Meri pasandida gazal... - Page 3

Created

Last reply

Replies

50

Views

6051

Users

15

Frequent Posters

*Jaya* thumbnail
Posted: 18 years ago
#21

Originally posted by: mudabid

One of my favourites, Tere Khat by Jagjit Singhji:

Jinko duniya ki nigahon se chupaye rakha
Jinko ek umra kaleje se lagaye rakha
Deen jinko, jinhe iiman banaye rakha
Tune duniya ki nigahon se jo bachkar likhi
Saal-ha-saal mere naam barabaar likhi
Kabhi dil mein to kabhi raat ko uthkarne ki

Teri kushboo mein base khat mein jalata kaise
Pyaar mein dube hue khat mein jalata kaise
Tere haathon ke likhe khat mein jalata kaise
Tere khat aaj mein Ganga mein baha aaya hun
Aag behete hue paani mein laga aaya hun   💔

 

mudabid'ji - this one is my favourite too.. 👏👏

and i have already posted this in the thread 😳

slares2005US thumbnail
Posted: 18 years ago
#22
Jaggu dada is great 👏

Kaun aayega yahan koi na aaya hoga
Mera darwaja hawayon ne hilaya hoga

Dil-e nadan na dhadak ,
Ae dil-e nadan na dhadak
Koi khat leke padosi ke ghar aaya hoga
Kaun aayega yahan koi na aaya hoga………..

Gul se leepti hui
titli ko gira kar dekho
aandhiyo tumne darakhton ko giraya hoga
Kaun aayega yahan koi na aaya hoga………..

Kaif pardes mein mat yaad karo apna makaan
Ab ke bearish ne usse tod giraya hoga
Kaun aayega yahan koi na aaya hoga………..


mudabid thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#23

Originally posted by: jayc1234

mudabid'ji - this one is my favourite too.. 👏👏

and i have already posted this in the thread 😳

Oops, my bad.  😳

I have only heard that part, so do you know if that is the complete song or is there more to it?

*Jaya* thumbnail
Posted: 18 years ago
#24
Lata'ji from the album Sajda...

Dard Se Mera Daaman Bharde Ya Allah
Phir Chahe Deewana Karde Ya Allah

Maine Tujh Se Chaand Sitaare Kab Maange
Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah

Suraj Si Ek Cheez To Hum Sab Dekh Chuke
Sachmuch Ki Ab Koi Saher De Ya Allah

Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakhde
Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah
slares2005US thumbnail
Posted: 18 years ago
#25
jagjit and chitra in passion great album

Agar hum kahen aur wo muskara de
Hum unke liye zindgani luta de

Har ek mod par hum ghamo ko saja de
Chalo zindagi ko mohabbat bana de

Agar khud ko bhule to kuch bhi na bhule
Ki chahat mein unki khuda ko bhula de
Agar hum kahen aur wo muskara de…………….

Kabhi gham ki aandhi jinhe choo na payein
Wafao ko hum nasheman bana de
Har ek mod par hum ghamo ko saja de……………

Kyamat ke deewane kehte hai hum se
Chalo unke chehre se parda hatta de
Agar hum kahe aur wo muskara de……….

Saja de sila de, bana de mita de
Magar wo koi faisla to suna de
Har ek mod par hum ghamo ko saja de
Chalo zindagi ko mohabbat bana de………..

*Jaya* thumbnail
Posted: 18 years ago
#26

Originally posted by: mudabid

Oops, my bad.  😳

I have only heard that part, so do you know if that is the complete song or is there more to it?

As far as I know, there is only this much...

*Jaya* thumbnail
Posted: 18 years ago
#27
na muhbbat na dosti ke liye
wqt rukta nahi kisi ke liye

dilko apne saza na de yun hi
is jamane ki berukhi ke liye

kal jawani ka hshrr kya hoga
soch le aaj do gharhi ke liye

har koi pyar dhoondh ta hai yahn
apni tanha si zindgi ke liye

waqt ke sath-sath chalta rahe
yahi behtar hai adami ke liye
greatmaratha thumbnail
Posted: 18 years ago
#28
An old Jagjit Singh And Chitra singh ghazal...

Woh kagaz ki kashti..
woh baarish ka paani

Love this one
*Jaya* thumbnail
Posted: 18 years ago
#29
Here's one from Ghulam Ali...

Chamakte chaand ko toota hua taara banaa daala,
Meri aawargi ne mujhko aawara banaa daala...

Badaa dilkash badaa rangeen hai, Yeh shehar kahte hain,
Yahaan par hai hazaaron ghar, gharon me log rahte hain...
Mujhe iss shehar ne.... galiyon ka banjaara banaa dalaa...
Chamakte chaand ko toota hua taara banaa daala...

Main iss duniya ko dekhkar aksar hairaan hota hoon,
Na mujhse ban sakaa chhota sa ghar, din raat rota hoon...
Khudaa-ya tune kaise... yeh jahaan saara banaa daala...
Chamakte chaand ko toota hua taara banaa daala...

Mere maalik mera dil kyun tadaptaa hai, sulagataa hai,
Teri marzi, Teri marzi par kiska zor chaltaa hai...
Kisi ko gul kisiko tune... angaara banaa daala...
Chamakte chaand ko toota hua taara banaa daala...

Yeh aagaz thaa mera, yehi anjaam hona tha,
Mujhe barbaad hona tha, mujhe naakam hona thaa...
Mujhe taqdeer ne, taqdeer ka maara banaa daala...
Chamakte chaand ko toota hua taara banaa daala...
ritika24 thumbnail
Posted: 18 years ago
#30
Have so many, will try to list my favs:

1. Gham ka Khazana - Duet by Lata and Jagjit.

2. Apni Marzi se kahan apne safar ke hum hain
   Rukh hawao ka jidhar ka hain udhar ke hum hain

----from the serial Sailaab sung by the ghazal king Jagjit.

3. All songs of Arth

4. Ae-dil-nadan from Razia Sultan.

5. Jeevan kya hai- Jagjit Singh.