Chapter 12

anni_23 Thumbnail

A

@anni_23

Font:
Text Size:
Theme:
Part 12
s:"Phir ye aksar hony laga wo ladka tanya ky baray mei jo kuch bi kehta tha wo bilkul sach hoa karta tha,siwaye us phely din ki bat ky jab us ladhky ne kaha tha ky tayna ko divorce ho chuki hai aur tanya ki shadi london mei hui the esi liye koi bi tanya ki shadi sy yahan waqif nai hai siwaye tanya ki kuch qaribi relatives ky,aur pher ahesta ahesta tanya ki haqiqat mujh pe khulti gai wo sara din mery sath aur apni evenings apny boy friends ky sath guzara karti the,agar mai kudh usy apni ankhun sy moon light club mei dance karty hoye na daikhta toh shaya us ladky ki bat pe kabi bi atibar na kar us din muje tanya sy sakht nafrat hui the aur us sy kahin zayada nafrat muje khud sy mehsus hui the ye soch kar ky mai ne kis sy muhabt ki sirf khubsurti sy es liye muje mili b khubsurti magar sy chehry ky kirdar ki khubsurti ka toh matlab bi muje malum nai tha tanya ko,aur us din mai ne khud sy wada kiya tha ky mai tanya ko us ky jhot ki saza dai kar he rahun ga."

s kuch dair sans lainy ko roka,k bina palkain helaye s ko daikhty hoye usy soun rahe the jaisy kuch dhondh rahe ho,s donu hath pant ki pockets mei daly khidhki ky pas ja kar khadha ho gaya.

S:"kashish!Tanya muj sy shadi kar ky mery papa ky business mei ana chahti the ta ky wo apny baap ki reportation kharab hony sy bcha le aur mery papa ka business tabah ho jaye,1 din achank us ky ghar ja kar mai ne ye batain kudh souni us ky muh sy wo apny kisi dost ko hans hans kar ye sab bta rahe the,mai usi waqt laut aya agar mai zara si dair b karta tou shayad tanya aj es duniya mei na hoti,us din ky badh mai ne tanya sy milna khatam kar diya aur us sy shadi ka kaha,kyun ky mai khud jald sy jald us sy shadi kar ky usy apna kar badla lena chahta tha magar shayad usy andaza ho gaya tha mery iradun ka esi liye wo yahan sy bhag gai aur.."


s bolty bolty 1 dam khamush hoa aur palt kar dubara k ky sath bed pe baith gaya.

S:"aur..esi tarah tum bilkul achank meri zindage mei agai us din uni mei jis waqt mai tanya ky jhot par bohot ghusy mei baitha hoa tha toh mery kanoo mei tumhari bohot dheemi si awaz padhi the,tum khud sy baat kar rahe the aur kuch burbhada rahe the,mai tumhari puri bat toh nai soun saka tha magar thodi bohot meri samjh agaya tha ky tum bi tanya ki adaun sy tang agai ho aur us ky nakray tumy b pasand nai.Mera dehan tanya ki urh kam aur tumhari tarf zayada hota ja raha tha aur jab us ne muje btaya ky wo tumy mery pas kis liye lai hai tou mai shocked reh gaya tha muje tanya ki jurat par hairat bi hui the ky kis tara us ne baithy baithy meri zindagi ka faisla lamhun mei kar gai the,us din b mai ne sabur sy kam liya aus us ko aram sy samjhaya magar jab wo apni bat pe adhi rahe tum mai wapis lautny laga tab meri nazar tum par padhe tum 1 pair heelati hui idhar udhar daikh rahe the us waqt tum muje bohot masum si school girl lage the aur bus usi lamhy mai ne tumhary haq mei faisla dai diya tha."

k ne achank kuch dair badh khaday huny ki koshish ki magar s ne us ky achanak khady hony pe us ka hath pakar kar usy wapis bethana chaha magar k ne 1 jhatky sy apna hath chudha liya aur ghusy sy s ki urh daikhny lage.

S:"meri bat abi khatam nai hui balky ab shuru hui hai."

k:"mr.Sujal garewal!Bohot ho gai ap ki raam kahani na toh mai masum hun aur na he school girl jo ankh bandh kar ky ap ky dikhaye hoye rasty par chalun hadh hoti hai jhot ki,kisi ladki ky kirdar par ungli uthaty hoye sharm ani chaheye ap ko,apne soch b kaisy liya ky mai ap ki batun ko such mann lon ge,aj ap ko malum ho mai Ap SY MUHABT karny lage hun tou ap ny muje waqt guzari kar zariya banany ki puri koshish kar dali,kal tak hamari shadi 1 agreement the aur aj ap sabit karna chahty hain ky mai ap ki dili khawaish the,agar aisi he bat the tu aj hamari shadi ko aj itny maheny ho gaye ap aj tak khamush kyun hain?Kya es intzar mei ky mai kab tak harti hun aur kab ap ky kadmu mei ger kar muhabt ki beegh mangti hun,ap sy muhabt zarur ki hai magar na tu mai apni zuban sy mukrun ge aur na he tanya ki imant mei khayant karun ge."

k agay bolna chahti the magar s ka zor dar thapad k ko khamush kar gaya,s apny gal pe hath rakhay 2 kadam pichy hati aur diwar sy lag kar khadi ho gai shocked si.

S:"kashish!Agar 1 lafz b mazid tumhary muh sy nikla tu yadh rakhna aj mai tumy nai chodun ga,tum ne kya samjha hai muje,pati hun tumhara,tum pe pura haq rakhta hun aur jo chahun kar sakta hun aur tum bus daikhti reh jau ge magar mai un mardun mei sy nai hun jo aurt ko kheluna samjhty hain agar aj tak khamush hun tu es liye ky mai tumhari marzi sy tumhy hasil karna chahta tha aur sath he tanya ko tumhary samny bei-nakab karny ky liye sabuton ki zarurt the magar aj tum ne bohot galt ilfaz kahy kashish,dukh punchaya hai muje galt samjha hai,tumhar ye galt-fehmi mai jaldi he dur kar dun ga bohot jald."

k wahin diwar sy lage hathun mei chehra chupaye baithi chali gai,k ky muh sy aisy ilfaz soun kar s bilkul tot gaya tha,wo jis ky liye itna kuch kar raha tha wohe usy galt samjh rahe the aur sab sy bhad kar s ko k pe bharosa ho chala tha magar es ky bawajod b wo tanya ky sabut k ky samny lana chahta tha ta ky tanya ainda koi naya game khelny ki koshish na kary.

[=============]
End of Part 12 waiting for ur comments.
Anam

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

8 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".