aricle and interview of pooja gor part 2 and 3

sana09 thumbnail
Posted: 14 years ago
#1

PART 2 of article....


Ahmedabad me born and pali badi POOJA GOR ke FATHER O.N.G.C. me engineer hai…..pooja B.Com 2 nd year ki student hai….pooja ko acting ki field me lane ka complete credit BALAJI TELFILMS KO JAATA HAI….

 

 

.Accoording to her,,,,Famous social networking  website  FACEBOOK par uske photos dekh kar ekta kapoor ne unhe    'KITNI MOHABBAT HAI' hai ka offer bheja…..iss serial me purvi ke character ko darshako ne khoob pasand kiya….iske baad pooja ne balaji ke horror show 'KOI  AANE KO HAI' me ek important role nibhaya….

 

 

AND PRATIGYA IS HER third serial. First time I n this serial she is playing a cental character..



PART 3  OF ARTICLE


PRATIGYA   allahbad ki ek middle class family ki ladki pratigya ki kahanii hai.....jo waise toh bahut seedhi sadhi hai...but her thoughts are different from rest of the aam girls....

POOJA GAUR kehti hai " kihamare samaaj me aam taur par ladkiyan hi nahi unke parivaar waale bhi sadak chhaapp majnuuu ki jyaadti ke khilaaf khade hone darte hai....unka ye darr goons ki himmat aur bada deta hai...jiska result bahut baar gambhir hota hai...me manti hoon ki pratigya ki tarah har ek ladki ko apne aatma samman ke liye awaaz uthani chhaahiye"......


pooja gaur is serial ko asal zindagi ke kaafi close manti hai....She says" aam zindagi ki tarah  iss serial me bhi pratigya ko bahut problems ka saamna karna padta hai....Colony ka gunda KRISHNA uske peeche pad jaata hai  aur usse shadi karna chahta hai...PRATIGYA USSE BILKUL BHI PASAND NAHI KARTI HAI...pratigya uski harkaton ka

virodh karti hai...uske khilaaf police me complain karte hai...yahaan tak ki apni izzat ki raksha karne ke liyepolitician tak se help maangti hai.....but usse har taraf se niraasha hi haath lagti hai....aise halaat me KRISHNA ke shaadi ke prastav ko accept karne ke alaava uske paas koi raasta nahi bachta hai....lekin samaaj yahaan bhi pratigya ko chaain se nahi rehne deta kyunki thakuron ke yahaan kayastha ladki  se shaadi ki manjoori nahi hai...udhar pratigya ke ghar wale bhi iss faisle ke khilaaf khade ho jaate hai....lekin pratigya gharwalon aur samaaj ka virodh ka saaman karti hai...aakhir me pratigya ki pratigya ke saamne sabko jhukna hi padta hai " ......

According to POOJA GOR acting ki field me aana was just a chance of luck but ab woh apne career ko lekar serious hai...unki tammanna hai ki T.V. ki duniya me woh aasnaam chhuuye aur ek umda adakaar ke roop me apni pehchaan banaye...FILMS ko lekar unke mind me na to koi craze hai....aur nahi iss disha me unhhone kuch socha hai.....


She says " agar koi bahut hi acha role offer hua toh me inkaar nahi karoongi.....



                the end