AkYa FF - Yeh Nazdeekiyaan... CHAPTER - 10 , Page - 11. - Page 5

Created

Last reply

Replies

79

Views

23.5k

Users

11

Likes

68

Frequent Posters

-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#41
CHAPTER - 7

CHAPTER - 8

One day,Paromita had to go to Kolkata for some reason and so Ananya and Dimple came to drop her to the airport.Luckily,Akash was the pilot who would be flying the flight to Kolkata.Dimple was very sad since Paromita was leaving as she was the only one in the house with whom she could talk about her father and so she was weeping for that and Paromita was consoling her.She too was feeling very sad but still she hid that and said,"Arey meri Dimpu tu rota kyu hai?Dekh mujhe bhi achcha nehi lagta hai na aur aise jaane ka time par tu royega to mujhe bura nehi lagta?Kaunsa main vaise bhi hamesha ke liye ja raha hai?Do teen din ka baat hai phir to main aa hi jaaungi na waapas."Dimple,in a crying tone,said,"Dida aap chali jaaogi,mamma bhi nehi rahegi to main akele kaise rahungi,mujhe akele dar lagta hai na."Ananya said,"Do teen din tak maine saare return flights liye hai don't worry tum paas waale neighbours ke house mein reh lena."Akash was happened to be going through there and found three of them and came to them and asked,"Hi kahi ja rahe ho aap log?"Ananya smiled and replied,"Vo ma Kolkata ja rahi hai kaam ke silsiley mein aur isi vajah se maharani ro rahi hai."Akash looked at Dimple and said,"Dimple ro rahi hai?Kyu?Aapko pata hai aaj aapki dida ko na main unke ghar chorne ja raha hu.So don't worry main unko safely ghar chor dunga."Dimple said,"Pata hai Akash uncle dida kabhi mujhe akele chor kar nehi gayi aise aur pata hai mamma ko bhi to kaam hai,main to akeli reh jaaungi ghar mein.Achcha hota na aap hamaare neighbours hote to main saradin aapke paas rehti.Hai na mamma?"Ananya looked very embarrassed at her words and looked at Akash and Paromita was very happy and she whispered into Ananya's ears,"Onu dekh tor meyeo pochondo kore (Anu dekh teri beti ko bhi pasand hai).Amar nijer hobu jamaai khub bhalo legeche (Mujhe mera hone waala damaad bohot pasand hai).Ami bolchi tui ekbar bhebe dekh (Main bol rahi hu tu ek baar soch kar dekh).Ami katha bolbo (Baat main karungi)."Ananya glared at her said,"Ma jaane se pehle tamasha mat karo please."Akash thought for some time and then said to Dimple,"Ok ye arrange kiya ja sakta hai.Jabtak aapki dida waapas nehi aati main aur aapki mamma ek saath fly nehi karenge aur is tarah se schedule adjust kar lenge aur jab mamma ki flight hogi tab Dimple mere saath rahegi aur jab meri flight hogi Dimple mamma ke paas rahegi."Ananya was taken back and said,"No captain please!!Aap mere liye itni taklif mat uthaaiye main adjust kar lungi and main ek kaam karti hu do teen din ki chutti le leti hu.Achcha hai mujhe bhi Dimple ke saath time spend karne ka mauka mil jaayega bohot din ho gaye hai aur aap jab chahe Dimple se milne aa sakte hai aur Dimple bhi aapke ghar jaayegi.Hai na Dimple?"Dimple nodded her head and then Akash said,"Ok so thats settled now,mamma aapke paas rahegi.So main chalta hu."Dimple gave Akash a kiss and said,"I love you Akash uncle!!"Akash hugged her and said,"I love you too!!"After that he took leave from Paromita and Ananya and left for his flight and Paromita asked,"Onu vo reh raha tha tune mana kyu kiya?"Ananya disappointedly made a face and replied,"Ma main jaanti hu ke Captain Akash bohot achche insaan hai aur vo Dimple ka bohot achche se khayaal bhi rakhte par unse miley mujhe zyaada din nehi hua hai aur itni jaldi itna close aana mujhe achcha nehi lagta hai aur vaise bhi ye meri beti ka sawaal hai aur zamaana bohot kharaab hai aur main usko lekar sivaay aapke kisiko trust nehi karti.Main to Rohit tak ko trust nehi kar paayi phir ye to ajnabee hi hai na.I know main unpar doubt nehi karti hu par aajkal choti bachchiyo ke saath jo sab ho raha hai na uske baad main risk nehi lungi upar se aap bhi nehi hai.Ye baat vo samajh jaaye to achcha hai varna unhe jo samajhna hai samjhe.Main uski ma hu aur uske liye main vohi karungi jo mujhe thik lagega.Milne aate hai,ek baar madat ki hai uske liye Iam very grateful to him par ye sab nehi chalega ma aur please aap unke saamne ye zyaada apnepan ka ye drama hai na bandh kijiye bohot low class lagta hai.Abhi sirf do mahine huye hai mujhe yaha thora sabko jaan to lene dijiye mujhe ke main kisipar trust kar paau."Paromita was about to say something more but Ananya stopped her and said,"Bas ab main is topic par koi aur behes nehi chahti hu.Aapke flight ka time ho raha hai abhi aap jaaiye."So Paromita had no other options left except to stop the argument there and then she left for her flight.

[ 2 Months Later ]

During the next 2 months,Akash came to Ananya's house many times much to Ananya's chargin as she didn't like missing with people so much and especially Akash's attention towards Dimple but later on she accepted it and started seeing him in different light.Akash,by that time,became the perfect suitor for Ananya,in Paromita's eyes and especially because Dimple loves him a lot and Akash too drew very close to her.Dimple was so fond of Akash that whenever her mother said no' for something,she straight away used to call Akash and informs him her wish and he used to fulfil it by any means.One night,when both Ananya and Paromita were asleep,Dimple was not having any sleep and so she decided to talk with Akash.She secretly took Ananya's phone from beside her pillow and went to the hall and dialled his number.Akash was watching a movie and having popcorn at the middle of the night and when he saw Ananya's number,he thought that something serious might have happened otherwise she would never call him at the middle of the night and he immediately picked up the call.The convo :-

A :- "Hullo Ananya??Kya baat hai sab thik to hai na?"

D :- "Ssshhh dheere bolo Akash uncle main Dimple hu aur sab uth jaayenge."

Akash was a bit taken back hearing Dimples' voice since he didn't expect listening to her voice at that time of night.

A :- "Dimple??Beta aap itni raat ko soye nehi abhi tak?"

D :- "Akash uncle pata hai dida bhi so gayi aur mamma bhi mujhe sulaate sulaate so gayi,par mujhe na raat ko story sune bina neend hi nehi aati hai.To ab main kya karu?"

A :- "Really??Ye to sach mein bohot bari waali problem hai Dimple ki."

D :- "Pata hai Akash uncle mere jitney friends hai na jab sabke birthday hote hai to sab mujhe invite karte hai par mujhe jaana achcha nehi lagta hai kyuki sabke papa sabse itna pyar karte hai,unke liye itni bari party dete hai par mere papa ko to kabhi mera birthday yaad hi nehi tha aur unhone kabhi mujhe birthday wish nehi kiya.Mamma hai na vo mere liye cake banaati hai aur main vo kaat leti hu bas."

A :- "Aapko apne birthday mein bari waali party chahiye?"

D :- "Ha jaise sabke papa dete hai na usse bhi bari party.Mamma papa kitna jhagra karte the pata hai?Ekdin maine dekha tha papa ne mamma ko maara aur main vo dekh kar itna dar gayi thi aur ekdin galti se na papa ka shirt maine ganda kar diya aur papa ne bohot zor se chillaya aur phir mera haath itni zor se pakra mujhe bohot dard hua aur phir mujhe dhakka de kar na zameen par phek diya tabse mere papa mere liye gande papa ho gaye aur phir uske kuch dino baad na mamma mujhe aur dida ko lekar yaha aa gayi aur mamma ne kaha ke hum papa ke paas kabhi waapas nehi jaayenge."

Akash had tears in his eyes on hearing Dimples' painful past.He wiped his tears.

A :- "Dimple abse kabhi apne us gande papa ke baare mein sochna bhi mat.Main hu na,main aapke saare wishes purey karunga.Dekho God ne aapke gande papa diya hai na to saath mein achcha waala Akash uncle bhi to diya hai na?"

D :- "Ha dida bhi yehi kehti hai ke jab God humse kuch le leta hai na to saath mein bohot kuch deta bhi hai.

A :- "Thats like my Dimple!!Achcha to phir batao Dimple ko kaunsi story sunni hai?"

D :- "Mujhe na fairy tale sunni hai."

A :- "Ok to Dimple ko main ek farytale waali story sunaaunga aur Dimple abhi jaakar bed pe so jaayegi."

Dimple went to her bed beside Ananya and then Akash told her a self made story and Dimple fall asleep.When Akash realized that there was no sound from the opposite side,he understood that she might have fallen asleep and so he smiled and disconnected the call.

Next day,Akash and Ananya had a flight together and Ananya said,"Kal raat ko Dimple ne aapko phone karke pareshaan kiya hai na?Usne mujhe aaj subhe bataya.Iam really very sorry for that.Ye larki bhi na bohot ziddi hoti ja rahi hai aajkal."Akash smiled and replied,"Listen Ananya vo bachchi hai aur vo meri dost bhi hai so you better stay out of our personal matters.Bichaari ko neend nehi aa rahi thi aur usko kahaani sunni thi to usne mujhe phone kar diya.Isme kya hai?"Ananya nodded her head and replied,"Phir bhi itni raat gaye..."Akash replied,"Koi baat nehi mujhe to bohot achcha lagta hai uske saath time spend karna,baat karna.Usne kal mujhse bohot saari baate ki jo shaayad vo tumse nehi kar paati hai."He looked at her and Ananya confusingly asked,"Matlab?"Akash replied,"Matlab usne mujhe kaha he Rohit uske saath kitna bura bartaav karta tha,kitna ill treat karta tha usko.Tumhe is baare mein baat karna pasand nehi hai isiliye shaayad tum is baare mein usse baat nehi karti hai."Ananya looked outside the window and then Akash,with a pause,said,"Ananya dard baatogi tabhi ye dard kam hoga varna zindagi bhar is dard se peecha nehi chootega.Na to tum apna dard baat pa rahi ho aur naahi apni beti ka.Tumne apni taklifo ko na kas ke pakar rakkha hai apne dil ke andar just let it go,tumhe hi achcha lagega.Apni beti ko kehti ho ke buri yaado ko yaad nehi karna chahiye to phir tum khud ye kyu kar rahi ho?Tum apne aap ko kis baat ki sazaa de rahi ho?Hume ek saath kaam karte huye bohot time ho gaya hai,ab to tum mujhe bata hi sakti ho na ke kya hua tha tum dono ke beech mein?"Ananya kept quiet for some time as she had to control the storm of flashbacks rising inside her.She was lost in the memory lane for a few seconds and then said,"Rohit aur mera arranged marriage hua tha,meri nanihaal se rishta aaya tha.Mere papa ne ye shaadi karwaayi aur maine apne papa ka faisla maan liya tha.Maine baaki larkiyo ke tarah apni married life se kuch impossible sa kabhi expect nehi kiya tha par phir bhi thori bohor expectation to sabhiko hi aa jaati hai but I was wrong.Rohit ko kabhi bhi apne kaam aur paise kamaane ke alava aur kuch sujhta hi nehi tha aur main ek baat samajh gayi thi ke usne shaadi sirf family ke liye ki thi taaki unhe ek waaris mil sakey warna bahuo ki aur koi izzat nehi hoti hai unke khaandaan mein vo to bas show pieces hai jinhe bahaarwaalo ke saamne saath mein happy married couple bankar muskuraane ke liye rakkha jaata hai.Kisi tarah se maine ek saal nikaal liye aur uske baad hamaari zindagi mein Dimple aayi,maine socha bachche ke aane se sab thik ho jaayega par haalaat aur bigar gaye,kyuki unhe beti nehi beta chahiye tha jo unka waaris bane aur is vajah se mere sasuraal waalo ne bohot pareshaan kiya hai mujhe aur Rohit vo to Dimple ke saath jaanwaro jaisa sulook karta tha.Kisi tarah se maine 4 saal beeta liye aur usi beech papa ki bhi death ho gayi.Ek raat Rohit pura drunk ghar aaya aur usne mujhpar haath uthaya and then I decided ke main ek din bhi us ghar mein nehi rahungi.Main seedha ma ke y aha gayi aur Rohit ke khilaaf divorce petition file kiya aur Dimple ki custody lene mein mujhe zyaada time nehi laga kyuki no one was interested in her aur uske baad maine ek baat samajh li ke mujhe apni zindagi jeene ke liye kisi mard ki koi zarurat nehi hai aur apni beti ke liye main kaafi hu."Akash asked,"To phir tum itne saal uske saath rahi kyu?"Ananya replied,"Vo kehte hai na ek ma kabhi swarthy nehi ho sakti hai,main itne saal sirf Dimple ke liye rahi sirf ye soch kar ke kabhi to Rohit ko apni galti ka ehsaas hoga,kabhi to vo usko apnaayega,varna meri jaisi larki us nark mein kiske liye rahegi?Maine apni job chori Dimple ko paalne ke liye varna agar Dimple nehi hoti to main kabka waha se chali aati.Nark jaisi zindagi jee hai maine aur ma chahti hai ke main dusri shaadi karlu.Kaise karu?Ek aadmi jisey apni khud ki aulaad se pyar nehi hai to koi dusra aakar kya pyar karega meri Dimple se?Koi nehi karega,koi bhi nehi aur ye baat meri ma nehi samajhti hai."Ananya shrugged and Akash was very pitiful hearing her story.She,in a heavy tone,said,"Meri maasoom bachchi jab waha thi,apne papa ke dar se vo kabhi kamre se bahaar nehi nikalti thi,dusre bachcho ke tarah apne papa se ye chahiye,vo chahiye zid nehi karti thi.Betiyaan baap ki jaan hoti hai aur Dimple apne papa ko dekh kar ya to chup jaati thi ya phir thar thar kaapti thi.Main usey akele uske kamre mein khilaati thi aur uske kamre mein mere alava koi nehi jaata tha.Bachche to shor sharaaba karte hai ghar mein,par meri Dimple to roti tak nehi thi aur agar usko rona aata tha to apne kamre ke kisi kone mein muh dhak kar roti thi taaki uske rone ki awaaz tak kamre ke bahaar na jaaye.Can you just imagine ek bachchi ko ye bhi pata tha ke rote waqt awaaz bahaar na jaaye iske liye kya karna chahiye.Vo har raat mujhe jakar kar soti thi,neend mein hilti tak nehi thi.Aisi zindagi jee hai usne.Ab bataiye how could I trust someone?"Akash was horrified on hearing Dimples' painful past and seeing Ananya crying like that,he gave his handkerchief.Ananya looked at him for a few seconds and then took his handkerchief and she wiped her years with that.Akash said,"Rohit was a horrible man!!Koi apni khud ki beti ke saath aisa kaise kar sakta hai?Agar main Rohit ke jagah par hota na to pata hai main Dimple ko apne sar par bitha kar rakhta,main kabhi uska per zameen par parne nehi deta.Uski har wish,uske bolne se pehle puri kar deta aur pyar to itna karta jitna kisi baap ne aajtak apni beti se na kiya ho.Main to Dimple ko na khilone ke tarah bara karta.Larki bhi kabhi kisipar bojh hoti hai?Ab mujhe hi dekhlo,main yaha para hua hu aur mere mom dad ka dhyaan meri behen rakhti hai.Main to kahunga ke Rohit bohot hi unlucky hai,itni pyaari bachchi se koi dur kaise reh sakta hai?Bhaar mein jaaye vo!!Please aise insaan ke baare mein soch kar apna waqt barbaad mat karo."Ananya just smiled and said,"Aaj se pehle maine ye saari baate kisiko nehi bataayi hai and sahi mein aaj bohot relaxed feel kar rahi hu.Thank you so much!!"Akash replied,"Koi baat nehi senorrita!!Chote chote flights mein aksar aisi bhaari bharkam baate hoti rehti hai."Ananya burst out into laughter and Akash stared at her as if he had never seen before a woman laughing.Akash said,"Oh my God!!First Officer Ananya Rawat has bhi sakti hai?Maine kabhi nehi socha tha ke mujhe ye din dekhne ka mauka bhi milega varna mujhe to lagta tha ke madam ko hasna kya hota hai pata hi nehi hai."In a low tone,he said,"Don't worry your secret is safe with me.By the way today I noticed that haste huye you look very beautiful and I can guess ke Dimple itni beautiful kaise hui hai."Ananya nodded her head with a smile.Ananya's eyes suddenly fall on the handkerchief and she said,"Oh Iam sorry for this!!"Akash casually replied,"Well don't be!Isko dho kar,sukha kar phir iron karke mujhe dena.Ok?"She smiled at him understanding that he was taunting her.

CHAPTER - 9

Edited by -Paulomi- - 9 years ago
simmi12308 thumbnail
Posted: 9 years ago
#42
so sweet chapter paulomi. hope dheere dheere yeh nazdeekiya aur kam hoti jaaye and both dimple and ananya gets a new and better life. Par rohit is/ was not worthy to have these two in his life. But really aakash is muuchhh better for them instead of rohit...
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#43

Originally posted by: simmi12308

so sweet chapter paulomi. hope dheere dheere yeh nazdeekiya aur kam hoti jaaye and both dimple and ananya gets a new and better life. Par rohit is/ was not worthy to have these two in his life. But really aakash is muuchhh better for them instead of rohit...

nazdeekiyan badni chahiye not ghatni
thanks
merry786 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#44
Achae se bhi zyda wala acha update...
So dimple n akash r growing closer to eachother...thats amazing...
hmm even ananya n akash r too getting bit closer thats really awesome...
akyabiggestfan thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#45
Wow update!
Really...
Abhi na main tareef na karu na to bhi aap samajh lena kyunki ab shabd hi nahi hai mere paas...
You are seriously beyond awesome, amazing, excellent etc. Di...I have no words...
Men like Rohit are the sad reality of our society jo apni wife ko patni nahi child producing machine mante hai...


This bought tears to my eyes...I was touched...really loved it!
Thanks for this...
But...one question...this is an FF right...so will Rohit enter the story anytime in future?
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#46

Originally posted by: akyabiggestfan

Wow update!

Really...
Abhi na main tareef na karu na to bhi aap samajh lena kyunki ab shabd hi nahi hai mere paas...
You are seriously beyond awesome, amazing, excellent etc. Di...I have no words...
Men like Rohit are the sad reality of our society jo apni wife ko patni nahi child producing machine mante hai...


This bought tears to my eyes...I was touched...really loved it!
Thanks for this...
But...one question...this is an FF right...so will Rohit enter the story anytime in future?


thanks
but are you afraid of ghosts i mean u read this one but not that hprror story written by me
iam not asking u to read just curiosity
akyabiggestfan thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#47

Originally posted by: -Paulomi-


thanks
but are you afraid of ghosts i mean u read this one but not that hprror story written by me
iam not asking u to read just curiosity


No no di...nothing like That... I'm not scared!
Science student hu!

Par the way u describe it is what made a little scared! I confess!😆
But Rohit aayega kya?
I want Aakash and Rohit scene!
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#48
@akyabiggestfan
yes rohit will come
-AnnieQueen- thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#49
Unres
Is Aakash getting attracted to Annie
I am feeling that he is
It's very natural that Annie would not think about a relationship so easily
Just hoping that nats doesn't ruin everything. ...
Edited by akyalove0896 - 9 years ago
Tumpa12 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#50
dimple akash r growing closer to eachother even ananya...superb
amr nah rohit er opor onnnek raag hocche
manush eto low mentalities kibhabe rakhe

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".