abhay - "tumhe jeene kya poora haq hain piya..tum phir se ek naayi zindagi ki shurwaat karogi..tumhe mujhe bhool naa hoga piya"
piya - "aisa maat kaho abhay "
abhay - "i'm sorry , piya "
😭 😭 😭
abhay - " apne chaaro ore kitni deeware khaari rakh kar dee hai maine in do sau saalon mein , lekin piya , tumne unn saari deewaron ko tor diya hai..tum mujhe paagal kar dogi piya..." [thoughts]
piya - "mera ek dil hai abhay , aur ye dil hum dono ke liye dhadke ga , kyunki hum dono ke SAATH ke liye ek dhadkta hua dil kaafi hai " [ thoughts]
abhay to haseena - "mom , mein piya ko nahi chor sakta..kaise uss shakx ko chor doon jisne meri ghaane andheron mein bhi roshni banaane ki jurrat ki hain ? " [ when piya is trapped in the pandher palace]
abhay [ i find this line epic] - "mere saamne aaogi toh khud ko dhoond nahi paaogi "
piya - "woh kiski aaankhen hai?...aur unhe dekh ke aise kyun lagta hai jaisi unn ankhon mein meri adhoori zindagi chippi hui hain. oh god , mein pagaal ho rahi hoon..shayaad jai theek hi keheta hain." [ when piya washed her face and abhay's reflection appeared]
piya - "shayaad. shayaad pyaar humari kismat mein kabhi tha hi nahi..lekin abhay , tumhare liye toh mere dil mein humesha jaga rahegi...kahtam ho chuki hai yeh kahani...khatam ho chuki hai."
piya - "abhay tumne mujhse mere saari yaadon ko cheen liya , lekin mere dil ki aahaton ko kaise mittah te ? yeh dil ne sirf tumse pyaar karna seekha hai ...tum meri yaadon ko apne saath le gaye , lekin tum mein bhi itni taaqat nahi thi , ke tum meri dil ko bhi tumse pyaar karne se bhula do , kyunki yeh dil sirf tumse pyaar karna jaan ta hai , aur kuch bhi nahi " [confession , finally]
abhay - "kya ho tum , piya ? sirf maithli ki shakaal..ya kuch aur? kyun maithli ki yaadein ab tumhari yaad banti chali jaa rahi hai? "
abhay - "raat ke andheron mein chip naah
sikha hai maine...tumhare mohabat ke liyE ab toh moth bhi kabool hain...hazaron baar moth kabool hain , sirf aur sirf aaj ke iss EK raat ke liye" [ romeo dialouge...probably the best ever dialouge in PKYEK]
abhay - "kyun apne sabse bari naafrat ko apni mohabat bana chuke ho?" [juliet dialogue..which abhay says instead]
abhay - "lekin aaj mohabat ne jurrat ki hain..ek awaaz di hain..ab rokh saake na humko koi"
abhay - "woh mAithli nahi hai.toh phir kyun meri emotions ke saath itni aasaani se khel sakti hai? kyun mujhe pharakh parta hai uske saamne aane se? KYUN?!?!?!" [ THOUGHTS]
abhay - "kyun tumhe jaate dekh kar mujhe itni takhleef hoti hain ? kaise baataon tumhe ke mein kya hoon? kaise baataoon ke mein toh insaan hi nahi hoon..kaise baataaoon ke meri assliyaat jaan ke tum ...nahin ,piya. nahi samjha sakta tumhe ki sabse alasg kahani hain yeh..mein tumhe is kahani ka hissa kaise bana loon , piya? kaise banaloon...mujhe tumse door rehena hi hoga"
piya - "kyun tumse door hoke meri dhadkan rook jaati hain? "
"ab dil mein uski yaad bhi nahi..lekin waqt ke seene mein dhadakti hai kahi..pyaar ki yeh ek kahani"
"pataanga jo mohabat mein ho jaaye fanna..yeh uski adah hai . .. yaa aag ka gunaah? koi aag se bhi toh pooche uski dil ki..jisse hi usne pyaar se chua..usse bas raakh hi mili.." epicness to the core this first promo's dialouges.ufff.no words.
never can get over these dialouges...especially the one i think to be the best out of these 😍
Edited by austenrox - 13 years ago