Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 17th Oct 2025
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 18th Oct 2025 - WKV
GREENE FLAG ⛳
KUJILI STARTED 18.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 18, 2025 EDT
Alia and Ranbir to move to their new house - Krishna Raj
Anupamaa 17 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Alia channeling Gangubai in this scene from RRKPK!!!
Deja vu ? Do you get Deja vu ?
Alia and Deepika meet for Pickleball.
Mera Armaan toh Green Flag Hai😌✅
SRK talking about Deepika
Buddhiya Ka Naya Roop
🏏India tour of Australia, 2025: Australia vs India, 1st ODI Perth🏏
Zora Releasing On Trimurti Films YouTube Channel
Gloves Off! Smriti vs Rajan Shahi, Anupamaa crew war intensifies.
15 Years of PKYEK
Originally posted by: nicronyariya
I'm now uncontrollable ... Sorry if I'm pestering u...
But still I want to say plzzz update this. . Bcoz I'm addicted to this story... So please try to update it asap...
Agla pura din chawl se laaye hue logon ki interrogation mein hi nikal jaata hai lekin Arjun, Sameer, Chotu aur Ayesha ki saari mehnat ke bavjud unke haath kuch nahi lagta hai. Ayesha toh jo ladki chillayi thi uske peeche haath dho kar pad gayi, itna ki Sameer ko andar jaa kar use shaant karke baahar laana pada.
Sameer Ayesha ko apne cabin mein kheench le jaata hai: Ayesha bas! calm down...
Ayesha: What The Hell?!?! Yaha Par Tension Kya Kam Hai? Jo Woh Aur Badha Rahi Hai? Main Use Chodungi Nahi!!
Sameer: Ayesha chill! You're just jealous and over...
Ayesha: OVER REACTING? MAIN OVER-REACT KAR RAHI HUN?
Sameer(fumbling): nahi! nahi! main keh raha hun ki tum over...over hyper ho rahi ho, just calm down. Apna ye gussa thoda control mein rakho, jab asli mujrim aayega tab us par use karna okay? Main mana nahi karunga (Ayesha use glare karti hai) please Ayesha ab in sabke peeche jaa kar koi faayda nahi aur kya pata woh khud bhi majburi mein ho?
Ye sunkar Ayesha thoda shaant hoti hai: fine!
Aur chali jaati hai. Sameer chain ki saans leta hai mv "baap re! jis bhi insaan ne sabse pehle auraton ko defence mein daalne ka socha use gold medal milna chahiye.
Raat ko finally Arjun ghar jaata hai Roshni se milne. Roshni use dekhkar bahot khush ho jaati hai aur use tightly hug karti hai.
Roshni(complaining): kaha the tum Arjun? Kitna miss kiya maine tumhe.
Arjun: sorry, kaam mein fas gaya tha, ab kuch din aise hi chalega
Roshni: par tum kam se kam mein mujhe tumse contact karne ka toh zariya do Arjun...(tearfully)mujhe bahot dar lagta hai par na tumse baat kar paati hun na Sam se
Arjun: ek minute aaya
Roshni(confused): ab tum kaha..
Par Arjun baahar chala jaata hai. Roshni ko kuch samaj mein nahi aata. Kuch hi seconds mein Arjun ek box ke saath aata hai aur use deta hai.
Arjun: ye phone rakh lo, isme mera, Sam ka aur zaroorat pade to ETF office ka bhi number hai.
Roshni: thank you Arjun
Arjun: isme thank you ki kya baat hai, main itna bhi nahi kar sakta tumhare liye?
Roshni smile karti hai: acha woh sab chodo, tum kya khaoge? Ghar mein toh kuch bhi nahi hai, jab se aayi hun baahar se order kar rahi hun
Arjun smile karta hai. use pata hai Roshni ko bina zaroorat pade baahar ka khaana nahi pasand.
Arjun: kuch dino ki baat hai Rosh, bahot zaroori case hai aur use hume jald se jald thikaane par lagana hai aur tab tak main tumhari security se compromise nahi karna chahta isliye tum kahi par bhi baahar nahi jaogi, samjhi ya samjhau?
Roshni: shaadi ki tabse samaj hi rahi hu...ab bolo kya order karu?
Arjun: mujhe nahi kha...
Roshni: sochna bhi mat! Mujhe ache se pata hai Tumne lunch bhi nahi kiya hoga (Arjun interrupt karne ki koshish karta hai par) mujhe kuch nahi sunna, tum chup chap khaana kha kar so jaana! Aur khaane order karne chali jaati hai.
Thodi der mein khaana bhi aa jaata hai. dono casually baatein karte hue dinner karte hai. Roshni Arjun ka haath pakad leti hai. Arjun apni grip tight karta hai.
Arjun: Roshni, ek aur baat woh tumhe statement dena hoga, main kal tumhe office jaate waqt lene aa jaunga
Roshni: ha par...lene aa jaunga matlab? Tum kaha jaa rahe ho?
Arjun(haath chudwa kar): kaam hai, mujhe jaana hoga
Roshni: par Arjun
Arjun: sorry Roshni mere haath mein nahi hai, bahot zaroori kaam hai
Aur jaane ke liye turn hota hai par Roshni firse uska haath pakad leti hai.
Roshni(tearfully): Arjun please mat jao, mujhe bahot akela lagta hai (hug karke) kam se kam raat...
Arjun use gently alag hota hai: main nahi ruk sakta Roshni, I'm sorry, agar kuch kaam ho toh call karna, (cupping her face) main aa jaunga, pakka. bye!
Aur bina Roshni ka aur koi protest sune hospital chala jaata hai.
Next day-
Arjun Roshni ko lekar ETF office jaata hai. dono conference room ki taraf jaa rahe hai ki Liza unhe rokti hai.
Liza: sir, is file par aapki sign chahiye, kal ke confession mein se ek hai
Arjun: Rosh tum chalo main aata hun
Roshni light nod deti hai aur aage jaati hai.
Conference room-
Chotu: Shree sun na, main kya soch raha tha ki agar hum Roshni ji ko Riya ki photo dikhaye toh woh nirdosh saabit ho jaayegi na
Shree(confused): kaise?
Chotu: are woh itne time tak wahi thi, unhone kuch toh dekha-suna hoga aur agar unhe kuch na bhi pata ho toh circumstantial evidence ban jaayega
Ye sunkar Shree ke chehre par muskaan aati hai. woh jawaab dene waala hai ki Roshni enter karti hai. juniors ke ilawa aur koi nahi hai.
Ayesha: aao Roshni baitho
Roshni ek seat par baithne waali hai ki...
Shree: uh ek minute...if you don't mind woh seat reserved hai (apni chair dete hue) aap yaha baith jaayiye
Roshni confuse hoti hai par Shree ki chair le leti hai. Ayesha aur Sakshi glance exchange karte hai. woh dono kabhi bhi kisi ko us seat par nahi baithne dete the jab Riya aayi tab unhe pata chala ki woh uski seat hai aur ab?
Utne mein Arjun, Sameer aur Liza teeno enter karte hai.
Sameer: kaisi ho Rosh?
Roshni(Arjun ki taraf glance karke): ab behtar hu
Sameer: great! Okay, um..(Ayesha ko gesture karke) Roshni tumhe hume sab kuch batana hoga ki tum kaha thi, kaise kidnap hui aur uske baad kya hua, okay?
Arjun use tensed dekhkar aage aata hai: chinta mat karo Roshni, (uska haath pakad kar) it's just procedure aur main aur Sam yahi hai, okay?
Roshni nod karti hai, tabhi ek desk holder bhaag kar andar aata hai.
Shekhar(tensed): RATHORE SIR! ARJUN SIR!!
Rathore(worried): ab kaunsi zameen fat gayi?
Shekhar: sir, woh commissioner sir aaye hai
Chorus(except Roshni): KYA?!?!
Arjun(annoyed): woh yaha kya kar rahe hai? woh bhi bina bataye..Sam! did he tell you something?
Sameer: nahi mujhe kuch nahi pata
Rathore ka statement khatam bhi nahi hua aur Gautam enter karta hai.
Gautam: good morning, kaha tak pahunchi tum logon ki investigation?
Rathore Shekhar ko gesture karke jaane ko kehta hai. Shekhar chala jaata hai.
Sameer: humari investigation abhi tak chal rahi hai sir, humne John ke ek adde par raid maari but woh waha nahi tha
Gautam(Roshni ko dekhkar): aur ye mahotarma kaun hai?
Arjun(stiffly): Mrs Roshni Arjun Rawte
Gautam apni nazre change kar leta hai: oh...(realize karke) wait! Your Wife Is Dead!!!
Arjun use glare karta hai, Sameer situation ko sambhalne ki koshish karta hai.
Sameer: woh sir, nahi, Roshni hume usi raid ke dauran mili, Sikandar ne use bandhi bana kar rakha tha
Gautam: toh woh laash kiski thi?
Sameer: shayad nakli ya fir uske humshakal ki
Gautam: aur woh kaha se aayi?
Sameer: Sikandar ne rakhi thi
Gautam apni eyes roll karta hai: puri kahani bataoge ya fir mujhe 100 baar sawaal karne padenge?
Sameer: woh, hum bhi abhi hi statement le rahe hai sir
Gautam: theek hai toh, shuru karo
Arjun Roshni ko support dene ke bahane Gautam aur Roshni ke beech khada rehta hai. Roshni gehri saans lekar Arjun ka haath pakadti hai. Arjun bhi use tightly grip karta hai.
Roshni: main mall ke supermarket mein gayi thi, shayad...shayad dopaher ka time tha, mujhe theek se yaad nahi
Gautam: tum kidnap hui toh tumhe yaad kaise nahi?
Arjun gusse se Gautam ko dekhta hai.
Sameer(irritated): Sir! Us Baat Ko Teen Saal Ho Chuke Hai! I Don't Even Remember What I Ate For Breakfast! Can You Calm Down?
Gautam uski aggressiveness dekhkar chup ho jaata hai Arjun use appreciative look dekar Roshni ko continue karne ka ishara karta hai.
Roshni: main kharidaari karke basement ke parking mein gayi aur...
Flashback
Roshni hangs the polythene bag on the hook of the scooter in the leg space. She removed her helmet from the below the seat when sudden footsteps caught her attention. She reflexively turned but there was no one there.
Roshni: kaun hai?
A sudden discomfort arose in her, she felt as if she was being watched. She looked around but there was no security guard in the parking lot. Wanting to get out of there fast, she quickly turned around again and sat on her scooter. She was about to slip on her helmet when she heard footsteps again, this time...closer. Roshni froze.
The sound didn't stop instead only got louder. She calculated the stranger to be moving towards her. Her hand went towards the phone in her pocket so she could call Arjun when she hear the click of a gun loading. Sacred stiff, she turned but before she could register the face of the person he knocked the butt of the gun on her forehead and she fell unconscious.
Flashback Ends
Sameer: tumne uska chehra nahi dekha?
Roshni: nahi, main dekh paati usse pehle hi usne mujhe maar kar behosh kar diya
Arjun: tum us humshakal ke baare mein kuch keh rahi thi?
Roshni: maine use sirf ek baar dekha tha, jab mujhe firse hosh aaya tab aur...aur uske saath ek...ek aur ladki thi aur ek admi. Us admi ka chehra toh main nahi dekh paayi, woh andhere mein chupa tha. woh us humshakal aur dusri ladki ko keh raha tha ki...
Flashback
Roshni's head was hurting. She opened her eyes with great difficulty and tried to register her surroundings. As she tried to move, she realised she was tied to a chair. A conversation fell on her ears. She looked in the direction. A man was hiding in the shadows and instructing two girls. The ground swept away from beneath her feet as she realised one of them looked exactly like her. Shocked, she tried to focus on the words.
Admi: tumhe sirf Roshni ki jagah nahi leni balki un dono ACP's ko andar se todna hai, aur dhyaan rahe ki unhe tum par bilcul bhi shak nahi hona chahiye!
Doppelganger: ji unhe bilcul bhi shak nahi hoga, aur rahi baat Arjun aur Sameer ki toh unhe main aise apne jaal mein fasaungi ki woh samaj bhi nahi paayenge ki unke saath hua kya hai
Admi: bahot ache! Ek baar woh dono alag ho jaaye uske baad, woh case unke haath se nikal kar dusre ke paas chala jaaye toh hum use khareed lenge
Dusri ladki: par papa agar dusra bhi utna hi imandaar nikla toh?
Admi: aisa kuch nahi hoga beta, maine saara intezaam kar liya hai. jaise hi case transfer hoga woh humare admi ke paas hi jaayega
Tabhi uski beti ki nazar Roshni par jaati hai. teeno dekhte hai ki use hosh aa gaya hai aur woh bahot dari hui hai
Doppelganger: aur is Roshni ka kya karna hai?
Admi: ise kahi par chupa do
Beti: zinda kyun rakhna hai par? Yahi maar dete hai
Admi: nahi, ye humara hukum ka ikka hai aur ikke ko fekte nahi hai, jaisa kehta hun waisa karo
Roshni(begging): Nahi...Please...Please Mujhe Chod Do!!! Mujhe Mere Arjun Ke Paas Jaane Do... Please!!!
Roshni protest karne ki koshish karti hai lekin woh log use injection dekar firse behosh kar dete hai.
Flashback Ends
Arjun ke dil mein umeed jaagti hai: Iska Matlab Tumne Sikandar Ki Beti Ko Dekha Hai?!!?!?
Roshni: unki baaton se toh aisa hi lag raha tha ki...
Arjun: Shree!! Riya ki pho...
Shree already ready tha, woh bas apne laptop screen unki taraf karke Riya ki photo dikhata hai. Arjun internally smile karta hai.
Roshni(shocked): Ye! Ye toh wahi hai!!! Jise Maine Use Ladki Ke Saath Dekha Tha!!! Yahi Sikandar Ki Beti Hai!!!
Arjun, Sameer, Shree aur Chotu ki aakhri umeed tut jaati hai. unhe yakeen hi nahi hota ki Riya sach mein gunehgaar hai. Arjun peeche table par collapse ho jaata hai. Shree bina kuch kahe uthkar baahar chala jaata hai. Liza use itna upset dekh kar, console karne uske peeche chali jaati hai. Chotu bas shock mein hai aur Sameer ki aankhon mein aansu aate hai. Ayesha ke dil mein aag jalne lagti hai Riya ke khilaaf kyunki wahi Sameer aur Arjun ke jhagde aur dard ki wajah thi. Sakshi Riya ko doshi karaar hote dekh finally relieved aur khush mehsoos karti hai lekin dikhati nahi hai. Roshni sabke reactions dekhkar confuse hoti hai. Commissioner announce kar deta hai.
Gautam: ab no more waiting! Riya Mukherjee...is officially dismissed without honor and deemed a fugitive who will be shot on site if she roams free!...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
⚠️ Statutory Warning ⚠️ This story is going to be an emotional rollercoaster 🎢. If you have a sensitive heart 💔, proceed with caution. There...
Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
1.2k