Mere Humdum Mere dost.
Title Track.
The title track of MHMD is inspired from a famous nazm by Ahmed Faiz Ahmed
Mere Humdum, Mere Dost
gar mujhe is ka yaqeen ho mere humdum, mere dost
gar mujhe is ka yaqeen ho ke tere dil ki thakan
teri aankhon ki udasi, tere seene ki jalan
meri diljoee mere pyar se mit jaye gi
gar mera harf-e tassali woh dava ho jis se
ji uthe phir tera ujra hua be noor dimagh
teri peshani se dhul jaein yeh tazleel ke daagh
teri beemar jawani ko shifa ho jaey
gar mujhe is ka yaqeen ho, mere humdum, mere dost!
Faiz Ahmed Faiz~
And Aimen 's lyrics are played in the starting, which I guess all of you must hav heard.
Here's the catch, Haider's lyrics are soo beautiful & intriguing and they'll play at crucial moments. Here they go...
Dil ki jalti hui veraan si tanhai mein
Tu kisi narm sy jhoonky ki trah ayi hai,
Do ghadi ki hai mulaqat magar najane kyun
Aisa lagta hai barsoon ki shanas aai hai..
Mery humdum, mere dost
Mery humdum, mere dost..!!
Meri beraft umeedon ko sajany wali
Dil ki hasrat ka main izhaar bata kaise karun,
Mana mushkil hai k iqrar-e-muhabbat lekin
Apni chahat ka inkaar, bta kaisy karun..!!
Mere Humdum Mere Dost
PS:I'm already being asked for sharing my ring tone amongst my friends. Haider wala part sab chahtae.. 😳