awsum update di...
loved it
cont soon
srry 4 late reply...
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 6th Sep 2025 - WKV
GEETU vs MAIRA 5.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 06 Sep 2025 EDT
Maira Armaan Poddar
Alia is new global brand ambassador of Levis
Happy Ending Kumkum Bhagya
Priyanka actually deserved more from BW. Robbed twice!
CALL FROM CELL 6.6
23 years of Dil Hai Tumhaara
A clean-shaven Ranveer spotted at the airport
Abhishek is annoying
SRKs looks for King
Saiyaara: a movie which will forever remind me of love
Are they planning to end YRKKH with this generation?
Look Out Circular For Shilpa Shetty Raj Kundra
💕💜Somewhere Over the Rainbow #43 With Prats in our hearts 💜💕
Baaghi 4 crashes on Saturday
Generation 5:A new chapter in Yrkkh
Originally posted by: SanaHolic
part 10..
awsum update di...
loved it
cont soon
srry 4 late reply...
Chapter 11
Flashback end:
Jab soorj ki roshni arjun per padhi...tab use ehsaas hua ke subha ho chuki hai...wo aese hi poori raat balcony main khada raha..or use tab aehsas hua ke wo andheri raat kab ki guzar chuki hai or ab bas roshni hi roshni hai...riya ke pyar ki roshni
...
Morning nani's room :-
Nani jab uthti hai to riya bed per nahi hai...wo idher udher dekhti hai to riya balcony ke couch per so rahi hai...wo uth ker uske paas jati hain or uske ser per haath rakhte hue...
Nani: (bht pyaar se) riya...jaani utho..
Riya: (soote hue) hmmm
Nani: jaan utho or bed per ja ker so
Riya: (aankhe khoolte hue) nahi nani...ab or nahi soona ...bas abhi uth rahi hun...jana hai aaj school
Nani: school???lekin tumne to leave le thi na...
Riya: haan nani li to thi..magar wo jo case chal raha hai uske silsile main aaj saari teachers ko boolaya hai ...meeting hai
Nani: theek hai beta..main bathroom ready ker deti hun
Riya: nahi nani aap rehne do ..radha ko kehdo wo ker degi
Nani: main nashte per wait karungi jaldi aana
Riya: nani main bas aarhi hun or aaj mera man hai kuch banana ka
Nani: lekin beta is halat main
Riya: plz nani...aap kuch bhi nahi kerne deti ho ...plz bas aaj ke liye ..promise kal se kuch bhi nahi karungi..
Nani: pakka promise???
Riya: (nani ko hug kerte hue) ji nani pakka wala promise
Nani: theek hai...
Or riya nani ke room main se apne room main chali jaati hai ..or jaate hue ye poora dhiyaan rakhti hai ke use arjun na mile...wahin dosri taraf arjun ke room main..
Arjun: mujhe kese na kese ker ke riya se baat kerni hi hogi...main janta hun riya meri shakal bhi dekhna nahi cahti...magar main haar nahi maanu ga ..mujhe riya se baat kerni hi hogi...magar mujhe isse pehle ye jannna hai ki mere aane ke baad hua kyat ha...or riya yahan panchgani main kese...radha to mujhe kuch bhi nahi bataye gi..to phir kisse poochun...haan kaka...kaka se poochta hun
Or arjun jaldi se fresh ho ker room se bahar aata hai or sidha kitchen ki taraf jata hai...riya tab tak breakfast bana ker wapis apne room main chali jaati hai...wahan kaka akele hain ..or arjun kaka ke paas jaate hue..
Arjun: (pair choote hue) good morning kaka
Kaka: (ashirwad dete hue)jeete raho sahib
Arjun: kese hain aap
Kaka: main theek hun sahib
Arjun: kaka mujhe jaana hai ke mere aane ke baad kya hua?
Kaka: kya karenge sahib aap janker jo hoona thaw o to ho gaya
Arjun: plz kaka aesa mat kaho...plz mujhe jaana hai ke kya hua tha...plz kaka
Kaka ne arjun ko sab bata diya jo jo hua tha uske aane ke baad
Kaka: sahib...riya bitya ne bht kuch saha hai aap ke aane ke baad...bht mushkil se sambhala hai us bechari ne khud ko...(haath joodh te hue)..aap ko bhagwaan ka wasta ab us bachhi ko doobara choodh ker mat jana...
Arjun: (unke haatho ko thaamte hue) nahi kaka..ab main riya ko doobara choodh ker kahin nahi jaun ga...pehle main majboor tha kaka...lekin ab maine jana hai ke main uske bina ek pal bhi nahi reh sakta...chahe kuch bhi jaye...chahe is baar jaan hi kyun na chali jaye..main usko apne aap se door nahi hone dunga..
Or arjun foorn wahan se chala jata hai...lekin dono is baat se bilkul anjan the ki koi teesra unki baate sun raha tha
Nani: (kitchen main aate hue)ramesh nashte ki tayyari ho gayi...or ye radha kahan hai
Kaka: ji malkin bas table set kerna hai..or radha to bitya ke saath hai
Nanai: table set kerke sab ko nashte per bula lo
Kaka: ji malkin
Jab riya aati hai to sab dinning table per hai..bas uski chair khali hai or arjun bhi kahin nahi hai... riya chup chap jaker apni chair per baith jaati hai..or tabhi uske baraber main arjun aaker baith jata hai...wo uthna cahti hai magar arjun uska table ke neeche haath pakadh leta hai...or riya apni jagha per ek dum sun ho jaati hai..kitne din baad usne arjun ka ehsaas apne wajood per mehsoos kara tha... kitna tarsi hai wo is ehsaas ke liye...or arjun ki halat bhi bilkul riya jesi hai...use bhi ek androoni sukoon mila hai riya ke qareeb aaker...wo kitna tarsa hai is khushboo ke liye...
Arjun: plz mat jao (riya ke kaan main bht aram se kehte hue..aese ki kisi ko pata na chale)
Or riya ek jhatke se apna haath arjun ke haath se chooda leti hai
Nani:arre arjun beta ..aap ki plate to khali hai..radha arjun ko serve karo
Radha: ji
Chuto: waah aunty nashta to bht hi tasty hai(uska moonh or plate dono poori se bhare bhue hain)
Sameer: chuto moonh band ker ke khao..wese nani nashta sach main bht tasty hai
Nani: thank u beta
Chuto: (shree ke kaan main) dekha maine boola to mujhe chup kara diya..or khud jo bool rahin hai mera hi dialogue
Shree: (chuto ke kaan main)chup ker ke khaale chuto ..warna to jitna bhi khaa raha haina iske qabil bhi nahi rahe ga...samjhe ya samjhaun
Chuto: dammit..
Liza: arre sakshi tum kuch kyun nahi khaa rahi ho
Sakshi : (moonh banate hue) kitna oily khana hai..main ye sab nahi khati
Ayesha: sakshi agar tumhe khana nahi hai tomana ker do...magar aese kuch bhi mat bolo...or wese bhi ye kahan to itna tasty hai ke mujhe to puri recipe chahiye iski..ok nani
Nani: ok beta...lekin recipe to tumhe riya hi de sakti hai...kyunki ye sab usne hi banaya hai...or sakshi beta koi baat nahi aap kuch or khaalo
Sakshi moonh banake oats khaane lagti hai...or Ayesha to bas riya ki cooking ki deewani ho gayi...
Arjun: (riya ke kaan main)... main to pehle se hi janta tha jaan ye sab tumne hi banaya hai..khushboo se hi samajh gaya tha main
Riya arjun ko ghoor ker dekhti hai or wahan se uthne lagti hai...
Nani: arre beta ye kya tumne to kuch bhi nahi khaya
Riya: wo nani maan nahi hai..aagr kuch khaya to vomit ho jaye gi
Ayesha: koi baat nahi riya mere saath bhi aesa hi hota tha...lekin is terhaan se khaali peet bhi nahi rehna chahiye...aesa karo tum juice pee lo...
Nani: beta ..ayesha sahi bool rahi hai tum juice pee lo
Riya: magar nani
Nani: agar magr kuch nahi ...arjun beta wo juice ka jug dena
Or arjun jo riya ki condition dekh ker pehle hi bht sensitive hai foorn juice glass main nikal ker riya ko deta hai..or riya bilkul bachho ki terhan
Riya: plz nani mujhe juice nahi pee na
Nani: (thooda sa gussa hote hue) koi emotional blackmailing nahi chalegi riya...arjun beta aap riya ke paas baithe ho isse juice peelao
Arjun: (bht aaram se itna ke sirf riya hi sun sake ) jaan plz pee lo...plz
Riya bas use gheer ker dekhti hai...or arjun ke haath se glass le leti hai..or eke k sip ker ke peene lagti hai
Sameer: guys agar sab ka ho gaya ho to chalen case abhi bhi hame hi solve kerna hai
Nani: sameer beta ek request hai
Sameer: ji nani kahiye
Nani:agar aap sab ko koi problem na hoto aap loog jab tak yahan hai hamare saath reh sakte hain
Sameer: thank u so much nani...lekin hum loog itne saare hain ..or hamara kaam bhi bht alag hai...late night tak jagna..kisi bhi waqt ana kisi bhi waqt jana or pata nahi hame yahan kitna time lag jaye...aap ko bina wajeh pareeshani ho jaye gi..
Nani: is main pareshani wali koi baat nahi hai beta...itne bade ghar main hum bas do loog hi rehte hain or poora ghar khaali...agar aap loog yahan ruken ge to muje bht khushi hogi
Ayesha: magar nani ..hum sab
Nani: (cut her in mid) bas ye final hai aap loog yahan ruk rahen hain
Sameer: ok nani...chalen team
Or arjun uski to mano wish poori ho gayi..or wo riya ko pyaar bhari nazro se dekh ker chala jata hai lekin wo ye nahi jaanta hai ke koi hai jo use dekh raha hai...
At school:-
Sab teachers haal room main hainor sab ke saath discussion chal raha hai...wahan riya bhi hai...or arjun ko itna professionally kaam kerta dekha use khushi bhi hai...lekin afsoos bhi hai..ke arjun ne use jhoot kaha tha apne bare main...or arjun uski nazre baar baar riya ki taraf ja ker ruk rahi hain
Arjun: (in mind) ye colour riya per hamesha se hi achha lagta hai..or ye aaj bhi kitni haseen hai..bilkul taaze gulab ki terhan...ek dum pure ek dum fresh...mujhe maaf kerdo jaan plz plz mujhe maaf kerdo
Sameer: arjun...arjun...ratwe(bht zoor se)
Arjun: (chaunk te hue) haan ...kya hai..
Sameer: kahan khooye hue ho...yahan important meeting chal rahi hai or tum...kab se tumhara phone baj raha hai gar sunna nahi hai to band karo isse..(bht ahista se use scold kerte hue)
Arjun: (irritate tone) janta hun important meeting hai..batane ki zaroort nahi hai...(or apna phone check kerta hai or number dekhte hi excuse kerke bahar chala jata hai)
Arjun: hello...ji...theek hain main bhi aata hun..
Sameer ko phone ker ke inform kerta hai
Arjun: sam main important kaam se kuch deer ke liye bahar jar aha hun..
Sameer: lekin arjun ye meeting important hai is case ke liye
Arjun: aa to raha hun ..thodi deer main..kahin bhaga nahi jaa raha
Or phone cut kerke wahan se foorn chala jata hai
Sameer: dammit
(Ab arjun ko kis ka call aya or wo kisse milne gaya ye main aap sab ko baad main batayun gi)
Arjun jab wapes aata hai to wo bht khush hai...itna ke uske face se andaza lagaya ja sakta hai ke uske upper se kitna badha bhooj utra hai...
tbc
superb. thanks for pm.
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
What will happen when Arjun and Riya works with cid team.
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
722