Kaira OS - You Need To Fight To Win

janvi0513 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
Kaira OS - You Need To Fight To Win

"Jhoot bol rahi ho, kitni baar jhoot bologi, saach bol do Naira please ek baar please Naira aur mat tadpao, jo baath tum ne uss waqt kahi ek baar phir se khe do", Karthik begged.
"Nahi, saach bol rahi hun, nahi karti pyaar tum se", Naira spoke angrily as possible.
"Phir mujhse I love you kyun kaha. Haan Naira jab tum kamre mein ayi aur mere pass bethi aur apne pyaar ka izhaar kiya, mujhe already hosh achuka tha, tumhe dekhna nahi chata tha, nahi chata tha ke tum phir se mujh se kaho ke mein tum se dur chala jao, iss liye apni ankhen bandh ki magar tumhe laga mein abhi bhi behosh hun. Jab sunna ke you love me uss waqt mein apna sarra dard bhul gaya, mera tuta dil phir se jud gaya, ab phir se uss dil ko mat todo.", Karthik pleaded
"Tum se pyaar karti hun but waisa nahi jaisa tum karte ho, dost ki tarhe pyaar karti hun", Naira replied looking away from him.
"Agar pyaar doston wala hai tum ne yeh kyun kaha "agar tumhe kuch ho jata toh mein ji nahi pati, I love you Karthik, I love you more then my life", bolo kyun kaha yeh", Karthik asked making her face him and holding her close, not being able to hold herself back anymore she let the tears flow down her eyes and his heart pained seeing them. "Kya hua Naira batao mujhe, mein sab thik kardunga tumhe apne Karthik par vishwas nahi", he asked wiping her tears.
"Gayu Di pyaar karti hai tumse Karthik, iss liye mujhe laga agar mein tum se kaho ke tum mujh se dur chale jao, ke mein tum se pyaar nahi karti, toh tum mujhe bhula kar Gayu Di se pyaar kar lete, unse shaadi karte", Naira said in between sobs.
"Itna kamzoor samajhti ho mere pyaar ko, ke tum ne na kaha do bure shabdh khe diye aur mera pyaar khatam aur phir kissi aur se pyaar karna shuru kardunga. Lekin tumhe na sahi mujhe apne pyaar par yakeen hai, chati ho ke mein Gayu se shaadi karlun, karlunga, lekin pyaar sirf aur sirf tum se karunga. Chati ho sab Gayu ka naam mere naam se judde toh juddega lekin sirf duniya walon ke liye mere liye hum dono ke dil jud chuke hai, aur jahan dil judde huein hai naam judde na ho farak nahi padtha. Aur agar kissi din Gayu ne mujhse yeh pucha ke main ne usse aisi saza kyun di, shaadi karke bhi usse kabhi nahi apniya, na hi pyaar diya, aur na hi ek patni ka koyi haq, uss din mein usse tumhare pass bhejdunga ta ke tum usse bata sako ke tum ne zabardasti hum dono ki shaadi kyun karwayi. Agar woh puche Jab chota sa dard sehan kar sab khatam ho sakta tha kyun tum ne usse zindagi bahar ka dard diya kya jawab do gi", Karthik yelled as pain and anger filled his eyes
"Kya karun mein, kya karun, thak chuki hun sabki sun sun kar, aur tum bhi, laga tha tum mera dard samjho ge lekin tum bhi bakiyon ki tarhe sirf mujhe blame kar rahe ho ke mujhe descions lene nahi ate, mein logon ki feelings ka care nahi karti. Sab ko sirf gayu Di ke taqleef dikhayi Di mera dard nahi. Har baar jab main ne kissi se apne dil ki baath kahni jahi woh yeh khete ke Gayu Di ka dil kamzoor hai aur mein chup ho jati, aur Gayu Di ka bhi yeh kehna ke woh tumhare bina jiss nahi sakti. Sab kehte hai ke mujhe Gayu Di ya mumma ki tarhe banna chaiye koyi mujhe accept hi nhi karna chata jaisi mein hoon. Mujhe laga aisa karne se mumma ka sar garv se uncha ho jayega. Koyi nahi samajh paya mujhe, Tum bhi nahi samajh paye", she said realizing herself from his grip and crumbling to the floor.
His heart broke into a thousand piece seeing her tears, his anger melted away and was replaced by guilt in a second, he feel on the floor next to her made her lie on his chest and placed his arms above her delicate body caging her into a protective embrace. He was whispered apologies and soothing words into her ears, in his mind he cursed himself for unknowingly hurting her.
"I am sorry mujhe tum se iss tarhe baath nahi karni chaiye tum se puri baath puchni chaiye thi, puchna chaiye tha akhir kar apne pyaar ko sacrafice karne ka tumhara reason kya tha, magar na jane mujhe kya hogaya tumhari baton se laga ke mein tumhari life mein unimportant hoon iss liye itni asani se mujhe qurban karne chali, yeh nahi socha ke tum andar se mar rahi hogi. Gadha hun bewakoof hun is duniya ka sab se bara idiot bhi mein hun, apne dard mein tumhare dard ko na dekh saka, jo sazza deni hai de do, shayad mein tumhare pyaar ke liyak bhi nahi. Tumhe pata mujhe tum se pyaar kyun hua, kyun ke jin se bhi tum pyaar karti ho unke liye jaan dene se piche nahi hotogi, aur aaj jab tum apni bhen ki khushiyon ke liye khud ki khushiyon ka sacrafice kar rahi thi toh mein ne tum se na dekh janne kitni hurtfullly baath ki", He spoke in a heavy voice filled with pain concern and guilt.
She moved his arms of her and got up from his chest she locked her eyes with him, and then flung her arms around him. "Nahi Karthik maafi toh mujhe mangni chaiye, sab ki parwa ki, mumma, papa, bua dadi, rama dadi, gayu Di sab ki khushiyon ki parwa thi, lekin tumhari nahi. Tum toh dekh nahi sake mera dard iss liye tum ne uss dard ko mitane ke liye kuch nahi kiya. Magar mein ne toh tumhari ankhon ka dard dekha tha jab dandiya night par mein ne proposal ko no kaha uss din se tumhari ankhon mein sirf dard dekha, lekin phir bhi mein ne tumhare liye kuch nahi kiya. Gharwalon ke barien mein socha unki khushiyon ke barein mein socha tumhe kitna dard hoga is faisle se yeh nahi socha", she apologized burying her face in his neck.
He caressed her hair lovingly and made her look at him in the eye, "galtiyan hum dono ne ki Naira aur gharwalon ne bhi magar ab sab straight karne ka waqt agaya hai", he told her.
After staying in each other's arms for a while, letting the pain that they held on for all these days flow in the form of tears. A while later Karthik calmly asked her about all that happened and exactly to why she had taken the decision and she give him every detail of everything she saw, what everyone told her, all her thoughts and how she ended up thinking to sacrafice.
"Naira tumhari batein sun kar aisa laga ke shayad Rama dadi ne tumhe push kiya yeh descions lene ke liye", karthik asked her
"Yeh kya khe rahe ho Karthik, Rama dadi gayu Di ki dadi hai, woh mujhe bhi apni poti ki tarhe manti hai, woh bahut achi hai", Naira replied.
"Naira main ne yeh nahi kaha ke woh buri hai. Lekin woh gayu se bahut pyaar karti hai. She may have kept away from her son but she must love him.and Rashmi, Rashmi was like a daughter to her and Gayu, Rashmi aur Nikhil ki woh ek Nishani hai Jo unke pass hai, she will do anything for her happiness, even if that means taking someone's happiness away from them. Her aim wasn't to hurt you, it was to make gayu happy but the was she wanted Gayu's happiness was wrong and you need to put things right",Karthik told her
"Karthik lekin kya sab samjhenge, aur Gayu Di ki khushi ka kya", Naira asked concerned
"Naira jab hum khud khush nahi ho dusron ko khush nahi rakh sakte", Karthik explained
"Lekin sirf apne barien mein sochna kya woh khudgarzi nahi hogi", Naira asked
"Nahi Naira apne liye ladna khudgarzi nahi Haq hai humara. Aur sachayi batane sirf akele hum khush nahi honge Gayu bhi khush hogi manna ke aaj royegi magar phir woh agge badhegi aur ek din uski zindagi mein ek aisa ladka ayega Jo uss se bahut pyaar karega, aur woh bhi uss se pyaar karegi. Jaisa hum dono ek dusre se pyaar karte hai. Aur Mishti ke barien mein socha, aaj tum apne khushiyon ka gala ghot rahi ho, tumhe dekh kar agar kal ko wo bhi aisa karne lagi. Tumhe acha lagega ke tumhari choti bhen apni khushiyon se dur rahe kyun ke uss ne tum se qurbaani dena seikha",Karthik explained.
"Sab samjhenge karthik", Naira asked still a bit unsure.
"Tum samjhaogi toh woh samajh jayenge, tumhe unke samne apne dil ki baath rakhni hogi, yeh batana hoga ke tumhare dil mein chal kya raha hai. Unki haar baath ko unsunna karke apni baath rakhni hogi, hum dono ek dusre se pyaar karte hai woh baath hum mil kar kahenge lekin agar koyi puche tum ne sacrafice kyun deni chai toh uska jab tumhe dena hoga kyun ke woh faisla tumhara tha, iss liye tumhe uss soch ke peeche ki taqleed bayan kar sakti ho. Main tumhare liye lad kar tumhari kamzoori nahi banna chata tumhari himmat badha kar tumhari taqat banna chata hun. Tumhe sherni banna hoga, apni Nairagiri dikhani hogi. Will you give me my sherni back", he told her looking at her in the eye.
"Main sab sahi kardungi ab chup nahi rahungi", She replied in confidence and both walked down together.

-------------

"Karthik beta Jo tum ne Naira se dance academy ke barien mein baath karna chate the woh sab kiya", asked Akshara
"Ma'am hum dono ko kuch baath karni hai", Karthik spoke
"Haan bolo", Akshara told him
"Sirf apke nahi sabko batna hai", Naira replied. Akshara looked confused but walked with them to where everyone sat down even Maheshwari, Rose, Yash, Rukmini, Mohit and Nandini had come by then.
"Kaha the tum dono", asked Yash as he saw Karthik Naira coming with Akshara
"Woh dance academy ka kuch discuss kar rahe the", Naitik replied
"Papa humein kuch khena hai", Naira spoke
"Kya kehna hai beta", Raj shekar asked
"Main yeh nahi janta app log kaise react karoge, shayad bura lage ke humne yeh baath chupayi aur kuch log hurt bhi ho.", Karthik spoke
"Aisi kaunsi baath hai Karthik", asked Akshara
"Main aur Karthik/Naira ek dusre se pyaar karte hai", they spoke together holding each other's hands, shocking everyone except Mishti, everyone was silent, except Mishti who jumped and hugged her bff and Di.
"Yeh kya khe rahi ho Naira, tu janti hai ke thari baki bhen, phir bhi tu ne uss chore ne", bua dadi taunted.
"Bua dadi mein ne kuch galat nahi kiya, yeh janne se phele ke Gayu Di Karthik se pyaar karti hai, mujhe karthik se pyaar ho chuka tha, aur pyaar jaan bhuj kar nahi karte woh ho jata hai. Aur agar main Karthik se pyaar agar nahi bhi karti woh toh phele se hi mujh se pyaar karta hai, Switzerland mein hi uss ne mujhe propose kiya.", Naira replied confidently
"Lekin tum ne aur Karthik ne hum se kuch kahan kyun nahi kaha, jab Gayu ne apne dil ki baath kahi tum chup kyun rahi", asked Naitik
"Kehana chati thi papa lekin kaise kehti, har koyi bas yehi baath kehta ke Gayu Di ka dil tootna nahi chaiye. Jab mumma ne Karthik ke barien mein pucha toh iss se phele ke mein yeh khe pati ke mein Karthik se pyaar karti hun, magar gayu Di ne mujh se phele khe diya, uske baad sab sirf gayu Di ke barien mein sochne lage unki khushiyon ke barien mein. Lekin haar baar jab Karthik aur Gayu Di ke rishte ki koyi baath karta mujhe kitni taqleef hoti, kissi ne nahi dekha", she said looking at her father with tears in her eyes, he looked down not able to face the girl he calls as his princess.
"Naira tum ne apni mumma ko bhi kuch nahi batiya, mujh par vishwas nahi tha kya", asked Akshara lovingly caressing her daughter's face.
"Mein yeh nahi chati thi ke apko mujhe mein aur Gayu Di mein chunna parre. Mein nahi chati thi ki meri wajhe se apka sar aur jhuke. Chati thi ke aap proud ho ke mein aap ki beti,chati thi ke bua dadi mujh mein aap ki chavi dekhe jiss tarhe aap gharwalon ki khushiyon ko bhulati hai,main bhi sab ke liye achi khushiyan bhul jao,lekin chaar mujh se nahi hua.", she replied to Akshara and than went and stood near bua dadi.
"Mumma jaisi hai bahut achi hai, aur aap sahi hai main unki tarhe nahi hun, lekin mein unki tarhe bannun hi kyun, kyun mein apne liye ke aalag phechan nahi banna sakti, mein kyun banun mumma ya Gayu Di ki tarhe, mein nahi hun Akshara Singhania ya Gayatri Deora mein Naira Singhania hun. Meri behavior,harkatein, soch sab Naira Singhania jaisi hogi, manna ke mein apki nazron mein ideal poti, beti nahi hun lekin jaisi hun khud se behad khush hun, aur apko issi Naira ko accept karna hoga kyun ke mein badalne wali nahi.", she spoke to bua dadi full of confidence.
She noticed Rama dadi looking down and went up to her, "Rama dadi aap please nazrein mat jhukiye mein aap se naraz nahi hun, aap ne jo kiya woh Gayu Di ki khushiyon ke liye kiya, apka irada sahi tha, lekin rasta sahi nahi tha. Agar aap chati ke mein qurbani dun apko mujh se saaf saaf bath karni chaiye thi, meri help karne ki ya mera side lene ka natak nahi karna chaiye tha, apke is dhoke ne mera dil dhukiya lekin mein yeh bhi samajhti hun ke Gayu Di apke liye kitni important hai is liye main ne apko maaf kiya", Naira tells her honestly.
"Gayu Di unintentionally mein apke ansun ki wajhe bani hun, mera intention apko hurt karne ka nahi tha, apko shayad mein bahut selfish lag rahi hogi, lekin nahi Di agar main pyaar ke bajaye nafrat bhi karthik se woh phir bhi mujh se pyaar karna bandh nahi karta, khud ke pyaar par itna vishwas nahi hai magar Karthik par pura vishwas hai, uske pyaar par pura vishwas hai. Gayu Di mein aap se ek baath kahun aap please bura mat maniye aap humesha yeh kheti hai ke aap ne apne apno ko khoiya, magar kaisa manna ke app ne apne maa papa ko khoiya magar kya uske badle apke mama mami ne apko parents jaisa pyaar nahi diya, purre ghar ne apko palkon par nahi bithiya, jab bhi aap royi toh 10 haath nahi uthe apke ansu paunchne ke liye. Phir aap apno ke maamle mein unlucky kaise huyi. Unlucky toh main hun, mumma papa hone ke bawajudh bhi un se 7 saal tak dur rahi, jab ayi toh papa ko janna pada. Jiss ne mujh se pyaar kiya mein samajh nahi payi ke mujhe bhi uss se pyaar hai aur jab samajh gayi pata chala meri badi bhen ko bhi uss se pyaar hai, jab laga ke mein Karthik se apne dil ki baath kahungi aur hum dono mil kar apko samjhenge toh gharwalon especially bua dadi aur Rama dadi ki batein sun kar apne pyaar ko qurban karne ka faisla karna pada, unlucky toh mein hun Gayu Di har baar life mere samne ek aisi situation khari karti hai aur mujhe un logo se dur janna padta hai jinnse mein behad pyaar karti hun lekin iss baar nahi ", she told her Gayu Di.
"I am sorry as well Gayu, I don't know when you started liking me or else I would have told you about my love for Naira long back so that you would control your feeling", Karthik added as well.
"Aap log please yeh mat sochiye ke mein aap logon par koyi ilzaam Dal rahi hun, nahi, kyunke meri bhi utni galti hai jitni aap sab ki, agar aap sab ne mere aur Karthik ke dard ko undekha kar liya, toh main ne bhi wohi kiya, main aap logon ko khush dekhna chati thi, lekin uss insan ki khushi ke barein mein bhul gayi jo meri khushi ke liye apni jaan de sakta hai. Lekin ab nahi agar main aap se pyaar karti hun toh khud se bhi karti hun aur Karthik se bhi, iss liye app sab ka dil rakhne ke liye ya Gayu Di ka dil na tutte iss liye mein khud ka aur apne Karthik ka dil nahi tod sakti. Main khudgarz nahi hun mein kissi se kuch chen nahi rahi hun, bas apna haq le rahi hun, Karthik ka pyaar mera hai aur uss par sirf mera haq hai. Main Karthik ki queen hun aur koyi aur nahi ban sakta. Mujhe mera haq chaiye. Agar aap Gayu Di ke liye Karthik ko chun sakte hai, mujhe aur Karthik ko kyun nahi apna sakte.", Naira said with confidence and determination
"Naira Di of course aap dono ko sab accept karenge aap dono ki kitni perfect jodi hai bilkul made for each other", Mishti replied
"Nahi Mishti their silence says something else, maybe even know they only care about Gayu Di's happiness lekin galti meri hai Mishti mujhe phele hi ladna chaiye tha khud ke liye lekin main ne aisa nahi kiya, mujhe samajhna chaiye tha ke mujhe mumma ya Gayu Di banne ki koyi zarrorat nahi thi, lekin mein bhi kya karti Mishtu sab ki baton ne mujh par aisa assar kiya ke mein bhi yeh chati thi ke bua dadi mujh mein mumma dekhe, lekin ab nahi, ab mein apna pyaar pa kar rahungi, mein usse qurbaan karne wali nahi.", Naira told Mishti as she went on her knees to meet the girls height.

Naira got a call about something related to dance academy and she needed to take it so she excused herself and left the room, Karthik also followed because there were some details only he knew.

"mujhe pata bhi nahi chala ke meri beti ke dil mein chal kya raha hai, ek beti ki khushiyon ke liye dusri beti ki khushiyon ki parwha hi nahi ki", Akshara spoke her voice filled with guilt
"Main toh usse apni princess kheta hun phir mein kaise apne princess ke dard ko nahi dekh paiya, mein yeh janta tha ke meri princess dusron ko khud se par rakhti hai, phir mein kyun nahi samjh paiya uski qurbani ko", Naitik questioned himself aloud.
"Galti sirf tum dono ki nahi hai hum sab ki bhi hai, hum sirf Gayu ki khushiyon ke barien mein sochte gaye aur Naira ki taqleef ka ehssas bhi nahi hua, jab baisa Naira ko kuch kehti hum chup rehte, bachi ko toh yehi lagta hoga ke hum bhi yehi chate ke woh apni maa ya bhen ki tarhe banne", Devyani spoke keeping a hand on Naitik's shoulder.
"Haan ab sab mhare ko hi dosh de do, mhare ko ke pata tha ke mhari batein chori ko itni kadwi lage.", spoke bua dadi
"Koyi aap par ilzaam nahi laga raha hai baisa galti hum sabkki hai", Rajshekar told his sister
"Galti hum ne ki ab hum hi sudharenge", Akshara spoke

Naira came down with Karthik after finishing the phone call and saw everyone standing still.
"Naira beta apni mumma ko maaf kardogi main bahut puri maa hun apni beti ki takleef nahi dekh saki I am sorry beta", said Akshara hugging her daughter.
"I am sorry too princess, papa apni princess ko samjh nahi paye, iss baar maaf kardo agge se dhyan rakhunga, kabhi bhi ek beti ke liye iss ghar mein dusri beti ki khushiyon ki qurbani nahi Di jayegi", Naitik promised.
"Mujhe bhi maaf kardo Naira, tum Karva Chauth se mujh se kuch kehne ki koshish kar rahi thi, lekin mujhe laga ke Karthik tumhe itna acha nahi lagta iss liye tum mujhe uss se pyaar karne se ruk rahi thi, mujhe tumhe bolne ka mauka dena chaiye the.", Gayu added
"Mharre ko bhi maaf karde chorri, tu toh janti hai kabhi kabhi teri bua dadi kuch zyada hi karwa bole", Bua dadi said admitting her fault.
A smile appeared on Naira's lips and a lone tear feel from her eyes, everything was set straight after all. Karthik was right she needed to fight for herself, she needed to for once close her ears on what everyone has to say and only put her own words forward. To win something even if it is your own you have to fight for it, even though the world terms it as selfishness you must remember it is your right.

-------

Will be waiting for your reviews.

Created

Last reply

Replies

8

Views

4997

Users

8

Likes

19

Frequent Posters

annie07 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
This is wonderfully written Janvi ... I wish something similar was in show... but sigh
meera851 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š


Edited by meera851 - 7 years ago
meera851 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
Nice os
Write more stories
Continue your FF and write os about that concept
Continue soon
Waiting



.LovelyDreamer. thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 5
Posted: 7 years ago
Janvi.. 
awesome yaar.. U are darling .. 
loved the OS so much.. 
keep writing more...

#diehardfanofjanviOS๐Ÿ˜‰
Edited by .LovelyDreamer. - 7 years ago
ght_mylife thumbnail
Posted: 7 years ago
Simply amazing ๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š Wish something like this happens in the show also atleast the part where everyone feels guilty for neglecting Naira and her pain and also Naira's realization of hurting Kartik in all this balidaan track. Amazing writing... 
Anjalikaira123 thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
Yet again great job great timing great story 
๐Ÿ‘๐Ÿ‘
This is what we call nayi soch 
Wish writers had lived in this century and wrote  something like this which would have inspired many to  stand by their love as we see many scarifying love for their family 

I loved the way u wrote I am the queen of karthiks heart and will not let anyone 
Wow how I am waiting to hear it from Naira 
We all want our shernii back ...and thanks to u janvi atkeast when reading felt so good that shernii is fighting 
Superb Yaar ur r stay blessed keep writing 

Fari95 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
Amazing os..๐Ÿ‘๐Ÿ‘Wish something like this happens in the show..
Love ur stories janvi..โค๏ธ 
Keep writing moreee..
Tumpa12 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
superb
loved it
keep writting more
n do pm me plzzz