LOVE NE MILLA DI JODI ABOUT

Yeh kahaani hai bees se pachhis saal ke teen bhaiyon ki, yeh kahaani hai teen behano ki… jo andaz aur mijaaz mein ek doosre se bilku alag hai… lekin ek jagah aake miltein hai inki kistamein… Prithvi hawa se baatein karta hai… ghudsawaariu uski zindagi hai…Sameer se baton mein koi nahin jeet skata… aur Varun apne bhaiyyon se bilkul juda, hamesha apni hi dhoon mein rehta hai… Teeno Manali mein apni maa ke saath rehte hain, jabki unke pita, Balraj, Mumbai mein kaam karte hain. Yeh ek khush-haal parivaar hai jis-sey kisi cheez ki koi kami nahin hai… Is parivaar ko bas intezaar hai apne pitaji ka…jo aaj apne retirement ke baad waapis aa rahe hai… aur teenon bete yehi chahte hai ki ab who araam ki zindagi gujaare… lekin pitaaji nahi lautate aur na hi unki koi khabar aati hai… is ghatna se shuru hoti hai ek anokhi kahaani. Apne Pita ki talaash unhe Mumbai le jaati hai aur wahan unhe khoon ke ilzaam mein giraftaar dekh wo teeno dang reh jaate hain. Yeh ilzaam un par Ila gujral ne lagaya hai. Balraj ne apni saari zindagi jis ila gujrals ki sewa mein bitaayi, usne aakhir aisa kyun kiya… Jab aise kayi sawaalon ke jawaab dhoondne ke liye… Prithvi aur Sameer ila se milne ki koshish karte hai toh unhe yeh ehsaas hota hai ki Kahin kuch badi gadbad hai… kya ila gujral ne unke pita balraj ko phasaaya hai? Apne parivaar ko na umeed aur bikharta hua dekh, prithvi aur Sameer aakhri raasta apnaane par majboor ho jaate hai… Who faisla karte hai ki jis tareeke se ila gujrals ne unke parivaar ko barbaadi ke chauraahe par khada kiya hai, usi tareeke se who gujral parivaar ki barbaadi ka kaaran banenge, shayad aisa karne se ila gujrals aakhir kaar unki madad kare! Aur is khel mein, woh milte hai ila ke parivaar se… un teen behano se… Damini se, jo poore business ki baag daud sambhaalti… avni jisne saare ghar ko ek sa samet kar rakha hai… aur roshni jo bahut hi chanchal aur mast maula hai. Bhaiyon ka maqsad/iraada pakka tha... ki kisi bhi haal mein apne pitaji ko chudvaana hai… waqt ki kami aur naazuk halaat dekh prithvi aur sameer apne zindagi bhi bhar ke sapno aur armaano ko peeche chhod is naye safar par nikal padte hai… lekin zindagi/kismet ne kuch aur hi socha rakha tha (ya kismet ka iraada kuch aur hi tha...)… kyunki pyaar koi dastak deke nahi aata… pyar toh bas ho jaata hai… aur uss par kisi ka bas nahin chalta. Lekin jab in bhayion ki sachaai/asli maqsad? in behano ke saamne aati hai… Kahani tab ek naya moad leti… In teen bhaiyon ki ek saath milkar apne parivaar ko bachane ki koshish... aur inhi teen jodiyon ki prem kahani hai ... yeh show.
up-open TOP