CHAPTER - 3
Akash packed his bags and took clothes and other important things for almost a month and he also had a bag which contained some important tools which he used to take for any mission in his job.That particular bag always remains packed for emergency purpose and so he took that bag too and of course last but not the least his laptop and his gun and some bullets.Mrs Saluja was always very angry on Akash due to his extremely dangerous job of grabbing the terrorists but that day,she was even more angry since Akash took up such a case which involved even more dangerous entities than terrorists,ghosts.She was always very melodramatic and the day Akash was leaving,she said to him,"Apne bare bete ki shaadi to changi kudi de naal na karwa paayi par ab lagda hai ke chote munde ki to shaadi hi nehi karwa paaungi.Kaun karegi aise munde naal vyaah jo apni jaan hatheli par lekar ghumta hai aur abto bhoot,prt churail ke palle parne ja raha hai.Aap kuch kehte kyu nehi hai isko Salujaji?"She yelled at her husband and Akash was getting very annoyed and bored and on hearing that everyday melodrama since Mrs Saluja always does that at the beginning of his missions.On hearing Mrs Saluja's pleas,Mr Saluja said,"Oh main kya karu Akash ki ma,tum ho ke mujhe hi sunaaye ja rahi ho?Maine to nehi kaha tha usey jaane ke liye aur vo kabhi kisiki baat sunta hai?Vo hamesha se vohi karta hai jo uske dil mein hota hai aur jo vo thaan leta hai aur dekho apna puttar na changa kaam karne ja raha hai,ye bhoot vut kuch bhi na hota hai.Aap bas khushi khushi jaane do usko,dekhna kaam khatam karke aaphike paas to aayega."Mrs Saluja was extremely pissed off with her husband's reckless and carefree attitude and she said,"Iska kaam khatam hone se pehle vo churail iska na kaam tamaam karde.Aapko ki fark penda hai,apne puttar ko dard sehkar maine janam diya hai,aap meri pareshaani kabhi nehi samjhoge Salujaji.Ye to us churail ka bhog banne ja raha hai."Akash was fed up of her melodrama and so he said,"Ma kyu aisi baate karti ho aur jaane ke time par?Menu kuch na hoga,tussi thand rakkho aur aashirwaad do ke main jald se jald waapas aa jaau kaam khatam karke.Vaise bhi yaha na terrorists ke jaise goli baari karni nehi paregi,bina goli ke hi kaam nipat jaana hai,aajkal goliyo ke daam kitne bar gaye hai.Aapko to khush hona chahiye aur aap ho ke bas chalu ho jaati ho."Avni said,"Mujhe pata hai Akash na apne kaam mein zarur kamyaab hoga."Mrs Saluja could tolerate everyone's words but when her DIL opens her mouth,even if she was saying something good,she had to taunt her.That day too,she scolded her and said,"Tu to chup hi reh,tu to muh kholti hi hai ashubh bolne ke liye.Goli lagne par operation se goli nikaal sakte hai lekin churail ne kuch kar diya to uska ilaaj bhi to nehi hai."Just then,Neil came out with a tab in his hand and while playing game on his tab,he said to Mrs Saluja,"Dadi don't be so melodramatic!!Kyu itni Meena Kumari jaisi ban rahi ho?Aapne itne ghee aur makkhan waale paraathe thoose hai chachu ko,size dekha hai inka?Vo churail to tab inko khaayegi na jab vo uske pet mein fit honge.Churail ka bhi pet phat jaayega,ek life mein ek churail kitni baar maregi?"Akash was extremely pissed off with his nephews words and slapped on his head again and said,"Tere jaisa ek insaan agar kisike ghar mein ho na to usey dushman ki zarurat nehi hai."Mrs Saluja scolded Neil and said,"Tu chup reh,pota mera hai par gaya apni ma par hai."Avni replied,"Mummyji aap mere bete ko kuch mat kahiye,main apne bete ko aapki tarah puraani hindi filmo ki Nirupa Roy nehi bana sakti hu."Mrs Saluja was about to say something but Akash thought that like this he would never be able to leave for Vijaygarh and so he stopped her and said,"Arey ma aap bhi na kuch samajhti nehi ho.Main ye sab aaphike liye to kar raha hu.Aapko bara afsos hai na ke bhabhi dahej mein kuch nehi laayi,to aapko pata hai kya waha ek mahal hai,aur mahal matlab uske raja ya rani honge ab socho agar koi ameer rajkumari ko main patalu to vo kitna dahej lekar aayegi zara socho.Bhale hi aaj riyasatein na ho lekin ye log agar apna rumal bhi jharenge na to karoro ke sone niklenge waha se.Ab aap nehi chahti hai ke aapka puttar aisi bahu lekar aaye jo paiso ki baarish kare?"Mrs Saluja's eyes glittered on hearing about that and Akash took that opportunity and pouted and said,"Aapse main itna pyar karta hu ke aapke liye main churail tak se larne ja raha hu aur aap hai ke mujhe hi jaane hi nehi dena chahti.Arey khazaana pane ke liye thori bohot jaan jokhim mein to daalni parti hai ke nehi."Akash winked at Avni and she smiled presseing her lips.Mrs Saluja's expressions changed and her greedy hormones took over her brain and she said,"Thik hai par pehle main teri nazar utaar lu phir tujhe main jaane dungi."Akash agreed and she took his evil eyes and then let him go.Akash finally got rid of his mother,took blessings from everyone and went to the bus stand and took a bus to Vijaygarh.
[ LONDON ]
In the dinner table,Uday asked Parvati to call Ananya and Vijay to have dinner with him since Ananya used to have her food in her room,after she became ill and Vijay and Parvati used to have their food after Uday and Ananya finished having their food.Parvati was a bit taken back on hearing to what Vijay had just asked and so she said,"Ranaji Vijay aapke saath athe beth kar kaise kha sakey hai?Main bitiya ko bula laati hu vo aapke saath athe beth jaayegi."Uday,in an authorative tone said,"Humne kaha na Parvati Vijay aur Ananya dono ko bulaao.Vaise bhi hamaara bhi to man karta hai dono bachcho ke saath khaana khaane ka.Vijay ne hamaare business ko akele sambhaala hua hai,agar vo na hota to pata nehi hum kya karte to aise mein usey bhi to maan samman milna hi chahiye.Jaao un dono ko bulaao aur ye hamaara hukum hai."Parvati had then no other options left except to obey the order given to her and so she went to call both Vijay and Ananya to have dinner with Uday.Ananya was not ready to come but Parvati forced her to join the dining table and Vijay was very embarrassed and feeling uneasy to have dinner with him but still,out of respect,he came and sat on the chair beside Uday,opposite to Ananya.Parvati said to Ranaji,"Dekhiye na Ranaji bitiya to athe aana hi nehi chahti thi par maine jor jabardasti ki tabhi vo aayi hai."Uday said to Ananya,"Beta aap yaha aayengi hamaare saath bethengi to aapko achcha lagega.Din bhar to aap kamre se bahaar nehi nikalti hai.Kitni baar kaha hai humne aapse kabhi kabhi apni ma ke saath bahaar ghum kar aaya kijiye,kuch der ke liye hi sahi aapka dhyaan bhatka rahega varna aap to din bhar sirf vohi sab baate sochti rehti hai.Aajse aap sabke saath bethkar khaana khaayengi aur ye hamaara hukm hai."Ananya said,"Thik hai papa aap jaisa kahenge vaisa hi hoga par ha aajse ma ko bhi hamaare saath beth kar khaana khaana parega."Parvati was shocked and asked,"Bitiya je kaisi baate kare hai tu chori?"Uday replied,"Rajkunwari ne bilkul sahi kaha hai tumne ma bankar paala hai inhe jitna haq unpar tumhaara hai,utna hi haq to inka bhi tumpar hai na.Chalo betho!!"Parvati hesitated a bit at first but then agreed and sat beside Ananya.Uday,while eating said,"Vaise aaj ek khaas baat karne ke liye humne aap sabko yaha bulaaya hai.Humne apni vasihat banaayi hai.Ananya ko to hamaare kaarobaar mein koi dilchaspi nehi hai kyuki unka khud ka boutique ka business hai to isiliye hum apna kaarobaar kisi aise aadmi ko saupna chahte hai jo iske qaabil ho jiske haatho mein hum sab kuch saup kar puri tarah se nishchint ho sakey aur isi vajah se humne hamaara saara kaarobaar aur hamaari Allahabad waali haveli Vijay ke naam par kar di hai aur ye ghar Ananya ke naam par kar diya hai aur mahal to inhe yuvraani banne ke baad vaise bhi mil hi jaayegi aur humne ye tey kiya hai ke Parvati ko har mahine 30,000 rupiye milenge jo uske account mein jama ho jaayenge."Vijay chocked on hearing about the will made by Uday and he started coughing.Ananya got up and quickly gave him water and patted on his back and asked,"Aap thik to hai bhaisa?"After a minute,Vijay felt comfortable and he immediately asked,"Ranaji aapne itna sab kuch mere naam par...???"Parvati too replid,"Ranaji aap bhale hi hamaare raja hai,par je hukum aapka hum na maan sakey hai.Aap sab kuch ab bitiya ka hai,aap sab kuch unhe hi dijiye.Vaise bhi aapne hamaare liye bohot kuch kiya hai."Ananya held Parvati's hands and said,"Nehi ma,papa ne bilkul sahi faisla kiya hai.Hume papa ke business mein koi interest nehi hai isey bhaisa hi sabse achche tareeke se chala sakte hai.Hamaare liye to hamaara boutique hai na.Vaise aap dono ne hamaare liye jo kiya uske baad agar aapke naam hum hamaari puri zindagi bhi karde to vo bhi kam hai."Vijay said,"Par rajkunwariji aap to ghar par hi rehti hai,boutique mein aajkal aap koi kaam nehi kar rahi hai aur agar aisa chalta raha to bohot jald aapko apna boutique bandh karna parega."Uday was surprised on hearing that and said to Ananya,"Ye hum kya sun rahe hai Ananya aap aajkal boutique ka kaam bhi nehi karti hai?Aapko pata hai,hamaare khaandaan mein kisi bhi larki ne aajtak kaam nehi kiya,par humne aisa kabhi nehi maana kyuki humne bete aur beti mein kabhi fark nehi kiya tabhi humne aapko apna uttradhikari chuna,aap yuvraani banengi.Aapne hamaara business join nehi karna chaha,humne maana,aapne fashion designing ka course kiya,apna boutique khola,humne aapki saari ichchao ka maan rakkha hai to ab aapka bhi to ye farz banta hai na ke aap apna kaam purey mann se kare.Humne to kuch dino pehle ye bhi suna hai ke yaha koi fashion week shuru hone waala hai to hum chahte hai ke aap uski tayyari mein joot jaaye."Ananya replied,"Hume kuch bhi achcha nehi lagta hai papa,please hume force mat kijiye."Uday said,"Nehi bilkul bhi nehi is baar hum aapki ye zidd nehi maanenge bilkul bhi.Aap ghar par bethi rehti hai tabhi aap aisi hoti ja rahi hai.Kal se aap waapas se office jaayengi aur apna kaam karengi.Kaam kaaj mein busy rahengi tabhi aapke dimaag mein ye saare anaab shanaab khayaal nehi aayenge.Parvaati kal se rajkunwariji hume ghar par nehi dikhni chahiye aur hum chahte hai ke is saal ye fashion week hamaari beti jeete aur yehi hamaari ichcha hai."Ananya couldn't disobey her father and so she agreed to go to office.
They completed their dinner and all came out in the lawn and sat in front of the campfire and Uday suddenly remembered something and said,"Arey ye lo hum to aap sabko ek baat bataana hi bhul gaye.Vikram ka phone aaya tha ka phone aaya tha aur unhone hume bataya ke Natasha ka vivaah tey ho gaya hai wahike ek bohot bare millionaire ke bete ke saath.Shaadi ka muhurat agle mahine ka nikla hai aur Natasha ne ek guzaarish ki hai apni behen se..."Ananya looked at her father and Uday said,"Aur unki guzaarish ye hai ke unki aur unke hone waale pati ke shaadi ka joda aap khud apne haatho se banaaye.Unhone aapse contact karne ki koshish ki lekin aapse unki baat nehi ho paayi."Vikram Pratap Singh Rathore was Uday's 2nd brother and he with his wife Devyani and only daughter Natasha lived in America.There,with one of the ten multimillionaires' Mr Mafatlal's only son,Rohit,Natasha's marriage was fixed.Natasha was only 2 years younger to Ananya and they are very close to each other.So when Ananya heard about Natasha's marriage,she was very happy and she said,"Hum Natasha se kal hi baat karenge.Hum chalte hai papa,kal office bhi jaana hai."She was about to get up but Uday stopped her and said,"Ek aur baat hai,jo bohot zaruri hai aur vo ye hai ke..."He hesitated and said,"Vo...Vikram ne hume bataya hai ke...ladke waale chahte hai ke...Natasha aur Rohit ki shaadi...Vijaygarh ke mahal se ho bilkul rajvanshi tareeke se."Ananya became shocked and she looked at her father as if she was hearing some kind of alien language.She asked,"Papa aap jaante bhi hai aap kya keh rahe hai?Mahal mein shaadi???"Ananya was extremely upset and Uday got up from his chair and tried to calm her down and said,"Beta hum jaante hai aap kya soch rahi hai aur hum aapki haalat samajhte bhi hai.Par ab ladke waalo ne kaha hai to hum unki baat se inkaar bhi to nehi kar sakte hai na.Phir aapka janam bhi to wahi par hua tha."Ananya said,"No papa is baat se hume inkaar hai kyuki waha jaana matlab khatre ko saamne se invite karna hai,apni maut ko invite karna hai.Hamaara janam wahap hua hai,ye sach hai tabhi aaj hamaari kismat aisi hai.Hamaari kismat khud Vijaygarh ke shaitaan ne apne haatho se likhi hai tabhi hamaari maasa ki maut ho gayi wahapar aur hum ye baat kabhi nehi bhul sakte hai.Aap waha ke raja hai na,agar ye baat vo log nehi maante hai to aap unhe samjhaaiye.Natasha hamaari behen hai aur hum sab kuch jaante huye,unki aur ukne hone waale pati ki jaan khatre mein nehi daal sakte hai."Uday,in a tensed tone,replied,"Aisa nehi hai ke waha Natasha ki shaadi hone dene ka hamaara bhi mann hai,is baat ki ijaazat dene ka dil hume bhi nehi kar raha hai.Par phir humne socha ke ab hume apni uttradhikari ki ghoshna karne ka waqt aa gaya hai,ab hume hamaari honewaali yuvraani ka abhishek karna hoga aur hum chahte the ke Vijaygarh ke mahal mein hi unke honewaali yuvraani ka tilak ho vo bhi purey rajputaane tareeke se."Ananya was worried but then she changed her expression and tightened her jaws and said,"Aap bhale hi unse kuch na keh sakey lekin hum aisa hargiz nehi hone denge.Agar aap mana nehi kar sakte to hum manaa karenge.Papa unse kahiyega ke vo agar chahe to shaadi is duniya ke kisi bhi kone mein kara sakte hai aur shaadi bhi rajputaane tareeke se hi hogi lekin Vijaygarh ke mahal mein nehi hogi..."She looked at her father and said,"Aur ye...unki honewaali yuvraani ka hukm hai."Saying she stormed out from there.Parvati had never seen Ananya like that before and so she said to Uday,"Ranaji bitiya ke taraf se main maafi maangu hu.Par maine usey kabhi bhi itne gusse mein na dekha."Uday smiled and replied,"Parvati ye tumhaari vo dari sehmi si bitiya nehi,Rajputani khoon bol raha hai.Aaj inhe dekh kar hume hamaare bapusa yaad aa gaye.Vo bhi bilkul aise hi the,ek baar jofaisla le liya to bas le liya aur bilkul isi tareeke se vo baat karte the.Apni har baat ke baad vo yehi kehte the,'Ye Vijaygarh ke Bare Ranaji ka hukm hai'.Bas vo baat patthar ki lakeer ban jaati thi.Aaj chahe waqt aur haalaat kaise bhi ho lekin vo hai to Rajputaani hi.Tum jaao aur rajkunwari ko unki dawayi de dena."Parvati nodded her head and then left from there.After she left,Vijay said to Uday,"Chota muh bari baat Ranaji par rajkunwari ji keh to sahi hi rahi hai na.Manjli raajkunwari ki shaadi waha karaana khatre se khaali na hoga."Uday,in a tensed face nodded his head and said,"Hume pata hai isiliye hum Vikram se baat karenge aakhir yuvraani ka hukm hai,unki baat to taali nehi a sakti.Hamaare baad riyasat unhiki to hai aur unhe riyasat ke liye jo thik lagega vo wahi karengi."Vijay just smiled in reply.
[ On the way to Vijaygarh ]
Akash was sitting on a bus and was listening songs in his phone and enjoying the view outside the window while travelling to Vijaygarh.One of the passengers asked Akash,"Aap kaha se aaye ho bhaaya?Vijaygarh ke to na lagte ho?"Akash removed his ear phone and then replied,"Main Delhi se aaya hu,news channel mein kaam karta hu."Akash deliberately lied about his identity as he already planned that it would be his identity regarding his investigation in the guest house.The man didn't understand anything and asked,"Kathe kaam karte ho?"Akash took out his handycam and said,"TV mein khabar aati hai na,khabar ke channel mein kaam karta hu."The man then understood about Akash's profession and asked,"To bhaaya Vijaygarh kaunse khabar ke liye ja rahe ho?"Akash made a shocking expression and said,"Arey aapke Vijaygarh mein itni bari khabar hai,'Churail ka qahar!!'Itni jhakkas khabar ke rehte kisiko koi aur khabar ki zarurat parti hai kya?Main usi churail ka interview lene aaya hu."The man and the other passengers looked at him with wide opened eyes and some passengers who were sitting behind Akash's sit,stood up in excitement and the man beside Akash said,"Aapko pato bhi hai aap ke keh rahe ho sa?Ye koi majaak ki baat na hai,Mahaakal ke jungalo mein saachi mein churail hove hai.Kuch dino pehle aaphike tarah ek babuji aaye the seher se,unka churail ne ke haal kiya vo pura Vijaygarh jaane hai."Akash said,"Par akhbaar mein to ye aaya tha ke us aadmi ki dil ka dauda parne se maut hui hai."The man laughed and said,"Aap sehri log kabhi na maanoge hamaari baat aur ye sab sehri chochlo se churail na pakri jaawe hai.Main to kahu hu sa aap apne ghar laut jaao.Athe jaan ko khatra hai.Yaha Vijaygarh ke mahal par bhi uska qahar hai."Akash made a confused face and said,"Mujhe ek baat samajhme nehi aati hai ke ye mahal to pura ka pura khaali para hai,to aapki ye churail behenji jungle mein kyu rehti hai aur maine to ye bhi suna hai ke mataji bohot bari singer bhi hai.Kaun hai ye churail?"The man immediately cut her tongue and then said,"Us churail ke baare mein to dur uska naam bhi lena hamaare liye paap hove hai.Hum uske baare mein kuch na bata sakte hai bas itno jaan lo ke raj gharaane se judi hui hai saari baate.Kahi saalo pehle kuch huo ke pura rajgharaana khatm ho gayo,kuch na bacho hai yaha par."Just then there was a huge sound of blasting and the bus stopped with a huge breaking and ugly sound and then the other people blamed Akash since he started talking about the ghost and that ghost had stopped the bus.Akash got down the bus and checked and found that the tyres are punctured.The driver said,"Bhaya aapne jo itne der se us churail ke baare mein baat ki uske vajah se vo naraaj ho gayi aur ab humse badla le rahi hai."Akash said the driver,"Yaha neeche utar kar dekho tyre puncture ho gayi hai tumhaari.Tyre ki to achche se jaanch partaal karte nehi ho aur bina jaanche parkhe bas churail mata ke upar ilzaam daal diya.Unko kya milega tumhaare bus ka tyre puncture karke.Unhe kahi jaane ke liye thore hi na spare type ki zarurat parti hai."The driver came out and said,"Ab chahe jo kuch bhi ho par ab bhaaya aap na ja sako ho is bus mein,vaise bhi ye bus Vijagarh ke andar na jaave hai,seema ke bahaar hi sabko utarna parta hai aur je lo aapke paise."Akash was stunned and he yelled,"To ab main jaaunga kaise??Paidal??"The driver replied,"Vo mane na pato hai aap apna intejaam khud hi karlo."Saying the driver and the conductor together changed the tyre and left from there with the bus leaving behind Akash alone on the road.Akash cursed his luck and said,"Mummy ne sach hi kaha tha mat ja puttar par na maine baat na suni.Chalo koi nehi,beta Akash aatanwaadiyo se larte ho ye churail kya cheez hai.Vaise bhi maut ke muh se lar kar paida huye ho,yaha bhi thore bohot dhakke khaane honge."Saying he started walking alone with his bag and baggages.
CHAPTER - 4