Ariya Pyaar Farz Aur Dhoka.......Season 2

bloomie thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Anniversary 10 Thumbnail + 8
Posted: 5 years ago

Pyaar Farz aur Dhoka...Season 2!!!

A girl was sleeping peacefully on her bed with a serene expression on her face. She was tucked in a duvet on the queen sized bed. The curtains were tied to the sides of window allowing the moonlight to enter. The 15th floor provided her with silence despite the busy city always being awake. The sound of the doorbell echoed through the house. It barely passed her ears. It rang again this time repeatedly without pausing.

The continuous noise disturbed her. She squinted in sleep and shifted in her bed. She attempted to cover her ears by anther pillow but the noise refused to give her peace. She finally rubbed her eyes and tried to wake up. She opened her eyes whilst yawning and stretched. She lazily looked at the clock on the side table by her bedside. It was 2 am. She wondered who it could be at that hour. She removed her duvet and sat up straight.

The doorbell was ringing continuously. Suspicious and cautioned, she opened the drawer and removed her gun. She went out the room and towards the main door. Her gun in one hand hidden carefully she unbolted the door and opened it a little but seeing the figure in front her, she almost threw open the door.

Girl: Arjun sir! Aap?

Arjun stopped ringing the doorbell and stared at her. She looked at him from head to toe. His hair were dishevelled. Shirt was half un-tucked and messy. His face had blank expressions on them. Not that he had never been poker faced before but the intensity scared her.

Girl(concerned): sir, kya hua? Ye kya haal bana kar rakha hua hai aapne khud ka?

Arjun sighed: Riya main...(he paused) ek...ek chai milegi?

Riya was confused more than ever: ha...main...main laati hun. Aap andar aayiye.

She gave way to him and closed the door behind as he entered. Placing the gun on the table she went towards the kitchen. Arjun walked towards the glass doors which opened in the balcony. Unbolting it, he walked outside. A swing was installed on one side. A small table was placed by it. However, that day he was not in the mood and stood by the railing looking at the terrific view from there. Riya came within a few minutes.

Riya: sir, aapki chai.

Arjun took the glass wordlessly and sipped from it, leaning on the railing. Freshness washed over him.

Arjun: hazaron chai pi hai maine...lekin aaj tak kabhi bhi tumhare haath ke swaad ka mukabla koi nahi kar saka

Riya smiled. A moment of silence hung between them.

Arjun: ek baat batao, ye tumhare watchman ko pagar kitni milti hai?

Riya aur bhi confuse hoti hai: yahi kuch...20 hazar, kyun?

Arjun: kaat do

Riya: ji?

Arjun: so raha hai ghode bechkar, mood off nahi hota toh achese uthakar samjhata, kahi koi chor wagera ghus gaya toh?

Riya: filhaal toh mujhe chor ki nahi, aapki fikar ho rahi hai

Arjun muh fer leta hai: obviously, tabhi gun lekar darwaaza kholne aayi thi

Riya uske kandhe par haath rakhkar use apni taraf turn karti hai: kya hua?

Arjun: kya?

Riya: aapko kya hua? Aap aise kyun ghum rahe hai?

Arjun: chodo na, bas tumhari company ki zaroorat thi

Riya uske chehre par haath rakhti hai: Its 2 am and we are here. I'm all your yours, tell me what happened.

Arjun idhar-udhar dekhta hai: thoda upset hun

Riya: woh toh main aapko dekh kar hi samaj gayi

Arjun koi jawab nahi deta aur apni chai par concentrate karta hai. Riya uske haath se glass lekar table par rakh deti hai aur uske kareeb khadi hoti hai.

Riya: kya hua? Bataiye toh sahi

Arjun nazre jhukata hai: I couldn't bear it...lodge mein tha, par bahot, bahot ajeeb sa lag raha tha, jaise woh jagah meri hai hi nahi, jaise kisi anjaan jagah par aa gaya hun. Neend bhi nahi aa rahi thi toh...maine socha...maine socha ki ghar chala jaata hun lekin...it became worse. Woh khaali pan, woh sannata (cracked) nahi saha jaa raha tha. Jis akelepan se maine zindgi bhar ka naata joda tha wahi bardaasht nahi ho raha tha. (ek haath Riya ke chehre par rakhkar) isliye tumhari neend todi...I'm sorry.

Riya uske haath ko pakadti hai: aapko maafi maangne ki koi zaroorat nahi hai Arjun, main humesha aapke liye haazir rahungi. Woh Arjun ke haath ko apne chehre se thoda shift karke uske palm par kiss karti hai

Arjun bas use dekh raha hai bina kuch kahe.

Riya: lekin aapne abhi bhi mere sawaal ka jawaab nahi diya

Arjun ki aankhein nam hoti hai: Rathore ke saath jhagda ho gaya.

Riya: par case ke liye toh humesha aap dono ke beech jhagda hota rehta hai

Arjun: hmm...case ke liye hi toh humesha hota hai

Riya: main kuch samjhi nahi

Arjun: case Riya, wahi case jo ab meri zindgi ka atoot hissa ban gaya hai.

Riya ko shak hota hai: aap Sikandar ke case ki baat kar rahe hai?

Arjun: hmm...main jiske liye ETF mein aaya, wahi case. Ek khabri ki information ke hissab se kuch intelligence reports check kar raha tha aur usi par work kar raha tha. Ek file ka access Rathore ke paas hai par use pura vishwas hai ki Roshni ki jaan meri wajah se gayi. Isliye woh us file ko mujhe nahi dega. Main ye baat jaanta tha isliye maine use pucha bhi nahi, jo mere paas tha usi se kaam chala raha tha lekin pata nahi...use kaise pata chal gaya ki main kisi lead par kaam kar raha hun aur woh mere paas aaya and...you can guess the rest.

Riya ko bura bhi lagta hai aur confuse bhi hoti hai: lekin jab aap apne tareeke se khud hi kaam kar rahe the toh Rathore sir ko kya problem hai?

Arjun ke chehre par dard-bhari muskaan aati hai: uska kehna hai ki khooniyon ko khud ko nahi dhundhna chahiye

Riya: iska kya matlab hua? Aapne thodi unka cold-blooded murder kiya hai? Toh phir...

Arjun: use toh yahi lagta hai

Riya shock ho jaati hai: KYA? (Ek pal ke liye woh apne shabd hi bhul jaati hai) ye...ye aap kya keh rahe hai?

Arjun: yahi sach hai

Riya facts ko samajhne ki koshish karti hai: ek...ek second! Rathore sir ko lagta hai ki aapne! Khud! Roshni ji ka khoon kiya?!?!

Arjun: ha

Riya ko apne kaano par vishwas nahi hota, Arjun ne use bataya tha ki Roshni ki maut ke baad dono doston ke beech daraar aa gayi thi lekin is kadar?

Riya: aap...aap...par...aisa kaise ho sakta hai? Aapko zaroor koi galatfehmi hui hogi, unhe aisa kyun lagega?

Arjun: usne khud mujhse kaha hai Riya, yahi sach hai.

Riya use shock se dekh rahi hai, woh kuch bolne ke state mein hi nahi hai

Arjun apna sar jhukata hai: main jaanta hun maine tumhe is baare mein kabhi kuch nahi bataya par...Sameer ko aisa hi lagta hai. Lekin (cracked) maine use nahi maara Riya, main usse bahot pyaar karta tha...(Riya use hug karti hai) nahi maara maine apni Roshni ko...woh use tightly pakadkar tut jaata hai.

Riya ko kuch samajh mein nahi aa raha hai, Rathore aisa ilzaam kyun lagayega? Woh bas Arjun ko hug karke khadi aur Arjun apna dil khol raha hai. Kuch der baad Arjun shaant hota hai. Riya use swing par bitha kar khud uske bagal mein baithti hai. Arjun kuch nahi bolta bas Riya ka haath pakadkar uski god mein sar rakhta hai. Riya dusre haath se uske sar par haath ferti hai.

Arjun: Riya?

Riya: hmm...

Arjun: tumhe toh mujh par bharosa haina?

Riya: ha Arjun sir, mujhe aap par pura bharosa hai

Arjun hugs her tightly from her waist reassured by her words and mutters a thank you as he drifts into sleep. Riya continued to caress his hair but her thoughts were stuck on the one thing that Arjun told her mv "Rathore sir ko kaise pata chala ki Arjun sir kis lead par kaam kar rahe the? aur Arjun sir ke paas bhi information kahase aayi? Abhi tak toh kuch nahi mil raha tha, toh fir achanak unhe ye kaise pata chal gaya ki Sikandar ke naam ki file hai aur woh bhi Rathore sir ke paas? Kuch toh gadbad zaroor hai...pata toh karna padega isse pehle ki baat aur bigad jaaye. woh sochti hai lekin use koi jawab nahi milta aur dheere-dheere khud bhi so jaati hai.

Next day-

Arjun slowly wakes up due to the sun rays hitting his eyes. As he opens his eyes he finds himself in Riya's embrace who had fallen asleep with her head resting on the back of the swing. He rubbed his eyes and sat up straight. His head was still a little dizzy due to the previous night's stress.

Thinking the daylight would disturb her, he tried to pick her in his arms to take her to the bed but it woke her up. She was almost completely in his arms when she opened her eyes. Arjun stopped seeing her awake.

Riya smiled: good morning

Arjun stepped away and sat beside her again: nothing's good in the morning except me being with you

Riya: kuch toh good haina?

Arjun stayed silent.

Riya: ab aap kaisa feel kar rahe hai?

Arjun: behtar lag raha hai

Riya: chai?

Arjun nodded positively.

Riya: aap haath-muh dho lijiye aur naashta karke jayiye

Arjun caught her hand as she stood up: nahi Riya...uski zaroorat nahi hai. Sirf chai ka...

Riya looked at him innocently: aap aaye hai toh mujhe company dijiye na? main akele naashta karu?

Arjun mana nahi kar pata. Riya khush hokar fresh hone jaati hai. Dono saath mein naashta karte hai.

Arjun: waise Riya, tum rejoin kab kar rahi ho?

Riya: main toh abhi karne ko taiyaar hun, aap mere doctor se keh dijiye ki mujhe certificate dede

Arjun smiled sarcastically: in your dreams sweetheart

Riya: theek hai subah ko dekhti hun, I think 5 baje theek rahega

Arjun confuse hota hai: kya?

Riya: aapne hi kaha na in my dreams, toh sapna dekh leti hun, subah ke sapne sach hote haina? Isliye 5 baje

Arjun use flat look deta hai. Riya hasti hai. Woh disbelief mein sar hilata hai.

Arjun: kya kaha doctor ne?

Riya: blood test kiya do din pehle, woh aalsi log report hi nahi dete. Waise toh unhone kaha ki is baar saare levels normal ho jaane chahiye par report aaye tab pata chale na!

Arjun: report kab tak aayegi?

Riya: do teen din mein aa jaani chahiye

Arjun: hmm...(kuch soch kar) Riya, woh office mein...

Riya uska statement complete karti hai: kisi ko kuch pata nahi chalega

Arjun sigh karta hai: Riya please mujhe galat mat samajhna main bas...

Riya: Arjun sir aapko har cheez ke liye mujhe explanation dene ki zaroorat nahi hai, main Samajti hun. Aap meri fikar mat kijiye aur (use cheer up karne ki koshish karte hue) waise bhi, pyaar jitna chup-chup kar ho na? Maza bhi utna hi aata hai, haina? Aur wink karti hai

Arjun lightly smile karta hai(uthte hue): apna khayal rakhna, main chalta hun

Riya bhi uthti hai: mujhse zyaada aapko apna khayal rakhne ki zaroorat hai.

Dono darwaaze tak chalte hai.

Arjun: koshish karunga

Riya use hug karti hai: aapki koshish har baar rang laati hai sir, is baar bhi laayegi

Arjun bas use dekhta rehta hai aur Riya use gently kiss karti hai...

Arjun(softly): itna bharosa hai?

Riya: khud se bhi zyaada

Arjun: agar tut gaya toh?

Riya: main tutne mein nahi jodne par vishwas rakhti hun

Arjun sigh karke usse alag hota hai: jaata hun

Riya(sharply): nahi!

Arjun: kya hua?

Riya: aapse kitni baar kaha hai maine, jaata hun nahi kehte, aata hun kehte hai

Arjun: acha baba aata hun, okay?

Riya smile karti hai: okay!!

Arjun disbelief mein sar hila kar chala jaata hai. Uske jaane ke baad Riya balcony mein jaati hai. Parking khule compound mein hi hai. Woh Arjun ko car tak jaate hue dekhti hai. Arjun baithne se pehle uski window ki direction mein mudta hai. Riya use wave karti hai. Arjun bhi ek baar haath hila kar nikal jaata hai. Riya bhi andar jaati hai.

Bas un dono ko yeh nahi pata, ki watchman ki nazre un dono ko taak rahi thi...


Edited by bloomie - 5 years ago

Created

Last reply

Replies

974

Views

200588

Users

54

Likes

3044

Frequent Posters

bloomie thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Anniversary 10 Thumbnail + 8
Posted: 5 years ago
Index

Part 1   : pg 1
Part 2   : pg 5
Part 3   : pg 9
Part 4   : pg 14
Part 5   : pg 18
Part 6   : pg 22
Part 7   : pg 25
Part 8   : pg 29
Part 9   : pg 33
Part 10 : pg 37
Part 11 : pg 42
Part 12 : pg 45
Part 13 : pg 48
Part 14 : pg 51
Part 15 : pg 54
Part 16 : pg 57
Part 17 : pg 59
Part 18 : pg 63
Part 19 : pg 66
Part 20 : pg 69
Part 21 : pg 73
Part 22 : pg 77
Part 23 : pg 80
Part 24 : pg 85
Part 25 : pg 88
Part 26 : pg 92
Part 27 : pg 96
Part 28 : pg 99
Part 29 : pg 103
Part 30 : pg 108
Part 31 : pg 111
Part 32 : pg 115
Part 33 : pg 119
Part 34 : pg 123
Part 35 : pg 126
Epilogue : pg 130
Edited by bloomie - 5 years ago
RainOfDew thumbnail
Posted: 5 years ago
Res/unres
Wow me first on first part
Kal exam hai mera aur mai tumhara updt padh rhi hu lol..btw tumhara bhi exam hai na kab hai?
Now coming to updt
Nice start
So they both are already in love
Again Arjun's fight wid Sameer
Huh how can Sam blame Arjun for Roshni's murder😡
Loved Ariya moments..Ri consoled him very nicely
Lol Ri ki tab tak rejoining nhi hogi jab tak wo alsi report nhi dete but uske liye Riya ko sapna dekhna hoga subah 5 baje wo bhi🤣

Cont soon
Thnx for pm
(Abhi lamba cmnt kr diya jab tak exams hain chote se kaam chala lena😆)
Edited by Ariyatogether - 5 years ago
Shannusjs thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 5 years ago
Superb update
Thanks for the pm
Continue soon
bodalareshma03 thumbnail
IPL 2023 Match Winner Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago
Beautiful one. But I am in doubt , will it be like s 1 or other. We would like to know concept of story
Do continue soon

Shanafr thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 5 years ago
Awesome amez update
Loveit 
Thanks for pm 
Cont soon 
plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago
Awesome start
Love it
Continue soon
Thanks for pm
ruhi1985sheetal thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 5 years ago
Superb start riya arjun ko sambhalti hai Sam oos pe roshni ke murder ka ilzam lagata hai riya kuch matter ko ke leke suspicious feel karti hai ab yeh guard kiska admi hai eagerly waiting for nxt and thanks for pm
armishra thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 5 years ago
Fabulous starting 
Love it Thanks for pm 
Eagerly waiting for next part 
Continue soon 
Aayat.ariya14 thumbnail
Anniversary 8 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 5 years ago
Pehla season ka to pata nhi!! I mean hajam ho gaya!! Lol!!
Fir v bol rhi hu iss season me agr ariya ko juda kr k koi garbar kia na to saach me maar dungi!! Yaad rakhna ji!! Sameer ko villain banana hai to beshak bana lo paar Arjun ko nhi!! Agr bana v dia to unhe alag maat karna plz plz!! 

Btw, Story concept to as always dhamakadar hai.. So aur kya tarif karu!! Sb kaam padh jayega!! So thnx for pm!