C- are madam aap phir se yaha...lejiye choc lijeye aaj meri mrg anniversary hai
Swara ne uski baato pe thik se dhyan nai diya tha
S- ji thank u...
C- waise madam peechli baar jo maine aapko choc diya tha uska kiya kiya... apne jarror apne pati ke saath share kiya hog apne hai na...
S- kya kya kaha apne pichli baar kya kya kehna kya chahti hai aap...S- please didi meri muskiley ar mat bhadaiye waise bhi mujhe sanskar ki bahut chinta ho rahi hai na jane wo kaha hoga kia haal me hoga pls god usse kuch hone mat dijiyega maana usne mujhe marne ki koshish ki hai pr phir bhi uske wajah se mai ragini ko dukhi nai dekh sakti...
(Const. Talking to another const.)
C1- are dekho dekho baatein to aise kar rahi hai jaise isse kuch yaad hi na ho...
C2- are behan aaj to hmne lady ghajini ko bhi dekh liya lagta hai...
S- kya... kya matlab kya hai aapka aap to aise baat kar rahi hai jaise mai jail nai aapke ghar chai pani peene ja rahi hu...
C- kuch waisa hi samajh lijeye kyunki haar baar to apke pati aapko baccha ke le jate hai yaha se..
S- kehna kya chahti hai aap... dekhiye aapko jo bhi kehna hai saaf saaf kehye ar please jara details me ...(to herself - ab to mai pagal hi jaungi sanskar mujhe marna chahta tha to ye log aise bakwaas kyun kar rahe jaise wo kitna mahan hai )
C2- madamji hm kya aapko kahani sunane wale dikhte hai
S- dekhiye plz majak mat kariye mere saath mujhe saach janana hai... plss meri madad kijiye
C1- chaliye aap itna jor daal hi rahi hai to hm apko bata hi dete hai aapki jail yatra ki kahani hamari zubani...
S-(jail yatra ki kahani o god bas yahi baki tha ab jindagi me)
C2- kaun se wale yatra se shuru karegi behan
S- kya... kehna kya chahti hai aap ki mai ek baar nai kai baar jail ja chuki hu ...
C1- ji madam chaliye shuru se shuru karte hai... aap pehli baar jail gayi thi ragini maheswari ke attempt to murder or kidnapping ke case ke silsile me...
S- kya nai ye nai ho sakta mai kabhi bhi apni behan ku nuksaan nai pahucha sakti hu..swaragini ko todne se pehle mai apni jaan dedogi...
C2- ji madam jab poora maheshwari khandan ar aapki behan ap par ilzam laga rahi thi tab aapke pati ne bhi yahi kaha tha ki aap kisika bura kabhi kar hi nai sakti aapka dil bahut saaf hai...
S-(kya saach me sanskar ne aisa kaha thakahi mai use samajhne me bhul nai nai aisa kuch nai hai wo khooni hi hai)
C1- madam aage sunana chahegi kya...
S- ha ha plss..
C2- to phir suniye na dhyan kaha hai aapka...
C1- jab poore pariwar ne aapko jail me chood diya tha tab simar bhardwaj jinke yaha yaha bheen bheen prakar ke bhutiya criminals paye jate hai unhone ar aapke patidev ne aapki bail karai thi...
S- kya sanskar ne mujhe bachaya tha...(ar ye simar ghostbuster ko mai kaise janti hu)
C1- haannji madam apke pati ne hi aapko bachaya tha
S- (jarur isme uski koi chaal hogi mere parivar walo ko apne side karne ki)
C1- are madam kaha kho jati hai baithe baithe...
S- sorry didi aage kya hua tha...
C2- uske baad tm apne ghar chali gai apne pati ke saath ar kya ab uske bad kya hua hoga wo tm ar tmhara pati jane...
S- nai nai didi mera wo matlab nai tha mera matlab tha ki uske baad jail aai thi...
C1- oooaccha ... to suno
C2- uske baad mai ar acp phauche the MM jaha tmhari shadi ki tayariyan chal rahi thi.
C1- sayad sangeet chal raha tha...
S- (kyapar meri shadi to sankar se hui thi na to phir ye doobara kisse ho rahi haiO GOD) ek minute abhi apne bola ji sanskar jo mera pati tha usne mujhe jail se bail karai to phir ab kisse shadi ho rahi hai meri...
C2- na jane in logo ke paas kitna free paisa ar free time hai ek hi insan se na jane kitni baar shadi karte hai ye log...
S- matlab kya kehna chahti hai aap... meri marzi mai kissi se bhi kitni baar shadi karu isme aapko kya dikkat hai...(waise baat to tihk hi kahi in logo ne shadi to ek hi baar hoti hai na) aap mujhe baas ye bataye ki mai kisse shadi kar rahi thi...(O GOD bas wo sanskar hi ho)
C1- aap chinta mat kijiye aap apne pati sanskar maheshwari se hi doobara shadi kar rahi thi
S- (kya mai us khooni se doobara shadi kar rahi thi... ) accha aap mujhe ye bataiye ki mere ghar ka mahaol kaise tha matlab mai iss shadi se khush to thi na..
C2- ha ha madam aap bahut khush thi poora ghar dulhan ki tarah saaja hua tha...
S- (kya itni khush thi usse shadi karke) accha phir kya hua...
C1- phir kya hmne aapko urvashi kataria ke khoon ke iljam ne giraftaar kar liya...
S- kya khoon ke iljam me...nai ye nai ho sakta mai kisi ka khoon kar hi nai sakti hu...
C2-aapke pati ar aapke ghar wale bhi yahi kah rahe the... pr hamare paas phukta saboot the...
C1- phir bhi aapke pati hamari baat nai maan rahe the ar aapko giraftaar nai karne de rahe the inshort wo kannon ko apne hatth me lene ki koshish kar rahe the aapko bachane ke liye...
S- (kya sanskar ne sare sabuto jhootla diya ar mere liye kannon ko hath me le liya...aisa aadmi khooni kaise ho sakta hai O GOD mujhe kuch samajh nai aa raha hai...)