tumharay bin ye alam hay.......
tumharay bin ye alam hay.... kabhi jab chand ki kirnain jo aksar jhilmilati hain kabhi jab barf lamhoun main, hwa'ain gungunati hain, mujhay ik bean lagta hay tumhari chah main rasta, har ik be chain lagta hay tumhari aass main, deewar o dar be daar lagtay hain sabhi phoolon bharay rastay mujhy pur khaar lagtay hain mehakti sard shamon main badan aisay sulaghta hay December june' lagta hay" har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... jo dilkash roop thay jana! bohat ujray se rehtay hain meri choori, mere bunday, mera kangan, meri payal, sabhi khamosh rehtay hain... sunehri dhoop main tum bin, mere is kapkapatay jism ki bhi jot hay jana! tumharay bin mera jeewan, adhoori mout hay jana! dhanak iss surkh anchal ki mujhay weeran lagti hay mera kajal , meri mehndi, bohat heraan lagti hay in hathoun main hina ka rang Dil ka khoon lagta hay koi ghanti bajay mujhko, tumhara fon lagta hy har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... har ik aahat pe darwazay pe ja kar laout ati hon tumharay rastoun main ansoun ki lo jalati hon meri ujri hui subhain, meri bikhri hui shamain meri ye jaagti ratain tumhari muntazir jana! kisi se kuch nahi kehti bohat khamosh rehti hon hijar ki taiz mojoun main, bohat chup chaap behti hon... mere ye kaasni se lab batatay hain hijar ka zehar peeti hon... na marti hon, na jeeti hoon har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... Kanwal Malik |