Chapter 5
11:30 pm
Gulmarg Kashmir
Riya apne room main lethi hui neend ka intazar ker rahi hai... magar lagta hai ke aaj uski neend use rooth gyi hai..to wo uth ker apna fav. Novel padhne lagti hai...wo full concentration se novel padh rahi hai tabhi...main door per bht zoor se dastak hoti hai...wo dark e mare uth ker baith jaati hai..
Riya: is waqt kaun ho sakta hai..
Wo kuch minute wait kerti hai..
Riya: lagta hai mera waham tha..aaj sardi bhi to bht hai...shayad hawa ki awaz hogi..
Wo phir se bed per laithne hi waali hoti hai tabhi phir se dastak hoti hai..is baar bht zoor se..koi bht zoor zoor se main door knock ker raha hai...
Riya: radha..radha(apne room se darte darte bahar aate hue)ra..(dobara phir knock hota hai)
Radha: kya hua didi(beechari itni neend main hai ki aankhe bhi nhai khool paa rahi ) kuch chahiye aap ko...
Dobara phir zoor se knock hota hai..
Radha: didi (dar ker apni poori aankhe khool leti hai)
Riya: jao..ja ker dekho gate per kaun hai
Radha: nahi didi main nahi jaun gi mujhe dar lag raha hai
Riya: (darte hue) kya bachho ki tarhan dar rahi ho gate kholo jaa ker
Radha: nahi didi.. main nahi khulun gi ..agr wo hua to(bht zyada darte hue)
Riya: ka..kaun(haklate hue)
Radha: vaaampireee(bht halke se)
Riya: pagal...wo real nahi hote..
Phir zoor zoor se knock hota hai gate per..or dono ki chinkh nikal jaati hai..or dono dark e mare ek dosre ka haath pakh leti hain
Riya: (himmat ker ke) achha theek hai main dekhti hun kaun hai..
Radha: didi main aap ke peeche hi hun aap darna mat ok..
Riya radha ko ghoorte hue aage badhti hai or gate khoolti hai..
Riya: hai bhagwaan(bht zoor se)
Radha: kya hua didi vaaampireee haina chalo chalo jaldi se darwaza band kardo...
Riya: shut up radha..yahan aa..dekh ye aadmi kitna zakhmi hai..
Riya jab door khoolti hai to wahan per koi hai job ht hi zyada zakhmi halat main hai...saare badan per wounds hai or goli bbhi lagi hai..beechari riya itna khoon dekh ker bht dar jaati hai..
Riya: radha jaldi aao inhe uthne me madad karo..(uske gaalo ko halke se thp thpate hue) sunye apni aankhe kholye..radha wahan kyun khadi ho yahan aao..hai bhagwaan ye kiyne zakhmi hain
Radha bhaag ker riya ke paas aati hai..or dono mil ker use uthane ki koshish kerti hain..magar woe k inch bhi nahi hilta..
Riya: radha jao...quarters me se kaka ko bula ker laao wo madad karenge hamari..jao jaldi jao..
Radha foorn quarters ki taraf bhaag ti hai..or riya jaldi se pani black shawl utaar ker us admi ko cover kerti hai..lekin uska haath ghalti se uske wound per lagjata hai..wo admi darad se chilla uthta hai..
Riya: sorry ...sorry ...I m sorry
Wo dar ker peeche ho jaati hai...kaka jaldi se riya ke paas aate hain or mil keruss admi ko uthane me madad kerte hai or bht aaram se ussebed per litha dete hain..
Riya: kaka aap ja ker kisi doctor ko lekar aaye..
Kaka: lekin betiya itni raat ko koi doctor nahi mile ga orr aaj to baraf bhi kitni hai
Riya: (pareeshan hote hue)kuch to karna hoga kaka..radha tum ja ker garam paani or saaf towels lekar aao...or kaka wo jo gulshan aunty hai na unka beta medical padh raha hai wo kuch to hamari madad karega...bas aap ja ker unhe lekar aajao
Kaka: theek hai betiya ..mgr aap sab yahan sambhaal logina
Riya: kaka main sab ker lungi aap bas jaldi jaaye..
Kaka ke jaane ke baad radha paani or towels laaker bed ke paas table per rakh deti hai
Radha: didi main ye khoon woon nahi dekh sakti main bahar jaun
Riya: theek hai lekin sirf kamre ke bahar gfhar ke bahar nahi..
Radha:ji...(or wahan se chali jaati hai)
Riya kaampte haatho se us admi ki shirt utarti hai or uski nazar right hand per bandhe andageperaati hai..or bht ahista se bina use laqleef hue bandage utarti hai..
Riya: ro..sh..ni (pataah khd khd skaatrk peratahorwuseehlar)pata I kau ia ye...or kitni behremi se yenaam inke haath per se kata hua hai..
{yes behno wo admi or koi nahi apna hero ACP Arjun hi his}
Or riya bht aram se dheere dheere gili towels se uske wounds saaf kerti hai...tabhi kaka Rajat(aunty gulshan ka beta) ko leekar aate hain
Rajat: kya hua riya sab theek to hai tumne itni raat main kyun bulaya wo bhi itni urgent(lekin jab uski nazar arjun per padhti hai) oh god ye kaun hai...ek min side hato..shit...yaar ye bht zakhmi hai hame isse abhi hospital lejana hoga..
Riya: magar kese rajat...kitni snowfall ho rahi hai aaj
Rajat: hmmm to main koshish kerta hun inhe yahin treat karne ki lekin tumhe or kaka ko meri help karni hogi..
Or wo jese tese karke uske wounds stitch kerta hai..goli neekalta hai ..or dressing karte waqt..
Rajat: dekho ..jitna mujhse ho sakta tha maine kiya lekin kal..jitni jaldi ho sake doctor ko lana hoga..
Riya: ok and thank u soo much..
Rajat: is main thanks ki kya baat hai...main ab nikalta hun mom wait ker rahi hungi...kal saubha main doctor ko leta hua aaunga..ok
Riya: theek hai...bye
Rajat ke jaane ke baad
Kaka: betiya aap b hi change karlo ..aap kea are kapre khoon main hoo gye hain..main hun inke paas
Riya: ji kaka main bas abhi aati hun
Riya chali jate hain ..or jaate waqt arjun ka saman bhi le jaate hai...or change ker ke arjun ka saman check kerti hai
Riya: chech karo ya nahi..kisi ka bag is tarha se khoolna to ghalt hota hai..rehne deti hun..
Riya arjun ke room main wapes aaker uske bags wahin per rakh deti hai mgr uska travelling bag khool ker
Riya: kaka..wo aap inke kapre change kardo main b ahar hi hun..
Kaka: theek hai betiya
Riya drawingroom main aaker baith jaati hai magr uska mind sirf or sirf arjun main hi atka hua hai
Radha: (achhanak se) didi ye lo lehsun(garlic)
Riya: ye kis liye..
Radha: arre didi wo birju kehta hai ye jo vaampireee hote haina ye lehsun se darte hain..
Riya: (haste hue)achha to ye bata birju ko itni important baat kisne bataye
Radha: wo usne angreezi film main dekha than a...dekha birju kitna samajh daar hai
Riya: radha..pehli baat ye ke wo koi vampire nahi hai..or dosri baat..tu us birju se door reh warna main nani ko bool dungi
Radha: sorry didi ..aap nani ko kuch mat boolna plz..
Kaka: (bahar aate hue) riya betiya maine un sahib ke kapre badal diye hain..ab kya karna hai..
Riya: kaka aap ja ker soo jayen main hun unke paas
Kaka: magar betiya..aap akeli or wo to anjaan admi hai agr badi malkin ko pata chal gya to wo hame b ht dantengi..
Riya : kuch nahi ho ga kaka ..wese bhi nani Canada gyi hui hain or 6 7 mnths se pehle nahi aayengi..yahan jo kuch bhi hua unhe nahi pata chale ga..or aap ki tabyat bhi theek nahi hai..
Kaka: lekin betiya
Riya: kaka aap chinta mat Karen or jaa ker soo jayen
Radha or kaka apne apne rooms main chale jaate hain..or riya arjun ke room main..pehle to wo use bht dhiyaan se dekhti hai (weatish color height bhi achhi hai or body to hritik se bhi achhi hai...shut up riya ye kya sooch rahi hai) phir ek book utha ker wahin bed ke paas chair per baith jaati hai..or padhte padhte soo jati hai..kuch 2 3 ghante baad uski achanak aankh khulti hai..arjun behoshi main roshni ka naam le raha hai..or riya jaldi se uthker uske paas ja ker baith jaati hai or uske baal halke halke sehlane lagti hai...kaun hai te roshni or kaun ho tum jo itna dard or taqleef main ho...morning main Rajat doctor ko lekar aajata hai..kaka or radha bhi wahin room mai hai...or arjun ka treatment ghar per hi start ho jata hai or ghanto se din ...din se hafte..guzar jaate hain ..arjun ki halat pehle se bht behter hai..magar phir bhi use hosh nahi aata..
Riya: doctor ab to itna waqt ho gya hai...magar inhe hosh kyun nahi aa raha..
Doctor: darne waali koi baat nahi hain..ye abhi weak hain or inke stitches bhi abhi tak puri tarhan nahi theek hue hain..inhe khud hoosh aajye ga..or wese bhi jitna aram karenge inke liye utna hi behter hai..
Riya: ok doctor
Waqt ahista ahista aese hi guzarta jar aha hai or arjun ko pura one mnth ho jata hai...uske wounds bhi bht had tak theek ho gye hain..lekin insab ke beech riya pata nahi kyun arjun ke itne qareeb aagyi hain..iska jawab shayad use bhi nahi pata arjun ki dawa,khana,dressing,sab ka khayal riya rakh rahi hai..pata nahi kyun riya khud ko arjun se juda mehsoos kerti hai...
After one mnth
Radha or kaka arjun ke room main hain..
Radha: pata nahi kaka inhe kab hoosh ayyega
Kaka: beta bas bhgwaan se prathna karo
Radha: ji kaka main to apne kishn ji se rooz prathna kerti hun
Kaka: haan beta bas bhagwaan inhe jaldi theek ker deen ...riya betiya ne bht mehnat kari hai inke sahi hoone main..
Radha: kaka jaldi idher aaye dekhe inhe hosh aa raha hai..main abhi didi ko bulati hun
Or radha wahan se bhaag ker riya ke room main aati hain lekin riya room main nahi haiwo garden main jaati hai magar wahan bhi nahi hai...wo phir ghar ke mandir main aati hai wahan use riya prathna karti hui milti hai
Radha: didi aap yahan ho mene aap ko poore ghar main dhoonda
Riya: hmmm(keh ker phir se prathna karne lagti hai)
Radha: didi aap pareshan ho kya..or itni deer se mata raani se kya maang rahi ho
Riya: kuch nahi main bas us ajnabee ke liye pareshan hun..pata nahi unke saath kya hua tha unke ghar waale chinta ker rahe hunge...or wo baar baar roshni ka naam lete hain pata nahi wo kahan hogi,,kitna pareshan hogi inke liye..baas main devi maa se unke jaldi theek hone ki prathna ker rahi thi..
Radha: didi aap kitni achhi ho ..kisi anjaan ke liye kitna sooch rahi hoo.or devi maa ne aap ki saari prathnayen sun li hain unhe hosh aagya hai didi
Riya: kya radha to sach bool rahi hai..tune mujhe pehle kyun nahi bataya..
Wo bhaag te hue arjun ke roon ki taraf jaa rahi hai use na apna hosh hai orna apne dupatte kawo bas use dekhna cahti hai
Radha: (peeche se)didi sambhal ke
Lekin use to kisi ki awaz hi nahi aa rahi wo to jald se jald arjun ke room tak jana cahti haior is khushi ki wajeh shayad wo bhi nahi jaanti
Thoodi deer pehle arjun ke room main
Arjun dheere dheere apni anke khoolta hai pehle to use kuch saaf nazar nahi aata magar 1 2 min ke baad sb normal hai...kaka wahin uske paas khade hain or khushi se use dekh rahe hain..
Arjun: (uth ker baithte hue) main yahan per or aap
Kaka: main ramesh hun yahan kaam kerta hun
Arjun: main kitne din se hun yahan per..
Kaka: ji sahib aap pure ek mahine se ho yaha
Arjun: kya ek mahina
Kaka: ji sahib ek mahina pehle aap riya betiya ko ghar ke bahar mile the or(wo arjun ko sab batate hain k eek mnth main kya kya hua) sahib riya betiya ne aap ki bht sewa kari hai or bhagwaan ne unki is sewa ka phaal diya hai tabhi to aap itni jaldi theek ho gye..
Arjun: ye riya kaun hai
Kaka use jawab dene hi waale the ke tabhi riya waha aajati hai or door per hi ruk jaati hai..
Kaka: (riya ki taraf dekhte hue)lo ye rahin riya betiya
Arjun pehle kaka ki taraf dekhta hai phir door ki taraf or wo aankhe japkana bhool jata hai...riya bhagte hue aati hai or wahin gate per ruk jaati hai...riya ne ghagara chooli pehni hui hai (behno jis tarhan ki dress raam leela main deepika ne pehni hain same isi tarhaan ki dresses riya ne flashback main pehni hai..or ab aap loog riya ko deepika ki raam leela waale attire main imagin kerlen ok) bhaag ne ki wajeh se uski saanse ukhri hui hain..itni thaand main b hi use paseena aa raha hai..pink shawl jo uske shoulders per thi ab neeche giri hui hai..or bas riya sab se anjaan arjun ko deekh rahi hai...uske dil ko sukun mil raha hai..or dosri taraf arjun wo to bas apne samne khadi is khoobsoort moort ko dekh raha hai..usse dar hai ki aar usnpalkjahpkayen to yepari ghayab na ho jaye..
Riya arjun ki nazro se ghbra ker jaldi se pani shawl utha ti hai..or ahista ahista ander aati hai..room main shanty hain bas uske payal ki awaz ek sur paida ker rahi hai..
Kaka: riya betiya dekho sahib ab theek hain
Riya: aap ki kesi tabyat hai ab
Arjun: pehle se bhaut behter
Riya: main doctor ko phn karti hun(ye keh ker wahan se chali jati hai)
Thodi deer baad doctor aa ker arjun ko check kerte hain
Doctor: aab aap pehle se bht behter lag rahen hain mr.
Arjun: arjun
Doctor: (smile karte hue) mr arjun
Arjun: thank u doctor
Doctor: don't thank me...thanks riya...ye inhi ki mehnat ka natija hai jo aap itni jaldi recover ho gye..jis halat me maine aapko dekha tha use to yahi lagta tha ke aapko 2 3 mnths lag jayen ge mgr riya ki wajeh se aap ab pehle se bht bhter hain
Arjun riya ko deekhta hai jo uske bed ke paas khadi apne haatho ko dekh rahi hai..usse pata nahi ye masoom si ladki kyun uske dil ko b ha rahi hai..
2 weeks aese hi guzar jaate hain..riya ka arjun ki care karna..arjunka riya ko dekhna..mgr te ht kena...ek di sham me riya arjun ke room main aati hai to dekhti hai ke arjun kaka ki help se walk ker raha hai...
Riya ke room me aane se pehle
Kaka: sahib ab to aap bht ache se chalne lage ho
Arjun: kaka aap mujhe sahib mat bola Karen...main bht choota hun aap se...aap ke bte ki braber hun..agr aap mujhe beta boolenge to mujhe bht achha lagega..
Kaka: ye to aap ka barappan hai arjun beta warna to aaj kal kaun itna sanskari hota hai..
Arjun: (with smile) kyun haina aap ki riya betiya
Kaka: unke jesa to doosra ho hina sakta beta..aapne se pehle doosro ki chinta kerna..dosro ke kaam bina kisi laalch khushi khushi kerna...itna dard hai is nanhi si bachhi ke dil me magar maathe per shaken tak nahi...kehne ko hum is ghar ke care taker hain..to sara kaam hame karna chahiye ..mgr majal hai jo ek bhi kaam hame karne dain..
Arjun: kaka aapne abhi kaha ke riya ne apne ander bht dard chupa rakha hai...
Kaka:haan wo kiya haina arjun beta(lekin tabhi riya room main entry kerti hai...arjun or kaka ke beech kya baate hue use nahi pata..wo dekhti haike arjun kaka ki help se walk ker raha hai)
Riya: kaka woo aap ke gaun(village)se phn aya hai kaki ka
Kaka: achha betiya...arjun beta aap yahan betho main abhi aata hun
Arjun: (jo riya ko hi dekh raha hai) hmmm...aap jao
Kaka ke jaane ke baad riya bed ke paas aa ker khadi ho jaati hai
Arjun: riya tum wahan kyun ruk gyi yahan aao
Wo aaker uske saamne waale sofe per baith jaati hai
Riya: ab aap kesa feel ker rahe hain
Arjun: tum ko kesa lag raha hun
Riya: pehle se bht behter(ek dam se khadi ho jaati hai)
Arjun: kya hua
Riya: ek minute(almirah ke paas ja ker usme se arjun ka bag nikalti hai)
Riya: wese to aap ka sara saman maine set ker diya tha bas ye bag hai aap ka jo maine kholanahi...aap iske bare main aaj kaka se pooch rahe the na..
Arjun: haan ...to ye yahan hai
Or riya arjun ko bag de deti hai
Arjun: tumne sach me nahi dekha ke isme kya hai
Riya: ji nahi,,main kisis ka saman bina pooche nahi dekhti..or ye to aap ki amanat hai
Arjun: ( riya ko bht gehri nazro se dekhte hue)wese kyat um janna nahi chahogi ke iss me kya hai
Riya: (uski itni gehri nazro se ghabraker apna ser jhuka leti hai) nahi ye aap ki personal cheez hai main kese...
Arjun: (bht hairet se) kya tum bilkul nahai janna chahogi riya ke main kaun hun or kahan se ayah un..
Riya: (apne goodh(lap) per rakhe haatho kko dekhte hue)agar aap ko sahi lagta hai to aap bata dejiye
Arjun: kaka ne theek kaha tha...khair chodo..wese mera naam ARJUN RAWTE hai main ek photographer hun or Australia se aya hun...
tbc
653