pls koi iss VM ke coconut ke colour pe nahi jaayega abhi 😕
yeh mera "special colouring effect " hai
coconut (tree) ko aise hi Kalpavriksha nahi kaha jaata😊
ye na sirf aapki bhook mitati hai , balki pyaas bhi ( Bidaai HM)☺️
Puja ke bhi kitni kaam aati hai -ise emergency mein agarbatti ki tarah use kiya jaa sakta hai aur saath hi isse aarti bhi ki jaa sakti hai👍🏼
Aur sabse badi baat -zaroorat padne par auzaar bankar yeh aapki raksha bhi karta hai (SI -Ashok)
isiliye toh yeh Kinny ka "pehla pyaar "hai 😳
aur woh gaana toh "tera mujhse hai naata koi" chahta tha
par aapne use ye sad wala gaana de diya gaane 😡
kya aap janti hai 🤓
kinny ko kitni takleef pahunchi hai isse😭
kya ho gaya aapke song choice ko 😲aur SYNC ch ch ch ch 😕
@0.03 min
dekha nahi aapne -uss chote se ret se bani mandir mein " coconut " ko
wo apne " pehle pyaar " ko poojta bhi hai 😳
@0.42min
"jaane nahi denge tujhe , jaane tujhe denge nahi " " raah mein dat ke khade hai hum"
wo bechaara raat bhar yeh soch kar pareshaan ho raha tha ki , kaise Shanti ne uske iss "pehle pyaar "ko bed banake iss ladki ko lita diya uss par aur usse gaana gawaaya😲
dekha nahi aapne -uske iss udaas chehre ko 😒-kaise poori raat dat ke khada raha bechaara
@1.20
haath mein apne coconut ki thaili liye woh saath toh chal raha tha uss anjaan ladki ke par mann hi mann soch raha tha ki , kaise woh apne iss " pehle pyaar " ko iss anjaan ladki se saath share kar paayega🤪
dekha nahi aapne -kaise woh chalte chalte ruk jaata hai " ek kadam par ladh khadaya kyun "😒
@2.07
"maa ne khat mein kya likha tha, jeeye tu jug jug yeh kaha tha, chaar pal bhi jee na paaya kyun"
dhoop mein padi kahin uski ye "pehle pyaar " ki tehni dehydrated na ho jaaye 🤪isilye
usne uss ladki ko lita diya uss par kyun ki Dev jaanta tha uski shirt (cum jacket ) kam pad jaayegi😎
jab isse bhi koi faida nahi hua , toh
@2.22
apni tassali ke liye woh apni jacket uspe udhata hai 😳
abb main samjhi aapke " uth ja saale huin satata hai kyun " ka asli matlab 😉
yeh toh Dev apne kalpavriksha ki baat kar raha tha 😳
dekha nahi aapne -apne "pehle pyaar " ko huin berang hote hua dekh Dev kitna pareshaan aur dukhi hua jaa raha tha aur wahaan se bhaagte hua Ganeshji ke mandir pahunch gaya apni dukh bhari daastan le ke 🤪. what an upbeat music in the BG 👏, fits in perfect 👍🏼
ek accha kaam kiya aapne jo iska end aapne Ganeshji , Dev aur uske "pehle pyaar "pe kiya 👏
lagta hai bhagwaan ne aapki , i mean Dev ki sunli 😃
dekha nahi gaane ke end mein ,kaise woh sukha hua patta khil utha tha i mean hara bhara lag raha tha ( now pls dont use Botony Prof Parimal Tripathi's eye to dissect the leaf😆)
Ahhh its done 😃
yeh kya, main aapke iss VM ko criticise kar rahi thi ya phir tareef 😲
looking back
kahaan main aapko "Criticise " karne chali thi aur khud ki hi insult karwa li
aapne bilkul sahi gaana chuna👍🏼 aur scenes bhi 😳, and again " perfect SYNC" 👏👏
bas main hi samajh nahi paayi
Truely , u r talented👍🏼👏 , luved ur beautiful VM❤️ and heart touching " special effects" ❤️😳
u really do know how to get someone to open up to u n share their feelings 😳 like mine here😆
NB: agar koi spelling mistake hui ho, which i am sure bohut saare honge
toh pls ise meri poor literacy n numeracy skills ka naam de
aur naahi yeh kisi bhi prakaar se mere Teacherji ki di hui gyaan aur shiksha ko darsha ta hai