51.Jaane se pehle - " Do Kadam tum chalo Do Kadam chale hum,Millon ke in faalson ko aao mitta de hum. Kyun apni soch ki girapht mein yun jakde rahe hum, Jo baatein hain hi nahi kyun bewajah unhe pakde rahe hum? Kyun apne jhoote ahem ko yunhi sehlate rahe hum, Jo waqt guzar raha hai kyun usse yun hi gawate rahe hum? Do Kadam tum chalo Do Kadam chale hum Dil ke beech in deewaaron ko aao girra de na hum! "
52.Aur Jaane se pehle - "Pyar karna sab jaante hain, Pyar kya hai sayad kum hi jaante hain. Kisi ko apna kehna pyar nahi, Kisi ko apna banana pyar hai. Kisi ko khaas maan lena pyar nahi, Kisi ko khaas mehsoos karana pyar hai . Kisi ko dard naa dena pyar nahi, Kisi ke dard ko samajh na pyar hai.
Kisi se ummeed karna pyar nahi, Kisi ki ummed ko na tootne dena pyar hai .
Pyar karna sab jaante hain, Pyar ke maine sayad kum hi jaante hain."
53.Jaane se pehle - "Krodh mein pyar hai,Nafrat mein pyar hai, Duaa mein pyar hai, Aashirvaad mein pyar hai, ab har dard ki dawa pyar hai, toh kyun uska izhaar karne ka hume sahi waqt ka intezaar hai; Agar dil mein mohabbat hai toh kehdo Aaj, Abhi ishi waqt! Kyunki jo waqt humare paas hai bas utna hi waqt humare pass hai."
54.Aur Jaane se pehle - " Pyaar woh daulat hai, jise jitna kharch karo utni hi badhti hai, Yeh woh jannat hai, jo ishi duniya mein basti hai. Ismein na toh ahem ki jagah hai, na behem ki, Na taaqat ki, na jorr ki,na maun ki, na shor ki..Pyaar ka koi majhab toh nahi hai,Lekin yeh bhi woh darbaar hai, jahan har sar jhukta hai."
55.Jaane se pehle - "Duniya badal jaati hai uski jo Pyaar mein pad jata hai! Jahan pyaar hume khud se milwata hai, wohin dusri taraf dil aur dimag ki dooriyaan badhata hai; Jahan pyaar ek tarsf haseen khwab dikhata hai,
wohin dusri taraf raaton ki neendein churata hai,Ek hi saans mein rulata hai,hasata hai, beech bhawar mein saare darr bhagata hai. "
56.Jaane se pehle - "Duniya mein jeene ka ek kaida hai, Aur Pyaar mein padne ka ek faida hai! Yun toh bohat kuch hai jo hum karna chahte hain bas.. kar nahi paate hain, ekin maahol badal jata hai jab pyaar mein hum pad jaate hain. Kyunki jo cheezein hum hosh mein nahi kar paate hain,
Aksar woh pyaar mein hum kar jaate hain."
57.Jaane se pehle - " Yeh Ishq ka guroor hai, Nadani mat samajhiye.
Jab sar chadhta hai, toh izhar-e-kafan hi odhta hai. Duniya ki parvah kahan reh jaati hai, Jab dil.. dil se bolta hai. Ijazat."
58.Kabir's JSP t o Ananya:" Raat Toh Bas Yunhi Subah Ke Intezaar Mein Kat Jayegi, Lekin Bohat Jald Sawera Tumhe Dekh Kar Hi Hoga, Bas Apni Nazrein Yunhi Hamesha Mujh Par Rakhna."
59.Aur Jaane se pehle - " Kehte hain samajhdari isimein hai, jab sahi waqt par sahi baat ki jaye, Lekin jab baat dil ki ho, toh waqt sahi wohi hota hai, jab dil ki baat kahi jaye."
60.Jaane se pehle - " Pyaar baantne se pyaar badhta hai, sab jaante hain. Khushiyaan baatne se khushiyaan doogni ho jaati hain, sab jaante hain. Lekin baatein baatne se baatein kum hoti hain, sayad sab nahi jaante."
61.Jaane se pehle - "Dooriyan tab badhne lagti hain, jab baatein kum hone lagti hain.Aur jab zubaan se jyada mann mein baatein hone lage, toh dooriyan daraar banne lagti hain.Jo log isse rok pate hain woh yeh jaante hain, ki kuch baaton ka annt, kuch baaton ke suruat se hota hai."
62.Jaane se pehle - " Iss Duniya mein pyaar ko samjhna sabse saral aur sabse kathin hai. Saral isliye kyunki pyaar karna har koi jaanta hai, Aur kathin isliye kyunki pyaar hum sabse kya kya karwa sakta hai, yeh koi nahin jaanta hai."
63.Aur Jaane se pehle - " Pyaar mein padte humne bahuto ko dekha hai, Aur un bauhuto ne pyaar ki junnooniyat ko dekha hai. Ab yeh pyaar ki taaqat hai ya pyaar ki kamzori, Humne hitlero ko apni hitleriyat khote hue dekha hai."
64.Aur Jaane se pehle - " Jo log dusro ki zindagi mein galatfahmi paida karne ki koshish karte hain, Woh khud galatfahmii mein jeete hain ki woh jeet sakte hain. Kyunki jinki jeet kisi ki haar par nirbhar karti hai,Woh toh khel suru hone se pehle hi haar jaate.."
65.Jaane se pehle - " Kabhi Kabhi kisi ki kami ka harzana, kisi aur ko bharna padta hai! Lekin woh harzana bhi wohi bhar pate hain, Jin mein Atmavishwas ki kami nahi hoti."
66.Aur Jaane se pehle - " Jo Hawayein rishton ko hilane ki mansa se chalti hain, Wahi hawayein, kabhi kabhi unhi rishton ko, toofano se ladhne ka hausla de jaati hai."
67.Jaane se pehle - " Itni badi duniya mein, utna mushkil nahi hai - Paise kamana, Naam bannana , Shoharat panna; Jitna mushkil hai, kisi ke Dil mein jagah bannana. Kyunki baaki sab chizein toh haasil ki jaati hain, Lekin Dil.. sirf jeete jaate hain."
68.Aur Jaane se pehle - "Pyaar mein jisse, 'main' se pehle, 'tu' rakhana aagaya,Yeh haqeeqat hai, pyaar mein jeene ka, salikha usse aagaya."
69.Jaane se pehle - " Hamara aaj kitna saaf hota hai, kitna spasth hota hai, Lekin hamara kal, hamara ateet, utna hi bichitra hota hai. Marne ke baad bhi zinda rehta hai! Ateet mein rehte huwe bhi uska jikr humesha aaj mein hota hai. Aur jab jab woh hamare aaj ke saamne khada hota hai,
Tab tab woh hamare aane wale kal par, sawal khade karne lagta hai."
70.Jaane se pehle - " Ismein kisika kya kasoor hai, yeh toh duniya ka dastoor hai. Mausam badlenge, shama badlega, hum nahi toh yeh jahan badlega. Lekin agar woh dastoor hai, toh sach yeh bhi hai, Jo reh sakte hain khade ish badlav mein,Badlav bhi wohi laate hain!"
71.Jaane se pehle - " Zindagi toh sirf sair karati hai, nazare dikhati hai,
Lekin kis raste par chalna hai, yeh tai hum hi karte hai, maante hain na?
Toh phir kyun kuch log, bewajah.. zindagi se sikayat karte hain?"
72.Jaane se pehle - " Sach aur Haqeeqat bahut kareeb hote huye bhi, bahut dur hote hain. Sach humare saath jeeta hai, lekin hume haqeeqat mein jeena padta hai. Sach se phirbhi bhaga jaa sakta hai, lekin haqeeqat ka saamna karna padta hai!"
73.Jaane se pehle - " Safar mein kya hoga.. uska pata, safar suru hone par hi chalta hai! Ruke huye kadam sirf atkale lagate hain, Manzil tak pahunchne ke liye, chalna padta hai!"
74.Aur Jaane se pehle - " Jo baatein naa hokar bhi hoti hain, Mushkil unhe keh paana hota hai; Kyunki kuch baatein samajhna aasan hain, Mushkil unhe samjhaana hota hai!"
75.Jaane se pehle - " Kisise baat na karne se masle hal nahi hote, balki badhte hain. Jo log masle hal karna chahte hain woh yeh jaante hain, ki khidki band karne se sirf roshni kum nahi hoti andhera bhi..badhta hai."
76.Jaane se pehle - " Kaun kehta hai kisi ko manna na mushkil hai,
Zaroorat sirf ek koshish ki hoti hai. Naraazgi toh ek bahut choti chiz hai, Koshish se toh chattane bhi hilti."
77.Aur Jaane se pehle - " Sach se jab nazrein milti hain, to kai baar nazrein jhukti hain.. lekin sirf kuch pal ke liye. Kyunki jab sach saamne aata hai, toh kuch pal ke liye zaroor darra ta hai, ekin phir saare darr bhagata hai.
Sach mein!"
78.Aur Jaane se pehle - " Jo apni hasti khud banate hain, woh ish darr mein nahi jeete, kal kya hoga? Woh ish guroor mein jeete hain, ki jo woh aaj likh rahein hain, usse kal jiyenge."
79. Jaane se pehle - " Yeh hamari fitrat hai, ki jinhe hum jaante hain,
unke baare mein hum 'Raye' bana lete hain, swabhabhik hi hai! jinhe hum jaante hain, unhe pehchane bina jab hum unke baare mein raye banate hain,
toh woh sahi nahi hai!Woh APARIPAKWATA hai, Immaturity hai!"
80.Jaane se pehle - " Zindagi ki kitaab par waqt ki syahi jo ek baar likh deti hai, usse mittana asambhav hai. Jo likh chuka hai woh kyun likha hai? Yeh sochne se kahin jyada jaroori hai yeh sochna, ki aaj kya likha jaane wala hai! Kyunki jo aaj likha jayega, kal.. wohi padha jayega!"
81.Jaane se pehle - " Kuch log yaadon ko jeete hain, toh kuch log yaadon mein jeete hain. Kuch yaadein khud peechha nahin chodti, aur kuch yaadon ka peechha hum chodna nahin chahte hain. Insaan aur yaadon ka rishta bahut kareeb ka hota hai, lekin jo yaadein sukoon hi chhin lein, isse pehle ki woh bediyaan bann jayein, unse alag hona bahut zaroori hota hai! "
82.Aur Jaane se pehle - " Kuch baatein rishton ki badi dilchasp hoti hain,
Jo baatein chhip nahi sakti unhe chhipaane se, hum kuch pal ka bilamb zaroor khareed lete hain. Lekin yeh bhool jaate hain unhi kuch palon mein,
hum apna bahut sa chain fizool mein kharch bhi kar dete hain "
83.Jaane se pehle - " Na nafrat se na krodh se, Na taaqat se na virodh se, Na rosh se na bal se, Na zorr se na chhal se, Jeet to hasil hoti hai, Sakaratmak soch se!"
84. Jaane se pehle - " Yeh toh zaroor hai, ki jab hum kisike kareeb rehte hain, toh usse jaan'ne bhi lagte hain, correct? Lekin yeh zaroori nahi jab hum kisiko jaan'ne lagte hain, toh uske kareeb bhi hote hain! Kisike kareeb hone mein aur kisi ke kareeb rehne mein farq hai, aur yeh jaan'ne se jyada samajhna zaroori hai."
Edited by IArmageddonI - 8 years ago
comment:
p_commentcount