![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]()
|
ANJAANI AAKHEIN……😛😃
Mujhko bearish se nafrat hain…actually baarish se nahi par uskeaas paas ke farzee romance se mujhko cheed hain…meri duniya main baarish bhi dhup ke jaisi aam hain aur dhup baarish ke samaan khaas……….
Apne bare main batau to sabse pehle kya batana zaruri hoga…main kaisi dikhti hu….dekhiye aaj takmujhe kisine kaha nahi hain ki main bahut khubsurat hu…par maa kehti hain ki jab main shampoo karke baal kholke kaajal lagake,aasmani rang{sky blue} ke salwaar suit main sajti hu to kisi pari se kam nahi lagti…par maa to maa hain…kabhi sham ko kitchen main roti sektehuve maa kehti
Maa:college main koi pasand wasand hain tujhe to batade……to tere papa se baat kartihu…{iss par main mazak main kehti}
Girl:kyun…tum apni ekloti beti ke liye dulha nahi dhund paogi…???{maa dhimi aawaaz main kehti}
Maa:kya faida rishta vishta karke…terishaadi karna to mushkil hain…dahej{dowry} thodi de payenge tere papa….isiliye apni pasand ka koi dhund le…{main has kar kehti}
Girl:tum fikar mat karo maa….maine apne dahej ke liye khudh hi paise jod liye…gulak{petty bank} main 120rs hain…itne main dozen bhar{12} kaach ki chudiyaa to aa hi jayengi tumhare daamaad ke liye…itna dahej kaafi hoga…{ ye sun kar maa khilkhilakar has uthti…aur unki dekhadekh main bhi…har sham aise hi ek aad roti jal hi jaati thi/…………..
Lo baato baato main apna naam hi batana bhul gayi…mera naam TAANI hain…. B.com honours ki student hu…aura iske baad CA karna chahti hu….aur future main apni consultancy firm kholne ka irada hain…waise irada to delhi jaake graduation karne ka bhi tha…lekin yahi jodhpur apne sainikpuri ke sabse paas ghar ke paanch minute pedal{walk] walevidya bhavan college main admission lena pada…to kya Iski wajah se sapne dekhna chod du??? Bilkul nahi…Dia meri best frnd kehti hain ki main ek number ki ladakan[fighter] hu…aur wo to hu…aur jis din mera mood kharab hua main apne sapno se bhi lad jaungi…phir dekhna kaise jhak maraake mere phiche piche aate hain..abhi kuch dino pehle ki baat hain tab main har tarah se bhagwaan ko manaane main lagihui thi…final year ki exam chal rahi thi…subah uthne ke naam se himujhe bukhar aane lagtahain… aur upar se January ki sardi main thande paani se naahna…matlabh namumkin[impossible]. phir bhi usko bhagti ki pariksha maan ke main uss din subah subah uthkar naah dho ke balcony main pahuch gayi..agarbati jalake apne hi banaye mantra padte huve tulsi ke podhe pe paani chadaa rahi thi ki tabhi akbaar[newspaper] ka ek bandal udta hua mere haath par aa laga…kalash than se farsh pe aa gira..saath hi jalti agarbati ne mere dupatte main chedh[hole] kar diya…maine gusse se niche dekha…naya akbaar aala tha….uski nazre mujhpe thi….maine kaha…
Taani:oh dikhayi nahi deta kya??
23/24 saal ka wo ladka aise hi waha khada raha….par kuch bola nahi…chotti si naak,,bhuri [brown] aakhein,,uska chehra kuch dekha dekha saalaga…..usse ghurte huve maine kaha
Taani:mera dupatta jal gaya….{jawaab den eke bajaye wo apni cycle ghumane laga..}
Taani:ek minute ruk jaa beta teri kher nahi….{badbada te huvemain sisiyo ki taraf bhagi…par jab tak main gate tak pahunchti tab tak wo tezii se nikal gaya….itna uchal khud sunke maa ne kitchen se aawaaz lagayi}
Maa:kya hua??{maine kaha}
Taani:subah subah meri puja ka satyaanaash karke chala gaya
Maa:kaun???
Taani:are ye naya akbaar waala…mera dupatta bhi jalaa diya…{maine apna favourite aasmani rang ka dupatta pasara…maa ne kaha}
Maa:main sillayi kardungi rakh de…subah subah pure ghar ko sir e uthane ki zarurat nahi hain..{maine maa ki baat ko unsuna karte huvekaha}
Taani:bada beshram hain…ek sorry to keh sakta tha…ulta mujhe hi ghure chala gaya…zarur jaan buch ke kiya hoga…use sabak to main zarur sikhaungi…
Agle teen, chaar din main balcony main padai gidai chod ke uska intezaar karti par pata nahi kambakat kab aakar akbaar daal jata aur main soti reh jati…aakhir main maine haar mankar koshish chod di……Wednesday ke din college ke baad main dia ghar jaa rahe the…college se ghar jaane ka ek shortcut kar chodri stall ke bagal ki galli…{lane}…par waha har roz kuch lafange bhethte isiliye har koi dusra raasta hi chunta…uss din dusre raaste par municipality ka kaam chal raha tha…isiliye hamko majbooran chodri stall ke bagl ki galli ka raaste se hi jaana pada….par jab Uff…..haye…..are dekh bhi lo….yaa phir ek sitti tak kaano main nahi padi to maine mud kar dekha…nazara kuch alag hi tha…roz ki masti chod ladke aate jaate logo ko kisi baat ka chanda[donation] leke unhe receipt pakda rahe the…aur baki zor shor ke club ki deewaar par poster laga rahe the….usspar likha tha BLOOD DONATION…Maine dia se kaha
Taani:dekh colony waalo se paise ethne ki inki nayi tarkeeb hain,…{dia has padi}
Dia:lekin poster woster laga rahe hainto kuch karna hoga….
Taani:beta 100-200 kharcha karke apne bear party ka arrangement kar rahe hain…tu kuch samjhti nahi…{tabhi dia ne kaha}
Dia:taani,,wo ladka tujhe ghur kyun raha hain…
Taani:kaun ladka {kehte huve main piche mudi tabhi dekha ki aas paas ki bheed bhaad ke beech ek Jodi[pair] aakhein mujhpe tiki thi….besharam bhuri aakhein…club ki deewaar k support lete huve sigaratte pi raha tha,…..maine kaha}
Taani:lafanga hain…ek number kaa…
Dia:tu jaanti hain use…
Taani:nahi to…
Dia:phir
Taani:phir kya???dekhne se pataa nahi lagta…???
Dia:dil dosti dance main ladka haina…are wahi Amar… jo pehle did main aaya tha waisa dikhta hain…..…
Taani:bilkul nahi…colony main akbaar baat ta hain…
Dia:to…
Taani:to kal milte hain…bye…{maine baat khatam karne ko aise kaha…Dia yaa baaki ladkiyon ki tarah nahi thi main…naahi main samajh paati thi unhe…main gali ki taraf mudi aur dia market ki aur chali gayi…..maine dhire se thoda mud kar dekha….wo ladka mere piche aa raha tha…..usne meri taraf haath uthakar kuch ishaara kiya…meri dhadkano ki raftaar jaisi dugni ho gayi thi…sham ke che bajne ke pehle hi andhera ho gaya tha…gali bhi sunsaan thi…main tezzz kadmo se ghar ki aur chalne lagi…tabhi piche se ek scooter thik mere bagal main aakar ruk gaya…papa ko gali mein dekh kar mere jaan main jaan aayi….isse pehle wo kuch kehte main jaldi se unke scooter ki pichli seat pe bheth gayi…. Unhone pucha
Papa:tu haafkyun rahi hain???
Taani:papa aap jaldi kijiye warna mere cookery waala show chut jayega…{kehte huve maine dhire se piche palat kar dekha….wo akbaar waala mud ke chodri ke tea stall ki taraf waapas jaa rahatha…ghar ke chotte motte kaamo main sham ki baat raat tak dimaagse nikal gayi thi..pillow pe sar rakhte hi jaise wo baat laut aayi…mujhko abh khud pe gussa aa raha tha…aaj pata chala ki main apne aapko jitna bahadur samajh ti hu utni hu nahi….pata nahi aur kitni aisi galat famiyaa paal rakhi hain main apne bare main…kaise dar ke bhaag aayi thi main wo bhi ek akbaar waale se…maine decide kar liya ki agli baar wo akbaar wala mil gaya to dat ke saamna kiya jayega…hafte bhar ki baat hain[after a week] uss din main aur dia bilkul subah subah eco ki tution ke liye jaa rahe the,…scooty main chalarahi thi…achanak mujhe kuch suja to maine scooty jodhpur railway station ki aur mod di…dia ne kaha
Dia:uthar kaha jaa rahi hain…??
Taani:thoda ghumke chalte haina….das pandra minute late ho jayenge to kaunsa brahma gyaan chuth jayega…{maine kaha….city ke saare vendors ko roz subah yahi par akbaar bat te the…yaha se wo apni apni beat par nikal jaate the…ham dono paas hi ruk kar bagal k eek tea stall par chai pine lage….thodi der main mujhko apni colony ka wo akbaar waala dikh gaya………..apni cycle ke careeyet ke piche wo akbaar ka bandal band raha tha..chai ke paise chkatehuve maine dia se kaha
Taani:chal bheth…{jaldi se scooty start karke ham ussi aur bad gaye…ek to slope,,upaar se sadak gilli break kam lagi aur scooty daye se aati hui uski cycle se takraa gayi..jitna socha tha takar use thodi zyada jor ki ho gayi thi…maine kisi tarah scooty ko sambhaal liya par wo akbaar waalawahi gir pada…uski cycle ek taraf gir padi aur careeyet main lagaye huve akbaar aur magazines bagal wale naale main jaa gire…scooty ko stand par daal ke ham dono uski taraf bhage…ek second ke liye to meri dhadkan ruk gayithi…dia ne use uthate huve kaha…
Dia:aapko zyada chot to nahi aayi..khun aaraha tha uske per se…uski chappal dur naale main bahi jaa rahi thi par uski aakhein mujhpe thi…wahi besharam bhuri aakhein….shukar hain usko zyada chot nahi aayi..uski behti jaari chappal ke piche main bhagi..kisi tarah naalemain se chappal nikaal kar wapas aayi tab tak wo uth kar khada ho chukatha…dia ne uski cycle sidhi ki aur maine apne bag se bandage nikaal kar usko pakdaa di…pehli baar main usko itne kareeb se dekh rahi thi…laga ki wakai ye chehra pehle kahi dekha hain…dard main bhi jaise uske hotho par ek musguraahat thi…usne kaha
Boy:Thank u…{uski chupi,uski hasi,uski khamosi, uski shaant aankhen jaise mujhe taane de rahi ho…maine dia se kaha}
Taani:ham tution ke liye late ho rahe hain…chale??{maine akbaar waale ki taraf dekhe bina hi kaha….}
Taani:sadak gilli thi…break nahi laga…sorry..{itna keh kar main scooty ki taraf chal padi…dia bhi mere piche aayi…}
Dia:taani baat kya hain…sach sach bata??tune aisa kyun kiya???{usne mujhse pucha}
Taani:kya??sadak par accident nahi hote kya???maine safai deni chahi…
Dia:acha jaise mujhko dikha nahi ki tune jaan buj kar galat indicator diya…
Taani:usne mere saath batameezee ki..
Dia:jaise ki??{dia adi rahi…}
Taani:usne mera dupatta jala diya…uss din yaad hain mujhko kaise ghur raha tha…phir mere piche piche aane laga thaa wo…
Dia:oh..to uss baat ka badla aise liya tune…ek to usko chot aayi aur paanch so,saathso ka nuksaan hua so alag…maine kuch jawaab nahi diya…sham ko main aur maa tv dekh rahe the…aakhein tv par thi aur dhyaan kahi aur…bura lag raha tha…galat kiya tha maine uss akbaar waale ke saath,…uss raat sapne main ek Jodi aakhein mere paas se guzri…maine pucha
Taani:ek second…kya ham pehle mil chuke hain….wo aakhein has padi…wahi hasi aas paas phelte huve lakire kheech gayi..…unn lakiro main se ek jaana pehchana chehra ubhra…aur unn hasti hui aakhon main ek rang…aasmaan ka rang…maine khudko kosaa
Taani:ye kya pagal pan hain...{ ussne kaha}
Boy: kya bura hain…{meri neend khul gayi….kehte hain sapne main wahi aata hain jo hamare subconscious main chal raha hota hain….jo mumkin hain…man ne kabhi na kabhi socha hoga ya chaha hoga…par kya chahta tha mera man main samajh nahi paayi…agle din main tution se lauti hi thi ki darwaaze ki ghanti baji… wahi akbaar waala tha…ek baat ko meri dhadkane tezz ho gayi….isse pehle ki main kuch kehti usne pucha…
Boy:apke papa ghar pe hain…{arre ye to meri shikayat karne ghar pahunch gaya tha…aur musgura to aise raha hain jaise koi khush khabri leke aaya ho…bhalai isi main thi ki main iss baat ko yahi raffa daffa kar du…
Taani:dekhiye maine aapko sorry kaha tha naa…aur aapka kitne ka nuksaan hua baatyiye…main abhi de deti hu…phir bhi agar aap chahe to papa se keh sakte hain…{maine thodi rukhayi se kaha…}
Boy:nahi nahi aap galat samajh rahi hain….wo blood donation camp ke bare mainunhe mujhse kuch baat karni thi…isiliye mujhe bulwaya tha…uss din jo hua wo ek accident tha,….usmain galti kisiski nahi thi…{beta pata to tumko bhi hain ki galti kiski thi…maine man hi man kaha…aadmi yaa to tum bahut shaeerf ho yaa phir bahut bade dhag…tabhi piche se papa ki aawaaz aayi}
Papa:arre Reyansh…andar aao…{achaa to innsaab ka naam reyansh hain…par ye papa se mila kaise aur kyun??
Rey:ji uncle…aap free hain….{drawing room ke andar aate huve usne kaha,…..
Papa:haa…haa…{papa reyansh ko bhethne ka ishara karte huvemeri taraf mude}
Papa:beta taani zara do cup chai chada de….{main pehle paani,phir chai,phir paani den eke bahane teen baar uss kamre main gayi….par uski baato se kuch khaas samajh main nahi aaya…kareeb do ghante baad reyansh gaye to papa hamare paas aaye,….operation theatre ke bahar khade kisi patientke relative ki tarah main papa ka wait kar rahi thi….
Taani:kaise jaante hain aap isko??
Papa:kaun rey??dekh kisiko batane ki zarurat nahi hain ye Mumbai ke singhania bhaisaab ka beta hain…{papa ne aise kaha jaise koi raaz ki baat bataa rahe ho…}
Maa:kaun singhania..???textiles wale??{maa ne kitchen se pucha…}
Papa:haa wahi…yaad hain unke godown wali land ka case clear kar vaya tha…bahut maante hain hamko…
Maa:haa par aap itna dhire dddhire kyun baat kar rahe hain…{maa ne phir kaha}
Taani:pehle ye bataiye crorepati textiles wale rishabh singhania uncle ka beta akbaar baat ta hain wo bhi yaha jodhpur main…{maine pucha…}ham maa beti ne milkar wakil sahib ko torcher kar diya tha…
Papa:aisa hain ki singhania ji chahte hain ki unka beta unka business join kare…par rey ko aage panda hain…MSC aur physics main MA kiya hain aur research karne bahar jaana chahta hain…..isi baat par ek din baap bte mainek din behens ho gayi...baat dono ki ego pe aagayi…rey ghar chod kar nikal gaya…waise singhania ji ki beti ki shaadi main tumlog bhi to rey se mile the…yaad hain na???{maa ko to nahi par muje singhania ji ki beti ki shaadi yaad aagayi…itne din se jo aakhein ajnabbe thi unhe pehchaan mil gayi thi…}
Maa:to abhi situation kya hain…???{maa ne pucha}
Papa:complicated hain…ismein mrs singhania ke intervention se agar teen mahine main rey ko kisi college se admission with full scholarship mil gaya to singhania ji ko maan lena padega…aur nahi aaya to rey business join kar liya….apna kharcha warcha nikaal ne ke liye wo akbaar baat ta hain…………….
Chaar paanch mahine pehle ki baat hain singhania ji ne subah subah ghar pe gaadi bhij wa di…unhone baar baar papa se kaha tha ki pure parivaar ke saath aana padega…..to ham full family from jothpur to Mumbai pahunch gaye…rey aaye the guest house hamko receive karne…wahipe pehli baar maine unko dekha tha…. Sherwaani,goggles n smart…un dino wo bilkul alag dikhte the…aakhein abh bhi waisi hi hain…shaadi main na main kisiko jaanti thi naa kuch karne ko tha…borr hone lagi thi….shukar hain kuch cousins mil gaye the to main unhi ke saath hone lagi,..maine notice kiya ki sabse bachti bachaati rey ki aakhein mujhi par aake tik jati thi…nazar mil jaye to dusri sur dekhne lagna jaise kuch hua hi naa ho….aur mandap ke dauraan dulha dulhan ke piche se reh rehke taaka jhaaki…phir mehmaan navasi ke bahane mere aur maa ke liye gulkand ka mitha paan laana,,matlabh saral bhasha[language]main kahe to line maarne ke har classic tricks janaabtrykar chuke the…unki batkismati ki mujhpar inn baato ka koi asarnahi hua…Dia aur baki ladkiyo ko lagte honge ye cute aur romantic,…mujhe to ye harkaate ek dam chichori lagti hain…maine to dhyaan hi nahi diya….aur itne mahine hogaye the to kuch yaad bhi nahi raha…
Ek hafte ke baad main aur papa M.com ka form bharne university campus gaye the…tabhi piche se aawaaz aayi….
Rey:uncle….{rey the…unhe dekh aisa laga phir mulaqat honi thi….rey ko university campus main dekh papa ne pucha….
Papa:tum yaha???
Rey:main to yaha roz aata hu….yaha central library main meri kaam ki saari kitabe mil jati thi…to yahi bheth ke pad leta hu…..{phir thodi der baad unhone papa se kaha..}
Rey:aapse ek help chahiye thi…mujhe kuch application forms ke saath yaha ka permanent address proof chahiye…kaise ho payega???
Papa:pan card,voter id kuch hain???
Rey:ji….
Papa:to phir yaha se das minute ka walking distance pe S.K tripathi ka office hain…main phone kar deta hu…aadhe ghante main ho jayega…..Taani beta tujhko to address pata haina…rey ka kaam karva dena zara…
Meri haa naa ka intezaar kiye bina hi papa nikal gaye…majbooran mujhe rey ke saath jaana hi pada.,…aise bina baat chit ke saath saath chalna thoda akward ho raha tha…..maine yuhi kuch idhar udhar ki baat shuru ki….par wo to kuch jawaab hi na de….
Taani:gunge ho????
Rey:nahi to….
Taani:to baat kyun nahi karte???
Rey:dar lagta hain….{unhone haske kaha…}
Taani:tumhari harkate sab yaad hain mujhe….abhi bhi time hain…sudhar jao… {maine gusse main kaha..jhagdalu mood main main jhat se aap se tum pe aajati. ….}
Rey:ek baat batao…{waise hi muskurate huve kaha} maine na tumko cheda,na zabardasti gale padne ki koshish ki…aur naa phone karke pareshaan kiya…phir…
Taani:arre ghur to rahe the….
Rey:sirf ghurne ki itni badi saja…
Taani:{maine attitude se kaha} ise bhi zyada ho sakti hain…
Rey:matlabh dekhne ki bhi manayi hain…
Taani:bilkul………………..mumbai se jodhpur tak sirf dekh hi rahe ho….bola to kuch jata nahi tumse…{mere mu se nikal gaya…chup…..wo bhi aur main bhi…..situation ko sambhalne ke liye maine kaha…}
Taani:waise acha hua jo tumne aakhen churana band kar diya…
usne kuch kaha nahi…bas muskuraate rahe…pata nahi abh unke dil main kya chal raha tha….maine maan hi maan kaha ki bada irritating ladka hain…..do din baadham blood donation camp main mile…blood dekar main bahar aayi to usne mujhe ek packet pakda diya…juice aur fruits the,….jo sabhi donars ko de Rahe the…nikalte huve maine pucha
Taani:achaa to tum paper kyun baate ho???koi aur kaam nahi??
Rey:kyun kya burai hain.abdul kalaam bhi baate the…waise mahine ke 8000-10,000 kamaa letaa hu…main chotte bade kaam ka gyaan nahi dunga par khud ki kamai se ek type ka self of achievement hain…….tumko bhi try karna chahiye…
Raaste bhar rey ki baate unhi ka cehera khayalo main aate jaate rahe….ghar pahunch kar packet main dekha to aasmaani rang ka dupatta aur ek khat tha….likha tha
Rey:ghuma firaa kar baat nahi kar sakta isiliye kam baat karta hu…pehle to tumhara dupatta jalane ke liye sorry….umeed hain sahi rang chun paya hu…aur jodhpur aane ki wajah thi university aur waha ke professor jo mujhko guide kar rahe the…par ek chotti si wajah tum bhi ho…didi ki shaadi ke baad maine tumhare ghar phone karne ki koshish kit hi par tumhare papa ke kaaran himaat nahi hui…abh tumhari data khake mujhme thodi si himaat aa gayi hain…isiliye puch paa raha hu….ek akbaar waale se dosti karogi…???{phir niche likha tha} 12th june ko US jaa raha hu…MIT se call aagaya hain…………
Chitthi pakad kar main bhethi rahi…pata nahi kyun dil zoro se dhadak raha tha…ek ajeeb si feeling thi…..khushi,,excitement pata nahi…tap tap ki aawaaz se main khidki ki taraf main mudi….baarish shuru ho gayi thi…aur iss bemausam bearish ne pata nahi kitne dino ki uljhan ko suljha diya tha….shayad main bhi Dia yaa unn ladkiyon ki tarah hi thi…bas khudko thoda alag samajhti thi….maine Dia ka number dial kiya….ring jaa rahi thi,…..yaha mera man keh raha tha ki 12th june….matlabh rey ko US jaane main do mahine the…kaun jaane dosti shayad ho hi jaaye………………………………………………………bas itni sit hi ye kahani…………….
K guys….ye thi ek chotti si kahani I mean os ontaarey….i hope u all liked itt……if I wuld have written it in english the beauty n the purenesss of this os might be ruined…..plzzz hit like n share ur views on this os………I know it does nt realted to d3 current track or any other it does nt have any other usuall movements which would have happened between taarey bt I thought to write a different situation n a very different concept on taarey so how was it plz do tell it…plz will be waiting for the ur precious comments n likes…love u all n thanks for reading it..guys….