OS: Har Kadam, Tumhare Saath... cont'd pg 6 and 8 - Page 5

Created

Last reply

Replies

81

Views

15493

Users

39

Likes

448

Frequent Posters

Priya_Fan thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
What a masterpiece Amby!!!! Loved it!!๐Ÿ‘
jineejiggs thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago

Originally posted by: mem1

OMG Amber! Aise ideas CVs ko kyon nahin aate? This was fabulous!

But this can't be an OS. it has to be continued. You left Krishnaji out there in the big bad KM... Now my mind is imagining the Vampire coming and getting her! So please continue and put my fears at rest. Show us how KK fights it out with NK and comes out victorious.





I totally agree with you...this cannot be OS, u should continue with it...anxiously waiting for the next segment
haribol79 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Emotional reunion... very well written and expressed ..

thank you..
azk92 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Continued...

The next morning, Ram wakes up to find Priya in his arms.  He smiles down at her and kisses her on the forehead.  He slowly tries to move her a little bit so he can get up, trying not to wake her up.  But Priya tightened her grip around him and wouldn't let him move.  Ram gives in and relaxes himself back in bed.  He tightens his grip around Priya and looks at her longingly while waiting for her to wake up.  He wasn't going to the office these days  anyways so what did it matter?

The last few days had been really rough on the two of them.  He was so thankful that Priya had come out of her silence and had started taking care of herself.  Now that Priya was feeling better, and slowly becoming herself again, he needed to think about what his mother had told him about Niharika and how to deal with her.  Priya had done enough.  Now, it was his turn to take over.  He still couldn't believe what Niharika had tried to do.  He didn't even know the whole story yet.  All he knew was that she had separated him from his mother 20 years ago, and she had tried to separate him from his Priya, and that was enough to make his blood boil. 

It was his duty to protect, cherish and love her and he had failed at that.  If he had listened to her from the beginning, maybe things would have been different and Priya would not have had to suffer such a tragedy.  It made him sad to think that Priya thought he wouldn't believe her if she told him.  But then would he have?  It hurt him that he had been so blinded by love for these people that he had hurt the people that truly loved him.  He felt ashamed at himself that he could think that his mother would do something like that.  Would she ever forgive him?  A tear fell from Ram's eye as he thought about everything.

Priya stirred a bit and finally opened her eyes.  She looked up at Ram, who was lost in his thoughts and didn't notice she was awake.  She tried to release herself from Ram's grip but he subconsciously tightened his grip around her, still lost in his thoughts.  So she just laid there, looking up at him, watching him think.  All of a sudden, Priya noticed a lone tear falling from Ram's eye.  She reached up and wiped it.  This gesture made Ram snap out of his thoughts and before she could say anything, he released her, sat up, turned away from her and wiped his eyes before anymore tears fell.  He did not want to upset Priya and he knew she would be hurt, seeing him cry. 

Priya: Ram, kya baat hai?

Ram turns towards her and smiles: Kuch bhi toh nahi. 

Priya: Ram, aap mujhse chupaayenge?

Ram: Are, kuch chupane ke liye hoga toh hi chupaounga na? 

Priya: Maa ke bare mein soch rahe the na?

Ram looks down: Tumhe kaise pata? 

Priya: Ram, main aap ko apne aap se bhi zyada acchi tarah se jaanti hu, aur kal aap hi Maa ko leke aaye the, aur main jaanti hu ke aap ko yeh sab baatein pata chal kar bahut dukh hua hai. 

Ram: Priya, tumne mujhe bataya kyun nahi ki tum ne Maa ko India bulaya tha?

Priya: Agar main aapko batati ke Niharika humein alag karna chahti hai, toh kya aap meri baat maante?  Main aapko hurt nahi karna chahti thi, isiliye nahi bataaya.  Main jaanti thi ke aap unse kitna nafrat karte hain. 

Ram looks away from her. 

Ram: Jaanti ho Priya, in kuch dinon mein mujhe lag raha hai ke main tumhe aur tumhara pyar ko sach mein deserve nahi karta.  Jin do log ne mujhe sab se zyada pyar kiya hai, maine unhi ka dil dukhaya hai.  Tumhara vishwas nahi kiya aur maa ko bhi itne saal se galat samajta aaya' Agar maine tumhara vishwas kiya hota to shayad aaj'

Priya puts a hand on his mouth and stops him.  She knew what he was going to say.  She didn't want him to take that guilt on himself.  She comes closer and makes him look at her.

Priya: Ram, meri aankhon mein dekhiye.  Main aapse bahut pyar karti hu, aur main jaanti hu, ke aap jo bhi kahe, aap bhi mujhse bahut pyar karte hain, sab se zyada.  Mujhe aap se koi shikayat nahi hai.  Is mein aap ki koi galati nahi hai.  Aap ne sirf uss pe vishwaas kiya jo aap ko bataya gaya tha aur dikhaya gaya tha.  Niharika ne apni chaal bahut acchi tarah se chali thi. 

Ram: I'm sorry Priya.  Lekin ab mujhe saari sachai ka pata chal gaya hai.  Ab main sab theek kardunga.

Priya nods and hugs him.  He holds her tight, thinking: Thank you Priya.  Aaj tumhari waja se, mujhe apni Maa waapis mil gayi.  I'm really sorry ke in sab ki waja se tumhe apna bachha khona pada.  And another tear falls from his eye. 

They break the hug and both get ready.  Bansi Kaka brings them chai and breakfast.  

Ram: Chalo Priya, ab kuch khalo.  Tumne kitne din se theek tarah se nahin khaya.

Priya: Nahin Ram, mujhe bhook nahi hai.

Ram: Priya, aise kaise?  Tumne kal raat ko mujhse vaada kiya tha na ke tum apna khayaal rakhogi aur kamzor nahi padogi.

Priya: Nahin Ram, please

Ram: Priya, please.  Mere liye'

And he takes a bite in his hand and feeds it to her.  Priya doesn't argue with that. 

Ram: Priya, aaj mujhe thoda kaam hai.  Tum thodi dehr ke liye akele theek toh ho na?

Priya: Haan Ram aap jaayie,  aap kitne din se office nahin gaye meri waja se. 

Ram: Nahin Priya, tum nahi jaanti in kuch din mein tumhe is haal mein dekh kar mujh pe kya beeti hai.  Office ka kaam tumhare saamne kuch nahi hai.  Lekin tum yahan se hilogi nahi.  Tumhe ab bhi araam ki bahut zarurat hai.  Main thodi dehr main waapis aaraha hoon.

And he settles her into bed and gives her a book to read so she does not get bored.  He kisses her on the forehead.

Ram: Bye Priya, I love you.

Priya: I love you too Ram.  Jaldi aayega.

Just as he is about to leave, someone knocks on the door.  He opens it to see Natasha standing there, her eyes slightly watery.

Ram: Are Choti? Kya hua, tu ro kyun rahi hai?

Natasha: Bhai, aap jaldi mein toh nahi hai? Mujhe aap dono se bahut zaruri baat karni hai. 

Ram: Nahi toh.  Andar aaja.

Natasha walks in and Priya looks up from her book. 

Priya: Are Natasha, tum yahan? Kaisi ho?  Kya hua, tum ro kyun rahi ho? 

Natasha walks over to Priya and throws herself at her and starts sobbing.

Priya: are? Natasha, kya hua? Kuch toh batao? Tum theek to ho na?

Natasha just continues to sob while hugging Priya.  Ram closes the door, comes in and looks at them in shock. 

Ram: Choti? Kya hua?

After a couple minutes, Natasha composes herself and starts talking.

Natasha: Bhai, Priya, please mujhe maaf kardo.  Yeh sab meri waja se hua hai.  Meri waja se Priya ko goli lagi aur aap dono apna bachha'

Priya: Natasha, yeh tu kaisi baat kar rahi hai?

Ram: Haan Choti, yeh tu kya keh rahi hai?

Natasha: Bhai, aap nahi jaante uss din kya hua tha.  Aur aap yeh bhi nahi jaante in kuch dinon mein kya hua hai. 

Priya: Natasha, nahi'

Priya tried to stop Natasha.  Ram only knew to the extent that Krishnaji had told him.  He only knew Niharika had tried to create misunderstandings between them to separate them.  He didn't know that Natasha had lied about so many things.  He didn't even know that the day of the shooting, Priya had pushed Natasha out of the way and taken the bullet for her.  Priya didn't want Ram to find out.  She didn't want him to doubt the way he raised Natasha.  He had been through enough in the last few days and this would devastate him even more. 

Natasha: Priya, please.  Mujhe kehne do.  Ab waqt aagaya hai ke Bhai ko saari sachaai ka pata chal jaaye.

Ram: Kaunsi sachaai?  Yeh tum dono kis ki baat kar rahe ho?

Priya: Natasha, nahi, please'

Ram: Priya, batane do usse.  Main jaan na chahta hu is ghar mein kya ho raha hai.

Priya closes her eyes as Natasha starts to tell Ram the entire story from the beginning. 

Natasha: Bhai, main batati hu, lekin jab tak main sab na batau, aap kuch nahi kahenge.  Aur Priya, please, aaj mujhe mat roko.  Main ab aur yeh sachaai nahi chupa sakti. Lekin us se pehle, Priya, I'm really sorry, main jaanti hu in kuch dinon mein tum par kya beeti hai.  Aap ko toh pata hai, ke maine apna abortion karwaya tha, lekin aap nahi jaanti ke uss ke baad mujhe kitna guilt mehsoos hua tha, aur lag raha tha ke maine apna ek hissa khoya hai, aur ek alag sa akelapan. 

Ram's face became pale: Abortion? Aur Priya yeh jaanti thi?

Natasha: Haan bhai, mera koi miscarriage nahi hua tha.  Maine ek galti ki thi aur abortion karwaya tha.  Main tayyar nahi thi ek baccha ke liye.  Mujhe apni zindagi mein itna kuch karna tha us se pehle; apna career pe focus karna tha.  Aur main dar gayi thi ki agar aap sab ko is baat ka pata chalega, toh sab bahut hurt honge aur mujhe ghar se bahar nikal denge.  Mujhe bahut dar lag raha tha, kyun ki apne sasural mein jaa kar mujhe ek Maa ka pyar mila, jo mujhe apne bachpan main nahi mila.  Aur ek parivaar ka pyar mila aur main yeh khona nahi chahti thi.  

Ram is watching Natasha closely, relating to her.  He too had found love after getting married to Priya.  He too had craved for a mother's love all his life, and somehow, Priya had given that to him.  

She continues: Lekin uss ke baad, mujhe bahut guilt hua aur sach mein laga ke main ek bahut badi ghalti kari hai abortion karwa ke.  Aur maine yeh baat kisi ko nahi bataayi.  Apne dil mein sab kuch daba ke rakha tha. Aur yeh baat mujhe andar hi andar khayi jaa rahi thi.  Iss ki waja se main choti choti baton pe irritate hone lagi, aur ghar mein bahut jhagde ho ne lage.  Aur iss ki waja se uss din Papa ko dawai dene bhool gayi aur un ki tabya bahut kharaab ho gayi, aur mere aur Kartik ke beech jhagda hua.  Uss ne ghusse me aa ke mujhe ghar se nikal diya lekin who kabhi mere upar haath nahi uthaya.  Tab mujhe Kartik aur sab ghar waale pe itna ghussa aaya aur maine Mom ko phone kiya.  Uss ne mujhe thapad lagaye aur kaha ke agar mujhe Kartik ko sabak sikhana chahti hu to aap se kahu ke uss ne mujh me haath uthaya.  Aur tab ghusse mein aakar maine Mom ki baat maan li.  Aur phir main dar gayi ke agar aap ko sach ka pata chal jaata, toh aap kya karte, isiliye, woh suicide attempt.  Phir hospital mein, Kartik mujhse mil ne aaya aur mujhe samjhaya ke woh mujhse kitna pyaar karta hai aur mera saath denga, lekin yeh sab ki waja se aap aur Priya ke rishte pe asar par raha hai.  Aur phir wahan Priya aagayi aur maine usse sab bata diya ke maine yeh sab Mom ke kehne pe kiya tha.  Aur us se vaada kiya tha ke main aap ko sab sach bata dungi.  Phir wahan se, Mom ne mujhe kahin bhej diya aur dhamki di ke agar main uss ki baat na maanu, toh who mera bura haal kar dengi.  Main dar gayi aur uss ki baat maan li.  Phir mujhe pata chala ke Kartik ko mere kidnapping ke case main phasa gaya hai aur main wahan se bhag gayi.  Mom ne mere peeche un ke aadmi ko bhej diya, aur tab Priya ne mujhe raaste mein dekha aur hum baatein kar rahe the ke Priya ne Mom ke aadmi ko dekha ek gun ke saath aur mujhe Dhaka diya, meri jaan bacha ne ke liye, aur goli usse lagi.  Aur uss ke baad toh aap jaante hai ke kya hua. 

Priya still has her eyes closed and by now a couple of tears fell from her eyes as she remembered what had happened after the shooting.  Ram can't speak.  He puts the pieces together.  He is in so much shock that Niharika would stoop this low to create misunderstandings between him and Priya.  A woman who can harm her own child for her own greed of money can do anything. 

Natasha: Bhai, aap please Priya pe naraaz mat ho ke woh aap ko mere abortion ki baat nahi bataayi.  Woh aapko batana chahti thi lekin maine usse aap ki kasam di thi ke woh aap se kuch na kahe.  Aur Priya aap se bahut pyaar karti hai.  Woh aapko itna dukhi nahi dekh sakti.  Isiliye abhi bhi mujhe rok rahi thi aap ko sachaai batane se.  Priya, please mujhe maaf kardo.  Meri waja se aap dono ko itna kuch sehna pada hai.  Aur meri waja se, aap ka bacha bhi'

Priya opens her eyes and sees Natasha looking down and tears falling from Natasha's eyes too.  She reaches over and hugs Natasha again, rubbing her back, comforting her.  Ram is still trying to digest everything that Natasha had just said. 

Priya: Nahin Natasha, yeh tum kaisi baat kar rahi ho.  Tum toh meri choti behn ho na, toh phir tumhe kaisa laga ke main tumhe doshi tehraungi?

Ram: Choti, Niharika ne aur kuch kiya hai jo mujhe jaan na chahiye?

Natasha: Bhai, woh, mamaji, Sid aur Ishika aapke paise ke peeche pade hai.  Main nahi jaanti un ka plan kya hai.  Main yeh bhi nahi jaanti uss ne mere saath aisa kyu kiya.  Haan uss ne mujhe janam zarur diya, lekin woh meri maa kabhi nahi ho sakti.  Lekin ab mujhe apni galti ka ehsaas ho gaya hai aur main waapis Kartik ke paas jaa rahi hoon, aur sab se maafi bhi maang lungi.  Aaj ke baad main un ko, aur aap ko shikayat ka mauka kabhi nahi dungi. 

Ram: Choti, tu bahut badi ho gayi hai.  Main jaanta hu ke yeh sab batane ke liye kitna mushkil ho ga tere liye.  Lekin thank you, ke tum ne mujhe saari sachai bata di. 

Natasha gets up and goes to give Ram a hug.  Then she leaves.  Ram comes and sits by the edge of the bed. 

Ram: Priya, tum mujhe itna pyaar kaise kar sakti ho?  Mujhe dukh na ho isiliye sab apne dil mein daba ke rakhna chahti thi?  Aur Choti ko bachane ke liye, tum ne apni jaan ko khatre mein daal diya, yeh jaante hue ke tumhari zindagi ke saath ek aur choti si zindagi jud gayee hai? Aur yeh bhi nahi socha ke mera kya hoga tumhare bina? 

Priya felt her eyes stinging with tears: I'm sorry Ram'

Ram comes close and hugs Priya tightly: Ab main Niharika ko jawab doonga.  Uss ko hare ek aansu ka jawaab dunga jo uss ne mere parivaar ko diya hai. 

He wipes her tears and settles her back into bed.  He kisses her on her forehead and leaves.

Ram leaves and heads to the office.  He makes a few phone calls and has some papers drawn up.  He knows he has to handle Niharika really carefully because she is one cunning and smart woman.  And he knows Mamaji is very sharp too.  He notices everything.  Then he remembers the necklace incident during their reception and how Sid had tried to blame Vikram for it.  Maybe Vikram knew more information.

Ram: Vikram, kya tu iss waqt busy hai? Hum mil sakte hai? 

Vikram: Nahi, bata kahan milna hai? Office aajaoun? 

Ram: Nahi, yahaan nahi, tu mujhe woh coffee shop mein mil.

Vikram: Theek hai Ram, chal 15 min mein milte hain. 

Ram reaches the coffee shop.  Vikram is already there.  Vikram notices that Ram is looking really drained out. 

Vikram: Ram, tu theek to hai? Priya ki tabyat kaisi hai ab?

Ram: Nahi yaar.  Bahut tension ho rahi hai kuch dinon se.  Priya bhi ab bhi bahut kamzor hai. 

Vikram: Kya tujhe sachai ka pata chal gaya hai?

Ram: Ab tu kaunsi sachai ki baat kar raha hai?

Vikram, hesitantly: Niharika ki sachai' 

Ram: Kya, tujhe bhi pata hai? Aur tujhe pata hai ke Maa bhi India mein hai?

Vikram: Haan Ram, Priya mere paas aayi thi.  Who bahut disturbed thi aur uss ne hi mujhe Maa ko phone karne ko kaha tha take woh India aajaye uski madad karne.  Main jaanta hu ke tu yeh saari sachai jaan kar bahut hurt hua hoga hai na?

Ram is shocked.  Everyone knew except for him.  Vikram and neha had been telling him for years that Niharika and her family had been using him but he hadn't listened to them.  He had shrugged it off. 

Ram: Vikram, agar tujhe aitraaz na ho, toh mere liye ek favour kar dega?

Vikram: Ram is mein aitraz ki kaunsi baat hai? Bata kya karna hai?

Ram: Mamaji, Sid, Niharika ke khilaaf mujhe saare accounts aur fraud ke subut chahiye jo tu mujhe itne saal se bataata aaya hai.  Main jaanta hu ke tu ab Kapoor Industries mein kaam nahi karta lekin tu mera sab se accha dost hai aur main jaanta hu ke tujhe yeh sab pata hai. 

Vikram: Haan Ram, iss mein badi baat kya hai.  Main aaj sham tak tujhe saare subut dhoond ke doonga.

Ram: Thanks yaar.  Aur ek baat thi..

Vikram: Haan bol na Ram

Ram: Vikram, yaar mujhe maaf karde.. itne saal se tu mujhe kehne ki koshish kar raha tha aur maine teri baat nahi maani.  Aur who haar wala kissa bhi'

Vikram stops him: Nahi Ram.  Ye tere mere beech mein sorry kab se aagaya.  Lekin haan, mujhe bahut khushi hui ke tujhe saari sachai ka pata chal gaya hai.

Ram: Ab mujhe chal na chahiye, Priya bhi akeli hai ghar mein aur poori tarah se theek bhi nahi hui hai.

Vikram: Theek hai Ram, Priya ka khayal rakhna aur tera bhi.  Aur tu chinta mat kar, main aaj shaam ko saare papers ghar paunchaounga.

Ram hugs Vikram and leaves.  He goes back to the office, and picks up the papers he had requested and heads home.

At home:

Niharika is sitting in her room.  Ever since Natasha had come home, and Priya had been shot and had a miscarriage, Ram had stayed home with her.  She was thinking about what to do to separate them.  They were becoming closer and this was making her life harder.  She had thought she should stay away from everyone for a few days and let things play out before she planned her next game.  She had stayed in her room for a couple of days now.

Ram knocks on the door before entering.

Niharika: Are Ram? Tum yahan? Priya kaisi hai?

Ram: Priya theek hai Maa.. Uh Mujhe aap ki signature ki zarurat thi papers pe.  Main apni thodi company aap ke naam kar na chahta hu toh aap please sign kar dengi?

Niharika: Haan lekin iss ki kya zarurat hai Ram?

Ram: Zarurat hai, aap please sign kar di jiye. 

Niharika couldn't believe her ears.  She didn't have to do anything.  Ram herself had come to her and wanted to give her his companies.  Her excitement got the best of her and she blindly signed the papers without reading them. 

Ram: Thank you Maa.  Kya Mamaji aur Sid ghar mein hai?  Unn ki sign ki bhi zarurat hai.

Niharika: haan woh apne kamre mein honge. 

Ram: Theek hai main dekhta hu.

Wow, Niharika thought, I didn't even have to do anything.  He just came himself and handed over his companies to all of us.  That was easy.  Now you wait, Ram Kapoor, I will kick you and your wife out just like I kicked your mother out and killed your father.

Ram gets Sid and Mamaji to sign the papers too.  He even gets Ishika to sign her share.  The only person he didn't ask, was Natasha. 

Krishnaji was sitting in the living room, on the couch.  It felt so good to be here.  Her back was facing the staircase.  Niharika came out of her room finally and came down the stairs.  She saw someone sitting on the couch and approached them. 

Niharika: Excuse me, aap kaun hai? Aap ko kis se milna hai?

Krishnaji stands up and comes face to face with Niharika.  Niharika's jaw drops down. 

Niharika: Tum yahan kya kar rahi ho? Pati ne ghar se bahar nikal diya, kaafi nahi tha? Ab apne bete se bhi nikalwana chahti ho?  Main bhool gayi, woh bhi tumse nafrat karta hai.

Krishnaji: Mrs. Niharika Kapoor? Nahi yeh naam sahi nahi hai.  Mrs. Niharika Jayesh Karekar.  Chalo aaj tumhara asli naam use kar lete hai.  Aur rahi baat mere yahaan aane ki, toh main aa gayee hoon, apne bete ko tumhari sachaai bata ne. 

Niharika: Tum kya bataogi apne bete ko.  Tumhara beta toh mere pyar mein andha ho gaya hai.  Woh toh meri har baat maanta hai.  Abhi bhi main company papers pe sign kar ke aayi hoon.  Uss ne mere naam, mere bhai ke naam aur mere bete ke naam apni saari companies kar di hai. 

Krishnaji:  Tum kaisi maa ho Niharika? Apne paise ke lalach mein apne bacho ki bhi zindagi kharaab kardi? Apni beti ko waapis laane ke liye uske peeche aadmi bhej diya, usse goli maar ne ke liye? Tum aurat kya, insan kehla ne ke layak nahi ho.  

Niharika: You *********** (fit in whatever gaali you know) 

She raises her hand to slap Krishnaji when someone catches her hand.  She turns her head to see who caught her hand and sees herself looking straight at Ram.

Niharika: Ram, dekho yeh aurat kya keh rahi hai? Mere ghar mein aake mujhe hi suna rahi hai.

Ram looks at Niharika with anger blazing out of his eyes.  He clenches his other fist and tightens his grip on her hand which he is still holding in the air.  He slams down her hand. 

Ram: Tumhari himmat kaise hui.  Tum hoti kaun ho meri Maa se iss tarah baat kar ne ki aur in pe haat uthane ki?

Niharika: Ram, yeh tum kya keh rahe ho.. Dekho to sahi uss ne mujhe kya kya kaha.  Ke main aurat keh laane ki layak nahi hoon. 

Ram: Toh galat kya kaha Mrs. Niharka Jayesh Karekar? Tum sach mein insan kehlane ki layak nahi ho.

Niharika looks at Ram in shock, but then she starts laughing: Pehle maa baap ko phasaya, aur ab bete ko.  Tum ne toh saari companies hamare naam kar di.  Wah, beta ho to aisa.  Acha beta hai tumhara, Krishna Kapoor. 

Ram gives Niharika a tight slap on her face. 

Ram: Tameez se baat kijiye.  Aap Mrs. Krishna Kapoor se baat kar rahi hain, Kapoor Industries ki maalkin.  Yeh thapad, meri maa se iss tarah baat kar ne ki aur usse ghar se bahar nikal ne ki.

Niharika is looking at Ram in shock now.  What had he just said? Krishna Kapoor, Kapoor Industries ki maalkin?  What papers had she just signed?

Ram gives her a second slap.

Ram: Yeh doosra thapad, meri Priya ko itna dukh dene ki, mujhse alag karne ki koshish karne ke liye aur hamare bacche ki jaan lene ki.

He gives her a third slap.

Ram: Yeh teesra thapad, har ek aansu ke liye jo tum ne mujhe, aur mere parivaar ko diya hai.  Aur ab, tum, tumhara beta, aur tumhara bhai saari zindagi jail mein kaatenge.  Ishika ko main chod raha hu kyunki uss ki shaadi ho gayi hai aur uss ka apna parivaar hai.  Jaanti ho Niharika, agar tum ne yeh baat mujhe pehle bata di hoti ke tumhein paise chahiye, toh main khushi khushi sab kuch tumhare naam kardeta aur kiya bhi tha.  Lekin tum ne mere jazbaat ke saath khela hai, mere pyar ke saath khela hai, aur ab tumhe iss ki saza bhugat ni hi padegi.  Aaj jo papers maine tum sab ko sign kar ne ko kaha tha, woh isiliye the, ke jo companies aap chaaron ke naam thi, woh ab Maa ke naam kardi gayee hai.  

By now, Dadi, Rishabh, Mamaji and Sid had come there and were watching the drama.  Priya was watching everything from the railing upstairs.  Ram makes a phone call to Vikram, who shows up a couple of minutes later with a file in his hands.  Then the police shows up.  Vikram hands over the file to the police.

Ram: Inspector, lejaayie unhein.  Unhon ne fraud kiya hai, apni beti ke upar haath uthaya hai, usse kidnap karwaya gaya hai, meri biwi pe goli chalaayi gayi hai aur mere bacche ko maar dala hai.  Aur yeh raha in sab ka subut.  Iss file mein, company ke accounts hai.  Natasha bhi gawai dene ke liye tayyar hai.  

Priya hurries back to her room to get there before Ram does.  Niharika, Sid and Mamaji are arrested on the spot and Ram storms out of there and goes to his room, leaving a stunned Krishna, Dadi and Rishabh.  

To be continued'


Hi guys, so I posted a continuation since everyone wanted to know what happened about KK.  I have one more scene between Ram and KK in mind but i'll post it later because I don't have that much time right now.  I hope you guys like this.  I honestly am not a good enough writer to be able to come up with this stuff.  I like writing more about RaYa and stuff between them.  But I hope I lived up to your expectations and you guys like it!  

Enjoy! 

And don't forget to comment/like! 

Edited by azk92 - 11 years ago
NancyNuts thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Amby Di, great ending of Nih and evil trio๐Ÿ‘
exactly how i want this
would be waiting for u to update Ram-KK part too๐Ÿ˜ณ
Edited by Nancy_NUTS - 11 years ago
fanraya thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Wow, amazing, superb๐Ÿ‘ please continue soon. This is just too good.
salsaly thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 11 years ago

di... u r an awesome writer... loved ur os.. pls continue asap...

arhi__4ever thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
very emotional update

Loved it awesome
SimSimmer thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
very very emotionalll...luved it. congrats!!!!!!!๐Ÿ˜‰
TVserialfreak thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Awesome..really waiting for it to happen in the serial ๐Ÿฅณ๐Ÿ‘ ๐Ÿ˜ƒ