Sad Shayari Part 2--- Closed - Page 9

Created

Last reply

Replies

390

Views

46.8k

Users

8

Likes

787

Frequent Posters

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#81
muhabat ka rog jisko lag jata hai
wo khushi kabhi to kabhi gham se mar jata hai

ye rog dasta rehta hai dil ko chahat ki aag se
khud apna dil ek din veeran kabrastaan ban jata hai
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#82
suna hai wo jate huwe keh gaye hain k wo ab hamare khwabon mein aayenge. koi unse ye to keh de wo wadah to kar len ,ham zindagi bhar ke liye so jayenge.💔
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#83
tum khas na the jo tumein yad aa na sake
Tm ne bhola diya par hm bhoola na sake
Jo zakham lage teri judai mein dil pa mere
Laak chupay sb se magr chupa na sake
Teri chahat teri mohbbat mein badnam hue,
...
Apni bebasi ki dastan kisi ko sona na sake
Tere jane ke bad jo guzari hum pa akele
Shikwe jo dil mein the zuban pe la na sake
Kahani dard se bhari thi meri ARMAN
Khoshishein bht ki magar lab hela na sake.
Edited by urooj92 - 14 years ago
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#84
bichre Hue Logo Ki Yaden Mar Deti Hai,
Kuch Parda Nashinon Ki Adaen Mar Deti Hai,
Kisi Ko Raas Aa Jati Hai Bd-Dua,
Aur Kisi Ko Apno Ki Duan Mar Deti Hai,
Wo Shajar Se Toote Hue Bdnaseeb Patty,
...Jinhen Har Mosam Mein Hawaen Mar Deti Hai,
Kisi Ko Dosh Na Do Us Ki Bewafai Ka,
Chahne Walon Ko Apni Khataen Mar Deti Hai,
Har Ik Sitam Seh Kar B Jo Rehte Hai Wafa Par Qaim,
Aise Wafadar Logo Ko Aksar Wafaen Mar Deti Hai.
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#85
chand ko zamin par lane ki zid thi
hamen unhen apna banane ki zid thi
jis raah par lakhon ghar barbaad huwe
humen bhi wo raah apnane ki zid thi
accha huwa k wo bewafa ho gaye
warna unhen pane k liye is zamane ko jalane ki zid thi
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#86
ek zaraa si bhool khata ban gyi
meri wafa hi meri sazaa ban gyi
dil liya aur khel kar tor diya
hamare aansoo nikle aur
unke honton ki muskaan ban gyi
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#87
gham kuch is tarha se ham pe meherban ho gya

jo karega katal wohi mera mehmaan ho gya

marne ke baad aap ka deedaar ho shayad

bas isi liye marne ka armaan ho gya
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#88
unko ghairon se ashnai hai
or humse to khafaa khudai hai
jab jab dekha hai chand ko meine
unki reh reh kar yaad ayi hai
unse bichar kar ye jana hai hamne
kya cheez ye judaai hai
hoke majboor dil ke hathon
hasraton ki chita jalayi hai
o ruth ke jane wale bata to sahi
aaj hum mein kya buraai hai
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#89
jab gham-e-ishk satata hai to hans leti hoon
hadesa yaad ye aata hai to hans leti hoon

jazba-e-ishk ke anjaam pe is dunya mein
jab koi ashk bahata hai to hans leti hoon

meri ujri hui dunya mein tamanna ka chiraag
jab koi aake jalata hai to hans leti hoon

koi dawa nhi faryad nhi tanz nhi
raham jab apne pe aata hai to hans leti hoon

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
#90
raat hogi to chand bhi dikhayi dega

khwabon mein tumhen wo chehra dikhayi dega

muhabat zaraa soch ke karna

ek aansoo bhi gira to sunaai dega

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".