Aaj pata nahi kyun Aisa laga ki tumhare liye mera Sara pyar sari bhavnaen iss letter main likhun??!!! Shayad tumhari Bohot yaad aa Rahi he iss liye.. Janti ho aaj main tumhare bachpan ki tasveerein dekh raha tha.. Meri aankh main aansu aa Gaye. Janti ho kyun??!!! Kyunki Bohot kam aisi tasveerein thi jisme main tumhare saath tha.. Aaj ek taraf garv hota he aapne sipahi hone par ki main desh ke liye aapna yogdan de paaya. Aur dusri taraf dukh Bhi hota he ki Maine tumhare bachpan ke anginat masoom pal Bhi gava diye..
Muje aaj Bhi voh din bakhoobi yaad he jab Maine pehli baar tumhe meri god main uthaya tha.. Aaj Bhi woh sparsh yaad he muje Nidhi. Tabhi tumhari maa ne mujse vachan Liya tha ki main tumhe tumhari maa ki kami Kabhi mehsoos na hone dun.. Aur Maine bina kuch soche Samje use ye vachan de diya. Ye Bhi nahi socha ki meri zimmedari mere desh ki taraf Bhi he.. Lekin main zindagi bhar tumhari bua dadi aur shyama Bhabhi ka shukraguzar rahunga ki unhone mera farz aapne upar Liya aur use bakhoobi nibhaya Bhi. Shyama Bhabhi ne tumhe zindagi ki woh Sacchai batayi Jo ek Baap hote hue main Kabhi tumhe samja nahi pata. Woh ek working woman Bhi reh chuki he iss liye unka tajurba tumhe aage ki zindagi main Bohot kaam ayega..
Beta Nidhi , tumhe yaad he Tum muje har 15 din pe khat likha karti thi aur school, dadibua , anji aur baki sab ki saari baatein likhti thi??? Maine aaj Bhi woh saare khat sambhal ke rakhe he. Kai baar unhe aaj Bhi padhta Hun .. EK anokhi Khushi milti he muje Jo main shabdon main bayan nahi kar sakta. Janti ho main tumhari maa ko Bohot miss karta Hun. Sochta hun ki aaj woh Hoti aur tumhe Dr.Ashutosh ke saath kush dekh kar kitni khush Hoti !!! Par woh jahan Bhi hogi tumhe ashirvaad aur duaein hi de Rahi hogi.. Tum khush kismet ho beta ki tumhe Bahu bankar tumhare nana ke ghar hi jaane ko mila. Woh tumhe meri kami Kabhi mehsoos nahi hone denge. Tumhara mujse Bhi behtar tarike se khayal rakhenge.. Lekin yahan tumhari kami kaun puri karega beta???!!!
Yaad he tumhe Nidhi jab tak Tum 15 saal ki hui tab tak meri army ki duty chali. Main janta hun tumhare Kai zarurat ke palon me main tumhare saath nahi tha aur tab Tum muje aur tumhari maa ko Bohot miss karti thi. Tumhe nahi pata lekin bua muje sab batati thi. Ye Bhi batati thi ki Tum akele main mera aur tumhari maa ka naam lekar roti rehti thi. Tab shyama Bhabhi hi thi ki jinhone ham umar ban ke tumhari baatein suni aur tumhe badi hi sehejta se samjaya Bhi ki tumhare paas Jo he usi main tumhe khush rehna chahiye.. Kabhi ye mat samajna beta ki main tumhare dard ko samaj nahi paya main samajta tha lekin main majboor tha aapne farz ke aage.
Lekin jab main hamesha ke liye ghar aa Gaya Hun ye janne ke baad tumhari Khushi aur tumhare chehre ki chamak thi tab main woh aaj Bhi nahi bhula. Tumne khas mere liye party arrange ki thi aur tab tumne pehli baar aapne hathon se mere liye cake banaya tha. Woh Mithas aaj Bhi muje yaad he Nidhi. Aur hamesha rahegi kyunki usme tumhara pyar tha tumhari Khushi thi.
Mere vapas Aane ke baad main jab Bhi tumhe padhai karte hue dekhta tha tab tumhari maa se kiya hua vaada tumhe doctor banane ka woh Pura hota hua nazar aata tha. Aur aaj woh sapna Pura hua. Tumhe andaza Bhi nahi hoga ki mere saath saath tumhari maa ko Bhi kitni Khushi mili hogi. Aaj uska sapna aur uski aakhri iccha ko puri karke tumne tumhari maa ki aatma ko shanti di he. Main Bohot khush Hun Nidhi tumhe ek safal doctor dekh kar.
Aakhi main EK important baat ki Tum Bhi aaj nahi to kal maa banogi. Tum samajdar ho dr. Ashutosh Bhi Bohot sulje hue insan he lekin phirbhi EK Baap hone ke natein aapna tajurba tumhare saath bantna chahta Hun. Woh ye ki bacchon ko Kabhi aapni mutthi Main kaid karke nahi rakh sakte. Tum janti ho ki Maine tumhe Bhi tumhara ja dil kare woh karne ki aazadi di he. Iska Matlab ye nahi ki bacchon ka dhyan na rakhe lekin dhyan rakhe lekin unke vicharon ko sima main bandhne ki koshish na kare. Janta Hun main kuch zyadahi aage ki Soch raha Hun lekin phir Bhi tumhe ya saari baatein Kabhi na Kabhi kisina kisi moke pe kaam aayegi ye Bhi main janta hun.
Janta Hun ye sab baatein muje tumhe tumhari Bidaai ke waqt kehni chahiye thi lekin uss waqt sanjog kuch aur the. Aur main Bhi Dukhi tha uss waqt tumse bichadne ke vichar se iss liye kuch nahi Bol paya. Aaj shayad tumhari maa Hoti toh woh behtar tarike se ye baat samja pati tumhe lekin phir Bhi Maine puri koshish ki he aaj Bhi aur Pehle Bhi ki tumhari har kami ko puri Karun.
Hamesha khush rehna beta aur sabko khush rakhna. Wish u a very happy marriage life Nidhi.
With love
Your BABA,
Col. Verma.
( inspired by a Gujarati book "Vahali Aastha" )
comment:
p_commentcount