Another one close to my heart is from movie Dhool ka Phool - Tu hindu banega, na musalman banega.
Sahir Ludhianvi is my favorite lyricist!
Achchha hai abhi tak tera kuchh naam nahin hai
Tujh ko kisi mazhab se koi kaam nahin hain
Jis ilm ne insaan ko taqaseem kiya hai
Us ilm ka tujh par koi ilzaam nahin hai
Tu badale hue waqt ki pahechaan banega
Insaan ki aulaad hai, insaan banega
Maalik ne har insaan ko, insaan banaaya
Ham ne use hindu ya musalamaan banaaya
Qudarat ne bakshi thi hamen ek hi dharati
Ham ne kahin bhaarat, kahin iraan banaaya
Nafarat jo sikhaaye, wo dharam tera nahin hai
Insaaf jo ronde, wo qadam tera nahin hai
Qura'an na ho jisame wo mandeer nahin tera
Geeta na ho jisame wo haram tera nahin hai
Tu amn ka aur sulah ka aramaan banega
Insaan ki aulaad hai, insaan banega
Tu hindu banega na musalamaan banega
Insaan ki aulaad hai, insaan banega
comment:
p_commentcount