main jab bhe rat ki taariki main hota hon akela,
teri yadon ko apne pas bula leta hon,
jab barh jati hai teri yad had sey,
to teri yaad main kai anso baha leta hon,
na dekh ley meri ankhon main tera chehra koi,,
raton ko roney sey pehley charaghon ko bhuja deta hon,
main sota he nahin rat bhar ye adat hai meri,
kitna gustaakh hoon tum ko bhe sath jaga deta hon,