Chapter 3

anni_23 Thumbnail

A

@anni_23

Font:
Text Size:
Theme:
Part 3
Ghar puhanchty puhanchty b raat ky 3 baj chuky thy aur ab dadi maa mukhtalif rasmoo ky liye dulha aur dulhan ko gheray khadin the,sujal ka thakan sy bura haal tha magar sab ky samny fresh nazar anay ky liye bhabiyun [prerna n kripa]ky sath chedh chad mei masruf tha aur en ky hamlun ka puri tarah sy jawab dy raha tha,akhir kar muh dikhai ki rasham khatam hui tu usy andhar jany ki ejazat mili,
kashish khud ko ainay mei daikh kar hairan reh gai,sab ky jany ky badh wo kapray change karny ky khayal sy uthi the magar ainay[mirror] mei apni 1 jhalak daikh kar jahan the wahin thaam gai,

kashish (k) : "(thinks) ye mai hun kashish sinha?Jo kashish sujal garewal ban kar itni haseen ho gai hun"

wo ankhain japak japak kar yaqeen karny ki koshish kar rahe the ky kya ye usi ka akss hai ainay (mirror) mei ya 1 dhoka hai abi wo sahi sy yaqeen b nai kar pai thi ky darwaza khulny aur bandh huny ki awaz par taizi sy palti,sujal ne jaisy he nazar uthai tu sakit reh gaya aur kashish par sy nigha hatana bhol gaya,kashish ne jo sujal ko usy daikhta paya tu jaldi sy cupboard ki janib bhadhi ta ky sujal usy yun daikhna badh kary magar kashish jahan b ja rahe the sujal usy daikhy ja raha tha,sujal ne itna husan aur dari sehmi dulhan masumiyat ki tasvir bhala pehle kab daikhe the,teekhay nain nakhsh,guzali si ankhain,jin mai hairat ka saaf tasur tha aur kapkapaty kadam,wo 1 khawab ki kaifiyat mei us ki tarf bhadhta chala ja raha tha,es sy pehle ky sujal us ky karib punchta wo chapak sy dressing room mei ghus gai aur darwaza bandh kar ky lambi lambi sansain leny lage.

K: "(thnks) ufff!Ye sujal ko kya hoa hai aisy kyun daikh rahy thy?"

wo dil he dil mei dar rahe the magar jab 1 ghanta (hour) badh sadhay (simple) sy pink suit mei dupata liye baher nikli tu s ko sota daikh kar es ki jan mei jan ai,wo bina ahat ky ahesta ahesta chalti hui sofy tak ai aur eak bar pher s par nazar dal kar khud ko mutamin kiya aur sofe par lait gai n kuch he dair mei sou gai,s apni ankhun ko thora sa kholy k ki 1,1 harkat note kar raha tha,wo khud tu bai-khabar sou gai the magar s ki ankhun sy neend jaisy kahin chali gai the,jaisy jaisy waqt guzar raha tha s ki bai-chaini mei ezahfa hota ja raha tha bed par idhar udhar karwat badhalty,jany kab wo khud b sou gaya aur sari bai-chaini kahin dur reh gai.

********
sk ka recaption 5 star hotal mei rakha gaya tha jis mei shehar ky badhay badhay business mens ko bolaya gaya tha,kashish itny umdha kisam ki taiyari daikh ky hairan the us ky tu khawbun mei aisi shadi na the aur pher sab ghar walun ka batav b kashish ky sath muhabat bhara tha,khas kar lalit papa aur dadi maa kashish sy bohot khush thy,aur baki sab b usy hatho hath le rahy thy,wo es kadar tawajah par bokhlai ja rahe the,wo eni sochun mei es kadar ghum the ky usy sujal ky anay ka zara b ehsas nahe hoa wo jaisy the baithe rahe.

S:"r u aalright?"

s usy yun nazar tika kar baithy daikh kar puchay bina na reh saka k ne chaunk kar s ki shakal daikhi.

S:"koi problem hai?"

s ne k ko stil ghum sum daikh kar pucha magar k ne koi jawab nai diya aur s ki tarf zara sa rukh mudh kar baith gai,s ne k ki es harkat par 1 lamhy ko khamush ho gaya pher jitni dair k ky sath baitha raha khamush he raha,wo k ki kaifiyat ko samajh raha tha,k ky ghar walun ky atay he s kuch dair baith kar uth gaya ta ky k khol kar apny ghar walun sy baat kar sakay,wo musalsal k ko apni nazrun mei rakhy hoye tha,kahin b jata nazrain bar bar palt kar k ki tarf he uthtin,prem b k ky ghar walun ky sath aya tha aur 1 jagah muh bna kar baith gaya tha,k usy daikh kar muskurany lage,s k ko 1 jagah sakit hoa daiky gaya jis par anurag,prerna,angad n kripa ne sujal ka khub record lagaya magar s un ko thek tarah sy jawab nai dy pa raha tha wo tu khud apni halut py fikarmand tha,shadi ky din sy musalsal wo k ko he sochy ja raha tha jab ky es waqfy mei sk ky darmiyan koh bat nai hoi the,magar pher b wo s ky hawasun pe sawar the aur tanya jo s ki muhabat the jis ko pany ky liye s ne k ko apnaya tha,es duran s ko 1 lamhy ky liye b tanaya ka khayal,us ki bat s ky zehan mei nai aya tha wo apny zehan mei bar bar tanya ko lany ki koshish kar raha tha magar nakam tha,jaisy he ankh bandh karta k ka khoya khoya andaz aur k ki ankhain s ko dikhtin aur tanya ka khaya kahin dur tariki mei kho jata.

********
aj b k bai-khabar sou gai the,hotal sy ghar tak atay hoye b donu apni car mei alag thymagar es ky bawajud khamushe the s aur k ky darmiyan,sab ne k ki khamushe ko us ki sharm samajhty hoye sk ko akaly he ghar bhejh diya tha ta ky sk aram sy 1 dusry sy bat kar sakain,magar pury rasty k ankhain bandh kiye khamushe sy baithe rahe jab ky s waqfy waqfy sy k pe nazar dal kar k ka chehra parhny ki koshish kar raha tha magar zuban ki tarah k ka chehar b khamush,sapat(blank) tha,koi rang,koi ehsas nahe tha 1 sakun tha 1 khamushe the,wo musalsal sochun mei ghum tha k ky chehry pe nigahain takaye baitha tha aur k ka 1,1 naksh apny zehan mei betha raha tha,s 2 din mei he tanya ko bhol gaya tha,tanya ki muhabat s ko 1 khawab lag rahe the aur k 1 haseen haqiqat jisy s pury ehsasat ky sath mehsus ka raha tha,samajhna chah raha tha magar sab samny hoty hoye b kuch ujhal sa tha.

********
rat bhar sochny rehny ki waja sy s ki ankh suba dair sy kholi magar sofy par nazar padhi tu wo khali daikh kar wo 1 jump mei he bed sy khada ho gaya edhar udhar daikha magar k wahan na the.

S:"(thinks) shayad nichy ho ge"


[==========]

End of Part 3 waiting 4 ur comments Plz do comments.
Anam
Anam azhar39604.1299537037

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

5 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".