Originally posted by: InsaneDivine
Baat ageist hone ki nahi hai... Baat yeh hai ki Anupamaa us Pyaar mohobbat ka karegi kya... An ecouraging environment is also a good fortune. So many successful people give credit to their families for their success... Chalo maana ki Anupamaa ke case mein use woh nahi mila... Duniya bhar ka talent Anupamaa mein tha... Madam acha dance kar leti thi, acha khana bana leti thi par Baa aur Vanraj ne aage nahi badhne diya aur na hi ek housewife ke taur par uski respect ki... Fine... What does she do when she comes out of that setup ?? She clenches on to that very same household and everyone's life even more while being "unwanted".... Then she falls in love, gets married and then tightens the grip on SH further... Toh phir zaroorat kya hai love shove ki.. I mean Anupamaa karegi kya pyaar ko paakar... Dusre aadmi ko bhi Shah House ka naukar banane se achaa hai khud hi bani rahe.. Aur waise bhi I will never understand that why we wish to thopofy our sense of better life on Anupamaa... Anupamaa ko Shah House se long term door rehne ko kaho woh khud ko kamre mein band kar legi... Short term door rehne ko bolo to SH ke baare mein hi hallucinate karegi.. Toh kyon door karna use SH se.. Wahan pe "apnon" ko muft ka hypocritical gyaan dene mein, Baa ke taane sunne mein aur unki seva karne mein usko sukoon milta hai aur uski health bhi achi rehti hai... I haven't seen much, but abhi uski body mein trembling aur vibrations bhi kum hua hai thoda.... Usko aise hi rehne do.... Anupamaa ko life mein kuch karna hota toh Samar, Nandini, Kanta aur apne bhai ke saath bhi ek acha space apne liye bana leti.. Ya phir Anuj aur in positive characters ke saath milkar kuch kar leti ... Kuch nahi toh ek achi housewife hi ban jaati ... Ameer aadmi ki biwi ban gayi thi, Kapadia mansion mein maze leti, khaati, peeti, ghoomti phirti.... Kuch nahi kiya usne.. Jaraa bhi nahi..... Na professionally kuch kiya, na un logon ka khayal rakha jo isse pyaar karte the aur na apne khud ke liye kuch kiya.....
Whatever little she did with cafe and nowdays with her rasoi is only because she is in vicinity of the people and place she wants to be.... Aur kuch nahi toh kum se kum table ki beti ki shaadi toh karayi.... Saari jimmedariyon mein se ek poori kar paayi.... Kahin bhi aur hoti toh yeh responsibility bhi dhari ki dhari reh jaati .... So it's very clear in what kind of environment she can function at an optimal level...
Woh naya lover jo aane waala hai.. I hope after sometime kain yeh na feel kare ki jail mein hi hota accha tha...
Your last line Dil jeet liya aapne
30