Naina sameer ka bond jitna majboot hai. Use todne ki power sirf misunderstanding me hai. Jo ab ho raha hai.
Es track ke character hai. Naina, sameer aur vishakha.
Jinhe misunderstanding ne pakad liya hai.
Vishakha------
Vishakha ko 30 minutes ki mulakat me naina ko achchhe se jaan lene ki misunderstanding ho gayi. Use lagta hai, ki main naina ko achchhe se samjh gai hu. Wo mare sameer ke liye bilkul sahi ladki nahi hai.
( Dekha jaye to vishakha ko naina se baar baar milna chahiye tha. Tab wo jaan paati naina ko.)
Ab Sameer ne jo vishakha se kaha, usse vishakha ki misunderstanding aur badh gayi.
Wo to apne aap par proud feel kar rahi hogi. Ki maine apne bete ke liye sahi decision liya hai. Aur Ab mera beta bhi samjh gya hai.
Par agar es wajah se naina sameer ki life khrab hoti hai. Aur jab use realize hoga ki wo galat thi, wo bahut pachhtane wali hai.
Ya use baad me jab realize hoga, ki jo ussne naina ke baare me jo socha, wo galat tha. Tab bhi wo pachhtane wali hai.
Ki ye usne kya kar diya. Apne dono bachcho ke saath.
Sameer-------
Vishakha to sirf 30minutes ke liye hi mili naina se.
Sameer to Naina ko 4 saal se janta hai. Usne kaise soch liya ki naina ye sab kar sakti hai.
Usne ye bhi nahi socha, ki Jo ladki apne sanskaro ki wajah se, jisse wo sachcha aur gahra pyaar karti hai. Use bhi shaadi se pahle hug, kiss nahi kar rahi hai. Wo ladki puri public, apni family, aur khud uske samane kisi anjane ladke ko hug karne ki permission kaise de sakti hai. Par nahi Apni mummy ki kahi baat ke asar se, usne maan liya ki naina dimaag se soch kar practical hokar, Compitition jitne ke liye eisa kar sakti hai.
Aur ho gya naraj.
Use naina par trust hi nahi hai. Naina par us waqt kya biti hogi, use realize hi nahi hai. Use punawala, kartik ke against kuchh karna chahiye tha. Naina ko sambhalna chahiye tha. ( Usse ulat naina bhul gai ki uske saath kya hua. Use phikar sameer ki hui. Use Hue dard ki, uski narajgi ki, uske gusse ki )
Par sameer ulta kar raha hai. Usne decision le liya ki, Naina agar aage badne ke liye ye sab kar sakti hai, jo main nahi sah sakta. To naina ki life se humesha ke liye chala jauga.
Aur uski shuruat usne kar de.
( sameer na dimaag ki sunta hai, na dil ki. Wo sirf dusro ki sunta hai. Agar ve sahi hai to sab sahi karega, agar ve galat hai to sab galat karega. Aisa wo humesha se karta aaya hai. Bet, bad boys, manhoos track eske example hai. Ise sirf naina hi sambhal sakti hai )
Naina----
Naina jo sameer aur vishakha ki misunderstanding ka shikaar ho rahi hai. Wo sab thik kar sakti hai. Par kaise kare wo ye sab. Vishakha se mulakate to hone se rahi.
Sameer to use sunna bhi nahi chahta.
Sameer ne ab tak naina ko vishakha wali baat bhi nahi batai.
Aur uske chachaji bhi saath nahi jo use protect kar sake. Ab taiji ke rahte wo phone nahi kar sakti. Sameer se kahi bahar nahi mil sakti. Ab to taiji college bhi pahuch chuki hai.
Jo time naina sameer ke saath hoti hai. Usme sameer naina ko avoid kar raha. Aur Dur bhag raha hai.
Friends ko kuchh pata nahi jo sab thik karne me help kare.
Naina ko moka hi nahi milega sameer ko sab samjhane ka.
Maine apni ek post me kaha tha. Ki in dono me kuchh kamiya hai.
1. Apne rishte se jude, Ek tarpha decision lene ki aadat
2. Kisi cheej ki zid pakad kar baith jana, tab ek dusre ki na sunna.
Aaj wahi sameer kar raha hai. Dur jane ka decision le liya. Aur ab zid bhi pakad li hai. Naina ko na sunne ki.
Ab to CVs hi jane unhone kya soch kar rakha hai.
Mujhe lagta hai ki kuchh aisa hoga, ki sameer ko khud realize hoga ki wo kitna galat soch raha tha. Tab wo pachhtayega. Kyoki lagta nahi naina khud se is misunderstanding ko door kar payegi.
Bas tansion is baat ki hai. Tab tak bure log fayda na utha le. Jaise sunaina. Aur na jane naina ko kya kya sahna padega.