayesha hai.. Lekin Factory aur farm Riya ke bachpan mein hi uske dad ne uske naam registered kardiya tha.. lekin 4 saal pehle Naina Mukerjee ke death ke baad patha chala ki unhone Riya ka property ka power of attorney Ayesha ko diya hai..
Arjun (shocked): What..?
Shree: Haan sir.. Yahan ka hi nahi.. jo Mumbai mein ghar hai.. woh bhi Ayesha ke naam par hai.. mera matlab.. woh ghar teeno ke naam par hai, but power of attorney Ayesha ke naam par hai..
Arjun recollects all the words, which Sameer said about Ayesha to him in the hospital..
ye woh insaan hai jisne Riya ko apne godh me bitha ke khana khilaya hai.. ye woh insaan hai jise Riya apni himmat maanthi hai jab bhi usse andere se darr lagtha tha.. ye woh insaan hai jiski stories bina sune Riya ko neend nahi atthi thi.. Ye woh insaan hai jo Riya ko kelthe waqt usse chot lagne se pehle hi bachalethi thi.. ye woh insaan hai jise Riya apne maa se bhi zyadha maan thi hai aur pyar bhi karthi hai..
He comes out of trance when Shree calls him..
Arjun: Ye legal problem kisliye chal rahi hai..
Shree: Sir.. Jab Riya ke dad ne factory shuru kiya tho chota sa tha.. but dheere dheere woh badhta gaya aur bada si factory aur yahan ka number one factory bangayi thi.. tho jab Riya ke dad ki death huyi.. tho unke cousins ye factory aur unki poori property hadpana chaha.. unhone petition diya hai ki uss factory mein unka hissa bhi hai jabki woh factory poora ka poora Riya ke dad ne apne balbuthe pe khada kiya tha.. Aur woh log Riya ke mom ko bahut presurrize karthe the.. aur jab Riya ki mom ki death hogayi thab unhone socha ki unhe sab kuch easily miljayegi kyunki Riya was the only heiress of the property.. but Riya's mom gave all the power of attorney to Ayesha.. which was a shock to them.. woh ye kahke court mein petition diya ki Ayesha is not blood related, so how can the property be in her name..
Shree: Aur Sir.. yahan par Ek Hospital hai.. NewStart jo ki Psychiatric hospital hai aur pichle do saal se Riya apni depression ki treatment kararahi hai..
Arjun is shocked to the core..
Arjun (angrily): What.. ? Kya kah rahe ho tum Shree. Tumhe patha bhi hai kya ki tum kya kah rahe ho..
Shree (gets scared seeing Arjun's anger): Sir.. meine wahi bola hai jo muje patha chala.. agar aapko yakeen nahi hotha tho.. ye dekhlijiye.. ye hai Riya ke treatment ka file ki copy which I bought from there..
Arjun snatches the file from Shree's hand and sees the content.. he is shocked to know how much Riya has suffered..
Shree: Sir.. Riya ithna depression mein chaligayi ki woh kisise baath nahi karthi thi.. kisise bhi nahi milthi thi.. she used to shut herself in a room aur kabhi kabhi apne aap ko hurt karlethi thi.. tho usse is liye yahan par thode dino ke liye is hospital mein admit karna pada.. aur ye doctor wahi doctor hai jisne Riya ko bachpan mein treat kiya tha..
Arjun: Matlab.. kya hua Riya ko bachpan mein..
Shree: Sir.. woh apni dad ka mouth ko bardash nahi kar payi thi aur woh shock mein chaligayi thi.. jab uski mom Mumbai chod ke yahan par aagayi.. she got Riya admitted in the counselling center..
Arjun: Shree.. muje thodi der ke liye akela chod do.. hum baad mein milthe hai..
Shree leaves to his room..
While leaving Arjun calls Shree..
Arjun: Shree.. tum mujese kuch bhi nahi poochna chahthe ki aisa kya wajah thi ki Riya all of sudden Mumbai chodke chaligayi..
Shree: Sir.. sach kahun tho.. muje kahin na kahi lag raha hai ki wajah aap hi honge.. kyun ki jabse Riya chaligayi tabse aapki aur Rathod sir aur Ayesha ke beech tension chalrahi hai.. but mein aap se kuch bhi nahi poochunga.. kyun ki meine dekha hai in do saalon mein Riya ko kithna miss karthe the.. usse doonde ke liya aasman zameen ek kardiya tha.. haan Riya ke best friend hone ke naathe mein aapko kabhi bhi maaf nahi karsaktha hoon, but ek normal insaan hone ke naathe mein aapko maaf kartha hoon kyunki meine dekha hai ki aap Riya se kithna pyar karthe hai.. aur appse zyadha pyar karne wala Riya ko mil hi nahi saktha.. mere bas mein jo hai woh mein karunga app dono ko milane ke liye.. but i want a promise from you.. that you wont hurt Riya again.. and u will love her your entire life and give her all the happiness she deserves..
Arjun: Mein tumse wadha kartha hoon Shree.. ki mein Riya ko woh sab kushiyaan doonga jo woh deserve karthi hai..
Shree: Thank you sir.. mein chaltha hoon.. aap thoda rest keejiye.. hum sham mein milenge..
Saying this Shree leaves to his room..
Arjun is lost in his thoughts thinking that he does not know anything about Riya's life until he came here.. but Riya knows each and everything about his life like an open book.. he is cursing himself for not knowing anything about herself.. but also thinking why Riya has not shared anything about her life..
Arjun (self talk): Kya meine Riya ke baare mein jaane ki koshish bhi nahi ki ya kuch aur baath hai jo Riya mujse apni life ke baare mein share nahi kiya hai..
669