"Ajeeb Ehsaas"
Taqdeeron ke rang bhi kitne ajeeb hote hai,
Samundar ki lehron ki tarah anjaan modhe laate hai.
Aise dohraye par soch tham jaaye,
Waqt ka safar bhi kahin pal main tehrjaaye.
Nazar dhoondhti hai woh kinaara,
Aur kahin se achanak milta hai koi sahara.
Uski ek chuyan se jaage hai kuch ehsaas,
Jeevan se udh jaati hai har pyaas.
Haath mein uske miltah hai ye haath,
Ajeeb si kashish khilaata hai ye saath.
Dhalte hua suraj ke neeche chalte,
Dekhte hain hum ek naye jeevan ko ujalte.
Alaam hai ye kaisa ajeeb,
Saanse se bhi zyada, manzil hai kareeb.
Cheers,
dc