Originally posted by: merry786
@ Paulomi di
ok i won't force u...it is more than enough for us that u r giving us beautiful updates...keep writing if possible! 😊
🏏T20 Asia Cup 2025: Match 19 - Final: India vs Pakistan @Dubai🏏
DIL DOORMAT 27.9
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 28th Sep 2025 - WKV
BOOTH ROAMING 28.9
Is noina mandira post plastic surgery?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 28, 2025 EDT
CID episode 81 - 27th September
70th Filmfare Awards Nominations
Ranbir Kapoor Birthday Celebration Thread 🎂🎂
Revisiting 90's nostalgia
Diana praises Deepika Padukone’s work ethic
SAMAR ki hogi re entry !!
🎶🎵Tribute to Lata Mangeshkar on Her 96th Birth Anniversary🎵🎶
Mihir ka Noina pe ato..oot vishwas
Geetanjali to die?
Ahaan’s next with Sanjay Bhansali? 🔥
Maan and Geet- Love Wins Against All Odds..
Originally posted by: merry786
@ Paulomi di
ok i won't force u...it is more than enough for us that u r giving us beautiful updates...keep writing if possible! 😊
superb👏
Originally posted by: akyalove0896
How can Aakash do such a thing Di???
I mean cheee!!!Why did he like...why did he do that???!!!I know he was hurt but...Everything has a limit😡Ekto is duffer ko kuch samajh mein nehi aata..Upar se meri Annie bechari ko rulaya...Aur ab...😡😡😡I swear I will kill him...
CHAPTER - 18
[ Few Days Later ]
Within a few days,the engagement date is fixed and already the relatives were invited.One day,after returning home from office,Ananya saw many people in her house.All came to her and congratulated her and she was surprised and asked,"Kya ho raha hai ye sab ghar mein?Mela kyu laga kar rakkha hua hai yaha?"Ananya's mother said,"Tere papa ne saare rishtedaaro ko bulaana shuru kar diya hai,teri sagaai ki date bhi pakki ho gayi hai."Ananya was shocked and it was appearing she was hearing some kind of alien language and asked,"Sagaai ki date?Papa ne bina mujhse puche meri sagaai ki date fix kardi aur ye baat mujhe kisine bataayi bhi nehi?"Her paternal aunt asked,"Arey Ananya beta ye kya baat kar rahi hai?Tere papa ne agar kiya hai to kuch soch samajh kar hi kiya hai na.Vo tere dushman to hai nehi na aur isme puchne waali kaunsi baat hai?Rohit ke saath teri shaadi hogi ye baat to pehle se hi tey thi na?"Ananya replied,"Vo baat puraani ho chuki hai aur Rohit ke saath meri sagaai ko toote mahino ho chuke hai aur maine is rishtey ke liye ha abhi tak nehi ki hai to kisse puch kar aapke bhai ne aisa faisla kiya hai?"Ananya's aunt covered her mouth and said,"Ye larki kya bakwaas kar rahi hai?Sagaai pakki hone ke baad tu aisi baate kar rahi hai?Tujhe sharam nehi aati hai aur kiske baare mein bol rahi hai tu,us aadmi ne tujhe paida kiya hai."Ananya replied,"Ha nehi aati hai sharam,jaha sawaal meri puri zindagi ka hai waha mujhe sharam nehi aati hai aur jaha mujhe dikh rahi hai ke is shaadi ke baad meri zindagi hamesha ke liye barbaad hone waali hai waha sharam aani bhi nehi chahiye."Ananya's aunt called her brother and asked to him come and see what his daughter was saying and then Mr Rawat asked,"Kya baat hai Ananya?Ye main kya sun raha hu?"Ananya replied,"Jo bua ne aapko bataya hai vohi aapne suna hai.Aapne kisse puch kar sagaai ki date fix ki hai?Mere saath to aapki is baare mein koi baat nehi hui hai aur vaise bhi jab maine anguthi ke design ke us catalogue ko phaar kar phek diya tha tabhi aapko samajh jaana chahiye tha ke main is rishtey ke liye raazi nehi hu to phir aap ye sab kyu kar rahe hai?"Mr Rawat replied,"Ye sab tu kya bakwaas kar rahi hai Ananya?Baat to tere saamne hi hui thi aur maine unko zabaan di hai aur ab teri shaadi wahi par hi hogi."Ananya replied,"Ha baat mere saamne hui thi par maine ha nehi ki thi aur zabaan aapne di hai maine nehi to uski gurantee main hargiz nehi lungi aur naahi us stupid si cheez ke liye main apni zindagi barbaad karungi aisa sochna to galat hai na.Ye koi hindi picture nehi hai aur naahi koi TV serial hai."Mr Rawat said,"Jis larki ki sagaai do baar toot jaati hai na uski koi izzat nehi hoti hai."Ananya said,"Kis izzat ki baat kar rahe hai aap papa??Kaunsi izzat??Agar aapko apni ya meri izzat ki parwah hoti na to jo aadmi ek baar mujhse sagaai khud tod kar gaya tha aap uske saath waapas se mera rishta kabhi nehi jodte.Arey main to aise aadmi ki shakal bhi na dekhu apni life mein.Aapne to khud apne haatho se meri izzat ka gala ghot kar aaye hai.Agar aaj aapki beti na hokar beta hota aur Rohit ke jagah kisi larke ne shaadi todi hoti to kya aap usi larki ke saath waapas se rishta jodte.Ye sab choriye agar maine Rohit ke saath rishta toda hota to kya vo log mujhe waapas sweekar karte?"Mr Rawat said to his wife,"Dekho tumhaari beti ki baate suno.Isko hamaare izzat ki parwah tak nehi hai.Sagaai ke do din pehle ye bol rahi hai ke isey shaadi nehi karni hai.Kuch samjhaao is beakal ko."Mrs Rawat replied,"Aapne apni beti ko paraaya likhaaya hai,is qaabil banaya hai ke vo apni decisions khud le aur mujhe apne sanskaaro par pura bharosa hai."Ananya's aunt said,"Isi liye kehti thi ke larki ko itna parao likhaao mat,uske par lag jaate hai aur tu ye kya keh rahi hai apni beti ko rokne ke bajaaye mere bhai ko suna rahi hai?Agar main hoti na teri jagah par to baal pakar kar kheech kar shaadi karwaati iski."Mrs Rawat said to her sister in law,"Didi aap mujhse umar mein aur rishtey mein dono mein bari hai isiliye aisa kuch bhi mat kijiye ya aisa kuch bhi mat kahiye jisse ke mujhe majbooran aapki izzat karni chorni pare aur yaha sawaal meri beti ki zindagi ka hai aur baat main apne pati se kar rahi hu aur pati patni ke beech mein kisi teesre ko aane ki ijaazat nehi hai."Ananya's aunt was extremely shocked at her reply and Mr Rawat warned his wife not to insult his sister to which she replied,"Agar koi khud apni izzat ki rakhwaali na kar sakey to uski izzat ki zimmedaari meri nehi hai aur Ananya bilkul sahi keh rahi hai.Aapki jhuti izzat ke vajah se vo apni zindagi kyu barbaad kare?"Ananya's aunt said,"Arey shaadi nehi karegi to ma baap ke baad kaun dekhega tujhe?Tere ma baap zindagi bhar to tere saath nehi rahenge na?Kisi na kisika haath pakar kar to tujhe chalna hi parega."Ananya smiled sarcastically and replied,"Isi dakiyanusi soch ke vajah se to aap logo ne milkar aaj ke zamaane mein bhi larkiyo ko apahich banakar rakkha hua hai.Ma baap ke marne ke baad pati dhyaan rakkhega?Aur agar pati bhi mar gaya to?Vo bhi koi amar hone ki ghutti to peekar nehi aata hai na,vo bhi insaan hai ek na ek din usko bhi marna parega.Tab kya main ek aur shaadi karu?Main apni likhi hu,naukri karti hu,agar meri shaadi nehi hui to bhi main bhukhi mar nehi jaaungi."Ananya's aunt made a face and said to her brother,"Dekha kaise zabaan chalti hai teri beti ki?Isko to teri izzat ki koi fikar hi nehi hai."Ananya replied,"Aapko achaanak apne bhai ki bohot parvaah hone lagi hai?Tab kaha thi aap jab peechle saal mere papa itne bimaar the.Tab to ek baar bhi aapne phone bhi nehi kiya."Mrs Rawat said,"Main maanti hu shaadi zaruri hota hai,par shaadi zindagi ka ek zaruri hissa hai,puri zindagi nehi.Main apni beti ki shaadi tabhi karwaaungi jab us shaadi mein uski razaamandi hogi aur ye rishta mujhe bhi pasand nehi hai.Pehle maine kuch kaha nehi par ab jab Ananya ne khud hi mana kar diya hai to mujhe bhi ab ye baat kehne mein koi jhijhak nehi hai."Mr Rawat said,"Is larki ne mujhe kahika nehi chora hai.Ab main kya kahunga unhe?"Ananya replied,"Aapko kuch bhi kehne ki zarurat nehi hai,main khud unse baat karungi.Aap bulaaiye unko."Mr Rawat looked angrily at his daughter and Ananya left from there.
Next day,Rohit and his family was called and then they were informed about Ananya's decision.Rohit and his mother were way too much angry and upset over Ananya for her decision.When Ananya came to meet them,Rohit asked,"Ye sab kya bakwaas ho raha hai Ananya?"She replied,"Isme bakwaas waali kaunsi baat hai?Jo tumne suna hai maine exactly wahi kaha hai.Mujhe tumse shaadi nehi karni hai aur ye mera aakhri faisla hai."Rohit asked,"Kya main jaan sakta hu iski vajah kya hai?"She replied,"Vajah bohot hi simple hai I don't trust you aur tum mere laayak nehi ho."Rohit asked,"What do you mean?"Rohit's mother said,"Mera beta tere laayak nehi hai?Mere beta pilot hai,achcha kamaata hai aur aaj bhi larkiya uske peeche line laga kar khari hai."Ananya sarcastically smiled and replied,"Ha tabhi to Natasha ne isko laath maar kar apni zindagi se nikaal diya kyuki shaayad usko samajhme aa gaya hoga ke tum good for nothing ho.Akash ne tumhe kuch din dekh kar hi bilkul sahi kaha hai tumhaare baare mein,tum bilkul bilkul useless ho jisko Natasha kutta banakar apne peeche ghumaya tha aur auntyji agar aapke bete ke peeche itni hi larkiya paagal hai na to please jaaiye unhime se kisise aap apne bete ki shaadi kar wa dijiye."Rohit said to everyone,"Ab mujhe samajhme aaya hai ke asli baat kya hai?Ye Akash se pyar karti hai aur yehi asli reason hai is rishtey se mana karne ka.Tum mere baare mein itni saari baate keh rahi ho na Ananya tum khud kya ho?Tum to uske aur uske baap ke saath to bahaar ghumne tak chali gayi.Pata nehi waha kya gul khilaya hoga uske saath?Tumhe kya lagta hai mujhe kuch bhi nehi pata?Vo to main hu jo tumse shaadi karne ko abhi bhi tayyar hu varna tumhaare jaisi larki ko koi dekhta tak nehi hai.Arey tumhaare jaisi larkiya to mere saamne beech jaayengi agar main ek baar kahu to."Ananya,in reply stared at him for a moment and then slapped him hard on his face and said,"Main bohot khush hu ke tumse shaadi na karne ka faisla kitna sahi hai vo aaj mujhe yakeen ho gaya hai.Jo aadmi kisi larki ke baare mein itni ghatiya baate soch sakta hai,vo kisi larki ki izzat kya karega?Hamesha Natasha ke saath milkar tumne aajtak meri beizzati karne mein koi kasar nehi chori.Yahatak ke us party mein usdin mere saath ek aadmi ne itni badtameezi ki aur tumne kya kiya Natasha ke peeche khare hokar dekhte rahe?Jo aadmi mujhe protect tak nehi kar sakta hai uske saath main apni zindagi kaise bitaau?Akash ki baat kar rage the na tum,tum uske pero ke dhul ke baraabar bhi nehi ho aur ha main Akash se pyar karti hu aur mujhe uske badle usse kuch expectations nehi hai,pyar ki bhi nehi bas itna pata hai that I love him,yes I do aur ha main uske saath ghumne bhi gayi thi bahaar aur jitni izzat vo meri karta hai na utni to tumne aajtak nehi ki.Chorkar tum mujhe gaye the Rohit aur sach to yehi ke Akash ne sab sach kaha tha maine kabhi tumse pyar nehi kiya vo to sirf vo soch thi jo bachpan se mere ma baap ne mere dimaag mein daala tha aur vo pyar nehi tha."Rohit asked,"To tum mujhse badla le rahi ho?"Ananya replied,"Tumhe apne baare mein itni galatfemi kyu hai Rohit?Tum badla lene ke laayak ho?Tumse badla lena to tumhe izzat dena hua aur vo izzat bhi main tumhe nehi de sakti.Mujhe saari zindagi akele rehna gavaara hai lekin tumhaare saath kisi bhi keemat par nehi.Main koi khilona nehi hu Rohit ke jab tumhaara dil kiya tum aa gaye,main insaan hu,meri bhi kuch value hai.Usdin tumne kiya tha,aaj main tumse shaadi karne se inkaar karti hu.Just get lost Rohit!!"Rohit glared at Ananya and then he and his mother got up from there,but Mr Rawat stopped them and said,"Bhabhiji please ruk jaaiye,please mat jaaiye.Ye to bewakuf hai,Ananya ki shaadi Rohit se hi hogi ye main keh raha hu."Mrs Rawat replied,"Ji nehi Ananya ki shaadi Rohit se nehi hogi chahe zindagi bhar mujhe apni beti ko ghar mein kunwari bitha kar kyu na rakhna pare."Rohit's mother called her husband and asked him to leave.He got up and before leaving,he went to Ananya and put his hand on her head and said,"Maine kabhi tujhe apne dost ki beti nehi maana.Tu hamesha sirf meri hi beti thi.Ha agar aaj tu mere ghar mein bahu bankar aati to shaayad mujhe bohot khushi hoti lekin aaj jo tune inkaar kiya usse main aur bhi zyaada khush hu.Ye dusri baar rishta laana mujhe bhi achcha nehi laga tha par phir bhi...Tu hamesha khush rehna beta aur usise shaadi karna jo teri izzat kare."Ananya smiled and then Rohit left from there with his family.
After they left,Ananya's aunt said,"Ab main bhi yaha par rehkar kya karu jab tera rishta hi toot gaya."Mrs Rawat said,"Ananya beta teri bua ke jaane ka intezaam kara dena jitni jaldi ho sakey aur jab teri shaadi hi toot gayi tab unhe yaha rehkar tere paiso par aish karne ki kya zarurat hai.Hai na didi?Aur ha jaane se pehle vo kapre gehne waapas karke jaana kyuki vo bhi Ananya ke paiso se hai aur raat ko AC off karke sona uske bill bhi meri beti hi deti hai."Ananya's aunt made a face and both Ananya and her mother laughed and Ananya said to her mother,"Pata hai ma aaj main bohot relaxed mehsus kar rahi hu.Aaj neend achchi aayegi."At night,after the dinner,Mrs Rawat went to Ananya's room and said,"Beta tune ye to keh diya ke tu Akash se pyar karti hai.Par agar kahi sach mein usey tujhse pyar na hua to?"Ananya replied,"Koi baat nehi ma,ye koi zaruri to nehi ke hum jisse pyar kare vo bhi humse pyar kare.Mujhe usse koi expectation nehi hai bas itna janti hu ke I love him bas."Mrs Rawat replied,"Thik hai to jab tere aur Akash ki shaadi hogi na main bohot dhumdham se karwaaungi shaadi tum dono ki.Abhi chal tu soja."She left from there and Ananya closed her eyes and she was right,with the burden coming down of her heart,she really had a peaceful sleep.
Originally posted by: snehal05
Yipiii 1st to comment🥳
Awesome chapterAnanya slapped rohitAb sirf akash ko thodi akal aajaye