Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Tumhen dekhke to lagta hai aise
Bahaaron ka mausam aaya ho jaise
Dikhaayi na deti andheron mein jyoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa
Kinaare pe bhi to leher aa duboti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Tumhen kyaa bataaoon ke tum mere kyaa ho
Meri zindagi ka tum hi aasra ho
Main aasha ki ladiyaan, na rah rah piroti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Har ek gham tumhaara sahenge khushi se
Karenge na shikwaa kabhi bhi kisi se
Jahaan mujh pe hastaa, khushi mujhpe roti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Na jaane kyoon dil se ye aawaz aayi
Milan se hai badhke tumhaari judaai
In aankhon ke aansoo, na kehlaate moti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Next T