New One Shot for AgNilovers - ijhaar update on pg2 - Page 2

Created

Last reply

Replies

25

Views

1.9k

Users

8

Likes

30

Frequent Posters

725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#11

Originally posted by: akshaaya

Good Introduction...👍🏼
You have chosen different backdrop for your nice story of
Dimple & Navi as AgNi...
Loved your new begining for Our nice couple ( Dimple & Navi)...
Eagerly awaiting for your update...😊


thank u so much . I m happy that u like my new concept . Ya i like diff concepts to keep story fresh and for making it interesting. U r come here to read our post this is such nice thing of u. Thanks. I will update it tommorow. Till then keep waiting .keep smiling
Edited by Anurna - 13 years ago
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#12

UPDATE

"LIFE CARE " hospital me chaaro aur bhagaduadi machi huyi thi kyunki achanak aayi baarish ki vajah se jo bhari flood aayi thi usaki vajah se bahot saare flood me fase logo ko hospital me laya ja raha tha jinhe bahot chote aayi thi...kuch ki to halat bahot hi naajuk thi ..uname bachhe bhi the...isliye hospital me high alert tha aur sabhi ke sabhi doctors bahot tension me the kyunki itane saare patients ko eksaath sambhalna unake liye maano jung pe jaane ke jaisa tha.. ek emergency meeting bulayi gayi sabhi doctors ki ...
"aap sabko to pata hi hoga doctors ki situation bahot critical ho gayi hai isliye aap sabhi ko apane kaam ke prati priority dikhate huye apane har patient ki achhi dekhbhal karani hogi , achhe se achhe treatment unhe deni hogi" , senior doctor shalini meeting sabhi doctors ko bata rahi thi..
" to doctors ready"
"yes madam" , sabhi doctors ne ek hi awaaz me kaha..
"good, to phir aaj se hum sabko day night shifts mein kaam karana hoga. kya aap tayaar hai??"
"yes madam", phir ek baar sabhi ne kaha.
" to kisaki duty kaha hai ye jald hi notice board par laga diya jaayega... now all move.. and ALL THE BEST to all', kahate huye dr. shalini ne sabko conference room ke bahar jaane ki permission di.
sabhi doctors ne apani apani duties join kar li..agam aur nimrit bhi uname se ek the...
"agam , kitani bhari baadh aayi hai na, na jaane kitane maasumo ko apani jaan se haath dhona pada aur kitane to zindagi aur maut se lad rahe hai " , nimrit ne bahot hi dukh bhari awaaz me agam se kaha.
"haan nimrit mujhe bahot dukh ho raha hai is baat ka par hum jitane bhi logo ki jaan bacha sakate hai jarur bachayenge, tum chinta mat karo hum puri koshish karenge.. thik hai..aur phir mai hu na tumhare saath tumhe kabhi kamjor nahi padane dunga mai, har pal , har mushkil me tumhara saath dunga.." " par uske liye meri ek shart hai" , agam ne nimrit ki or dekhate huye kaha.
"shart!! kaisi shart agam??" , nimrit ne shock se pucha.
"shart ye hai ki chaahe koi bhi problem ho tum hamesha mujhe bataogi aur apani khoobsurat smile ko apane chehare se kabhi jaane nahi dogi..u hi hamesha muskuraati rahogi.."
ye sunate hi nimrit ke chehare par khushi chaa gayi aur ek pyaary si smile usake hotho par khil gayi...
" thats like MY NIMRIT, ohhh sorry Dr. nimrit..."
" nahi agam tumhare liye mai sirf tumhari nimrit hu.." , nimrit ne agam ki or dekhate huye kaha . nimrit ki aankho me agam ke liye dherr saara pyaar chalak raha tha...dono ek dusare ki aanko me kuch derr ke liye kho gaye par usi time
"dr. agam, dr. nimrit waha aapke patients aap ka intzaar kar rahe hai aur aap yaha aaram se khade baatein kar rahe hai..", dr. shalini ne gusse se kaha.
" sorry madam" , agam ne himaat kar ke kahane ki koshish ki par
"dr. agam sorry nahi sunana mujhe, aap abhi duty par jaaiye aur mujhe 1 ghante me saare patients ki report dikhaiye, smajhe aap dono", dr. shalini ne agam ki baat ko beech me hi kaatate huye kaha. aur waha se chali gayi.
" chalo agam baad me milate hai duty khatm hone ke"
"thik hai nimrit"
aise hi ek ke baad ek din jaa rahe the... wahi day-night shifts , wahi bussy shedule isaki vajah se agam aur nimrit ko ek saath rahane ka bahot kam waqt mil paata tha.. par unaki duty sabse pahali priority thi dono ke liye...
nimrit general ward me duty par thi. tabhi use agam jaate huye dikhai diya to nimrit usaki taraf gayi aur agam se pucha
"agam, aaj tumhari bhi night shift hai na ? ek ghante baad"
"haan", agam ne jawaab diya.
"to phir tum thodi der mera intzaar karo meri bhi shift abhi khatm hone waali hai", phir hum canteen chalate hai ek saath dinner karenge,, kitane din ho gaye na hume time hi nahi milata eksaath kuch time spend karne ko." , nimrit ne sad sound me kaha.
"aaj !! nahi nimrit aaj hai na mai bahot tired feel kar raha hu, mai ghar jaake aaram karana chahata hu thodi derr, thik hai.."
" thik hai , par..."
"ok nimrit bye.", agam ne kaha aur jaldi se waha se chala gaya.
usake jaane ke baad nimrit soch me pad gayi wo man hi man gussa ho rahi thi agam pe " aisa kya tiredness lag raha tha agam ko ki 10 min bhi nahi ruka mere liye.. nimrit ko bahot bura lag raha tha..par phiar usane socha ki sahi hai agam din raat kaam kar raha hai, na thik se khana kha sakata hai aur aaram ki to baat hi chod do, thakan to ho hi jaati hai.. use araam ki jarurat thi...
nimrit phir se apane patients ko check karane me lag gayi par abhi bhi usaka dhyaan agam ki or tha, wo agam ke hi baare me soche jaa rahi thi.
"aahhh" ek pateint chillaya. kyunki nimrit ne usaki bandagde badalate huye galati se usake wound par thoda jorr se daba diya tha..
" i m sorry" , nimrit hadbada gayi thi.
"ye kya kar rahi hu mai mujhe apane patients par dhyaan dena chahiye na ki agam par" , .
focus nimrit, focus on ur work " , nimrit khud se hi kah rahi thi.
thodi derr baad nimrit ki shift khatm ho gayi aur use 1 ghante ka break mila tha. wo socha ki pahale locker room jaakar fresh ho jaati hu..
jaise hi nimrit locker room jaane ke liye corridore me aage badhi waise hi ek chti ladaki usake paas aayi aur nimrit ki haatho me usane ek khoobsurat red rose aur ek letter diya.
nimrit ko bahot wonder hua ki, ye kya hai? aur kisane diya hai use?? par isase pahale ki wo us ladaki se kuch puchati wo ladaki waha se bhag gayi..
nimrit ne jaldi se wo letter khola aur padhane lagi, usame likha tha ki
"ye beautifull rose ek beautifull ladaki ke liye, par ye to shuruvaat hai aise aur dherr saare surprise hai usake liye.
nimrit puri confussed hokar wo letter padha rahi thi.. aage likha tha
" jaise hi tum aage badhogi waise hi raaste par tumhe aise hi letters aur roses milate jaayenge aur usame tumhe kis direction me jaana hai ye likha rahega"
us letter ko padhane ke baad nimrit ko bahot badaa shock laga par nimrit ne " aakhir ye sab kya hai aur kaun kar raha hai ye jaanane ka decision liya aur aage badhi..
thodi dur chalate hi use ek aur letter aur rose dikhai diya bench par.
nimrit ne use apane haatho se uthaaya aur padhane lagi. usame sirf ek arrow bana hua tha jo direction ko indicate kar raha tha ki use kaha jaaana hai."
nimrit aage badhi us aroow me diye huye direction ki disha me.
use phir ek letter with rosr dikhai diya. nimrit ne use khola ..waha phir ek arrow tha. nimmrit ne dekha ki ye to unake hospital ki terrace ki taraf jaane waala rasta hai.. wo aage badhi aur terris ki sidhiya chadhane lagi.. ab nimrit ko thoda thoda darr lagane laga tha wo man me soch rahi thi ki , " pata nahi kya hoga terris pe? aakhir ye sab kuan kar raha hai? aur agam bhi ghar jaa chuka hai..wo kis ko bataye.."
aisa sochate sochate terrace ka door bhi aa gaya. nimrit ne darte darate door open kiya...
jaise hi nimrit ne door open kiya usane dekha ki...
terrace puri tarah colorfull lights ki roshani se jagmaga raha tha jaise ki unki roshani me naha raha ho.. har taraf usake pasand ke lilies ke flowers ka decoration kiya hua tha... unaki khushboo har taraf mahak rahi thi...pure ground par rose ke petals bikhare huye the usaki raaho me... saamne ek decorated table aur two chairs rakhi huyi thi ... wo table bhi lilies ke white flowers se sajaa hua tha... uspar cold drinks ki botles aur do glasess rakhe huye the...
ye sab dekhakar nimrit ko to apani aankho par vishwaas nahi ho raha tha... wo thodi aage badhi to use peeche se ek awaaz aayi
"surprise"
nimrit ne ekdum palatkar drkha
"agam !!!! tum yaha ?????"
"haan nimrit .. mai.. batao mera surprise kaisa laga?" , agam ne nimrit ke kareeb aate huye puchaa.
"par tum to ghar chale gaye na?? tum thak gaye the isliye.." , nimrit ne zhatt se agam se puchaa.
"nahi nimrit, mai ghar nahi gaya tha... tumhe kya lagata hai mai tumhe akela chod kar kabhi jaa sakta hu kya?? kabhi nahi nimrit... mai to tumhe surprise dena chahata thakyunki itane dino se hum thik se mill bhi nahi paa rahe hai ek dusare se... isliye maine ye sabkuch... kaisa laga tumhe???"
" tumne ye sab kuch mere liye kiya !!! aur mai soch rahi thi ki tum...mai bhi kitani stuupid hu na agam... apane pyaar par maine shak hi kaise kiya?? mujhe maaf kardo agam???aur ye surprise mujhe bahot bahot achha laga... ye meri zindagi ka sabse khoobsurat pal hai...thank u sooo much for this , for everything, for ur pure LOVE ... nimrit emotional ho gayi.."
agam nimrit ke kareeb aaya aur kareeb . aur usane nimrit ki aanko me dekha ki kitani sacchai hai usaki aanko me , usake pyaar me... dono ne ek dusare ko hug kar liya. agam aur nimrit bahot khush the... dono ekdusare ki baaho me is kadar kho gaye ki kuch der tak to waise hi khade rahe hug kiye huye...
thoda peeche hote huye agam ne kaha " abhi aur ek surprise baaki hai nimrit"
aur aisa kahate hi wo apane ek leg bend karake ghutno ke bal neeche baitha aur apani left side ki jeb se ek chota sa valvate ka box nikala..
nimrit to bas dekh rahi thi, kushi se
usame se agam ne ek khoobsurat dimond ring nikali aur nimrit se puchaa
"nimrit, kya tum apani puri zindagi mere saath bitana chahogi, meri in suni raaho ki hamsafar banana chahogi, kya tum apana har dard har khushi mere saath baatna chahogi,, kya tum mujase shaadi karogi????"
ye sunte hi nimrit ki khobsurat aanko se do motiyo jaise aansoo usake gaal par utar gaye... aur nimrit ne kaha "haan" hamesha hamesha ke liye mai tumhari hamsafar banana chahati hu agam... I LOVE U...
aur nimrit ne apana haath agam ki haatjo me diya ... agam ne nimrit ki haatho me wo ring bade pyaar se pahana di...aur kaha I LOVE U TOO nimrit..."
dono phir ek baar gale mille..nimrit ki aanko se aansoo to bah rahe the par khushi ke...agam aur nmnimrit bahat bahot khush the...
phir agam ne nimrit ka haath pakad kar use table tak laya aur chair ko apani haatho se peeche kar nimrit ko bithaya... dono ne saath dinner bhi kiya...
dinner ke baad agam ne nimrit se kaha " nimrit kay mai tumhare saath dance kar sakata hu...
"dance ?? par yaha to music hi nahi hai agam???"
" hume music ki kya jarurat hai tum aao to sahi!!!!"
"thik hai.."
" agam ne nimrit ka haath apane haatho me liya..aur usaki kamar ko puri tarah wraped kiya apane dusare haath se... nimrit ne apane haath ko agam ke shoulders par rakha... agam ne nimrit ko apani taraf kheecha apane kareeb... dono apane pyaar ki beautifull music par dance kar rahe the... nimrit ne apana sir agam ke seene par rakha ... ab wo usake dil ki dhadkan ko mahsoos kar rahi thi... jo sirf usake liye dhadkata hai ...
dono apane pyaar ki duniya me ke dusare ki baaho me kho gaye ...
YAHA TAK HI THA MERE one shot KA SAFAR
UMEED KARATI HU SABKO PASAND AAYE...
THANK U SOOO MUCH...
Edited by Anurna - 13 years ago
hirie thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#13
nice story! well done archu!! innovative mix on agni :) liked the backdrop a lot!! esp. the colourful lights on the terrace :) very sweet story :)
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#14

Originally posted by: hiri_piri

nice story! well done archu!! innovative mix on agni :) liked the backdrop a lot!! esp. the colourful lights on the terrace :) very sweet story :)

thank u sooo much.
mai thoda description chahati thi is baar ... hope ki thik thak likh paayi hu...once again thanks...
shanaya28 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#15
Archu ..Nice ending with their confession of love and promises to live whole life together..

Well written esp climax with their slow dance in the end ... very sweet story..

Great job..👏
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#16

Originally posted by: saveeta24

Archu ..Nice ending with their confession of love and promises to live whole life together..


Well written esp climax with their slow dance in the end ... very sweet story..

Great job..👏

thanksss a lot savee. actualy it is small cause i want to write more OS but with diff concepts. hope u will like if i write more when i get time.
cjs369 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#17
well done archu...
nicely written... it felt good to read about AgNi in a different ambience... their love for each other as strong as ever... and the romantic proposal was too cute😊
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#18

Originally posted by: cjs369


</div><div>
well done archu...
nicely written... it felt good to read about AgNi in a different ambience... their love for each other as strong as ever... and the romantic proposal was too cute😊

thank u so much. I like diff concepts. Agni to har tarah se perfect hai. Will Try more good next time. Thanks.
akshaaya thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#19
Wonderfully Written...👏
Your innovative script for Our AgNi ( Dimple & Navi) is interesting...👍🏼
Their romantic confession of their everlasting love
is fantastic...❤️

I am very much enjoyed reading it very much ...😊
Hope to see more different themes from you to fresh up memories of our beloved Dimple & Navi as AgNi...😊


Edited by akshaaya - 13 years ago
725380 thumbnail
Posted: 13 years ago
#20

Originally posted by: akshaaya

Wonderfully Written...👏
Your innovative script for Our AgNi ( Dimple & Navi) is interesting...👍🏼
Their romantic confession of their everlasting love
is fantastic...❤️

I am very much enjoyed reading it very much ...😊
Hope to see more different themes from you to fresh up memories of our beloved Dimple & Navi as AgNi...😊


thanks a lot. Will try next time for diff story concept. Agni is totaly awesome. Koi bhi concept ho unape har achha lagata hai. Thanks for reading.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".