Maaneet OS : Hamari Adhuri Kahani
Zindagi hai woh meri , Kyu , kaise , kahaa, kab usse pyaar hua pataa nahi , bas itna pataa hai ki usne mujhe zindagi jeena sikhaya ...
Meri Secretory thi woh , aur hamari kahani bilkul typical "Beauty and the Beast" ki tarah thi , main uspar itna chillata tha , ladta tha aur woh mere har baat pe mujhe jawab dethi thi , har waqt mujhse ladti thi ...
Log mujhe "DD" bulaate the yaani "Dhak-Dhak" par woh , woh akeli aisi thi jo mujhe "Dusht-Daanav" bulaati thi ...
Bilkul paagal thi aur mujhe uske paagalpan se pyaar ho gaya , par mera ego , mere ego ne mujhe usse kabhi kehne ka mauka hi nahi diya , main hamesha sochta tha ki woh mujhe aakar kahe , jaanta tha ki woh bhi mujhe pyaar karti thi , uska woh mujhe chhup_chhup kar dekhna yeh sochkar ki main notice nahi karta , meri har chhoti - chhoti baat ka khyal rakhna aur agar koi ladki meri taraf aankh uthakar bhi dekhti thi naa toh woh "Jhansi Ki Rani" ki tarah talwar lekar ladne ko taiyar ho jaati thi ...
Uski inhi harkato se toh mujhe ehsaas hota tha ki , iss duniya mein koi aisa bhi hai jo mujhse itna pyaar karta hai , jisse meri fikar hai , jo sirf mera hai ...
Phir ek din party mein maine usse kisi aur ki baahon mein dekha , usse kisi aur ke liye muskuraate hue dekha , jo muskurahat sirf mere liye thi , woh kisi aur ko dete hue mein kaise bardasht kar sakta tha , aur uss din mujhe ehsaas hua ki , koi fark nahi padta pehle woh kahe ya main , kyunki pyaar mein akad ki koi jaroorat nahi ...
Keh diya maine usse ki who meri zindagi hai aur main uski , uss din woh saari hadein paar kardi maine aur usse apna bana diya ...
Swarg banaa di thi usne meri zindagi , uske saath jeene ka mann karne lagaa tha , jaan gaya tha main ki main uske bina jee nahi paunga , aur woh mujhse be-intehaah mohabbat karti thi ...
Shaadi karna chahta tha usse , propose bhi kiya , par usne manaa kar diya yeh keh kar ki main uske laayak nahi , pyaar nahi karti mujhse ...
Dil tod rahi thi woh mera , uski jabaan kuchh aur keh rahi thi aur aankhe kuchh aur ...
Chehre pe uske kuchh aur tha aur dil mein kuchh aur...
Baat karna chhod diya tha usne mujhse , par phir bhi mujhse yakeen nahi tha ki mujhse pyaar nahi karti thi , bahut koshish ki sach jaanne ki aur jab sach jaana toh aisa lagaa jaise zindagi khatam ho gai meri ...
Marne waali thi , zindagi khatam ho rahi thi uski aur uske saath meri bhi , par main aise kaise usse marne deta , khud se door jaane deta ...
Jabardasti shaadi kar li uski saath , gussa thi woh mujhse , par phir bhi apna pyaar nahi chhupa saki , khush tha main uske saath apni duniya mein , par phir bhi ek darr tha ki jo pal humne maut se churaye the woh kabhi toh khatam honge ...
Phir usne mujhe meri zindagi ki sabse badi khushi di , baap banane ki khushi ...
Itni khushiyan paakar sab kuchh bhul gaya tha main , yahaan yeh tak bhi ki woh mujhse door jaa rahi thi , agar kuchh yaad that toh sirf Meri Mishti aur hamara bachha ...
Aur jab uske jaane ka waqt aaya toh tut gaya tha main , par woh jaate - jaate bhi mujhe mere jeene ki wajah de gayi , hamari beti , hamari ~ Mansi , Geet aur Maan ki Mansi ...
Mansi : Papa ...
Maan : Aaya Beta ...
Oops ! Sorry main khud ko introduce karwana toh bhul hi gaya ...
Main hoon "Maan Singh Khurana" aur yeh meri kahani ...
Geet aur Maan ki Kahani ...
Log kehte hai ki hamari kahani adhuri reh gayi ...
Chahe duniya ke liye kahani adhuri ho...
Par mere liye woh puri hai ...
Hamari Adhuri Kahani ...
comment:
p_commentcount