Kinaaron ki qismat mein milna likha hi kaha tha
Unhe toh bas durr rehkar
Nadi ko nihaarna tha.
Farz sirf dusron ke liye nibhaana tha
Kinaaron ki qismat mein milna likha hi kaha tha.
Woh toh bas nadi ko behte dekha
Laga hum bhi beh jaayenge
Behte behte kahi mil bhi jayenge
Par kya pata tha kinaaron ka behna namumkin tha.
Agar beh jaate kinaare toh nadi ka kya hota?
Na wajood rehta, na pehchaan
Kinaaro se hi nadi ka bahaav hain
Kinaaro se hi nadi ki disha
Agar do kinaare mil jaate kabhi toh disha na bhatakti nadi humari?
Phir bhi baithe baithe khayaal aaya
Agar kinaaro ki qismat mein milna likha hota toh sab kitna alag hota!
comment:
p_commentcount