iska arth hai aapki ati budhiman adhyapikayon ne aapko hindi bhasha ka gyan bahut acha diya hai to aap iska dhanya vaad hamein nahi kintu unhe dein😊
sirf aapke gyan ke liye hum bandhu nahi behan hai aur hamara naam vinnie hai😉
Meri bahan yeh toh Sanshaya ki stithi ho gayi ..aapke bhi shubhnaam vinny aur humaara bhi Vinny ( humaara upnaam ) .
Parantu humein Jigyaasa hui ki aap ne itni shudha hindi ka Gyaan kis prakaar praapt kiya ? aisa Prateet hota hai ki aap Apravaasi bhartiya hain ..Canada mein rahkar itni achchi Hindi ..Bhartiyon ko aap par Garv karna chahiye.👏 👏👏👏