Chapter 3
Font:
Text Size:
Theme:
~~~~~KehkashaaN~~~~~
Door…bohat door waqt ki uss paar aur iss duniya se paray kahin pe aik chota sa jazeerah hua karta tha. kudrati neyamat se bhari uss haseen jazeerah me aik jaadoowi musawwir rehta tha. uss musawwir ko apne Khuda se betahasha mohabbat tha per uss se bhi zyada lagao tha usse unnke takhleeq se. apne tanhayi k saath khush rehta tha woh…aasman se baatein karta, hawa k saath saath chalta…samundar ki lehron k saath gungunata woh. usse bas aik hi shaukh tha..junooni aur jaadoowi shaukh…tasweerein banana. kudrat ki be-jaan cheezon se rang laake woh apne tasweer me bharta aur uss tasweer me jaan aajata. usski chune hue aik aik rang me aik aik jazba zahir hota tha…kabhi usske tasweer me ashq hota tha to kabhi khushi. kabhi mayoosi to kabhi ummeed. dair raat tak…khule aasman k neeche sitaron ki raushni me woh apne tasweerein banata tha aur har woh jazba jisski tasweer woh banata tha…subhe uthke usse woh zinda paata…aik insaani libaas me. phir poora din woh uss jazba ko jeeta..usske saath apna waqt bita tha per raat hote hi woh insaani jazba phir se tasweer bann jaata. musawwir ko apne tasweeron se behudh pyar tha…aik aik tasweer woh bohat shiddath se banata tha aur junoon ke saath unhe saansein bakshta tha. per poora din uss jazba ko apne rooh me basaker jab usse raat ka saamna karna hota tha to woh bohat udaas hojaya karta tha. jis tasweer ne iss qayenaat ko mehsoos kiya usse phir se bejaan hoke tasweer me qaid hojaana usse accha nahi lagta tha. isi liye woh unhe samundar me doobon deta taaki tasweer ki qaid se unnko aazadi mil jaaye. rangon k mitnay k saath saath woh ahsaas bhi khatam hojaata tha.
aik din aise hi aik tasweer bana raha tha woh…kudrat se…iss qayenaat se har woh rang ussne liya per tasweer banate banate achanak usski ungli zakhmi ho gaya aur ussi ka aik boondh khoon usske rangon ke saath ghul gaya. musawwir ne khayal hi nahi kiya aur apne tasweer ko muqammal kiya. subhe usski aankh khuli ek meethi si awaaz se. palat ker dekha to uss ne uss tasweer ko zinda dekha dareeche ke saamne khadi woh samundar ko dekhi jaa rahi thee. musawwir usske paas aake khada hua aur usse dekha aur dekhta hi reh gaya! itni haseen…itni khubsoorat aisi tasweer ussne pehle kabhi nahi banaya. usske zuban se aik hi alfaz nikla bas..
M: Subhanallah..!
Tasweer ne muskuraake poocha apne khaliq se…
T: kya hua? aisa kya dekh rahe hai?
M: humnain apne poori zindagi me bohat tasweerein banayi per aap sa haseen tasweer pehle kabhi nahi bana. aankhon per yaqeen nahi horaha..
T: aap ki aankhon ko ya to wahem horaha hai ya phir aapko apne salahiyat ka ahsas nahi. aap to woh ho jo aankhein bandh karke bhi kisi bejaan me rang daal ke usse aik haseen anjaam de sakte hai. hum to bas unhi me se aik hai…na zyada na kam
M: kaash aap khudko hamare nazar se dekh paate
T: hum aap hi ke nazron se banay hai…dekhne ki naubat kyun aane laga bhala
…aik saadgi si muskaan hothon pe lekar woh bahar chali gayi. amoonan musawwir ko pata hota hai k usse kya karna hai per iss tasweer ki baat kuch aur hai. woh apna poora tawajju apne tasweer pe laga deta hai. pata nahi kyun itna lagao horaha hai usse iss tasweer se! woh usse apne dil ki har baat karta hai aur woh usse ghaur se sunnti….apne musawwir ko kabhi salah deti to kabhi dilasa…kabhi pyaar se usska haath thaamti to kabhi usske kaandhon pe sir rakh deti. aise hi baaton baaton me subah se dopahar hogayi…suraj apne urooj se dhalnay laga maghreb ki orre…musawwir ko bhi saath saath aik khauff sa hone lagah! yeh kaisa jazba hai jisse woh jee raha hai…yeh kaun hai saamne? usse ahsaas hone lagta hai k jisse ussne itne shiddath se banaya woh usski junoon ki wajah bann gayi hai. woh fiker me aagaya…raat hote hi tasweer bejaan hojayegi aur phir usse samundar me doobon dena hoga per yeh kya? iss khayal woh itna sehem kyun raha hai? usse apne tanhayi se khauff kyun ho raha hai? kisi bhi sawal ka koi jawab nahi mil raha usse…shaam hone ko hai. musawwir apne zinda tasweer k godh me sir rakkhe soya hai k achanak usski aankhon se ek boond aansoo jhalka. tasweer hairaan hoke poocha..
T: aap ki aankhon me yeh nami kyun?
M: humain kuch samajh nahi aaraha. pehli baar humain aisa mehsoos horaha hai.
T: kaisa mehsoos horaha hai?
M: aisa lag raha hai k hamari saansein khatam hone ko hai…jaise hum aik zinda laash bannewale hai jissme jism hai per rooh nahi. aik khauff sa baith gaya hai dil me…jaise koi azeez humse bicharne wala hai.
T: to rok lijiye unhe…mat bicharnay dijiye
M: yeh na mumkin hai. kudrat k khilaaf nahi jaa sakte hum
T: to aap khud unnke paas chale jayye
musawwir khamosh hojata hai. woh apne tasweer ko seenay se lagake kehta hai..
M: humnain tumhe jee liya hai aur ab humain aur nahi jeena
woh apne ghar wapas jaata hai aur ussi shiddath aur junoon se aik aur tasweer banata hai…usski khud ki tasweer. jab tak woh apni tasweer muqammal karta hai usse ahsaas hota hai k woh tasweer kab ki bejaan hochuki hai. musawwir uss tasweer ko seenay se lagah k neend ko tarjee deta hai. usske aakhri lafz bas yehi tha..
"aye mohabbat…humnain tumhe jee liya…"
kehte hai woh musawwir aur woh tasweerein aaj bhi uss jazeerah me rehte hai apne tasweeron me qaid per apne duniya me ek doosre ke saath. uss musawwir ka naam tha "Mayank" aur usski tasweer-e-mohabbat ka naam diya tha ussne "Nupur".
-Neela-
Your reaction
Nice
Awesome
Loved
LOL
OMG
Cry
10 Comments