I'll Be Ur Destiny At Every Step U Take (AR.FF) 19/04/18 prt24 updted - Page 57

Created

Last reply

Replies

569

Views

95537

Users

66

Likes

881

Frequent Posters

DMGThings thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago

Originally posted by: ITSABOUT_DMG

Haan prags padhle.
pakeez ki tarah busy mat rehna 
bichari paki ko toh saans lene bhi time nahi hai😆


Haan, haan . Padh lungi . Lekin yeh Paki kuch zyada hi busy hai !
ITSABOUT_DMG thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago
I'LL BE U'R DESTINY AT EVERYSTEP U TAKE- AN AR FF









                    PART-24

Walking through the beach looking at the waves they both admired the beautiful sight infront of them n after like eternity he looked at her n she rubs her arms hugging herself due to the chill winds which were making her shiver

without giving a second thought he removed his blazer n she looked at him n he smiles n said wrapping his blazer around her shoulder


Ar- thoda filmy zaroor lagega par 
 bina beemar hue  ghar tak toh pahunch hi jayenge atleast


she smiles n pulled his blazer even close to her body n he looked back at those loud waves n she admired him n tilted her head slightly n said

Ri- Thank you

he looked back at her n smiles at the adorable face n winks at her
she immediately turned her gaze getting all red

he just love his effect on her
no one looked as beautiful as she looks while blushing


Ar- Tumne bataya nahi ke tum itna acha dance bhi karleti ho???

She looks at him n smiles n said

Ri- Shayad isliye kyunki aapne kabhi nahi bataya ke aap itne ache singer ho

Armaan chuckled at her n said

Ar- well in that case 
ek dusre ke baarein mei aur bhi  aisi baatein hai jo humey nahi pata

Ri- Jaise ke??

Ar- Mrs Mallik ko Mr Armaan Mallik kitne zyaada pasand hai????


she rolled her eyes at him n blushed little n said while playing with her own fingers while looking down

Ri- Ye toh aap khud hi jaan lijiye

Ar- (looks intensely at her)Wahi jaan ne ki koshish karraha hun

Ri- (Looks at him back with same intensity in her eyes)  kuch pata chala???

Ar- Haan sunna chahogi ya Naa

Ri- Sirf sach 

He went closer n she looked down n did not budge

He bend down towards her ear n whispered

Ar-Sachai ye hai Mrs Mallik 
Aap mujhse!! 


she held his shirt in her fist n closed her eyes due to the close proximity

He smiles seeing his effect on her

Ar-Aap toh mujhse pyaar


She opened her eyes n quickly covered his mouth with her palm n shook her head while looking down


He closed his eyes as she did that n kissed her palm passionately

She shut her eyes instantly n breath heavily n smiles brightly


he opened his eyes n saw her smiling brightly with her closed eyes

he took hold of her hand which was placed on his mouth n removed it n held her through her tiny waist n pulled her closer

Her smile vanished due to the sudden closeness 

Ar- kya hua Mrs Mallik 
sach nahi jaanna???

She looks everywhere but him n he held her chin n makes her look at him

Ri- Armaan please

she still looked down n he smiles bright n thought to tease her 

Ar-please for what??

She tried to get out of his hold n his grip is getting stronger 


she finally looked at him n he shook his head at her n asked again

Ar-Tumne bataya nahi ridhima

Ri-der horahi hai.Ghar chalein?

Ar- chale jayenge par mujhe tumhare sawal ka jawab to denedo

Ri-Maine koi sawal kiya hi nahi

Ar-Jhoot

Ri-Sach

Ar- wahi toh tumhe sunna hai

He tricked her n she pressed her lips due to embarassment 

He left her n she turned her back at him n sighed slowly as she dnt want to get caught by him

he smiles mischieviously n said

Ar-Ghar chalein 

she turned at him again n nods 

he made his way towards their car n she followed him 


after  abhi nikkie's party AR spend some alone time on the beach n now went back to their sweet home

_____________


Next Day

muski- ye rahul ka baccha kidhar rehgaya
ek ghante se wait karrahi hun aur woh abhi tak nahi aaya
aane do usey do laafe dungi na tab jaake theek hoga
khota kahin ka


just then a bike halt infront of her n he  removes his helmet n sets his hair

muskaan groaned n rahul said in full too heroish smile

Rahul- hey babes
wanna go on a ride

muskaan smiles fakely n came near him seductively n pulled his hair in her fist n said angrily

muski- ab bada hero banraha hai gadhe
kahan margaya tha itni der se

rahul-abey chod kya karrahi hai

muski- tera dimaaq thikaane par laane ki koshish

rahul- abey junglee chod
sab dekh rahe hai yaar
kya karrahi hai

muski-dekhne de
woh tab bhi dekh rahe they jab mai tera wait karrahi thi yahan itni dhoop mei aur woh bhi ek ghante se

rahul- ok am am sorry
ab toh chod de meri maa


she finally left his hair n he sets his hair n she crossed her arms against her chest 

 rahul- Tere paida hone se theek kuch der pehle teri mom ne koi junglee saand ka deedar toh nahi kiya hoga na


she shoot daggers at him n he continued

rahul- hamesha kaatne ko daudti hai

muski- mera sar garam mat kar tu warna 

rahul- ab der nahi horahi tuje??
dhoop mei abhi bhi jal hi rahi hai 

she hits on his head n sat behind him on the bike  n he smiles n wear his helmet back n droved off   

_______________

atul parked his bicycle n looked shockingly at rahul n muskaan who were coming from front on rahul's bike

rahul stopped the bike n muskaan immediately got down 

atul- kya baat hai
 subah subah love birds ko saath dekhne mei bada mazaa aaya
good going mere yaar

rahul shushed him n muskaan hits atul on his head 

muski- bakwaas mat kar

she glared at rahul one more time n went away 

rahul- huuu
marte marte bacha yaar

atul- kyun bhai
kya hogaya

rahul-kuch nahi  bass kal raat usko kaha ke subah pick karne aaunga
aur subah late jaaga aur usko pick karne mei late hogaya


atul- ohhh
bichari ne kitna wait kiya hoga  tera

rahul- abey chup kar
sirf ek ghanta late pahuncha yaar
aur woh hai ke  junglee jaanwar ki tarah mera shikaar karne lagi padi hai
maan hi nahi rahi
raaste bhar sorry kehta raha par usko koi asar nahi hua


atul- bandhu mere ye toh naye naye pyaar ki shuruwaat hai 
aagey toh bahot papaad belne padenge tujhe 
usey manata hi rahega zindagi bhar

rahul- abey saale
dua deraha ya baddua

atul- facts bata raha hu

rahul- teri toh


he ran behind him n atul 
laughed n ran for his life

___________


(padma- kitni ajeeb baat hai na shashank

ridhima jo aapki har baat bina koi sawal karey sunti thi

aapka har faisla bina kisi jhijhak ke maanti thi

woh aaj aapki nazron mei ghalath hogai...


joh ridhima jisne saari zindagi apne papa ki best beti banna chaaha 

jisko aap par bharosa tha ke uske papa uske liye koi bhi ghalath faisla nahi lesakte

woh uske liye apni jaan tak dedenge par kabhi bhi usko dukhi nahi dekhsakte 

aur ab dekhiye na shashank 

uska woh bharosa woh vishwaas aapne ek hi jhatke mei tod diya...

bass ek phone call kya aaya aapne toh usey apni zindagi se bahar nikal phekdiya

kya itna hi bharosa tha apni beti par aapko,???

Aapne Kabhi ye jaan ne ki koshish ki ke uspar kya beeti hogi 

woh kaisi hogi.kahan hogi kis haalath mei hogi 

usne kuch khaaya bhi hoga ya nahi

kabhi ye jaan ne ki koshish ki ke woh zinda bhi hai ya margayi)


No matter how he tried to ignore padma n her taunts 
they comes hand in hand to disturb him n pressurise him to think abt his wrong doings towards ridhima...

he let out a sigh n leaned back at his chair...

just then someone knock on the door

shashank- come in


a wardboy came n said

wardboy- sir aapke liye ye letter aaya hai

shashank took that n wardboy went away from there...


shashank looked at the letter n opened it to read it n his eyes opened wide with a shock written over his face...

______________



Nikki-  Tu kyun aaya ammy mai le aati na daadi ki reports


armaan- office ja raha tha aur waise bhi tera ye hospital mere raaste mei hi toh aata hai socha jaate jaate leta jaun

nikki- mera nahi tere sasur ka hospital hai


she chuckled at him n he rolled his eyes at her

nikki- kal ki party mei toh tu aur ridhima toh chaa hi gaye
kya romantic performance di tuney haan


she teased him n he blushed n nikki pulled his cheeks


nikki- awww ammy tu toh sharmane lag gaya

ammy- bakwass bandh kar
 waise tera ghonchu fiance kahin dikhayi nahi deraha
kahan hai??


nikki- bhatak raha hoga yahin kahin hospital mein


armaan smiles n said

mujhe ab der horahi hai mai chalta hun...


nikki- ok 
tu jaa
mai shaam ko waise bhi ghar jahi rahi hun ridhima aur daadi se milne
reports bhi wahin dedungi

ammy- ok then bye

they both hugged eachother n armaan went away while nikki looked at shashank's cabin n went away from there


_________


Mom kitni baar maine aapse kaha hai mujhe abhi shaadi nahi karni
y dont u understand???


pooja- but beta tum kabtak armaan ka intezaar karogi
usey toh koi fark nahi padega 
ulta usne uss dumb ladki se shaadi karli


anjali- ek second 
aapko ye kisne kaha ke main armaan ka intezaar karrahi hun????


she raised her brow n pooja smiles at her n said


pooja- kaun batayega beta
mai toh bass aise hi


anjali- assume karrahi thi 
hai na mom???

pooja- look anjali 

anjali- stop it mom
just stop it...
maine armaan se expectations lagayi thi
usne toh mujhe hamesha se hi ek friend maanna
Usne toh nahi kaha kabhi mujhse ke woh mujhse shaadi karna chahta hai
it was all my fault mom
mai hi bekaar ki expectations lagaye baithi thi 
ye sochti rahi ke shayad ek din armaan mujhse pyaar karega
aur pata nahi issi pyaar ko paane ki chakkar mei mai kya kya ghalthiya kiye jarahi thi
sachai mere saamne thi aur main apne jhoot ko sach saabit karne mei lagi thi
maine bahot logo ko hurt kiya hai mom
ab aur  nahi
mere liye armaan ka chapter khatam...
der se hi sahi ye baat accept karli maine ki Armaan aur Ridhima ek dusre ke liye hi baney hai


pooja- theek hai maan leti hun ke tum Armaan ko bhool chuki ho
par bete tum har din ussey milti ho uske saath kaam karti ho
kya kabhi bhi tumhe iss baat ka ehsaas nahi hota ke kaash woh tumhara hota???
kya kabhi bhi tumhe Armaan aur Ridhima ko ek saath dekh kar takleef nahi hoti???


anjali closed her eyes n said

anji- nahi
main bass wahan kaam karne jaati hun...
mere pass in  sab baaton ke liye time nahi hota


pooja- Anjali  tum mujhse jhoot  bolrahi ho
apni mom se??? 

anjali- main jhoot nahi bolrahi

pooja- Agar jhoot nahi bolrahi toh yahi baat meri taraf dekh kar bolo

anjali sighed n turned at her mom n said while looking at her


anjali- Armaan is a close chapter to me mom 
woh sirf mera colleague hai
uski personal life se mujhe koi fark nahi padta...
Are u satisfied now???


pooja- Toh shaadi se inkaar kyun karrahi ho
y dnt u get married


Anjali- Shaadi har cheez ka solution nahi hota 
Right now mere liye sabse important mera career hai
aur mom please
aaj ke baadh iss ghar mei meri shaadi ki baat kabhi nahi hogi
mujhe der horahi hai
am leaving


she took her handbag n went from there

_________________

Muski- pata nahi kya samajhta hai apne aapko
Ek din mei hi apni asliyat par utar aaya
khota kahin ka...

she checked her files n said

muski- ye file toh armaan sir ko submit karni thi
ye ghadey rahul ki chakkar mei mai toh bhool hi gayi


she took her file n went towards armaan's cabin...

knock knock


armaan- come in

muskaan- good morning armaan sir


armaan looked at muskaan n smiles
 
ar- good morning muskaan

Muski- sir ye file aapko submit karni thi

she gave it to armaan n armaan started reading it


muskaan smiles n said teasingly


muski- waise sir Mrs Mallik kaisi hai

armaan smiles still turning the papers

ar- she is fine

muski- waise kal raat party mei mujhe bada mazaa aaya
kya gaana gaaya aapne
aur kya naacha ridhima ne
waah ekdum jhakaasss


she throwed her arms in the air n armaan looked at her sternly
she smiles sheepishly n stood straight n armaan smiles n said


ar- miss muskaan chadda aap shayad ye bhool rahi hai ke aap apne boss ke saamne khadi ho


muski- sorry sir

ar- u should be


muskaan thought that armaan got angry but armaan was smiling looking at her n said


ar- waise mujhe nahi pata tha ke ye patiala ki sherni itni jaldi haar maan leti hai


muskaan looked at him n saw him.smiling wide

muski- matlab aap

ar- mazaak karraha tha

muski-Arman sir

she chuckled at him n he shook his head 

muski- ab aapki PA ki shaadi hogayi hai toh woh apne shaadi shuda zindagi mei busy hogayi hogi
toh aapki PA ki post khaali hungi na
mai soch rahi thi ke sir kyun na aap mera promotion karde
aapki PA mai bansakti hun ..


armaan acted as if thinking deeply n said


ar- offcourse y not
ab aap office ke bahar 
saali hai matlab aadhi ghar waali
toh office ke andar bhi Aadhi ghar waali banjayie 
hain naa

muski- hawww
aap meri friend ko cheat karoge

ar- ab saali sahiba itni khoobsurat hai kya karen


muskaan smiles n said


muski- lagta hai ab toh ridhima ko wapas office join hona padega
Armaan sir ke tevar hi kuch badle badle nazar aarahe hai...

ar- agar aapki ridhima

muski- meri nahi aapki ridhima

ar-(smiles) agar aapki dost aur meri biwi iss baat ke liye maan jayegi toh sabse zyaada khush mai hi hunga...

muski- ab toh usey manwana hi hoga

ar- i will be very thankful to u then...

muski- dnt wry sir
aapki khushi ki zimmedari ab meri


she went away n armaan laughed at her


__________________


ri- daadi ye nahi chalega
aapko dawai leni padegi

daadi- arey baba le lungi.
kuch der baadh

ri- kuch der baadh nahi abhi
time toh dekhiye na daadi
shaam ke 4 bajrahe hai aur ye dawa aapko lunch ke baadh leni thi
already 2 ghante hogaye
ab aur  der nahi.jaldi se aap ye dawai lelijiye


daadi- arey bahu tu aise hi pareshaan horahi hai 
mujhe ab inn dawa ki zaroorat nahi hai 
haan nikki ne uss din kaha tha ke mai ab theek hun

ri-koi bahana nahi chalega daadi
jab tak mai aapki reports nahi dekh lungi aur nikki se baat nahi karungi tab tak mai aapke baat par bharosa nahi karne waali
chaliye ab dawai lijiye

daadi- tu toh mere bete se bhi badi hitler hai


ridhima laughed n gave medicine to daadi n daadi finally took it without creating a fuss


daadi- khush

ri- bahot zyaada


nikki- mallik mansion ki sabse badi member  bacchon jaisi harkatein karrahi hai
whats going on??

ridhima n daadi looked at nikki 

daadi- tu kab aayi nikki

nikki- jab saas bahu ka drama chal raha tha tab

ri- acha hua tum aagayi nikki
dekho toh daadi kaise baccho ki tarah dawai lene mujhe tang karrahi hai...

nikki- well iss baat par toh mai bhi ridhima ke saath hun
daadi aapki reports aagayi hai


ri- kya hua nikki
sab theek hai na

daadi- haan sab theek hi hoga hai na nikki

nikki- haan ridhima reports clear hai tension ki baat nahi hai...

daadi- dekha mai kehti thi na tujhe ridhima ke mujje kuch nahi hoga
ab toh dawai se bhi jhutkara miljayega mujhe

nikki- ji nahi aisa kuch nahi hone waala
aapko apni dawai continue karni padegi

ri- daadi please ab koi bahana nahi chalega

daadi- arey jab reports clear hai toh mai dawai kyun liyun bhai


nikki- daadi aapki body mei calcium ki kami hai toh uske liye aapko tablets continue karni padegi baaki sab first class hai

daadi- ye kya baat hui 
ye ghalath baat hai nikki.tu bhi ab ridhima ki tarah bartaav karrahi hai
poori ki poori hitler

ri- dekha nikki ab toh mai hitler ke naam se jaani jaarahi hun


they both hified n daadi smiles n said

daadi- haan bhai ab toh aapki baat maanni padegi na iss ghr ki maalkin jo hai aap

.ri- daadi please  aeisa mat boliye iss ghr ki maalkin aap ho main nahi...


nikki- waah kya pyaar hai


trio laughed at the same time 

ri- nikki tum baitho mai tumhare liye kuch laati ho

nikki- dnt be so formal ridhima
mai yahan tumse aur daadi se gappe ladane aayi hun

ri- haan toh tum baitho mai do minute mei aayi

nikki- arey par 

daadi- chup chap baithja nikki
ye kisiki nahi sunti

nikki laughed n ridhima smiles n went away from there


nikki- ridhima kitni khush lagrahi hai na daadi

daadi- haan beta
mai toh bass yahi dua karti hun ke ye dono ek dusre ke saath aise hi khush rahe hamesha

nikki-main bhi

daadi- tu ye bata shaadi ki taiyyariya shuru ki bhi hai ya nahi

nikki- abhi kahan daadi
mujhe aur abhimanyu ko time hi nahi milta apne kaam se
wahi sochrahi hun ke kya karun kaise manage hoga sab

daadi- tu uski fikr mat kar
teri shaadi ki taiyyariya mai karungi
tu bass bata ke karna kya hai

nikki- nahi daadi aap pehle theek hojaiyie phir hum dekhenge

daadi- oh chup kar mai bilkul theek hun
aur mujhe pata hai tu mujhse kuch bhi kyun karwana nahi chahti
mai thehri old fashion aur tu aaj ki ladki tu ne toh koi wedding planner dhundha hoga
humare zamane mei koi planner thodi hota tha 
sab saath mei saari taiyyariya mil jhulke karte they
aaj ka zamana alag hai


nikki-offo daadi aap bhi na kya kya soch lete ho
aisa kuch nahi hai
maine koi wedding planner hire nahi kiya


ri- kya baatein horahi hai


she placed the tray of snacks n tea on the table n sat besides nikkita while giving daadi n nikki their cups of tea


nikki- daadi ko lagta hai ke maine koi wedding planner hire karliya isliye mai apni shaadi ki taiyyari inse nahi karwana chahti...
tum hi bolo ridhima daadi ke pair ki takleef abhi abhi kam hui hai 
agar ye phir se bhaag daud karengi toh tabiyat kharab na hojaye kahin

ri- daadi nikki theek keh rahi hai aapki tabiyat abhi abhi theek hui hai ..


daadi- aaj kal ke bacche bass badon se zubaan lada lenge par badon ki baat nahi maanenge

ri- aisi baat nahi hai daadi

nikki- acha theek hai
aap hi meri shaadi ki saari taiyyariya karengi

ri- nikki par

nikki- abhi meri baat complete nahi hui hai ridhima
daadi taiyyariya toh aap hi karengi
par sirf sabko instruction dekar


ri-haan aap bass hukum chalaiye 
hum saara kaam nipta lenge

daadi- tab toh phir theek hai
mai toh sab par hukum chalaungi
ananya par bhi


daadi n nikki laughed where as ridhima shook her head

daadi pulled nikki n said

daadi- ek kaam aur karna hai

nikki- kya

daadi- inn dono ko ek saath kaam denge aur ek dusre mei busy rakhenge
shaadi ke kaam ke bahane hi ek dusre ke saath waqt toh guzaar sakte hai na

nikki- waah daadi kya baat hai


ri- ye aap dono kya baatein karrahe ho

nikki- woh hum dono ka secret hai

nikki showed her tongue to ridhima 
where as ridhima made a face at her


____________


padma just came back from the groccery shopping n went straight up in the room


she pushed the door n found shashank sitting on the bed with his back resting on bed post


padma- aap itni jaldi kaise aagaye


he looked at her n sat straight 

shashank- tum sahi thi padma
tum bilkul sahi thi


padma- kya baat hai shashank
mai kuch samjhi nahi
saaf saaf boliye 

shashank stood n went towards her  n joined his hands n said


shashank- mujhe maaf kardo padma maine bina sach jaane tumhe ridhima se door rehne ko kaha
ridhima ke saath bahot ghalath kiya
usey apni baat kehne ka maukha bhi nahi diya
usey bura bhala kehta raha 
sirf apni izzat ki parwah ki
ye bhi nahi socha ke ridhima par kya beeti hogi
mujhe maaf kardo

he cried n bowed his head down 
padma held his hands n said

padma- ye aap kya karrahe hai shashank
maanti hun ke aapse ghalti hui hai
par aise maafi toh mat maangiye
mujhe sharminda mat kijiye


shanky- sharminda toh mai hun padma
mai kaisa baap hun
apni bacchi ko kiss baat ki sazaa deraha tha 
maine kaise kisi aur ki baaton par yakeen karliya
mujhe apne aapse nafrat horahi hai
ridhima se kaise nazrein milaunga mai
ussey kin kin ghaltiyo ki maafi maangu???
ek baap hokar apni beti ka dard nahi samajh saka
ulta ussey najane kaisi baatein kar gaya
tumne sahi kaha tha
jiss din mujhe sach pata chalega uss din mera apne aap par se vishwaas udjayega

padma- ab jabke aapko apni ghalti ka ehsaas hogaya hai
toh ridhima se ek baar mil lijiye
woh abhi bhi aapke baarein mei poochti hai shashank


shashank- kaise milun ussey.
kiss mooh se milun padma
itna sab kehne aur karne ke baadh bhi usey apna chehra kaise dikhaun
kya bolun usey ke ek phn call se saare rishte tod diye maine
wahi rishte ek chitti ke zariye jodne chala aaya


padma- chitti???
kounsi chitti??


he took that envelope from his blazer pocket n gave it to padma


padma took that n read it 

shashank- usi ladke ne mujhe chitti bheji 
apni ghalti qubool karli usne
kaisa ladka chuna maine apni beti ke liye.jisne sirf apni baap ki property ke liye meri beti ki zindagi barbadh kardi...


padma- isne ye chitti aapko isliye bheji kyunki usey pata tha ab tak aap hi woh insaan honge jo uske bataye hue jhoot ko sach maan kar ridhima se rishta tod baithey honge


shashank looked at padma with guilt on his face


padma- khair jaisa bhi ho
ab sach aapke saamne hai 
toh jo hua usey bhool kar aapko aagey badhna chahiye
ridhima se ek baar mil lijiye shashank
ab waqt aagaya hai bigdi baaton ko banane ka


shashank looked at her with not so satisfied look where as padma nods at him assuring him 


________________


Woh itni insulted feel karrahi thi ke mai kya bataun
ab itne down market kapdo ko ek bade designer ka naam degi toh insult toh hogi hi na 
pata hai na sabko ke Mrs Ananya Mallik ki nazar se kuch nahi chupta
 acha ab mai rakhti hun
bye 


ananya sat on the sofa n took a magazine n reads it
where as raj n daadi enjoyed their evening tea n were discussing abt nikki n abhi's marriage


daadi- bacchon ne mujhe itni badi zimmedari sopi hai toh mujhe har choti choti cheez ka dhyaan rakhna padega 

raj-maa aap khamakha tension lerahi ho sab ache se hojayega
dnt wry

daadi- haan woh toh pata hai mujhe 
ek kaam kar tu bhi hamari kuch madad karde taiyyari mei
zyaada log honge toh kaam mil baat kar sab karlenge 

raj- ye bhi koi poochne waali baat hai maa
aakhir nikki meri beti jaisi hai toh 
aap bass bataiyie ke karna kya hai

daadi- chal badiya
ab toh tu bhi list mei shaamil hai 
ananya bahu tu hamari madad nahi karegi

ananya looked at daadi n smiles n said

ananya- main kuch keh nahi sakti maa
mai thodi busy hun inn dino

daadi- sivaye partyon ke kin kaam mei busy hai tu puttar

raj chuckles n ananya rolled her eyes n without replying back to daadi she again got engrossed in her magazine


raj- rehne dijiye maa
madam ananya ki life bahot busy hai
unse kahan shaadi ke kaam honge
hum sab hai na


daadi- haan ye bhi baat sahi hai
isey kaam ki zimmedari dedi toh humey iski zimmedari leni hogi
kaam par kaam badjayega

they both laughed n ananya make a face at them


just then door bell rings n maid went to open the door

raj- koun hai ravi(maid)??


Shashank n padma came inside 
raj n daadi stood  from their seats n looked at eachother

ananya too got up from the seat n thinks in her mind


ananya- ye toh sanjeevani ke dean hai Dr shashank gupta 
aur shayad woh lady unki wife hai
par ye dono yahan kya karrahe hai???


raj n daadi went forward with a smile on their faces


padma- Namaste
hum Ridhima ke parents hai


ananya eyes got wide with shock where as daadi n raj smiles n daadi said


daadi- humey pata hai
aayiye na andar aayie aap dono

the four got  seated on the sofa  where as ananya was still on her spot unable to believe that They r ridhima's parents


shashank n padma gets nervous where as raj said


raj- ravi jaakar choti maalkin ko bulakar lao
unse kehna ke unke maata pita aaye hai

ravi- ji bade saab

shashank looks stunned with raj adrressing ridhima as "choti maalkin"

shashank- maaf kijiye aise bin bataye hum aagaye

raj- nahi nahi aisi koi baat nahi hai
aap jab chaahe tab ridhima se milne aasakte hai

padma looked at ananya who gave her a fake smile n she looks back at shashank whi witnessed the scene

padma- Aap sab yahi soch rahe honge ke aaj achanak humey apni bacchi ki yaad kaise aagayi...


ananya- isme sochne waali kya baat hai
ab jiss tarah aapki beti ki shaadi mere bete se hui hai woh toh hona nahi chahiye tha
par ab hum kar bhi kya sakte hai

raj glared at ananya n said

raj- woh toh hona hi tha 
unki jodi toh upar waale ne banayi hai...
sach kahun toh mujhe ridhima pehli nazar mei hi pasand aagayi thi
mujhe bahot khushi hoti hai ye jaan kar ke ridhima hamare ghar ki bahu hai

daadi- badi hi pyaari bacchi hai
kuch hi dino mei hum sabke dil jeet liye usne
aap dono bahot khushnaseeb ho ridhima jaisi beti paakar bhagwaan har kisiko uski jaisi beti de...


shashank n padma smiles hearing praises abt ridhima


just then ridhima came down with a happy face 


ri- maa papa


shashank n padma looked at her who was smiling brightly

shashank got up n went forward her

she smiles through tears 

ri- papa aap

without wasting a second shashank hugged her n ridhima stood on her place shocked by sudden hug 

shashank- i am sorry beta
apne papa ko maaf kardo

ridhima hugged him back n said

ri- nahi papa aap maafi mat mangiye

padma wipes her tears seeing father daughter reunion 

raj n daadi smiles where as ananya stood there bewildered


after a minute shashank detangled her from his hug n kissed on her forehead n wiped her tears

raj- ridhima beta apne maa papa ko apna ghar nahi dikhaogi

daadi- haan bete inhe apne kamre mei lejaa

ri- jee daadi
chaliye maa papa.


trio went from there leaving malliks alone in the hall


ananya- ye sanjeevani ke dean hai na Dr Shashank??
Ridhima inki beti hai??

raj- haan 

ananya- aapne mujhe bataya kyun nahi ke ridhima itne bade hospital ke owner ki beti hai

raj- tumne kabhi poocha hi nahi
woh toh chodo tumne kabhi ridhima ka naam tak nahi liya apne mooh se
toh kyun batata main tumhe

daadi- kyun bahu
achanak tere dil mei ridhima ke liye izzat badgayi ye jaan kar ke woh itne bade gharane se hai

raj-ye wahi dr shashank hai ananya jiske hospital mei tumhare bete ke dost nikkita aur abhimanyu kaam karte hai

daadi- aur jiss ridhima ko tu koi middle class khaandan ki ladki samajhti thi woh itne bade ghar ki beti hai 
bawajood  iske usne kabhi tujhe palat kar jawab nahi diya
teri har kadvi baatein chup chaap sunti rahi
pata hai kyun.kyunki uske maa baap ne usey badon ki izzat karna sikhaya


raj- chodo na maa aap bhi kisey samjha rahi ho
ab inn sab baaton se koi fark nahi padega
aaj toh ridhima ke liye khushi ka din hai


daadi- haan beta
bhagwaan ne sab theek kardiya
ab koi dukh koi pareshani usey nahi chuegi
ab sab theek hai
ab sirf khushiya hi khushiya hongi hamare bacchon ki zindagi mei


ananya still cant digest the fact that ridhima belongs to such a wealthy n rch family


________________


Padma- tere papa ko sab sach pata chal gaya beta

shashank- ridhima bete mujhe maaf kardijiye

he joined his hands infront of her

ri- nahi papa aap ye kya karrahe ho

she held his hands n shook her head

ri- please ye sab karke mujhe sharminda mat kijiye
meri nazro mei aap hamesha se hi best papa rahe
chahe jo hojaye main aapse kabhi naaraz nahi hosakti...

shashank smiles n hugged her once again

shashank- padma sahi kehti thi
meri beti ne vakai hi apne liye sabse acha ghar chuna hai


padma- aapne dekha na sab issey kitne khush hai

shashank- aap khush toh hai na bete

ridhima came out of his embrace n said while smiling through her tears

ri- mai bahot khush hun papa bahot khush


padma- woh toh tere chehre se hi pata chalraha hai beta 


ri- aap dono baithiye 
mai aap dono ke liye kuch laati hun

shashank- nahi beta
hum sirf aapse milne aaye hai
aapko khush dekh kar bahot khushi horahi hai
agar apne papa ko sach mei maaf kardiya ho toh hamare saath ghar chaliye bete
kuch din ke liye 
please


padma n ridhima looked at eachother  n padma said

padma- shashank aap kaisi baatein karrahe ho
aise kaise achanak ridhima hamare saath jaayegi
kya sochenge neechey sab


ri- papa aapne kehdiya na 
aap dekhna
 ab mai aapke paas aati jaati rahungi
par aaj nahi

shashank- par bete kuch din ki toh baat hai

padma- shashank betiyo ko aise hi ghar nahi bulaate
kuch rasme hoti hai
aur humne toh isey aur iske sasural waalo ko shagun bhi nahi diya abhi tak
woh kya soch rahe honge.aise hi khaali haath aagaye hum

ri- offo maa
aisa kuch nahi hai
papa daadi aisa nahi sochte
woh bahot ache hai maa

shashank- theek hai
agar rasmo ki baat hai toh bahot jald hi mai ek party rakhunga
mr mallik se iss baarein mei baat karlun 
phir sab finalise karlenge.ok
bete

ridhima nods n hugged him 



___________


raj n shashank gelled up really nice n were talking like lost friends
where as daadi n padma had a very comfortable conversations
ananya tried hard to be nice with them but she failed miserably 


raj- toh samdhi ji
decided 

shashank- aapka kaha kaise na maanu

raj-  so ladies 
maine aur shashank ne decide karliya ke iss sunday armaan aur ridhima ka reception hoga
gupta mansion mein

ridhima got surprised whereas padma n daadi smiles bright n ananya just put a fake smile


raj- ab bhai shaadi toh jaise bhi hogayi
par reception grand hoga
bass hamare kuch close friends family aur relatives thats it

daadi- changa hai
ridhima bete tujhe kuch kehna hai
koi aeitraaz toh nahi hai na??

she looked down n shook her head n said

ri- jaisa aap sab theek samjhey daadi

raj laughed n said

raj- bhai shashank ye bacchi sharmaati bahot hai

shashank smiles n ridhima blushed more

daadi- arey bhai dulhan ko toh pata hai par koi dulhe ko bhi bataye ki ghar mei chal kya raha hai
bechara wahan office mei laga hua hai

raj- jaise woh ghar aajayega ridhima usey bata degi
hai na bete


he teased her 

ridhima shockingly looked at raj

ri- mai ...kaise..papa

raj- arey kyun nahi
aap biwi hai uski aur reception bhi toh aap dono ka hi hai 
toh batana toh padega hi na

daadi- haan batana toh padega hi


raj n daadi laughed where as shashank smiles padma caressed ridhima's hair 

shashank- acha toh ab hum chalte hai

raj- haan Aapko taiyyari jo karni hai

shashank n raj hugged eachother
n ladies hugged eachother

ananya too hugged padma shocking everyone to wits
daadi n raj smiles seeing her sudden change of behaviour

Guptas left mallik mansion with the happy faces n malliks happiness have no bounds after almost like eternity 
something good has happened

raj- ridhima beta yahan aayiye

ridhima went forward n raj kissed her forehead n asked

raj- aap khush ho na bete???

she nods with tears in her eyez

he wiped her tears n said

raj- ab rona dhona nahi.ab toh khushiya hi khushiya hongi hamare ghr mei

daadi-oho 
tu hamesha bacchi ko emotional kardeta hai

raj- arey maine kaha kuch kiya


daadi- arey bhai waqt hi kitna kam bacha hai.kitni taiyyariya karni hai 

ANanya- haan maa
time bahot kam hai
designer se baat karni hogi
ridhima bete aapke reception ka dress mai khud apne designer se banwaungi
aur salon ki appointment bhi leni hogi
nahi nahi salon ghr mei bulwa lenge.what say beta


ridhima dnt knw what to say as its the first time ananya talked to her 

raj n daadi laughed n said to ridhima

raj- ab toh aadat daal lo bete

daadi- tere saath saath mujhe bhi aadat daal leni hogi iske meethi meethi awaaz ki


ananya- oho mummy ji
aap bhi
na
mai designer ko call karke aayi

she excitedly went into her room 
leaving the trio behind


ridhima happiness have no bounds
she ran into her room 

ri- ek din mei itni saari khushiya

she smiles wide n said

ri- aisa lagraha hai jaise jaise mann se saara boj utar gaya ho

she twirled around n controlled her happiness n opened their wardrobe n took his shirt 

she blushed n hugged his shirt n said

ri- sab aapki wajah se possible hua hai armaan
thank you sooo much

she hugged his shirt again...


___________

After a tiring day armaan reached his home

he sensed some different vibe today


ravi opened the door n smiles bright

ravi- good evening chote sahab


ar- good evening
kya baat hai ravi
aaj bahot khush lagrahe ho

ravi- baat hi khushi waali hai chote sahab

ar- acha aisi kya baat hai??

ravi- woh hum nahi batayenge

raj- arey armaan
aagaya bete

ar- hi dad

daadi- dekho toh armaan aagaya

ar- daadi mai toh roz hi aata hun

raj shushed daadi n daadi smiles sheepishly

daadi- haan haan
mai toh bass aise hi

ar- kya hogaya 
aaj sab itna weird behave kyun karrahe hai

raj- kuch nahi bete.tum jao room mei

daadi- ridhima tera intezaar karrahi hai
jaa na


he gave them a look n went towards his room


__________


Unaware of his presence in the house she wears his shirt n hugged herself more smelling his fragrance


ri- I LOVE

she turned towards the door in excitement n shouts


ri- Uuu

just then armaan entered the room n was surprised to see her in his shirt over her dress

her eyes opened wide in shock n she dnt knw what to do
she stood rooted on the spot 


he smiles n gazed her from top to bottom n closed the door

he came forward n she moved backward

ar- looking good mrs mallik
but kya mai pooch sakta hun ke aapne kis khushi mei

he clears his throat n pointed her finger towrds his shirt n 

ar- kyun???

her back hits the wardrobe n he placed his hands either of her sides

ri-mai

ar- hmm

he moves towards her face n she closed her eyes due to proximity

he smiles n said

ar- neechey sab ajeeb sa behave karrahe hai.
yahan aap mere kapdo mei
i mean meri shirt mei ho
something is fishy.
kya aap mujhe batana chahengi ki kya horaha hai iss ghar mei


she shook her head still her eyes closed n he smiles more n asked

ar- nahi bataogi??

she again shook her head

ar- pakka

she nods 

ar- sochlo warna i have my own ways

she opened her eyes n looked at him 
he nods his head

ar- batana chahogi??

she anyhow removed his shirt n gave it to him

he took that n sighed

ar- theek hai mat batao
mai khud hi jaan lunga

he moved from there n abt to go out but she stops him

ri- armaan rukiye


he smiles n turned towards her

she wants to share her happiness with him n just want to be close to him...

she looked at him with tears in her eyes making him worried


ar- ridhima kya hua
ro kyun rahi ho.dekho mai toh bass aise hi pooch raha tha
agar nahi batana chahti toh mat batao.mujhe bura nahi lagega
but please tum ro mat

she smiles n ran towards him n hugged him tight

ri- I Love U Armaan

he got the biggest shock n surprise of his life

ar- dekho ridhima
tum theek ho na
maine toh kuch nahi kaha tumse...

she came out of the hug still her hands around him

ri- chup kijiye.aapne kuch nahi kaha
aur maine jo kaha  aapne woh bhi theek se nahi suna

he looked at his waist which has her hands wrapped around him
n looked back at her

ar- kya kehrahi thi tum

she opened her mouth wide n asked

ri- matlab aapne nahi suna

he shook his head n she removed her hands n crossed against her chest

ri- main nahi bataungi


he smiles at her kiddish nature n pulled her in his arms
wrapping his arms around her waist

ar- dubara bolo

she shook her head 

ar- please

she again shook her head

he held her chin n made her look towards him

ar- phir se bolo na ridhima

she smiles n hugged him again n said

ri- I Love U Armaan

he smiles bright n closed his eyes feeling the moment holding her more tight...


ar- I Love U too
ridhima

she hugged him more tight just feeling him with her eyes closed

they stood in eachother arms for like eternity n it was ridhima who got back in her senses n saw herself in his arms n blushed hard

ar- mhmm not fair.
aise meri baahon mei sharmana manaa hai
maine toh miss kardiya na ye khoobsurat nazara

she held his shirt in her fist n buried herself more in his chest

he sighed n said

ar- oyehoye...

they both came out from the hug still holding eachother

she did not have any courage to look at him n he just stood there admiring her

ar- ab agar aapka sharmana hogaya ho
toh mere sawaalo ka jawab do
do naaa

he sings that line.n she chuckles at him

ri- armaan 

ar- hmm

ri- aaj maa papa ghar aaye they

his smile vanished n his grip loosened

ar- k kya kaha dr shashank ne

she shook her head n rest her head on his chest again n he wraps his hands around her tiny waist

ri- unhe sach pata chal gaya
aur papa ne hamey apna liya

he smiles n said

ar- chalo der aaye durust aaye
sasur ji ki akkal toh thikaane aayi

she hits him on his chest 

ri- armaannn

he laughed n she narrates him everything which has happened in the house
except the reception thing

ar- waah
ek din mei itne saare 
changes

ri- aur sunday ko
papa ke yahan


she blushed n he asked

ar- papa ke yahan kya??,

ri- woh.hamara

ar- hmm hamara

ri- rec..reception hai.

ar- oh wowww reception
ek second
reception????

she smiles n nods at the same time

ar- ohhh ab samajh aaya
neechey sab isiliye itna weird behave karrahe they

she nods n he pulled her even more

ar- tum khush ho

she frown n said innocently

ri- sab yahin pooch rahe hai mujhse
aap saath ho toh mai khush kyun nahi hongi???

ar-  ye baat batane mei aapne bahot waqt jo leliya

ri- kuch baatein batayi nahi jaati
sirf samjhi jaati hai

ar-ridhima

she looked at him n he said

ar- aaj mujhe meri zindagi ki sabse badi khushi milgayi

ri- mujhe bhi

they both smiles n hugged eachother again

he kissed on top of her head 
she savors the moment

ar- meri mehnat rang laayi hai
waise madam aapne kam pareshaan nahi kiya mujhe
itni bhaag daud karwayi mujhse
itna impress karna pada mujhe
ufff bahot sataya mujhe aapne mrs mallik

she looked at him n said

ri- ladkiya itni jaldi aur aasani se nahi maanti mr mallik

ar- acha ji

she nods n he said

ar- itna sab kiya maine aapko patane ke liye.aapko khush karne ke liye 
 iska reward toh milna chahiye mujhe
hain na

she came out of his hug understanding his tactics n stepped backward

ri- kai.kaisa reward

ar-hmm( while coming forward)

she moves backward

ar- how abt a KISS

she looked everywhere but him  n he pulled her towards him

she gasped n bowed her head n shook her head

ri- armaan please

ar- kya please

ri- abhi abhi nahi

ar- toh kab

ri- chodiye na

ar- nahi naa

ri- Armaan

ar- Ridhimaa

ri- Armaannn

she felt his lips on her cheek n closed her eyes

he kissed her cheek n pulled her more

she felt numb n he smiles n look at her n placed his lips again on her other cheek n ridhima clutched her duppata tight in her fist

ar- Love u Mrs Mallik


he glanced at her again n chuckled seeing her eyes closed 
caressed her cheek n went inside the bathroom taking his towel

she blushed hard n hides her face in her palms 



___________

Lo hogaya part khatam

Finally after like eternity i completed the part
just lost my motivation to write but prags naam ki ek angel ne mujhe motivate kiya to write anyhow
so a biggg hug to prags🤗
n here is the part
n thank you for keeping your hopes still high for regular updates
thank u sooo much guys
especially
saniya
itne pms kiye for updates ke kya bataun
love u all
enjoy the part n yesss
finally confession done
hope u guys will love it
with tons of love
Humera





Edited by ITSABOUT_DMG - 6 years ago
RihooHaws thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
res
unres
woowww
Awesome awesome awesome 
Hayye, itni din se update ke liye wait kar rahi ti...
At last tumne update de diya...
Kiya yaar Humey, u lost motivate to write...
Yeh kiya baat huvi bacche... 
Aise tohdina karte hai...
hum bechare readers ke baare mein toh socho... 

Chalo acchi baat hai...
Kissi ne tumhe motivate ki likhne mein...
Aur itna bada update..
Hayye meri toh dil khush hogayi...
Thanks to u and Prags...
Waise usko main personally bhi thanks bol dungi if she didn't see this ;)

Now about the part...
hayye, finally sab kuch perfect hogayi Ridz ke life mein...
AR moment was super awesome...
Kiya pyaar hai dono ka... 
Aur end mein I love u bhi bol diya Ridz ne...
Woh bhi doh doh baar...
Cool... 

Waise, Shanky koh sach pata chala...
Ridz toh hamesha best daughter raha hai...
Kyun apne baap koh wh maaf nehi karenge...
Aur Daadi aur Armaan dad bhi kitna pyar krta hai Ridz se...
Woh dono bhi khush hai uske liye...
Ananya ke tevar badhal gaye jaanke Ridz ke parents ke baare mein...
Chalo yeh bhi tik hai, ab woh acche se behave karenge uske saath... 

Rahul Mus...
Nikki Armaan...
Nikki Ridz Daadi..
Rahul Mus Atul...
Anjali and her mother...
Armaan Muski...
Daadi, Armaan Dad, Ananya...
Sabke parts bohot acche hai...
It was indeed need in the part... 

Aur sabse zyada toh AR ke moment accha laga...
Ridz khushi hokar Armaan ke shirt pehenli...
Aur jab I love u bola, tab Armaan ka entry...
Phir their forward backward moment ;)
Ridz ki I love you bolna...
Armaan ka shocked expression...
Phir Ridz se bhulwana...
hayye...
Aur kya kiya kahun mein...
Sab toh perfect hai...

Just love the part...
Ab bas kuch gadbad na ho...
Looking forward to AR reception...
Continue super soon...
Gayab nehi hona ab...
Take care... :D
Edited by RihooHaws - 6 years ago
DMGThings thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
Humzzz ! Meri jaan! Kitna amazing aur lamba chauda update tha ! Mazaa aa gaya! Matlab... Itni khushi! LOVE LOVE LOVE! 
Itne saare cute, cute scenes. Oyye Hoyye !

Sabse pehle toh RaMusk! Unke scene mein toh itni hasi aayi na, kya batau ab main ! Rahul poora ek ghanta late aaya lekin bol toh aise raha tha jaise ek minute late aaya ho . Hadd hai bhai ! Aisa kaise ? Uggghhh ! Lekin Muski na , bestest hai! Uska aur Armaan ka scene bhi kitna funny tha. Mazze aa gaye! 

And of course, Nikki Ridz & Daadi. Kitna cute scene tha woh wala . Bohot hi mast!!!

Aur fir , Shashank ko bhi finally akal aa gayi. Thank god! Aur Ananya. Ekdum se change ho gayi ! Kaisi show off hai yaar. Aise toh Ridz bilkul pasand nahi thi. Lekin ab pata chala ki woh Sanjeevani ke dean ki beti hai toh itni achchi tarah behave kar rahi thi uske saath. Shucks, yaar.

Lekin na, Raj is amazing. Woh kitne achche se rakhta hai Ridz ko. Bilkul apni beti ki tarah! I adore him. 

And, of course. So much AR !! CONFESSION BHI HO GAYA BHAI! YAYAYAYAYAY ! Matlab, so, so , so happy ! Dono saath mein kitne khush hai. Dekhke mujhe bohot achcha laga . Finally Ridz ko realize ho gaya ki woh bhi Armaan se pyaar karti hai. Uski khushi mein Armaan bhi kitna khush ho gaya, yeh dekhke mujhe bohot achcha laga. 

Aur lamba toh tha hi. Toh mazaa aaya padhke ! Finally tune update de hi di. Uske liye dhanyawad! Ab baaki ki bhi jaldi de diyo !
NishitaRahman thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Wow mindblowing part.part ki liye bohot sukriya.love the part.shanky uski galti ehaas hoya hai.nikhi,dadi,ridzy scene so cute.wow atlast AR confess kardiya.love AR scene.thanks a lot di for pm.beautiful story.eagerly waiting for next part❤️
NishitaRahman thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
WOW MIND BLOWING PART.THANKS A LOT FOR THE PM.SHANKY USKI KA EHAAS HOYA.NIKHI,RIDZY,DADI SCENE SO CUTE.WOW AR ATLAST CONFESS KARDIYA.LOVE AR SCENE.BEAUTIFUL OUTSTANDING STORY.TOTALLY LOVE IT.EAGERLY WAITING FOR NEXT PART❤️
scorpiofazy thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Woow what an amazing part...can't have enough of it...and u updated after a long time...but you make it up by a updating such a beautiful part... continue soon...😊
Dik.. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Super awesome part noddy...
Finally shishank accepted that he was wrong..

Haye..!! N finally AR ka confession part.. soo cute.. kitna sharmati hai ridhima...!!!

Continue next soon..
saniyapatel thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
OMG!!!!
I can't believe,muze yakin nahi ho raha hai finally u updated after very very long time feeling really very happy after reading the part
Am really sorry main apko pm krk bahot pareshan karti hu bt galti apki bhi to hai agar itna pyara likhoge to kaun nahi padhna chahega,hr roj wait karti hu ki kash aaj aap update krdo n finally got the update
Aap kaise kah sakte ho ki apmein likhne ki motivation hi nahi rahi no yaar u can't say that sab apki ff itna like krte hai update k intzaar mein hote hai to ye bhi to ek motivation hi  hai.
Well abt part it was superb n Amazing
AR moments on beach were very beautiful n cute
RM moments were hilarious Rahool was right Muski mom ne zaroor kisi jangli saand ko dekha hoga tabhi to muskaan aisi hai.
Glad ki Anjali ne AR k relation ko accept kr lia,loved Armaan Muski convo
Finally,Shanky ko sach pata chala n usne Ridz se maafi mangi I really admire Ridz as a daughter kitni easily she forgave Shanky uska dil bahot bada hai.
Loved Ridz n Dadis bond Dadi was really sweet n Raj also dono bhi kitna pyaar krte hai Ridz se n Ananya vo chnge nahi ho sakti vo logo ko unk standard aur status se apnati hai unki acchai se nahi.
N now abt our love birds oh god am sooo happy they confessed,awww he cares for her very much can't see tears in her eyes n Ridz was very cute thy both r jst adorable.
Don't know next update kb milega lekin phir bhi have chotusi hope it will come soon 
Thnx for pm n such a beautiful update
Loveee u❤️❤️
Edited by saniyapatel - 6 years ago
lashyyy thumbnail
Posted: 5 years ago
hey girl
i hope u didnt forget me
part was superb amazing mindblowing loved the progress in ar relation how they started to get confortable eitb eavh other
the beach scene was romantic n cute llved this ivershy ridhz
then shanky accepting his mistake evenanjali too sab kuch bohot jaldi ho rha kahin story banf to nah kar rhi ya phir koi new gadbad ?
vut jo bhi h i love the reunion
ananya ki bolti band afterknowing ridhz full identity was thebest scene then loved ar scenes with nikki even i love the bonding of dadi n ridhz it wasbeautiful n cute
n the last scene of ar romance awwdorable n fantastic eagerly wauting for the reception n i wish ridhz shanky ke saath chli jaye to duriya ayegi to romance bdega i want to see their romance like that