Baba ka makaan-3 Perspectives OS

rabzonedge thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago

Baba Ka Makaan-3 perspectives…

 

Nidhi-Ab jab Meri Dr Ashutosh se Shaadi ho chuki hai…Toh ye sab Sapna sa lagta hai ki…Hamara pyaar apni Manzil paa Lega…

Unke Mere Beech Umr ke faasle ke alawa…Ek aur Bahut badi Rukawat thi…Mere nana Ka makaan…Jo wo mere naam kar gaye they….Wo Makaan jisme dr Ashutosh ki Jaan Basti thi…Jis ghar ko wo Apne Wajood ka hissa maante they..jis Makaan ke har ek kaune..Har ek dewaar par unki Bachpan ki yaadien Judi thi..jiske Baghiche Mein unhone Baba aur Hiraman Kaka ke saamne Violin Bajana seekha Tha….baba ke Khwabon ko pure karne ki Kasmein li

thi….Wo sirf Makaan Nahi tha..unka jigri dost tha..Jisne unki Khushiyon-udaasiyon ko jhela tha….

Wahi Makaan Mere Unke pyaar ki deewaar Ban sakta tha…jab Mere Baba ko Heart Attack hua tha….Mai jo unhe wo Makaan gift karma chahti thi..Majburi mein Mujhe wo Makaan bechna Pada…

Ye Alag Baat hai..Dr Ashutosh ne Jab Sachchai Jana Tab mere Pyaar ki jeet huyi….

AAj uss Makaan ka zikr tak nahi hota iss Ghar mein kyu??..Isliye kyuki wo Makaan Dr Mallika ne Gift kiya tha Dr Ashutosh ko…

Ya wo Makaan mein Baba ki yaadein Bandhi thi…Baba Hamare saath hai toh wo sirf 'Makaan' Reh gaya hai…'Ghar' Yahi hai..Jahaan Main,Nana aur Dr Ashutosh hai….

 

Ashutosh-Baba aur Nidhi ke Ke Meri zindagi mein Aane ke Baad se Ek Hariyaali si hai har taraf…Kaisi Viran,Registan si zindagi thi…Kotnis se Ghar..Ghar se Kotnis…Kya ye Ghar bhi tha un dono ke Bagair…..Ek Khali Makaan tha..Jismein main Raat guzarta tha,.Mere liye 'Ghar' Hamesha se Baba ka 'Makaan' Raha hai…

Meri Choti si ungli pakad kar Jahaan mujhe Baba Le kar aaye they..Ek suraksha..Ek aashiyane Ki ahmiyat Samajh Aayi thi….Baba Se mili hare k Seekh..Jeevan ki sachchai Ussi Ghar se Seekhi thi Maine…Baba,Main aur Hiraman kaka….Ek chota sa parivaar hamara….Ussi Ghar mein Kayi baar Maine Baba ko chup chup ke Rote Dekha hai…Ab jaanta hoon …wo kyon rote they??..Main aur Baba ek dusre ki Tanhaai Baant Rahe they…

Tanhaai jisne Baba ko Mazboor kiya ki wo Mujhe Adopt Kare..Ek sahara de..Ek sapna jo Unhone Apni Beti ke liye Dekhe they…Mujhse Poori karwayein…Maine Bhi unki Saari ichchayein,Ashayein..Poori ki…

Uss Ghar mein hamari Tanhaiyon,Khusiyon ka Dera tha…

Phir ek Din Baba Chale gaye…Aur saath mein Mera Bachpan ke Saathi Ko bhi Chin liya Mujhse….Uss Natini ke liye Jisse Unhone Kabhi Dekha Nahi tha….Uss samay ek Aakrosh,gussa,tamtamahat Chaa gayi thi mere Man mein..Mujhe Mera ghar Chahiye tha ..Kisi bhi Tarah..Kisi bhi keemat par…Kaisa andhapan tha wo…Kitna ziddi ho Gaya tha..Kitna Adiyal….Baba ki Naatin se Sakht Nafrat karta tha…Par Kismet ka Khel..Ussi ladki se mujhe Pyaar huya Aur Wo aaj Meri patni hai….

Uss 'Makaan' Ki ahmiyat ab bhi hai..Kyuki Wo mera Pehla Aashiyana Tha….Baba ka Makaan….Par wo Makaan Mujhe Mallika se Mila Hai..Aur usne jo Mere saath Kiya…Meri Nidhi ko jaan se Maarna Chaha….

Baba ka Makaan Ghum ke ussi Ke paas Pahuncha Jo uski Asli Haqdaar hai.Nidhi….

Mere liye Toh Ghar wahi hain..Jahaan Baba, Jahaan Nidhi

 

Bade Baba-Zindagi dobara bhi Meherbaan hoti Hai….Mujhe Viswas Ho gaya….Main Jeevan sandhya mein Benaam Zindagi Jee rahaa tha..Ek Beemari se Ladd Rahaa tha..

Lekin Aaj..Apne Bete..Apni Naatin ke saath Apne Ghar mein Hoon…Dono Kitna khyaal Rakhte hain mera….

Mera Damaad jisse Main khamkhaw Itne Barson gussa Raha..Wo aaj Mere Bete jaisa hai..Nafrat Se kyaa Milaa Mujhe….Maine zindagi mein bas khoya hi khoya….

Apni Beti….Uske liye Dekhe sapne..Uski Grihasthi..Apni Naatin ki Bachpan..uski totli Baatein…

Wo Makaan Jis ghar mein Nandini ki Yaadein thi….Usi ghar mein uski Yaadon ko Mitane ke liye main ashutosh ko Le kar aa gaya

Apne saare Nandini ke liye Dekhe Sapne us par Laad diye…Wo Bhola bhala bachcha Mere har Sapne ko Poora karta gaya

Uski Aankhon se main duniya ko Dekhta..uss ghar mein uske bachpan aur jawaani ko waise hi sanjoya jaise Nandini ke Bachpan ko Sanjoya tha…

Ye sab karte huye bhi..Mere Andar ek Bechaini thi…Apni beti ke saath Nainsaafi karne ka pachtawa tha..Jo mujhe saalta tha…

Main apne iss dard ko kisi se bhi Baant Nahi Paaya….Kisi se bhi Nahi..Na Hiraman se..jo Mere saath taumr Raha…Par wo sayad samajhta tha…

Phir ek Din mujhe Meri Beemari ke bare mein Pata chala…Main Apni Beemari se ashutosh ko pareshaan Nahi karma chahta tha..Wo London se Neurosurgeon Ban ke Aaya tha….

Apne pachtawe ko Kam Karne ke liye Maine uss makaan ko Jisme Ashutosh ki Jaan Basti thi..Usse Apni naatin ke Naam kar gaya

Ashutosh iske liye sayad kabhi maaf na kare…..Main toh Har taraf se haara hoon..Na Beti ko khush kar paaya aur na Bete ko….

Wo Makaan jiske liye Tha..wo mujhe Kabki Chodh ke Chali gayi…Ab Meri naatin mere Paas hai…ye Makaan apne Bete aur Naatin ke Bachche ke Naam kar Dunga..Sayad yehi Mera Pashataap Hoga…..

Created

Last reply

Replies

21

Views

2672

Users

9

Likes

47

Frequent Posters

mudraswathi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail
Posted: 11 years ago
A great work⭐️ yet again Rabz.😊

BB ka version padhke aasu aata hai re...



I will read again in the night and come back...
Edited by mudraswathi - 11 years ago
Armu4eva thumbnail
Posted: 11 years ago
'Tumhe pata to hoga.. tumhi pe.. main fida hun...

        HEY SHONA ... HEY SHONA ' 🤗


Super stuff.. yaar.. kya baat hai.. this is epic.. teddy 👏

u understand and represent. .human emotions so so nicely yaar ❤️
busybee.. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
👏   👏   👏   👏   👏   👏   👏   👏   👏
Really amazing writing divya 👍🏼
❤️   ❤️   ❤️   ❤️   ❤️   ❤️   ❤️
rabzonedge thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago

Originally posted by: mudraswathi

A great work⭐️ yet again Rabz.😊

BB ka version padhke aasu aata hai re...



I will read again in the night and come back...

Thanks Mudra...🤗

Yup I tried to represent...Importance of Baba ka Makaan for 3 characters..most will be affected Baba...He has lost so much in life...😭

I would love to read your Analysis Mudra...😳

Krrish4You thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Very good OS.. Divya.. Good use emotions..
rabzonedge thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Armu4eva

'Tumhe pata to hoga.. tumhi pe.. main fida hun...


        HEY SHONA ... HEY SHONA ' 🤗


Super stuff.. yaar.. kya baat hai.. this is epic.. teddy 👏

u understand and represent. .human emotions so so nicely yaar ❤️

meri sherni ko pasand aa gaya Mera OS...🥳

I think this sleeping is boon for me..All ideas come wen i am sleeping..😉

rabzonedge thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago

Originally posted by: busybee..

👏   👏   👏   👏   👏   👏   👏   👏   👏
Really amazing writing divya 👍🏼

❤️   ❤️   ❤️   ❤️   ❤️   ❤️   ❤️

aww bhavita thanks Re..You are a sweetheart...🤗❤️

rabzonedge thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago

Originally posted by: ithasme

Very good OS.. Divya.. Good use emotions..

Thanks harshal..You are always encouraging...😊

Blushsarika thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Very good OS Rabz... , it's touching .